Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 77 78 79 80 [81] 82 83 84 85 ... 273
Print
Author  (Read 131539 times)
angel4u
Guest
«Reply #1200 on: April 20, 2007, 06:50:06 PM »

Aaj Phir Saal Ne Us Roz Ko Dohraya Hai,
Aaj Phir Pehli MulaQaat Ka Din Aaya Hai,
Aaj Phir Tumko Meri Yaad Bahut Aayegi,
Aaj Phir Tumne Meri Sochko Mehkaya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1201 on: April 20, 2007, 06:51:32 PM »

Mujhe Kab Aarzu Thi Ho Mera Anjaam Chupke Se,
Tumhare Dard Ko Hi Aa Gaya Aaram Chupke Se,

Saba, Khushbu Nahi Hai Ye Jise Tum Mushtahar Kar Do,
Saba Le Jao Par Dena Use Paigam Chupke Se,

Udhar Aankhein Mili Humne Idhar Dil De Diya Apna,
Khareeda Dard Chori Se Chukaya Daam Chupke Se,

Main Tere Dhyaan Mein Gum Hoon To Sab Hi Dhyan Rakhte Hai,
Mere Aangan Mein Aati Hai Hamesha Shaam Chupke Se,

Jo Humne WaQt-E-Aakhir, Aakhri Ek Saans Khicha Tha,
Liya Tha Kaanpte Hothone Tera Naam Chupke Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1202 on: April 20, 2007, 06:52:49 PM »

Kaan Khule Hai,
Aankhein Band Hai,
Tu Sab Kuch Sunta Hai Lekin,
Apni Marzi Par Chalta Hai,
So Main Bhi Jo Jo Kehta Hoon
Wo Bhi Sun Le!

Lekin Dost! Baat To Tab Hai
Jab Tu Sun Kar
Maan Bhi Le Ke
WaQt Ki Billi
Teri Jaanib
Dhire Dhire Reng Rahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1203 on: April 20, 2007, 06:54:22 PM »

Jee Raha Tha Akela Magar Ek Din,
Meri Khamosh Tanhaiyon Mein Koi,
Ek Pari Jaisi Banke Nida Aa Gayi,
Har Khamoshi Ke Ehsaas Pe Chha Gayi,
Mujhse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Jee To Chaha Ke Jhat Se Main Haan Bol Dun
Phir Ye Socha Ke Maazi Ka Dar Khol Dun,
Mera Maazi Ke Jispe Kayi Daagh Hai
Maine Socha Ke Iske Andheron Ka Dar
Phir Badal Dega Uske Irade, Magar
Wo Irade To Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khudko Supurd-E-Hawa Kar Diya,
Thaam Kar Haath Uska Main Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Mujhse Aise Wo Kehne Lagi,
"Ye Ta'lluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Dil Tadap Sa Gaya Uski Is Baat Par
Ye Tamanna To Meri Bhi Thi Na Magar
Main Ke Jakda Hua Apne Halaat Mein
Wo Ke Majbooriyon Ki Satayi Hui,

Din Guzarte Rahe, Dono Karrate Rahe,
Aakhir Usne Achanak Kaha Ek Din,
Ke Wo Ab Se Kisi Gair Ke Naam Hai,
Ek Zara Na YaQeen Aaya Pehle Pahel,
Jab Ye Samjha To Duniya Fanaa Ho Gayi,
Usse Puchha, Wo IQraar-O-Ehed-E-Wafa
Kya Hue? Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?
Sunke Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhooth Tha
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Sunke Hairat Bhi Hai, Sunke Wehshat Bhi Hai,
Par Khuda Se Yehi Puchta Hoon Main Ab
Wo To Apne Piya Ki Thi, Unki Hui
Do Dilonki Magar Is Kahani Mein Main
Kis Liye, Kis Tarah Aur Kyon Aa Gaya???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1204 on: April 20, 2007, 07:00:03 PM »

Afsos Na Kar Teri Zindagi Hai,
Chhod Denge,
Agar Ye Bhi Nahi Manzoor To
Teri Duniya Hi Chhod Denge,
Tujhe Rote Hue Achhe Lagte
Hai Hum To,
Kehne Par Tere
Hasna Hi Chhod Denge...
* * * * *
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #1205 on: April 20, 2007, 07:05:53 PM »
nice updates..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1206 on: April 22, 2007, 05:05:29 PM »
Thanks kamal,
kitne dino baad dikhe tum :D:D:D
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1207 on: April 22, 2007, 05:10:37 PM »
Kya Kya Ajab Gul Khilati Hai Zindagi,
Sukh Ke Mausamon Ko Gam Ki Chadar Udhati Hai Zindagi,

Pehle Aankhon Mein Khwaab Sajati Hai,
Phir Unhi Khwabon Ka Mazak Udati Hai Zindagi,

Pehle Khushbuon Se Phoolon Ko Mehkati Hai,
Phir Unhi Phoolon Se Khushbu Ko Churati Hai Zindagi,

Pehle Gam-E-Yaar Se Milati Hai,
Phri Usi Gam-E-Yaar Se Juda Karti Hai Zindagi,

Pehle Jeene Ka Jawaz Hamein Batlati Hai,
Phir Usi Jawaz Ko Mita Si Jaati Hai Zindagi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1208 on: April 22, 2007, 05:31:14 PM »

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hua Karte The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,

Wo Khushiyan Bhi Na Jane Kaisi Khushiya Thi,
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The,

Chhote The To Makro Fareb Bhi Jhuthe The
Daane Daal Kar Chidiya Pakda Karte The,

Ab To Ek Aansu Bhi Kar Jaaye Ruswa,
Bachpan Mein Jee Bhar Kar Roya Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1209 on: April 22, 2007, 05:34:56 PM »

Aa Kar Tum Mere Khwabon Ko Mere Jagah Na Do,
Tadapte Dil Ke Dard Ki Yun Dawa Na Do,

Duniyake Gam Sonp Kar Mujhe,
Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do,

Dikhla Kar Maikhane Ka Raasta Phir,
Ab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do,

Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein,
Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do,

Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein,
Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do,

Gunaah Jo Sarzad Hua Hi Na Mujhse,
Pal Pal Beganuhi Ki Saza Na Do,

Badnaam Karke Uski Galiyon Mein Ab,
Uske Aashyane Ka Tumhi Pata Na Do,

Mohabbat Karte Hai, Dikhana Bhi Nahi Jaante,
Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do,

Jala Rakha Hai Ummidon Ka Diya Sadiyon Se,
Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do,

Main Ek Na Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon,
Mujhe Yun Safha-E-Hasti Se Mita Na Do,

Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool,
Nafrat Hi Sahi TarQ-E-TalluQ Ki Magar Hawa Na Do,

Chhin Kar Mujhse Zindagi Meri,
Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1210 on: April 22, 2007, 05:39:19 PM »

WaQt Guzra To Ye Malaal Hua,
Khatam Ek Zindagi Ka Sawal Hua,

Kitne Shiddat Se Koi Yaad Aaya,
Aaj Jeena Bada Mahaal Hua,

Soch Ki Jheel Mein Gira Patthar,
Besabab Muntashir Khayal Hua,

Log Dekthe Bahut Magar Jaana,
Koi Teri Kaha Misaal Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1211 on: April 25, 2007, 05:29:46 PM »

Din Raat Main Socha Karti Hoon,
Ek Khwaab Sa Dekha Karti Hoon,

Main Janti Hoon Wo Bas Mein Nahi,
Phir Bhi Use Pooja Karti Hoon,

Ek Ghutan Si Dil Mein Rehti Hai,
Bewajah Main Roya Karti Hoon,

Aye Kash Use Main Keh Bhi Sakun,
Ke Main Tumko Chaha Karti Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1212 on: April 25, 2007, 05:31:12 PM »

Chahat Ke Is Dhare Par,
Dariya Aur Kinare Par,
Dilko Aaj Aazad Kiya,
Maine Tumko Yaad Kiya,

Jab Se Tumko Dekha Hai,
Jabse Tumko Chaha Hai,
Har Ek Pal Fariyaad Kiya,
Maine Tumko Yaad Kiya,

Is Jeewan Ke Nisaabon Mein,
Aur Raaton Ke Khwaabon Mein,
Jaag Ke Bhi Dil Shaad Kiya,
Maine Tumko Yaad Kiya,

Phool Ye Khilne Se Pehle
Tumko Milne Se Pehle,
Khud Ko To Barbaad Kiya,
Maine Tumko Yaad Kiya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1213 on: April 25, 2007, 05:35:22 PM »

Wafa Ki Aag Mein Jal Rahe The,
Unhe Kya Pata Hum Mar Rahe The,
Guzre Jo Unke Paas Se,
Tapish Lekar Unke Sath Se,
Pathar Jo Mom Ho Gaye,
Parinde Bhi Soch Mein Kho Gaye,
Hawayein Toofan Hogayi,
Irade Buland Ho Gaye,
Har Chiz Bhi Sakin Ho Gayi
Chehra Khamosh Ho Gaya,
Aankhein Bhi Nam Si Ho Gayi,
Hothon Pe Aah Si Aa Gayi,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Wo Bhi Lachaar Ho Gaye,
Pyar Mein Hi Kho Gaye,
Naseeb Mein Likha Tha Kafan,
Mitti Mein Kardiya Phir Dafan,
Wo Bhi Naraz Ho Gaye,
Saath Mein Hi So Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1214 on: April 25, 2007, 05:40:51 PM »

Wafa Ki Aag Mein Jal Rahe The,
Unhe Kya Pata Hum Mar Rahe The,
Guzre Jo Unke Paas Se,
Tapish Lekar Unke Sath Se,
Pathar Jo Mom Ho Gaye,
Parinde Bhi Soch Mein Kho Gaye,
Hawayein Toofan Hogayi,
Irade Buland Ho Gaye,
Har Chiz Bhi Sakin Ho Gayi
Chehra Khamosh Ho Gaya,
Aankhein Bhi Nam Si Ho Gayi,
Hothon Pe Aah Si Aa Gayi,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Wo Bhi Lachaar Ho Gaye,
Pyar Mein Hi Kho Gaye,
Naseeb Mein Likha Tha Kafan,
Mitti Mein Kardiya Phir Dafan,
Wo Bhi Naraz Ho Gaye,
Saath Mein Hi So Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 77 78 79 80 [81] 82 83 84 85 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 08:43:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.081 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer