Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 76 77 78 79 [80] 81 82 83 84 ... 273
Print
Author  (Read 133029 times)
angel4u
Guest
«Reply #1185 on: April 20, 2007, 06:26:45 PM »

Shayad
Kuch Rishton Ka Haasil Dukh Hua Karta Hai,
To Phir
Kyon Tum Unko Ilzaam Dete Ho,
Jinhone Zindagi Se,
Kabhi Mohabbat Karna Nahi Sikha
Haan!!!!
Unka Kya Kasoor Is Mein,
Jab Wo Is Jazbe Ko Mehsoos Karne Ka Hunar Nahi Rakhte,
Kyon Karte Ho Aise Logon Se Tum Pyaar
Jinko Zindagi Mohabbat Ka
Rukh Nahi Dikhati,
To Phir
Kyon Nahi Chhod Dete
Kyon Nahi Azad Karte Tum Unko
In Andekhi Bandishon Se,
Shayad Ye Bhi
Tumhare Pyaar Karne Ka Ek TareeQa Hai,
Ek Andaaz Hai.....
Shayad!!!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1186 on: April 20, 2007, 06:27:56 PM »

Na Ummidein Kisi Se Rakhte To Achha Hota,
Aitbar Na Kisi Pe Karte To Achha Hota,

SabaQ Deta Hai Zamana Ye Auron Ko Girane Ka,
Sahara Na Kisiko Samajhte To Achha Hota,

YaQeen Apni Kaamyabi Ka Kisiko Kab Hota Hai,
TaQdeer Ke MuQabil Na Hote To Achha Hota,

Sochte The Aitbaar Andha Hoga Dewawa Tum Par,
Na Khwaab Jagte Mein Dekhte To Achha Hota,

Na Chahte Tum Kisiko Na Koi Tumhein Pujta,
Na Achhe Kisiko Lagte To Achha Hota,

Dariya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai,
Na Mohabbat Kisise Karte To Achha Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1187 on: April 20, 2007, 06:29:19 PM »

Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Sheher Se Door Safar Karte Hue,
Raah Chalte Ya Kahin Baith Ke Sastaate Hue,
Aate Jaate Hue, Bewajah Kahin Rukte Hue,
Seediyan Chadte Hue, Zulf Ko Suljhate Hue,
Ghar Mein Aaye Kisi Mehmaan Ki Tawaazoh Karte,
Chaay Dete Hue, Haathon Se Pyaali Girte Hue,
Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Ghumte Phirte Hue, Long Drive Karte,
Choodiyan Lete Hue, Eid Ki Shopping Karte,
Ghar Se Jaate Hue, Ya Shaam Ko Ghar Aate Hue,
Bekhayali Mein Kisi Khayal Mein Kho Jaate Hue,
Duniya Daari Se Bahut Door Nikal Jaate Hue,
Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Pichhle Do Chaar Jo Din Guzre Hai,
Kya Kahoon Kitne Kathin Guzre Hai,
Intezar Itna Kiya Hai Ke Sadiya Ho Jaise,
Bebasi Apne MuQaddar Mein Likhi Ho Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1188 on: April 20, 2007, 06:30:28 PM »

Koi Chhanv Ho,
Jiase Chhanv Kehne Mein
Dopaher Ka Gumaan Na Ho,
Koi Shaam Ho
Jise Shaam Kehne Mein Shab Ka Koi Nishaan Na Ho,
Koi Wasl Ho,
Jise Wasl Kehne Mein Hijr Rut Ka Dhuwan Na Ho,
Koi Lafz Ho,
Jise Likhne Padne Ki Chah Mein
Koi Ek Lamba Graan Na Ho,
Ye Kahan Hua Hai Ke Hum Tumhe
Kabhi Apne Dilse Pukarne Ki Saaye Kare,
Wahin Aarzu Beimaan Na Ho,
Wahin Mausam-E-Gam-E-Jahan Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1189 on: April 20, 2007, 06:33:21 PM »

Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,
Aakhir Tumhe Sadma Kya Pahuchna, Kya Soch Ke Khud Azaar Hue,

Kyon Saaf Kushadaa Raaston Par Tum Thokarein Khate Phirte Ho,
Kyon Teer-O-Taar Si Galiyon Mein Tum Aan Ke Khush-Raftar Hue,

Kyon Rasta Chhod Ke Chalte Ho, Kyon Logon Se Katrate Ho,
Kyon Chalte Phirte Apne Liye, Tum Aap Hi Ek Deewar Hue,

Kya Uthte Baithte Sochte Ho, Kya Likhte Padhte Rehte Ho,
Is Umr Mein Ye Be-Kaifi Kyon, Kis Waste Nek Atwaar Hue,

Kyon Aise Safar Pe Nikle Ho Manzil Nahi Jiski Koi Bhi,
Kyon Raah Pe Aisi Chalte Ho, Saya Bhi Jahan Deewar Hue,

Kyon TarQ-E-AlaiQ Ko Tumne Samjha Hai Ilaaj-E-Gam Aakhir,
Dekho To Wali Sofi Bhi Yahan Kis Thaath Ke Duniya-Daar Hue,

Mayoosi-E-Paihum Se Tumne Yarana Ye Kaisa Ghantha Hai,
Undoh Alam The Jitne Bhi, Aakhir Wo Gale Ka Haar Hue,

Is Kalba-E-Ehzaan Se Hargiz, Ubhrega Na Suraj Koi Bhi,
Kab Khaak Sitara Baar Hui, Kab Saaya Sahr Asaar Hue,

Kab Subah Ke Nale Kaam Aaye, Kya Garyaa-E-Neem Sabhi Se Mila,
Is Qarya-E-Khwaab-E-Faroshaan Mein Tum Kiske Liye Bedaar Hue,

Bekaar Ulajhte Rehte Ho Kyon Ulti Sidhi Baaton Mein,
Ye Marhale Wasl-O-Hijraan Ke Ab Aise Bhi Kyon Dushwaar Hue,

Us Kuche Ki Raah To Samjhao, Jis Kooche Mein Jaan Mushkil Hai,
Us Shakhs Ka Naam To Batlao, Tum Jiske Liye Bimaar Hue,

MashfaQ Ne Ye Baatein Sunke Kaha, Baatein Na Hui Ashaar Hue,
Ye Dard Batanewale Bhi Kis Shaan Ke Khush Guftaar Hue,

Sad Shukar Ke Khush Usloobi Se Takmeel Ko Pahuchi Ruswayi,
Mohtaj-E-Dua The Jo Khud Hi Aakhir Wo Mere Gamkhwaar Hue...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1190 on: April 20, 2007, 06:34:22 PM »

Suno!
Tum Jahan Bhi Jao
Jahan Bhi Thehro
Chahe Zameen Kisi Aakhri Kone Ki Jaanib Nikal Jao,
Beshak Hamein Tum Bhul Jao,
Magar Itna Yaad Rakhna
Tumhare Saare Hawalon Ko
Hum Zameen Ki Panahgahon Mein Mehfooz Rakhenge,
Tumhari Saari Baaton Ko
Tumhare Sang Beete Saare Lamho Saari Yaadon Ko,
Dilke Paas Rakhenge
Suno!
Tumhe Hum Yaad Rakhenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1191 on: April 20, 2007, 06:35:59 PM »

Main Dil Par Jabr Karunga, Tujhe Bhula Dunga,
Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Saza Dunga,

Ye Teergi Mere Gahr Ka Hi Kyon MuQaddar Ho,
Main Tere Sheher Ke Saare Diye Bujha Dunga,

Hawa Ka Haath Bataunga Har Tabaahi Mein,
Hare Shajar Se Parindein Main Khud Uda Dunga,

Wafa Karunga Kisi Sogwaar Chehre Se,
Purani Qabr Par Qutba Naya Saja Dunga,

Isi Khayal Mein Guzri Hai Shaam-E-Dard Aksar,
Ke Dard Hadse Badhega To Muskura Dunga,

Tu Aasman Ki Surat Hai, Gir Padega Kabhi,
Zameen Hoon Main Bhi Magar Tujhko Aasra Dunga,

Badha Rahi Hai Mere Dukh Nishaniyan Teri,
Main Tere Khat Teri Tasveer Tak Jala Dunga,

Bahut Dino Se Mera Dil Udaas Hai,
Is Aayine Ko Koi Aks Ab Naya Dunga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1192 on: April 20, 2007, 06:37:17 PM »

Jab Kabhi Koi Lamha Aisa Dard De Jaye,
Ke Koi Bhi Marham Us Zakhm Ko Na Bhar Paye,

Tum Udaas Mat Hona,
Mehv-E-Yaas Mat Hona,

Zindagi Ke Sab Mausak Ek Se Nahi Hote,
Saare Log Aye Humdam Ek Se Nahi Hote,

Zindagi Ki Raahon Mein Haadse Bhi Aate Hai,
Saaniye Bhi Aate Hai,
Saanihon Se Badh Kar Kuch WaQiye Bhi Aate Hai,
WaQt Hi Ke Marham Se Zakhm Bhar Bhi Jaate Hai,
Din Bure Ho Ya Achhe Bas Guzar Hi Jaate Hai,

WaQt Ko Guzarna Hai,
Har Zakhm Ko Bharna Hai,
Dard Ke Chadhe Dariya
Ko Abhi Utarna Hai,

Tum Udaas Mat Hona
Mehv-E-Yaas Mat Hona...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1193 on: April 20, 2007, 06:39:46 PM »

Gaye Mausam Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah,
Dil Pe Utrenge Wohi Khwaab Azabon Ki Tarah,

Raakh Ke Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai,
Jal Chuke Hai Mere Khaime, Mere Khwabon Ki Tarah,

Wo Samundar Hai To Phir Reh Ke Shadaab Kare,
Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hai Sarabon Ki Tarah,

Yaad To Hongi Wo Baatein Tujhe Bhi Lekin,
Shelf Mein Rakhi Hui Band Kitabon Ki Tarah,

Kaun Jaane Ke Naye Saal Mein To Kisko Padhe,
Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabon Ki Tarah,

Hijr Ki Shab Meri Tanhayi Pe Dastak Degi,
Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwabon Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1194 on: April 20, 2007, 06:40:39 PM »

Lagta Nahi Hai Jee Mera Is Ujde Dayar Mein,
Kiski Bani Hai Allmay Naa Payedar Mein,

Bulbul Ko Paasbaan Se Na Siyaad Se Gila,
Keh Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein,

Itni Jagah Kaha Hai Dil-E-Daagdaar Mein,
Ek Shakh-E-Gul Pe Baith Kar Bulbul,
Kante Bicha Deti Hai Dil-E-Lalah Zaar Mein,
Umar Mein Qaid Likhi Thi Faasle Bahar Mein,

Umar-E-Daraz Maang Kar Laye The Chaar Din,
Do Aarzu Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein,

Kitna Badnaseeb Hai Zafirdafin Ke Liye,
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Koo-E-Yaar Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1195 on: April 20, 2007, 06:41:40 PM »

Kitne Achhe The Din Mere Bachpan Ke Din,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,

Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo,
Bhale Chheen Lo Mujhse Meri Jawani,

Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,

Mohalle Ki Sab Se Puraani Nishaani,
Wo Budhiya Jise Bachhe Kehte The Naani,

Wo Naani Ki Baaton Meinp Arisyon Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhurriyon Mein Sadiyon Ka Pehra,

Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chhoti Si Raatein Wo Lambi Kahani,

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Titli Pakadna,

Wo Jhulon Se Girna Wo Girke Sambhalna,
Wo Pital Ke Chaloon Ke Pyare Se Tohfe,

Wo Tooti Hui Chudiyon Ki Nishani,
Kabhi Ret Ke Unche Tilon Pe Jaana,

Gharonde Banana Bana Ke Mitana,
Wo Mausam Chahat Ki Tasveer Apni,

Wo Khaabon Khilaun Ki Jaagir Apni,
Na Duniya Ka Gam Tha Na Rishton Ka Bandhan,
Badi Khoobsurat Thi Wo Zindagani,

Kitne Achhe The Din Mere Bachpan Ke Din,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1196 on: April 20, 2007, 06:43:17 PM »

Tanhayi Mein Teri Yaad,
Jiase Ek Surili Dhun,

Jaise Chaand Ki Thandi Lau,
Jaise Kirno Ki Koon Moon,

Jaise Jal Pariyon Ka Naach,
Jaise Payal Ki Jhun Jhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1197 on: April 20, 2007, 06:44:49 PM »

Ye Shab-E-FiraaQ Ye Bebasi Hai Qadam Qadam Pe Udasiyan,
Mera Sath Koi Na De Saka Meri Hasratein Hai Dhuwan Dhuwan,

Main Tadap Tadap Ke Jiya To Kya Mere Khwab Mujhse Bichhad Gaye,
Main Udaas Ghar Ki Sada Sahi Mujhe De Na Koi Tasalliyan,

Chali Aisi Dard Ki Aandhiyan Mere Dilki Basti Ujad Gayi,
Ye Jo Raakh Si Hai Bujhi Bujhi Hai Isi Mein Meri Nishaaniyan,

Ye Fiza Jo Gard-O-Gubaar Hai Meri Bekasi Ka Mazaar Hai,
Main Wo Phool Hoon Jo Na Khil Saka Meri Zindagi Mein Wafa Kahan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1198 on: April 20, 2007, 06:46:04 PM »

I Came From A Long Way,
From Out Of Nowhere
I Stand Before You
All Alone,
Like A Wolf's Cry In The Distance,
I Heard The Calling
Of Your Soul
Oh.....I Hear You Crying,

With Your Love,
Show Me How To Live
Becuase You Are Made Of Me,
And I Am Made Of You
With Your Life
Show Me How To Give
You Are Made Of Me
And I Am Made Of You

We'll Walk Together
Through The Fire
Through The Darkness
To The Sun
Like Two Raging Rivers Full Of Passion
At The Ocean
We Are One
Oh.... I Hear You Crying

I Am Made Of You
You Are Made Of Me
And Everything You Are
Is What I M Meant To Be,
I Am Made Of You
You Are Made Of Me
And Everything I Am
Is What You Made Of Me
Oh I Hear You Crying
Oh....Through The Darkness
To The Light

With Your Love
Show Me How To Live
'Cause You Are Made Of Me
And I Am Made Of You
With Your Life
Show Me How To Give
You Are Made Of Me
With Your Heart
Show Me What Is True
’Cause You Are Made Of Me
And I Am Made Of You
With Your Soul
Walk My Spirit Through
You Are Made Of Me
And I Am Made Of You
Oh...I Hear You Crying
Through The Darkness
To The Light...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1199 on: April 20, 2007, 06:47:18 PM »

Mera Zard Chehra
Ye Veeran Aankhein,
Labon Ki Khamoshi,
Adhure, Shikasta Namoone Sukhan Ke,
Ye Nohe Lagan Ke
Meri Khokhli Si Hansi Ke Ye Kante
Mujhe Keh Rahe Hai
"Koi Laakh Tere Likhe Ko Saraahe
Pe In Wehshaton Se Koi Kya Nibahe,
Tujhe Kaun Chahe
Tujhe Kaun Chahe"...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 76 77 78 79 [80] 81 82 83 84 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 10:44:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer