Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 72 73 74 75 [76] 77 78 79 80 ... 273
Print
Author  (Read 131527 times)
tanha_kamal
Guest
«Reply #1125 on: April 11, 2007, 09:39:15 AM »
saahil pe baith ke lehar dekhte rahe,
kab badlegi unki nazar dekhte rahe..
sab kehte hain woh humari kismat mein nahin,
hum umar bhar apni duaao ka asar dekhte rahe !!! n/m
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1126 on: April 13, 2007, 05:33:11 PM »
nice one kamal...


Ba Awaz-E-Bulant Ya Sar Basjood,
Sajda Karo Iltija Karo,
Jo Dilse Nikle Tumhare Mere Liye,
Aisi Ek Dua Karo,

Kitni Sadiyan Guzri Is Baat Ko,
Tumhe Milneko Ab Aankhein Tarsi,
Jo Tumse Mujhko Mila Sake Tum,
Aisa Koi Silsila Karo,

Jaiz Hai Us Rishte Ka Tootna,
Jis Mein Milneki Chah Na Ho,
Chahte Ho Gar Paana Mujhko,
To Har Roz Mujhse Mila Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1127 on: April 13, 2007, 05:37:45 PM »

Zindagi Ka Taweel Safar Hai,
Hazaron Gam Hai, Hazaron Dukh Hai,
Kahan Kehkashan Si Rehguzar Hai,
Gam-E-Hasti, Gam-E-Jaana,
Shakastagi Ka Musalsal Toofan,
Chaaron Taraf Jaise,
Khada Hai Wehshat Ka Azdha,
Ruston Mein Jaise MuQaddar Hua,
Narsayon, Namooradiyon Ka Ghana Jangal,
Aur Idhar Hai FaQt,
Ek Sehma Hua Dil,
Magar Jaana! Mujhe Yakeen Hai,
Main Itni Beyakeeniyon Ke Darmiyan Bhi Chamakti Rahungi,
Tumhari Mohabbat Ka Qeemti Jugnu,
Apne Dil Mein Zinda Rkahungi,
Tumhare Naam...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1128 on: April 13, 2007, 06:01:44 PM »

Mujhe Is Zindagi Se Qabal Hi Nashaad Kar Dete,
Abhi Tanha Kiya Hai To Tabhi Barbaad Kar Dete,

Kabhi Tere Dayaar-IshQ Mein Abaad Na Hota,
Dil-E-Mehtaab Ko Aisa Dil-E-Barbaad Kar Dete,

Har Ek Rabt Khatam Aur Saari Aas Bhi Tooti,
Adhoore Khwaab Se Aankhon Ko Bhi Aazaad Kar Dete,

Mujhe Tum Kuch Bhi Kehte Mujhse FaQt Pyaar Na Karte,
Jala Kar Raakh Karte Zindagi Barbaad Kar Dete,

Kiye Waade Nibhate Aur Mujhe Abaad Kar Dete,
Sabhi Waade Jo Tode Mujhe Bhi Barbaad Kar Dete,

Hamein Malum Agar Hota Ke Hona Wasta Gam Se,
To Tum Is Dilki Narmiyonko Folaad Kar Dete,

Agar Sab Kuch Mere Naseeb Ka Likha Nahi Hota,
To Tum Duniya Ko Bhi Is Dilki Tarah Barbaad Kar Dete...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1129 on: April 13, 2007, 06:09:04 PM »

Suni Suni Zindagi Meri,
Mujhse Roothi Hai Har Khushi Meri,
Shukriya Apki Jafaon Ka,
Jinse Zinda Hai Shayri Meri,
Dediya Dilko Ek Gam Taaza,
Chhen Ke Mujhse Har Khushi Meri,
Wo Honge Mere Zaroor Ek Roz,
Rang Laayegi AashiQui Meri...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1130 on: April 13, 2007, 06:13:41 PM »

Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Fayda,

Jab Mere Dil Ki Duniya Basti Nahi,
Phir Khayalon Mein Aane Se Kya Fayda,

Kya Kahoon Aapse Kitni Ummidein Thi,
Aap Kya Badle Duniya Badal Hi Si Gayi,

Aasra Deke Dil Todte Hai Mera,
Phir Aakhir Is Tarah Satane Se Kya Fayda,

Chaar Tinke Jalake Kya Mil Gaya,
Mit Saka Na Zamane Se Mera Nishaan,

Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,
Aashiyane Par Girane Se Kya Fayda...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1131 on: April 14, 2007, 05:48:41 PM »
Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,
Mujhe Ek Mutthi Zameen De, Ye Zameen Kitni Simat Gayi,

Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,
Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,
Jahan Mera Naam Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,

Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,
Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,

Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,
Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1132 on: April 14, 2007, 05:49:39 PM »

Kabhi To Mere Bhi Khwaab Pure Honge,
Kabhi To Mujhe Bhi Laakhon Pyar Karne Wale Honge,

Ye Khwaab Namumkin Hi Sahi,
Par Dil Mein Ek Ummid Hai Ye Khwab Kabhi To Pure Honge,

Ho Aaj Palat Kar Bhi Nahi Dekhta,
Kabhi To Wo Bhi Mujhe Dekhenge,

Jo Mujhse Baat Karna Bhi Pasand Nahi Karte,
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Baat Karenge,

Jo Mujhse Nafrat Karte Hai,
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Pyaar Karenge,

Jo Mujhpar Bharosa Nahi Karte,
Kabhi To Wo Bhi Mujhpar Bharosa Karenge,

Jo Mujhe Gareeb Samajh Kar Thukra Gaye,
Kabhi To Wo Mujhe Dobara Apnayenge,

Dil Kehta Hai,
Kabhi To Mere Khwaab Pure Honge,

Ab To Dil Toot Sa Gaya Hai,
Ab To Lagta Hai Humko Marne Ke Baad Kafan Bhi Naseeb Na Honge,

Socha Na Tha,
Mujhe Itna Nafrat Karne Wale Log Honge,

YaQeen Hi Nahi Aata,
Mujhe Hazaron Log Baddua Denewale Honge,

Jo Socha Bhi Na Tha,
Wo Gunaah Honge,

Mujh Jaise Gunehgaar Ko Bhi,
Kabhi To Khushiya Naseeb Hogi,

Jo Naraz Hogaye,
Kabhi Wo Apni Naarazgi Khatam Karenge,

Jo Mujhe Chhod Gaye Tanha,
Kabhi To Wo Laut Kar Aayenge,

Aye Dost Itna Bura Bhi Nahi,
Bas Tum Hum Ko Samajh Na Sakoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1133 on: April 14, 2007, 05:50:21 PM »

Dosti Ek Aisa Anmol Khazana Hai Jo Har Ek Ko Naseeb Nahi Hota,
Bahut Khushnaseeb Hote Hai Wo Log Jo Is Duniya Me Sachi Dosti Paate Hai,

Aur Usse Bhi Khush Naseeb Hai Wo Log Jinke Paas Ek Bhi Sacha Dost Majood Hai,
Sachi Mohabbat Nayab Aur Sachi Dosti Usse Bhi Zyada Nayab Hai,

Duniya Mein Sirf Ek Dosti Hi Ek Aisi Chiz Hai Jiski Soodmandi Ke Baare Mein Doraye Nahi Hai,
Sachi Dosti Na Hi Hum Khareed Sakte Hai Aur Na Hi Bech Sakte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1134 on: April 14, 2007, 05:51:24 PM »

Seene Mein Dil Hai,
Dil Mein Dard Hai,
Dard Mein Nasha Hai,
Nashe Mein Mithas Hai,
Mithas Mein Maza Hai,
Maze Mein Aarzoo Hai,
Aarzu Mein Masarrat Hai,
Masarrat Mein Ummid Hai,
Ummid Mein YaQeen Hai,
YaQeen Mein Khayal Hai,
Khayal Mein Tasavvur Hai,
Tasavvur Mein Tu Hai,
Tujh Mein Ada Hai,
Ada Mein Haya Hai,
Haya Mein Nazakat Hai,
Nazakat Mein Shokhi Hai,
Shokhi Mein Tohfa Hai,
Tohfe Mein Banawat Hai,
Banawat Mein Apnayat Hai,
Apnayat Mein Chahat Hai,
Chahat Mein Khaloos Hai,
Khaloos Mein Pyaar Hai,
Pyaar Mein Ibaadat Hai,
Ibaadat Mein Khuda Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1135 on: April 14, 2007, 05:54:33 PM »

Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai,
Aankhon Mein Suroor Aa Jaata Hai,
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aa Jaata Hai,

Tum Husn Ki Khud Ek Duniya Ho,
Shayad Ye Tumhe Malum Nahi,
Mehfil Mein Tumhare Aane Se,
Har Chiz Pe Noor Aa Jaata Hai,

Hum Paas Se Tumko Kya Dekhein,
Jab Tum Mukabil Hote Ho,
Betaab Nigahon Ke Aage,
Parda Sa Zaroor Aa Jaata Hai,

Jab Tumse Mohabbat Ki Humne,
Tab Jaake Kahin Ye Raaz Khula,
Marne Ka SaliQa Aata Hi Nahi,
Jeene Ka Shaoor Aa Jaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1136 on: April 14, 2007, 05:55:29 PM »

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi,
Itne Hisson Mein Bant Gaya Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,

Sach Ghate Ya Bade To Sach Na Rahe,
Jhuth Ki Koi Inteha Hi Nahi,
Jad Do Chaandi Mein Chahe Sone Mein,
Aaina Jhuth Bolta Hi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1137 on: April 15, 2007, 05:33:04 PM »

Haadsa Is Tarah Guzarte Hai,
Log Jeete Hai Log Marte Hai,

Kaise Hum Log Hai Aapas Mein,
Dilka Haal Sunane Se Darte Hai,

Jhuth Bole To Sach Lagta Hai,
Aisa Lafzo Mein Rang Bharte Hai,

Mujhpar Kyon Hai Itna Bharosa Rafay,
Chaandni Raath Mainooar Tae Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1138 on: April 15, 2007, 05:34:15 PM »

Main Saahil Pe Likhi Hui Ibaarat Nahi,
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwaab Nahi,
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shamma Nahi,
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Hawa Ka Jhonka Nahi,
Jo Aaya Aur Guzar Gaya,
Main Chand Bhi Nahi,
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon,
Jo Tujh Mein Lahoo Bankar Gardish Kare,
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dil Pe Chade To Kabhi Na Mite,
Main Wo Geet Hoon,
Jo Tere Labon Se Juda Na Hoga,
Main To Wo Parwana Hoon,
Jo Jalta Arhega Magar Fanaa Na Hoga,
Khwaab Ibaarat Hawa Ki Tarah,
Chaand, Boond, Shamma Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawaal Nahi,
Kyon Ke Main To Mohabbat Hoon,
Aur Mohabbat Ko Koi Zawaal Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1139 on: April 15, 2007, 05:37:08 PM »

Aayina Toot Jaye,
Bikhar Jata Hai Har Chehra,
Magar Jab Tootta Hai Dil,
To Hoti Hai Badi Mushkil,
Na Milta Hai Majhdhaar Usko,
Na Milta Hai Use Saahil,
Zindagi Darbadar Ki,
Kasauti Zindagi Ki...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 72 73 74 75 [76] 77 78 79 80 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 05:35:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer