Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 74 75 76 77 [78] 79 80 81 82 ... 273
Print
Author  (Read 133027 times)
angel4u
Guest
«Reply #1155 on: April 16, 2007, 06:02:22 PM »

Main Mohabbat Hoon Mujhe Pyaar Karke Dekh,
Main Mohabbat Na Doon To Kehna,
Main Keetab Hoon Mujhe Padh Kar Dekh,
Main Samajh Na Aaun To Kehna,
Main Muskurahat Hoon Mujhe Has Kar Dekh,
Main Na Sajoon Tere Honthon Par Tu Kehna,
Main Khushbu Hoon Mujhe Mehsoos Karke Dekh,
Na Mehkun Teri Zindagi Mein To Kehna,
Main Zindagi Hoon Mujhe Apna Kar Ke Dekh,
Na Banu Tera To Kehna,
Main Chahat Hoon Mujhe Seene Se Laga Kar Dekh,
Na Lagun Seene Se To Kehna,
Main Dil Hoon Mujhe Sun Kar Dekh,
Na Dhadkun Tere Dil Mein To Kehna,
Main Saans Hoon Mujh Mein Mehek Kar Dekh,
Na Tere Sang Mehkun To Kehna,
Main Raah Hoon Mujh Par Chal Kar Dekh,
Na Teri Raah Ban Kar Chalun To Kehna,
Main Manzil Hoon Mujh Par Aa Kar Dekh,
Na Teri Manzil Banu To Kehna,
Main Baadal Hoon Mujh Mein Hall Ho Kar Dekh,
Baras Kar Jal Thal Na Kar Dun To Kehna,
Main Shamma Hoon Mere Paas Aa Kar Dekh,
Na Roshni Dun To Kehna,
Main Kali Hoon Mujhe Chhu Kar Dekh,
Na Phool Dun To Kehna,
Main Phool Hoon Mujhe Laga Kar Dekh,
Na Mehkun Din Raat To Kehna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1156 on: April 16, 2007, 06:04:10 PM »

Apne Ehsaasaat Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do,
Main Kayi Sadiyon Se Adhura Hoon Mukammal Kar Do,

Na Tumhe Hosh Rahe Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Mujhe Pagal Kar Do,

Tum Hatheli Ko Mere Pyaar Ki Mehandi Se Rango,
Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do,

Iske Saye Mein Mere Khwaab Dahek Uthenge,
Mere Chehre Pe Chamakta Hua Aanchal Kar Do,

Dhoop Hi Dhoop Mein Toot Ke Barso Mujhpar,
Is Qadar Barso Meri Rooh Mein Jalthal Kar Do,

Jaise Sehraon Mein Har WaQt Shaam Hawa Chalti Hai,
Is Tarah Mujh Mein Cahlo Aur Mujhe Thal Kar Do,

Tum Chhupa Lo Mera Dil Apne Dil Mein,
Aur Mujhe Meri Nigahon Se Bhi Ojhal Kar Do,

Masla Hoon To Nigahien Na Churao Mujhse,
Apni Chahat Ke Tawajjo Se Mujhe Hal Kar Do,

Apne Gam Se Kaho Har WaQt Mere Sath Rahe,
Ek Ehsan Karo Isko Musalsal Kar Do,

Mujhpe Chha Jao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,
Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jangal Kar Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1157 on: April 16, 2007, 06:08:44 PM »

Hum Gunehgaar Hai, Humko Saza De Do,
Maut Aa Jaye Bas Itni Si Dua De Do,

Khushi Ki Aarzu Mein Gam Zindagi Mein Aagaya,
Mere Apne Hi Aaj Mere Dilko Dukha Gaya,

Mera Mehboob Mujhko Khushi Se Saza De Gaya,
Haath Thaam Kar Mera Kisi Aur Ka Saath De Gaya,

Humne Wafa Ki Tujhse Itna Sila Paya Hai,
Dil Zakhmi Hogaya Hai Rona Bhi Aaj Aaya Hai,

Humko Mohabbat Par Aitbaar Na Raha,
Tere Baad Dil Ko Kisise Pyaar Na Raha,

Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho,
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge,
Na Jaane Mujhe Kyon YaQeen Ho Chala Hai,
Meri Yaad Ko Tum Mita Na Sakoge...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1158 on: April 16, 2007, 06:34:01 PM »
Bohat khoob Angel...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1159 on: April 16, 2007, 07:08:55 PM »
bahoot khoob angle

Na suni jo humari tune
Ajj kayun humko bahati ho
Karati ho apni manmaani
Phir humare pass atti ho

Ashaq hai tere, jo chahe kar
Baste hai tujhmain, humko juda na kar
Nahi samjha inko, issi liye ajj thokar khaye hai
Mujh per mere ashaq bhi muskuraye hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1160 on: April 16, 2007, 08:19:34 PM »
Good One Pooja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1161 on: April 17, 2007, 05:14:40 PM »
Thanks aryaan, pooja didi Usual Smile
bahut khoob likha hia pooja didi Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1162 on: April 17, 2007, 05:28:50 PM »
Hum Kaun Hai,
Hum Afsos Pahente Hai,
Dukh Jaman Karte Hai,
Khushiyan Bech Dete Hai,
Bhuk Hamare Ghar Ki Sajawat Hai,
Khauf Hamare Bistar Pe Befikri Se Sota Hai,
Bekasi Muskura Ke Hamara IstaQbaal Karti Hai,
Bimari Se Hum Raaz-O-Niyaaz Ki Guftugu Karte Hai,
Berozgari Hamara Pasandeeda Khel Hai,
Ilm Hamara Badtareen Dushman Hai,
Hamein Phoolon Ki Khushbu Se Sakht Nafrat Hai,
Hamari Aawazon Mukrooh Qarar De Ja Chuki Hai,
Hamari Aankhein Kisi Buri Tawife Ki Tarah Veeran Hai,
Hamari Zindagi Ke Kashkool Mein Surkh Hai,
Maut Humse Darti Hai,
Nazhab Gandi Nali Mein Mooh Dhota Raha,
Hum Apne Bachhonko Aane Wale Achhe Sinon Ki Ghutti Pilate Hai,
Hamari Zuban Sirf Ek Jumla Bolte Hai,
Hum Kaun Hai, Hum Kaun Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1163 on: April 17, 2007, 05:32:46 PM »

Dekhe Jo Khwaab Un Sab Ki Tabeer Chahiye,
Is Ke Liye Ek Ladki Chahiye,

Apni Saanson Ko Mehkana Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Khushbu Chahiye,

TareeQh Raaton Mein Bekarar Hona Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Raaton Ko Jagna Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Apna Naam Bhool Dena Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Apne Aap Ko Sanwarna Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Use Apni Zindagi Banana Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Use Apni ShareeQ-E-Hayat Banana Chahta Hoon,
Iske Liye Uski Yaadein Chahiye,

Is Ektarfa Mohabbat Ke Sahare Jee Rahe Hai,
Jeena Nahi Chahte Bas Jee Rahe Hai,
Ke Aye Shazil Har Dafa Maut Aati Hai Wapis Chali Jaati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1164 on: April 17, 2007, 05:36:46 PM »

Jise Main Apne Dilke Kareeb Mehsoos Karta Hoon,
Ek Pal Mein Wo Ajnabi Ban Jaata Hai,
Apni Saari Baatein Saare Wade
Ek Hi Pal Mein Bhool Jaata Hai,
Sadiyan Lagi Jis TalluQ Ko Banane Mein,
Use Todne Mein Ek Hi Pal Wo Lagata Hai,
Main Apne Pya Rke Sare Kirdar Nibhaunga,
Wo Kehta Hai Aur Phir Bhool Jaata Hai,
Main Kaise Maan Lun Ke Main Uske Dil Mein Hoon,
Wo To Meri Dhadkano Ko Rokne Mein Ek Pal Lagata Hai,
Wo Bhi To Udaas Hoga Mere Bagair,

Mera Ek Ek Aansu Har Pal Ye Kehta Hai,
Tera Hai Tera Hai Bas Tera Hai,
Mera Dil Yehi Geet Har Pal Gaata Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1165 on: April 17, 2007, 05:39:02 PM »
Nice Angle
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1166 on: April 18, 2007, 05:40:00 PM »

Tum Tajjub Na Karna,
Jab Kabhi Sar-E-Raah
Tumhe Koi Rooh,
Roti Hui,
Sisakti Hui,
Sadayein Deti Hui,
Baatein Karti Hui,
Nazar Aaye,
Bas Pal Bhar Mein Itna Jaan Lena,
Ke Tere Wasl Ki Khwahish Ne Meri Rooh Ko,
Is MuQaam Par Laa Khada Kiya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1167 on: April 18, 2007, 05:42:26 PM »

Jab Se Hum Tabah Ho Gaye,
Tum Jahan Panaah Ho Gaye,

Husn Par Nikhaar Aa Gaya,
Aayine Siyaah Ho Gaye,

Aandhiyon Ko Kuch Pata Nahi,
Hum Bhi Gard-E-Raah Ho Gaye,

Dushmano Ko Chitthiyan Likho,
Dost Khair-Khwaah Ho Gaye...
* * * * *
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #1168 on: April 18, 2007, 07:34:08 PM »
gud ones angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1169 on: April 19, 2007, 05:34:09 PM »
Thanks kamal Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 74 75 76 77 [78] 79 80 81 82 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 09:46:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer