Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 273
Print
Author  (Read 133981 times)
angel4u
Guest
«Reply #120 on: December 02, 2006, 07:13:31 PM »

Woh Jab Tak Meherbaan Tha
Sare Manzar, Sare MausaM Meherbaan The
Parinde, Phool, Khushboo, Khwaab PehaM Meherbaan The
HuM Apne Saath Chhata Le Kar Kyon Chalte Hain
Achanak Tez Barish Se HaMein Khatra Nahi Tha
Kya Kahoon AshaaM Qatre Masl-E-ShabnaM Meherbaan The
Jo DushMan Hai Woh Zaher Hai
Ke HuM Se Khush Na The Lekin
HuM Un Ka Zikar Karte The To Kehte The
HaMare Meherbaano Mein Yeh KaM KaM Meherbaan The
Azal Se Ta Abad'sab Ashna Na Ashna
LaMhon Se Apni Dosti Thi
ZaMeen Se Ta Falak Jitne The AalaM Meherbaan The
Khushi To Un Dino Chhoti Si Bachhi Thi
HaMare Ghar Jo Aksar Khelne Ati
Tu Us Ko Der Ho Jati
Khushi Tou Phir Khushi Thi
Inteha Yeh Thi K GhaM Bhi Meherbaan The
Woh Jab Tak Meherbaan Tha
Khud Pe HuM Bhi Meherbaan The
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #121 on: December 02, 2006, 07:22:37 PM »

Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta,
Wo Door Des Ka Baasi Tha Kya Wafa Karta,

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha,
Main Hans Ke ZakhM Na Khata To Aur Kya Karta,

Hazar Aaine Khano Mein Bhi Na Paa Saka,
Wo Aaina Jo Mujhe Khudse Aashna Karta,

Dar-E-Qafas Pe QayaMat Ka Habs Tha Warna,
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sun Liya Karta,

Meri ZaMeen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jaati,
Main Rifaton Mein Tujhe AasMan Sa Karta,

GaM-E-Jahan Ki Mohabbat Lubha Rahi Thi Mujhe,
Main Kis Tara Teri Chahat Pe Aasra Karta,

Agar Zuban Na Katti To Shaher Mein MOHSIN
Main Pattharon Ko Bhi Ek Roz HaMnawa Karta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #122 on: December 02, 2006, 07:25:12 PM »

Aaj Phir TuM Nazar Nahi Aaye,
Aaj Phir TaManna Ke Phool Murjhaye,
Aaj Phir Sogwaar Aankhon Ne,
Lala-O-Gul Par Ashq Barsaye,
Aaj Phir Ehd-E-GaM Ke Afsane,
Meri Betabiyon Ne Dohraye,
Is Bahaar-E-Shehar Mein TuMhara Pata,
Kisko Pata Kaun Batlaye,
Kin Dayaaro Mein Kho Gaye TuM,
HuM To Sitaron Ki Khaak Chhan Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #123 on: December 02, 2006, 07:27:50 PM »

Dost Ban Ban Ke Mile Mujhko Mitane Wale,
Maine Dekhe Hai Kayi Rang Badalne Wale,

TuMne Chup Rehkar SitaM Aur Bhi Dhaya Mujhpar,
TuMse Achhe Hai Mere Haal Pe Hasne Wale,

Main To Ikhlaaq Ke Haathon Hi Bika Karta Hoon,
Aur Honge Tere Bazar Mein Bikne Wale,

Aakhri Daur Pe SalaaM-E-Dil-Muztar Le Lo,
Phir Na Lautenge Shab-E-Hijr Pe Rone Wale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #124 on: December 02, 2006, 07:32:09 PM »

Yunhi Hansi Hansi Mein,
HuM Dilonse Khel Jaate Hai,
Koi Chhoti Si Tikhi Baat,
Koi Chubhta Hua JuMla,
Koi Zehar Aalod Lehja
Koi Be-Zaraz DoMani Baat
Sunne Wale Ke Dil Par Ghaav Laga Jaati Hai
Phir Kitne Hi Talafi Ke MarhaM Lagao
Qatra Qatra Khoon
Tapakta Hi Rehta Hai
Woh Aansoo
Jo Aankh Se Girta Hi Nahi
Andar Hi Andar JaM Jaata Hai
Barf Par Gire GaraM MoM Ke Qatre Ki Tarah
Aur Woh Barf To Shayad
Waqt Ki GarMi Se Pighal Jaati Hai
Magar Woh Qatra
Jab Bhi Pighalne Lagta Hai Phail Jaata Hai
Badh Jaata Hai Bas KhataM Nahin Hota
Aur
Yun Hi Hansi Hansi Main
HuM Dilon Se Khel Jaate Hain
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #125 on: December 02, 2006, 07:34:59 PM »

Dhundne Jis Mein Zindagi Nikli,
Wohi Us Shakhs Ki Gali Nikli,

Tere Lehje Mein Tha Nahi Kiya Kuch,
Sirf Sach Ki Zara KaMi Nikli,

Wo Jo Lagti Thi Kanch Ki Gudiya,
Zarb Padhn Epe Aahini Nikli,

Us Haweli Mein ShaaM Dhalne Par,
Har Dareeche Se Roshni Nikli,

Wo Hawa Tu Nah Thi Ladki Thi,
Kis Liye Itni Sirphiri Nikli,

Wo Tere AasMan Ka Kya Karti,
Jiski Mitti Se Dosti Nikli,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #126 on: December 02, 2006, 07:36:03 PM »

Mere Sabar Ka Na Le IMtihaan,
Meri KhaMoshiyon Ko Sada Na De,
Jo Tere Bagar Na Jee Sake,
Use Jeeneki Dua Na De,

Tu Azeez Dil-O-Nazar Se Hai,
Tu Kareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere JisM-O-Jaan Ka Ye Faasla,
Kahin Waqt Aur Badha Na De,

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakun,
Tujhe Chah Kar Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko ShuMaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila Na De,

Wo Tadap Jo Shula-E-Jaan Mein Thi,
Mere Tan Badan Se Ilpat Gayi
Jo Bujha Sake To Buja Ise,
Na Bujha Sake To Ise Hawa Na De,

Tujhe Ar Milein Kabhi Fursatein,
Meri ShaaM Phir Se Sanwaar De,
Gar Qatal Karna Hai To Qatal Kar,
Yun Judaiyon Ki Saza Na De...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #127 on: December 03, 2006, 02:07:04 AM »
Excellent Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #128 on: December 03, 2006, 06:59:43 PM »
Thanks a lot ARYAAN... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #129 on: December 03, 2006, 07:01:13 PM »

Main Chahta Bhi Yehi Tha Ke Wo Bewafa Nikle,
Use SaMjhane Ka Koi To Silsila Nikle,

Kitab-E-Maazi Ke Auraaq Ulat Ke Dekh Zara,
Na Jane Kaun Sa Safah Muda Hua Nikle,

Jo Dekhne Mein Bahut Hi Kareeb Lagta Tha,
Usi Ke Baar Mein Socha To Faasle Nikle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #130 on: December 03, 2006, 07:03:35 PM »

Kabhi Puchhna Ho Mere Baare Mein,
Puchhna Meri Dhadkano Se,
Kaise Bechain Rahi Hoon TuMhare Bagair,

Kabhi Puchhna Ho Mere Baare Mein,
Puchhna Meri Saanso Se,
Kaise Bekaboo Rahi Hai TuMhare Bagair,

Kabhi Puchhna Ho Mere Baare Mein,
Puchhna Din-O-Raat Se Jo TuMhare Bagair Guzre,
Kaise Berang The Kaise KhaMosh The,
Kaise Kuthan The TuMhare Bagair,

Kabhi Puchhna Ho Mere Baare Mein,
Puchhna Mere Pyaar Se,
Kaise Machalta Tha TuMhare Pyaar Ke Liye,
TuMhare Jazbat-O-Ehsasat Ke Liye,
Kabhi Puchna Ho Mere Baare Mein,

Kaise Majboor Thi Apne Aap Mein,
Kuch Na Kar Sakti Thi Apne Aap Mein,
Bas Ek Zinda Laash Thi Apne Aap Mein,

Kabhi Puchhna Ho To Zaroor Puchhna
Mere Baare Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #131 on: December 03, 2006, 07:05:56 PM »

Mere KisMat Ki Lakeerein Mere Hathon Mein Na Thi,
Tere Maathe Par Koi Mera Muqaddar Dekhta,

Zindagi Phaili Hui Thi ShaaM-E-Hijran Ki Tarah,
Kisko Itna Hosla Tha Kaun Ji Bhar Ke Dekhta,

Doobne Wala Tha Aur Saahil Pe Chehron Ka HojooM,
Palki Mohalat Thi Main Kisko Aankh Bhar Dekhta,

Tu Bhi Dilko Ek Lahoo Ki Boond SaMjha Hai,
Aankh Hoti To Qatre Mein SaMundar Dekhta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #132 on: December 03, 2006, 07:07:33 PM »

Kahein Aisa Na Ho Ke Ankahi Ka Bhed Khul Jaye,
Isi Khadshay Mein TuM Mujhse,
Meri Takhlik Ke Johar Juda Karte Rahe Ho,
Aur
Meri TakMeel Se Darte Rahe Ho,
TuMhari Muslahat Goshi Ki Saffaki,
Mujhe To Kya ZaMeen-O-AasMan Ko Bhiga De,
TuMhari Fitrat-A-BayMahar Se Waqif Bhi Hoon,
TasleeM Karti Hoon,
Magar Ye Kya Azeat Hai,
Ajab Andaz Wehshat Hai,
Mujhe TuMse Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #133 on: December 03, 2006, 07:56:16 PM »

Ek Shakhs Paas Reh Kar Bhi SaMjha Nahi Mujhe,
Is Baat Ka Malaal Hai Shikwa Nahi Mujhe,

Main Usko Bewafai Ka IlzaaM Kaise Dun,
Usne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe,

Kya Kya UMMidein Bandh Ke Aaya Tha SaMne,
Usne To Aankh Bhar Ke Bhi Dekha Nahi Mujhe,

Patthar SaMajh Ke Paanv Ki Thokar Bana Liya,
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,

Kab Theherna Tha Mujhko Aaj Uske Paas,
Achha Hua Ke Usne Bhi Roka Nahi Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #134 on: December 03, 2006, 07:57:53 PM »

Uske Koonche Mein Tu Jaa Sakta Hai Is Shart Ke Sath,
Wapsi Hoto Mere Paas Hi Aana, Mere Dil,

Ab Ke Wo Jana Bhi Chahe To Kahin Ja Na Sake,
Use Aise Kisi Goshe Mein Bithana, Mere Dil,

Jagte Mein Bhi Jo Aksar Nazar Aate Hai Mujhe,
So Bhi Jaun To Wohi Khwab Dikhana Mere Dil...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:56:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer