Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 75 76 77 78 [79] 80 81 82 83 ... 273
Print
Author  (Read 133031 times)
Aryaan
Guest
«Reply #1170 on: April 20, 2007, 12:40:03 AM »
Bohat khoob Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1171 on: April 20, 2007, 05:51:45 PM »
Thanks a lot aryaan Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1172 on: April 20, 2007, 05:54:38 PM »

Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ye Kiasa Bachpan Qudratne Rakha Hai,
Ke Jitni Purnai Bhi
Jitni Mazboot Hogaye,
Isse Tayied-E-Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab TaQraar Ki Khu Hai,
Ke Ye IQraar Ke Lafzon Ko Sunne Ke Se Nahi Thakti,
Bichhadne Ki Ghadi Ho Ya Milneki Saa-Aat Ho,
Isse Bas Ek Hi Dhun Hai,
Kaho! Mujhse Mohabbat Hai
Kaho! Mujhse Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1173 on: April 20, 2007, 05:55:49 PM »

Jo Meri Aankhon Se Khwaab Dekho,
To Ek Shab Bhi Na So Sakoge,
To Laakh Chahoge Na Hans Sakoge,
Laakh Chaho Na Ro Sakoge,
Kayi Khwab Hai Kayi Azab Hai Ye,
Mere Dukho Ki Kitaab Hai Ye,
Gamon Ki Bandish Hai Khwab Mere,
Dukho Ki Barish Hai Khwab Mere,
Khayal Sarai Jalas Gaye Hai,
Salakti Khwahish Hai Khwaab Mere,
Jo Meri Aankhonse Khwab Dekho
To Ek Shab Na So Sakoge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1174 on: April 20, 2007, 05:57:21 PM »

WarQ Dilke Zara Kholo To Nazar Aayega,
Dard Ko Sheron Ke Lehje Mein Piro Rakha Hai,

Maine Paane Ko Mustakbil Hazar Khwaab Bune,
Ab Ise Paane Ko Darkaar Mujhe Neend Nahi,

Taare Chhune Ki Tumhe Kaisi Zaroorat Hai,
Ab To Khud "Badr" Tumhari Gali Mein Aata Hai,

Jigar Farhaad Jaisa Hai To Jazba Kais Ka Bhi Lo,
Zamana Sang Maare Laakh Ye Sheesha Toot Na Paaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1175 on: April 20, 2007, 05:58:07 PM »

Ab Mohabbt Mein Koi Lafz Daga Na Hogi,
Mujhko Darbaar-E-Ilaahi Se Sada Aayi Hai,

Ab Mujhe Chaand Ya Suraj Ki Zaroorat Nahi Hai,
Mujhko Mehboob Ki Zulfon Ka Andhera De Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1176 on: April 20, 2007, 06:02:11 PM »

Akela Kamra,
Jahan Khamoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera,
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera,
Ajab Khamoshi, Ajab Andhera,
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha,
Wo Ek Ladka,
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Tamaam Kamra, Tamaam Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai,
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe Aazmaya,
Jo Ek Parda,
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha,
Usne
Bas Ekdam Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara,
Use Laga Ke
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai,
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha,
Use Laga Ke
Us Ek Paudhe Ne
Apni Shaakhon Ko,
Uski Jaanib Badha Diya Hai,
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega,
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat,
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi,
Kamre Mein Chal Raha Hai,
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi,
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana,
To Uski Dharas Bandhi Zara Si,
Magar Ye Kya Ke,
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha,
Wo Bekhabar Tha,
Ke Aaj Uska,
Ye Khauf Saara,
To Uske Wehmon Ki Dastan Hai,
Andhera Kamra,
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar,
Talism Shab Ka Urooj Par Tha,
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya,
Bil-Aakhir Aaya,
Payaam Subah Ki Roshni Ka,
Ke Raat Bhar Ki
Tamaam Baaton Ko Yaad Karke,
Ab Usne Kamre Ko Phir Se Dekha,
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha,
Ke Thoda Thoda,
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara Naadim Sa Ho Raha Tha,
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat Kamre Mein Kya Hua Tha,
Wo Kya Dikhata,
Ke Ab To Kamra Bhi Raat Jaisa,
Nahi Raha Tha,
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha,
Badi Khamoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne Kamre Se
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1177 on: April 20, 2007, 06:07:53 PM »

Akela Kamra,
Jahan Khamoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera,
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera,
Ajab Khamoshi, Ajab Andhera,
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha,
Wo Ek Ladka,
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Tamaam Kamra, Tamaam Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai,
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe Aazmaya,
Jo Ek Parda,
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha,
Usne
Bas Ekdam Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara,
Use Laga Ke
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai,
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha,
Use Laga Ke
Us Ek Paudhe Ne
Apni Shaakhon Ko,
Uski Jaanib Badha Diya Hai,
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega,
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat,
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi,
Kamre Mein Chal Raha Hai,
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi,
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana,
To Uski Dharas Bandhi Zara Si,
Magar Ye Kya Ke,
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha,
Wo Bekhabar Tha,
Ke Aaj Uska,
Ye Khauf Saara,
To Uske Wehmon Ki Dastan Hai,
Andhera Kamra,
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar,
Talism Shab Ka Urooj Par Tha,
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya,
Bil-Aakhir Aaya,
Payaam Subah Ki Roshni Ka,
Ke Raat Bhar Ki
Tamaam Baaton Ko Yaad Karke,
Ab Usne Kamre Ko Phir Se Dekha,
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha,
Ke Thoda Thoda,
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara Naadim Sa Ho Raha Tha,
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat Kamre Mein Kya Hua Tha,
Wo Kya Dikhata,
Ke Ab To Kamra Bhi Raat Jaisa,
Nahi Raha Tha,
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha,
Badi Khamoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne Kamre Se
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1178 on: April 20, 2007, 06:07:53 PM »

Akela Kamra,
Jahan Khamoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera,
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera,
Ajab Khamoshi, Ajab Andhera,
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha,
Wo Ek Ladka,
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Tamaam Kamra, Tamaam Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai,
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe Aazmaya,
Jo Ek Parda,
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha,
Usne
Bas Ekdam Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara,
Use Laga Ke
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai,
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha,
Use Laga Ke
Us Ek Paudhe Ne
Apni Shaakhon Ko,
Uski Jaanib Badha Diya Hai,
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega,
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat,
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi,
Kamre Mein Chal Raha Hai,
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi,
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana,
To Uski Dharas Bandhi Zara Si,
Magar Ye Kya Ke,
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha,
Wo Bekhabar Tha,
Ke Aaj Uska,
Ye Khauf Saara,
To Uske Wehmon Ki Dastan Hai,
Andhera Kamra,
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar,
Talism Shab Ka Urooj Par Tha,
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya,
Bil-Aakhir Aaya,
Payaam Subah Ki Roshni Ka,
Ke Raat Bhar Ki
Tamaam Baaton Ko Yaad Karke,
Ab Usne Kamre Ko Phir Se Dekha,
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha,
Ke Thoda Thoda,
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara Naadim Sa Ho Raha Tha,
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat Kamre Mein Kya Hua Tha,
Wo Kya Dikhata,
Ke Ab To Kamra Bhi Raat Jaisa,
Nahi Raha Tha,
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha,
Badi Khamoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne Kamre Se
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1179 on: April 20, 2007, 06:10:30 PM »

Ansar-E-SidQ O Wafa Uski Mohabbat Mein Na Tha,
Wo Jo Dikhta Tha Meri Jaan Wo HaQeeQat Mein Na Tha,

Roz Hota Tha Har Ek Rukh Pe Dil-O-Jaan Se Fida,
Ek Dilbar Se Nibhana Bhi To Fitrat Mein Na Tha,

Subah Shereen Ke Liye, Shaam Thi Laila Ke Liye,
Aur Shab Mein Bhi Kisi Ek Ki Sohbat Mein Na Tha,

Zehen Pe Chhaya Tha Lamhon Ke Maraasim Ka Nasha,
Sochta Kya, Wo Had-E-Fehm-O-Faraasat Mein Na Tha,

Maine Zamil Ki HaQeeQat Ko Ayaan Kar To Diya,
Par Use Raah Pe Lana Meri Kismat Mein Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1180 on: April 20, 2007, 06:14:42 PM »

Tum Chhod Gaye Is Sheher Mein Phir Jee Humse To Behlaya Na Gaya,
Ye Sheher Baharein Bhul Gayi, Meenh Abr Se Barsaya Na Gaya,

Wo Zakhm Lagate, Hum Khate, Aakhir Ko Qaza Ne Aa Pakda,
Humne Hi Haya Se Jaan De Di Par Unse To Sharmaya Na Gaya,

Ansu Tha Ya Koi Khwab Tha Wo, Kankar Tha Ya Phir Angara Tha,
Kuch Itna Zyada Chubhne Laga Phir Aankh Mein Thehraya Na Gaya,

Jo Saans Bhi Li To Aah Bhari, Kuch Bole To Tera Naam Liya,
Hum Laakh Kahein Hum Bhul Chuke Par Yaad Ka Sarmaya Na Gaya,

Tab Jaana Hum WaaQif Hi Nahi Nagmaat-O-Adab Ki Abjad Se,
Jab Sher Koi Hum Likh Na Sake Jab Geet Koi Gaya Na Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1181 on: April 20, 2007, 06:16:43 PM »

Sab Ko Dilke Daag Dikhaye Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake,
Tera Daaman Door Nahi Tha, Haath Hamin Phaila Na Sake,

Tu Aye Dost Kahan Le Aaya Chehra Ye Khursheed Jamal,
Seene Mein Abad Karenge Aankhon Mein To Sama Na Sake,

Na Tujhse Kuch Humko Nisbat, Na Tujhko Kuch Humse Kaam,
Humko Ye Malum Tha Lekin Dilko Ye Samjha Na Sake,

Ab Tujhse Kis Muh Se Lekin Dein Saat Samundar Paar Na Ja,
Pech Ki Ek Deewar Bhi Hum To Phand Na Paaye Dha Na Sake,

Man Paapki Ki Ujdi Kheti Sukhi Ki Sukhi Hi Rahi,
Umde Badal, Garje Badal, Boondein Do Barsa Na Sake...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1182 on: April 20, 2007, 06:18:32 PM »

Kahin Aah Banke Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaye,
Tujhe Bewafa Kahun Main Wo MaQaam Aa Na Jaye,

Zara Zulf Ko Sambhalo Mera Dil Dhadak Raha Hai,
Koi Aur Tair-E-Dil Tah-E-Daam Aa Na Jaye,

Jise Sunke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil,
Teri Anjuman Se Mujhko Wo Payaam Aa Na Jaye,

Wo Ke Manzilon Pe La Kar Kisi Humsafar Ko Lootein,
Inhi Reh Zanon Mein Tera Kahin Naam Aa Na Jaye,

Ye Mah-O-Najoom Hans Lein Mere Aansuon Pe,
Mera Mehtaab Jab Tak Lab-E-Baam Aa Na Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1183 on: April 20, 2007, 06:19:50 PM »

Naam Likh Likh Kar Mera Usko Mitate Kyon Ho,
Jal Kar Main Khaak Hua Khaak Udate Kyon Ho,

Baat Karna Bhi Nahi Mujhse Jo Ganwara Tumhe,
Phir Mere Waaste Yun AshQ Bahate Kyon Ho,

Jab Ke Is Tark-E-TalluQ Ka Nahi Kuch Mafhoom,
Paas Aa Aa Kar Mujhe Roz Satate Kyon Ho,

Chhod Kar Mujhko Akela Jo Chale Jaana Tha,
Meri Tanhayi Ke Lamhon Ko Sajate Kyon Ho,

Meri Chahat Ko Jahan Bhar Mein Yun Karke Badnaam,
Mujhko Duniya Ki Nigahonse Girate Kyon Ho,

Ranj-O-Alam Masaa'ib Ke Tahaa'if De Kar,
Rasm-E-Ulfat Ke Liye Haath Badhate Kyon Ho,

Toot Jayega Mere Zabt Ka Pushta,
Phaink Kar Mujhko Bulandi Se Uthate Kyon Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1184 on: April 20, 2007, 06:25:31 PM »

Pyaar Karne Ki Hum Mein Hasrat Na Thi,
Dil Lagate Magar Dil Mein Chahat Na Thi,

Humko Apna Banane Ke Liye Log The,
Apna Kehne Ki Hum Mein Aadat Na Thi,

Jab Kabhi Dastak Deti Thi Koi Khushi,
Usse Milneki Hamein Fursat Na Thi,

Wo Shikwa Karke Hogaya Humse Phir Khafa,
Ke Adaon Mein Hamari Koi Nazakat Na Thi,

Tu Gar Zid Par Utar Aaye Bhi To Hamein Isse Kya,
Hum Mein Tujh Si Aisi Koi HimaQat Na Thi,

Teri Saazish Mein Koi Jang Ho Bhi Agar,
Hamari Barabari Jaisi Koi Bagawat Na Thi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 75 76 77 78 [79] 80 81 82 83 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 10:49:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer