Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 73 74 75 76 [77] 78 79 80 81 ... 273
Print
Author  (Read 133026 times)
angel4u
Guest
«Reply #1140 on: April 15, 2007, 05:38:33 PM »

Thake Maande Bahut Ho,
Safar Ki Dhool Se Palkein Aati Hai,
Thakan Se Choor Khamoshi Mein Sehra Gunjte Hai,
Tum Ab Ki Baar Kitni Derse Palte,
Gaye The Jab To Kaliyan Jagne Ko Thi,
Kabhi Shaakhon Pe Halka Sa Boor Aaya Tha,
Phir Uske Baad Patjhad Thi,
Bahut Se Chaand Bujhne Tak Swad-E-Hijr Phaila Tha,
Mujhe Malum Hai Pindaar Ke Qaid Khane Mein,
Tumhara Dam Ulajhta Hai,
Tumhari Khoj Ka Sarkash Samundar,
Roz-O-Shab Ke Tinginaye Mein Atakta Hai,
To Tum To Rusta-E-Sahil Dhoondne Bahar Nikalte Ho,
Main Aisi Hijraton Ke Qarb Se WaQif Rahi Hoon,
Jazeerah Dar Jazeerah Phailti La Hasile Mere Bhi Qadmon Mein Rachi Hai,
Har Ek Saahil Pe Bhi Kal Justuju Ka Ek Naya Sahil Bulata Hai,
Magar Phir Nazar Aati HaQeeQat Se HaQeeQat Tak,
Badan Ke Wehmon Se Ek Na Deedah Khuda Tak,
Zindagi Ki Asal Ko Kisne Chhua Hai,
Koi Kab Naap Paya Fasla Jismon Se Jismon Ka,
Azal Se Oonghti Roohon Se Roohon Ka,
Khabar Tak Ho Nahi Paati,
Kahan? Kaise?
Hamari Jagti Aankhon Ki Duniya Se Khayalon Tak,
Phisalte Manzaron Ki Bastiya Basti Ujadti Hai,
Har Ek Manzar Shinasayi Mein Dhalne Se Bahut Pehle,
Fana Ki Ghataiyon Mein Jaa Utarta Hai,
Yahan Har Shay Gurezan Hai,
Takhayyul 'Aankh' 'Khushbu'
Lims Ki Gul Rang Sa'at Tak Guzarein Hai,
Khala Jaise Jazeeron Se Safar Wapis Palatne Ka,
Teh Gerdaab Hote Hai,
So Main Chokhat Pe Aankhon Ke Diye Rakhe,
Tumhari Raah Takti Hoon,
Ke Tum Lambe Safar Se Khasta Jaan Aao,
To Dastak Ki Aziyat Se To Bach Jao,
Idhar Baitho,
Yahan Aangan Mein Phaili Bel Ke Saye Mein Dam Le Lo,
Yahan Se Aasman Dekho,
Khuda-E-Lam Yazal Ki Is Zameen Par,
Hum Kisi Bhi Ant Ko Chhu Lein,
Ye Do Qadmon Tale Phaili Zameen,
Aankh Bhar Ka Aasman Hi Apna Wirsah Hai,
Hamari Zindagi Sab Ibadaton Ki Intihaaon Mein
Unhi Do MantaQon Mein Qaid Rehti Hai,
So Tum Agli Musafet Tak,
Yahin Par
Apne Hisse Ki Zameen Mein Phool Bo Dekho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1141 on: April 15, 2007, 05:39:59 PM »

Mera Wajood

Mera Wajood Hai,
Azeeyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehan Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi,
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam,
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Bad Masti Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala,
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phatta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehad" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baghbaan Uski Rooh Ko,
Baksh De Har Khata Uski,
Razi Ho Jaa Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Mein De Jaga,
Apne Reham Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunahgaar Ki Ye Iltija "Gar Manzoor" Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1142 on: April 16, 2007, 05:17:50 PM »

Ana Pe Chot Pade Bhi To Kaun Dekhta Hai,
Dhuan Sa Dil Se Uthe Bhi To Kaun Dekhta Hai,

Mere Liye Kabhi Matti Pe Sardiyon Ki Hawa,
Tumhara Naam Likhe Bhi To Kaun Dekhta Hai,

Ujjad Ghar Ke Kisi Be-Sada Dareeche Mein,
Koi Charag Jale Bhi To Kaun Dekhta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1143 on: April 16, 2007, 05:22:11 PM »

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi Roye The,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa,

Phir Yun Hua Ke Sawan Aankhon Mein Aa Base The,
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aabla Sa,

Ab Sach Kahein To Yaaron Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat Ek WaQiya Zara Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ke,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Hum Dasht The Ke Dariya Hum Zeher The Ke Amrat,
NahaQ Tha Zo'am Hum Jab Wo Nahi Tha Pyaasa,

Humne Bhi Usko Dekha Kal Shaam IttefaQan,
Apni Bhi Haal Hai Ab Logon Faraz Ka Sa...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1144 on: April 16, 2007, 05:25:26 PM »


Jaane Kis Zo'am Mein MaQtal Ko Sajaye Tum Ho,
Mujhko Kya Qatl Karoge Mere Saaye Tum Ho,

Mera Pindaar Badha Hai Isi Mayyar Ke Saath,
Jis Raoonat Se Mujhe Daar Pe Laaye Tum Ho,

Is Khujalat Ke Tabassum Se Ayyan Hai Yaaron,
Aasteeno Mein Wo Khanjar Chhupaye Tum Ho,

Dost Ka Lutf To Ehsaan Hai Jab Ho Jaye,
Meherbaan Phir Bhi Badi Der Mein Aaye Tum Ho,

Dast Basta-O-Kamer Basta-O-Lab Basta Hi Sahi,
Ispe Khush Ho Ke Darbar Mein Aaye Tum Ho,

Haaye Wo Subah-E-Tamanna Ke Na Dekhoge Faraz,
Haaye In Shaamon Ki Qismat Ke Jalaye Tum Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1145 on: April 16, 2007, 05:31:20 PM »

Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara,
Wo To Koi Dariya Le Aaya Dariya Bhi Sailab Bhara,

Sochta Tha Gam Ko Gam Kaate Zeher Ka Zeher Bane TeriyaQ,
Ab Dil Abla Abla Hai Aur Shisha Shisha Jaan Zeher,

Tum Aa Jate To Us Raat Ki Umar Bhi Lambi Ho Jaati,
Abhi Tha Deewaron Par Sabzah Abhi Tha Sehen Gulaab Bhara,

Jaane Hijr Ki Raat Ke Wasl Ki Raat Guzaar Ke Aaye,
Aankhein Neendon Neend Bhari Hai Jism Hai Khwabon Khwaab Bhara...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1146 on: April 16, 2007, 05:34:49 PM »

Kahan Kho Gayi Meri Khushiyan,
Kahan Mit Gayi Meri Hasti,
Kahan Bikhar Gaye Mere Khwaab,
Kahan Dubi Meri Saahil Ki Kashti,
Kahan Reh Gaya Wo Meri Kashti Ka Maanjhi,
Kahan Par Tah Kinara-E-Saahil,
Kahan Gayi Meri Muskurahat,
Kahan Hui Meri Aankhein Pathar Ka Sehra,
Kahan Pe Luti Meri Khalus Ki Keemat,
Kahan Toote Mere Ahdo Payman,
Kahan Bichhdi Meri Mohabbat Ki Raahein,
Kahan Tooti Meri Saanson Ki Dori,
Kahan Uski Barat Saji,
Kahan Mera Janaza Utha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1147 on: April 16, 2007, 05:37:49 PM »

Dilne Jiska Naam Liya Uska Daaman Thaam Liya,
Jab Jab Dard Utha Hai Dil Mein Maine To Tera Naam Liya,

Is Bhari Duniya Mein Koi Bhi Hamara Na Hua,
Gair To Gair Teh Apno Ka Bhi Sahara Na Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1148 on: April 16, 2007, 05:40:16 PM »

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyon Hai,
Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hai,

Main Jugnu Hoon, Diya Hoon Na Koi Taara Hoon,
Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hai,

Neend Se Mera Talluk Hi Nahi Barson Se,
Khwaab Aa Aa Kar Meri Chhat Pe Tahelte Kyon Hai,

Mod Hota Hai Jawani Ke Sambhalne Ke Liye,
Aur Sab Log Yahan Aa Ke Phisalte Kyon Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1149 on: April 16, 2007, 05:43:29 PM »

Pyaar Karne Ke Liye Izhaar Bhi Karna Hota Hai,
Kaanpte Hothonse IQraar Bhi Karna Hota Hai,

Mile IshQ Mein Dhoka Chahe Har Baar Musalsal,
Par Is Khel Mein Ha Rbaar Aitbaar Bhi Karna Hota Hai,

Toot Kar Bikhar Jaate Hai Kabhi IshQ Ki Raahon Mein,
To Kabhi Aankhon Ko Raaton Mein AshQbaar Bhi Karna Hota Hai,

Jo Bhool Jaye Tumhe Tum Use Bhool Nahi Sakte,
Phir Uska Har Lamha Har Ghadi Intezar Bhi Karna Hota Hai,

Hamein Baitha Kar Apni Raahon Mein Kya Ye Bhool Gaye Ho Tum,
Jisse Pyaar Nahi Hota Unhe IQraar Bhi Karna Hota Hai,

Badnaam Bhi Hona Hota Hai Is IshQ Ki Raahon Mein,
Phir Bhi Chupke Chupke Iska Deedar Bhi Karna Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1150 on: April 16, 2007, 05:48:35 PM »

Kahin Baarish Baras Jaaye,
Kahin Dariya Taras Jaaye,
Kahin Aa Kar Ghata Thehre,
Tumhare Aur Mere Darmiyaan,
Aa Kar Khuda Thehre,
To.......
Us Lamhe Mere Jeevan Mein,
Tum Khuda Ke Baad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1151 on: April 16, 2007, 05:53:05 PM »

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,

Juday Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana,

Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Qadam Phir Meri Taraf, Chale Aana,

Had Se Guzar Jaye Jab Mera Zabt-E-Ghum,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana,

Tumhare Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Dost,
Meri Maut Ka Gar Tumko Mile Payaam, Chale Aana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1152 on: April 16, 2007, 05:55:23 PM »

Ye Pal,
Ye Khamohsi,
Ye Khayal,
Ye Tumhara Intezaar,
Ye Ruki Ruki Baatein,
Ye Thodi Thodi Chahatein,
Ye Majboori,
Ye Doori,
Ye Dillagi,
Ye Dilkashi,
Ye Deewanapan,
Ye Akelepan,
Ye Sochna,
Ye Samajhna,
Ye Dekhna,
Ye Chehre Ka Sharma Jaana,
Ye Aankhon Ka Bhar Jaana,
Ye Mausam Ka Cahla Jana,
Ye Dhadkano Ka Ruk Jana,
Ye Baaton Ka Badal Jana,
Ye Sanson Ka Theher Jaana,
Ye Thama Hua Samaan,
Ye Sara Sansaar,
Ye Tumhari Saans,
Ye Mera Ehsaas,
Kaash Tum Yahan Hote,
Mere Nahi To Mere Liye Kuch To Hote,
Aur Ab
Ye Khamoshi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1153 on: April 16, 2007, 05:58:04 PM »

Jab Chand Tumse Sawal Kare,
Tum Nazrein Usse Chura Lena,
Aur Shaam Apni Baahon Mein Le,
To Aankh Mein Nami Ko Chhupa Lena,

Jab Yaadein Tumko Tadpaye,
Tum Yaadon Ka Diya Bujha Dena,
Jab Mohabbat Tumse Apnapan Maange,
Khwahishon Se Apna Daaman Chhuda Lena,

Jab Kuch Bhi Tum Na Kar Pao,
Bas Ek Kaam Kar Dena,
Tum Mujhko Bhual Dena,
Haan Tum Sirf Mujhko Bhula Dena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1154 on: April 16, 2007, 06:00:20 PM »

Wo Kya De Kisiko Dua Zindagi Ki,
Jise Mil Rahi Ho Saza Zindagi Ki,

Ke Sun Kar Jise Nam Na Ho Meri Aankhein,
Koi Baat Aisi Bata Zindagi Ki,

Khair, Aaj Wo Shakhs Bhi Mar Gaya Hai,
Jo Karta Tha Sada Baatein Zindagi Ki...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 73 74 75 76 [77] 78 79 80 81 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 09:05:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer