Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 70 71 72 73 [74] 75 76 77 78 ... 273
Print
Author  (Read 131522 times)
angel4u
Guest
«Reply #1095 on: April 04, 2007, 05:56:09 PM »

Cheer Ke Darakhton Ki,
Be Libaas Shaakon Par,
Kookti Hui Koyal,
Thak Ke Baith Jayegi,

Khali Ghar Ke Aangan Mein,
Teesre Peher Ki Dhoop
Khamoshi Se Utregi,
Aur Bikharti Jayegi,

Baarishonke Mausam Mein,
Aakhri Station Par,
Ek Train Thehregi,
Aur Laut Jaayegi,

Aandhiyon Ki Pas Mandah,
Neem Wa Dareeche Mein,
Ek Bail BaaQi Hai,
Ye Bhi Toot Jayegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1096 on: April 04, 2007, 05:57:57 PM »

Main Tumhare Saath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarah,
Mujhe Bas Itna Kehna Hai, Kabhi Main Yaad Aaun To,

Kabhi Tanhayi Ki Raatein Tumhe Zyada Satayein To,
Kabhi Titli Na Bole To, Aur Jugnu Laut Jaaye To,
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye, Koi Jab Sun Na Paye To,
Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tumse Rooth Jayein To,

Kabhi Jab Khud Se Lad Kar Thakan Se Choor Ho Jao To,
Kabhi Chahte Hue Bhi Khud Akele Ro Na Pao To,
Apni Aankhon Ko Band Karna Aur Mujhe Awaz De Dena,

Phir Mere Tasavvur Se Jo Chahe Baatein Keh Dena,
Mere Kandhe Pe Sar Rakh Kar Jitna Chahe Ro Lena,

Jab Main Khud Laut Aaun To, Apni Duniya Mein Chale Jaana,
Magar Bas Itna Kehna Hai Ke Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein,

Hamein Dilse Pukaroge, To Hamein Tum Saath Paaoge,
Main Tumhare Sath Hoon Ek Ehsaas Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1097 on: April 04, 2007, 05:59:10 PM »

Samundar Kinare Udaas Baithe Hue Hai,
Samundar Kinare Tanha Akele Baithe Hue Hai,

Samundar Kinare Aansu Baha Rahe Hai,
Is Tanhayi Mein Akele Aaj Roye Jaa Rahe Hai,

Suraj Ko Samundar Mein Doobta Dekh Ke,
Hum Bhi Apne Aansuon Mein Doobte Jaa Rahe Hai,

Maut Ki Fariyaad Kiye Jaa Rahe Hai,
Hum Kitna Bada Gunaah-E-Kareeba Kiye Jaa Rahe Hai,

Na Jaane Hum Kis Kis Baddua
Apne Sar Liye Jaa Rahe Hai,

Hum Akele Tanha Chalte Jaa Rahe Hai,
Bas Akele Tanha Rote Jaa Rahe Hai,

Har Kaisi Ko Hasate Jaa Rahe Hai,
Bas Apni Bazati Karwa Ke Har Kaisi Ko Khushi Kiye Jaa Rahe Hai,

Shaam Ho Rahi Hai AAMIR Aur
Tera Saaya Bhi Tera Saath Chhode Jaa Rahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1098 on: April 04, 2007, 06:00:05 PM »

Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Apni Jaan Se Jaane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Hijr Ke Gehre Zakham Mile To Mujhko Ye Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Jaan Se Pyaare Logon Se Bhi Kuch Kuch Parde Laazim Hai,
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Khwaabon Mein Bhi Piya Milan Ke Sapne Dekhte Rehte Hai,
Neendon Mein Muskaane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Is Jhoothi Nagri Mein Humne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Pyar Jinhe Ho Jaye Unko Chain Bhala Kab Mil Paata Hai,
Shab Bhar AshQ Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Apni Zaat Se Ujde Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Karte Hai,
Auron Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Uske IshQ Mein Bheeg Ke Humko Ye Ehsaas Hua,
Dilki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1099 on: April 04, 2007, 06:01:16 PM »

Bas Itni Si Inaayat Mujhpe Ek Baar Kijiye,
Kabhi Aake Mere Zakhmon Ka Deedar Kijiye,

Ho Jaiye Begane Aap ShauQ Se Sanam,
Aapki Hoon Aapki Rahungi Aitbaar Kijiye,

Padhne Wale Hi Dar Jayein Dekh Kar Ise,
Kitaab-E-Dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye,

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaun,
Mujhe Meri Wafaon Ka Na Gunehgaar Kijiye,

In Jalte Diyon Ko Dekhkar Na Muskuraiye,
Zara Hawaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye,

Karna Hai IshQ Aapse Karte Rahenge Hum,
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkar, Kijiye,

Phir Sapno Ka Aashiyaan Bana Liya Hai Maine,
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye,

Hamein Na Dikhaiye Ye Daulatein, Ye Shohratein,
Hum Pyaar Ke Bhooke Hai Hamein Pyaar Kijiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1100 on: April 04, 2007, 06:02:13 PM »

Bhigi Palkon Ki Kasam Raat Ki Tanahyi Mein,
Khoon Ke Aansu Rota Hoon Main Teri Judayi Mein,

Teri Aankhein Goya Ek Samundar Hai,
Doobke Mar Jaunga Main Inki Gehrayi Mein,

Kitaab Kholun To Tera Hi Chehra Nazar Aata Hai,
Kya Karun Dil Nahi Lagta Mera Padhayi Mein,

Adalat-E-Pyaar Mein Main Apne Jurm Ka IQraar Karta Hoon,
Sanam Mujhe Kuch Nahi Kehna Apni Safayi Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1101 on: April 04, 2007, 06:03:17 PM »

Wo Ek Lamha,
Jo Meri Ek Bhool Tha,
Aur Wo Shakhs,
Jo Mujhe Har Roop Mein Kabool Tha,
Lekin HaQeeQat Ye Na Thi,
Na Ab Mujhe Wo Kabool Tha,
Kyonke
Usne Jana Mujhko Dhool Tha,
Jo Shakhs Meri Ek Bhool Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1102 on: April 04, 2007, 06:04:52 PM »

Meri Bebasi Par Na Baha Aansu,
Kadar Ab Teri Nahi Aye Aansu,

In Hiron Ka Bhav Koi Ab Kahan Dega,
Teri Kadar Ab Koi Nahi Aye Aansu,

Tu Lahoo Ke Har Boond Me Se Uthta Hai,
Tu Apni Bekadri Na Kar Aye Aansu,

In Anmol Motiyon Ke Ab Koi Kardardaan Nahi,
Tu Apni Bekadri Na Kara Aye Aansu...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1103 on: April 04, 2007, 06:06:14 PM »

Haasil Ho Mujhko Himmat Itni Ke FaQt
Duniya Ko Dikha Dun Apni Shujat Ya Rab,

Ho Mera Naam Bhi Un Naamon Mein Shaamil,
Jo Mohabbat Mein Kar Gaye Hai Uncha Naam Ya Rab,

Tere Hathon Pe Bhi Saje Heena Ka Surkh Rang,
Mere Khoon Mein Bhi Shaamil Ho Rang-E-Hina Ya Rab,

Tujhko Bhi Haasil Ho Uroosa Ka Rutba,
Mujhko Bhi Uska Nosha Bana De Ya Rab,

De TofiQ Itni Tu Dani Ko,
Na Ho Usse Koi Nadani Ya Rab...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1104 on: April 04, 2007, 06:19:50 PM »

Chand Kho Gaya Kahin,
Suraj Ki Kirno Mein,
Dil Hai Mera Akela Jaise,
Tanhayi Ho Mehfil Mein,
Tujhse Door Ho Jaise,
Adhuri Hoon Apni Zindagi Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1105 on: April 04, 2007, 06:22:18 PM »

Mere Likhe Mein Jin Logonko,
Maayusi Dikhayi De,
Thakan Ka, Aarzuon Ki Shikasta Paayi Ka Ehsaas Hota Ho,
Safar Ki Raayegaani Ka,
FiraaQ-E-Zindagi Ka,
Vufoor-E-Dard-O-Gam Ka,
Aansuon Ko AQs Milta Ho,
Jinhe Lagta Ho
Main Iske Siwa Kuch Likh Nahi Sakta,
Unhe Bas Itna Kehna Hai,
Ye Maayusi, Thakan,
Ye Aaruzon Ki Shikasta-Pa Safar Ki Raayegani Ka,
FiraaQ-E-Zindagani, Dard-O-Gam Aur Aansuon Ki Be-Karaani Ka,
Jhalakta Aks Be-Maani,
Nahi Qaayam Kahin Par Bhi Wajood Iska,
Agar Kuch Hai To Bas Padhti Hui Aankhon Ke Pichhe Hai,
Inhi Padhti Hui Aankhon Ke Zehn-O-Dil Ke Neeche Hai,
Kayi Pardon Mein Posheeda,
Wohi Gard-E-Safar, Dard-O-Alam, FurQat, Thakan, Aansu,
Nazar Jinse Milate Inko Shayad Laaj Aati Hai,
Ye Sab Haare Hue Hai,
Lekin Apni Haar Ka Ailaan Karne Mein,
Jhijhakte Hai,
Reya Ki Bediyon Mein Apni Marzi Se MuQayyad Hai,
Mere Likhe Hue Mein Daastanein Dhoondne Wale,
Ye Khud Se Jhooth Keh Kar Chal Ke Sehra Mein Bhatakte Hai,
Samajhte Hai Jise MERA,
Mere Likhe Hue Lafzon Mein Apna AQs Takte Hai,
Mera Kya Hai,
Mera To Kaam Hai Alfaz Ki Baazigari Karna,
Kaho, Itna To Aakhir Maante Ho Na,
Main Shayar Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1106 on: April 04, 2007, 06:23:50 PM »
Mohabbat Mein Humko Na Itna Satao,
Agar Ho Sake To Hamein Bhool Jao,
Jo Hamara Guzre The Din Aur Raatein,
Jo Ki Thi Pyaar Ki Baatein,
Bhool Jao Wo Kissa Na Khud Ko Yaad Dilao,
Agar Ho Saka To Hamein Bhool Jao,
Ye Duniya Hamein Kabhi Na Milne Degi,
Jo Hum Chahte Hai Wo Karne Na Dege,
Na Apna Apna Tum Puchho
Agar Hosake To Hame Bhul Jao,
Khuda Ke Liye Hamein Aazmao,
Agar Ho Sake To Hamein Bhul Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1107 on: April 04, 2007, 06:26:12 PM »

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo,
Aapka Ghar Hai Aaya Karo Jaaya Karo,

Muskurahat Hai Husn Ka Zevar,
Roop Badhta Hai Muskuraya Karo,

Had Se Badh Kar Haseen Lagte Ho,
Jhuthi Kasmein Zaroor Khaya Karo,

Hukum Karna Bhi Ek Sakhawat Hai,
Humko Khidmat Koi Bataya Karo,

Baat Karna Bhi Baadshahat Hai,
Baat Karna Na Bhool Jaya Karo,

Taake Duniya Ki Dilkashi Na Ghate,
Nit Naye Pairahan Mein Aaya Karo,

Kitne Saada Mizaaj Ho Tum Sanam,
Us Gali Mein Bahut Na Jaaya Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1108 on: April 04, 2007, 06:27:59 PM »

Zaalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bahut Thi,
Majboor The Hum Usse Mohabbat Bhi Bahut Thi,

Us Butt Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diya Humne,
Jo Apni Tabiyat Mein Bagawat Bhi Bahut Thi,

Waakif Hi Na Tha Ramz-E-Mohabbat Se Wo Warna,
Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bahut Thi,

Yun Hi Nahi Mashhoor-E-Zamana Mera Qaatil,
Us Shakhs Ko Is Fan Mein Maharat Bhi Bahut Thi,

Kya Daur-E-Gazal Tha Ke Lahoo Dil Mein Bahut Tha,
Aur Dilko Lahoo Karane Ki Fursat Bhi Bahut Thi,

Har Shaam Sunaate The Haseeno Ko Gazal Hum,
Jab Maal Bahut Tha To Sakhawat Bhi Bahut Thi,

Bulawa Ke Hum Unko Pasheman Bhi Bahut Hai,
Kya Kijiye Kambakht Ki Shohrat Bhi Bahut Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1109 on: April 04, 2007, 06:29:44 PM »

Zara Si Baat Pe Har Rasm Tod Aaya Tha,
Dil-E-Tabaah Ne Bhi Kya Mizaaj Paaya Tha,

Maaf Karna Saki Meri Zindagi Mujhko,
Wo Ek Lamha Ki Main Tujhse Tang Aaya Tha,

Shagufta Phool Simat Kar Kali Bane Jaise,
Kuchh Is Tarahse Tune Badan Churaya Tha,

Guzar Gaya Hai Koi Lamha-E-Sharar Ki Tarah,
Abhi To Main Use Pehchan Bhi Na Paaya Tha,

Pata Nahi Ke Mere Baad Unpe Kya Guzri,
Main Chand Khwaab Zamane Mein Chhod Aaya Tha...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 70 71 72 73 [74] 75 76 77 78 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 04:01:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer