Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 78 79 80 81 [82] 83 84 85 86 ... 273
Print
Author  (Read 131538 times)
angel4u
Guest
«Reply #1215 on: April 25, 2007, 05:51:26 PM »

Wo Mujhse Aksar Kehta Tha,
Khone Nahi Dunga
Tujhe Paa Ke Rahunga
Magar Aaj Jab
Kisi Aur Ki Manzil Ka Raahi Hai,
To Mujhse Puchh Raha Hai,
Tum Ab Tak Tanha Kyon Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1216 on: April 26, 2007, 05:30:06 PM »
Bewafa Bawafa Nahi Hota,
Khatam Ye Silsila Nahi Hota,

Zyada Pike Behekne Lagte Hai,
Kam Piye To Nasha Nahi Hota,

Raat Ka Intezaar Kaun Kare,
Aks Aajkal Dil Mein Kya Kuch Nahi Hota,

Jee Bahut Karta Hai Ke Sach Kahein,
Par Kya Kare Hosla Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1217 on: April 27, 2007, 05:32:21 PM »

Main Kitna Khush Tha Ke Us Bewafa Ko Bhula Chuka Hoon,
Uske Bheje Tamaam Naam Jala Chuka Hoon,
Uski Yaadon Ke NaQsh Mita Chuka Hoon,
Magar Mujhe Ye Khabar Na Thi Ke,
Aaj Barish Baras Padegi,
Uski Yaadonke Saare Manzar Nikharenge
Aur Main Jo Simat Chuka Tha Phir Se Mujhe Bikherenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1218 on: April 27, 2007, 05:35:52 PM »

Kabhi Hai Talkh Sa Lehja Kabih Saba Ki Tarah,
Mizaaj Apna Badalta Hai Wo Hawa Ki Tarah,

Wo Apne Aap Se Begana Kar Gaya Humko,
Ek Ajnabi Jo Mila Khaas Aashna Ki Tarah,

Qadam Qadam Pe Bhatakna Qabool Hai Mujhko,
Agar Tu Saath Rahe Mere Rehnuma Ki Tarah,

Hum Uski Yaad Ko Dilse Lagake Jee Lenge,
Bhula Sake To Bhula De Wo Bewafa Ki Tarah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1219 on: April 27, 2007, 05:38:35 PM »

Dilse Dilka Rabta Achha Laga,
Aaj Usko Sochna Achha Laga,

Jaate Jaate Aakhri Lamhaat Mein,
Mud Kar Usko Dekhna Achha Laga,

Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya,
Uska Har Ek Faisla Achha Laga,

Har Taraf Thi Bawafa Logonki Bhid,
Ek Wo Hi Bewafa Achha Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1220 on: April 27, 2007, 05:40:05 PM »

Aaj Tumne Bhi Bewafa Qarar Diya Humko,
Meri Mohabbat Ka Ye Sila Diya Humko,
Tune Chaha Kisi Aur Ko Zara Soch Apni Chahat Par,
Tujhe Itna Tha Chaha Phir Bhi Gila Hua Humko,
Aasman Bant Jaye Zameen Toot Jaye Sunkar Meri Kahani,
Kabhi Sochna Fursat Mein BeQaar Nahi Hai Ye Zindagani...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1221 on: April 27, 2007, 05:41:38 PM »

Bewafa Se Bhi Pyaar Hota Hai,
Yaar Kuch Bhi Ho Yaar Hota Hai,

Jo HaQeeQat Mein Pyar Hota Hai
Umr Mein Sirf Ek Baar Hota Hai,

Hum Buton Se Jo Pyaar Karte Hai,
Nakal-E-Parwardigar Karte Hai,

Itni Kasmein Na Khao Ghabra Kar,
Jao Hum Aitbaar Karte Hai,

Aaj Bhi Aa Jao Ke Kuch Nahi Bigda,
Ab Bhi Hum Intezar Karte Hai,

Ye TarQ-E-TaaluQ Ka Kya Tazkera Hai,
Tumahre Siwa Koi Apna Nahi Hai,

Agar Tum Kaho To Main Khudko Bhula Dun,
Tumhe Bhool Jane Ki Takat Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1222 on: April 27, 2007, 05:43:56 PM »

Bas Yunhi
Hansi Hansi Mein
Dilon Se Khel Jate Hai,
Koi Tikhi Baat
Koi Chubhta Hua Lehja
Koi Zeher Alood Jumla
Koi Zoomani Si Baat,
Dil Mein Zakham Laga Jaati Hai,
Bas Yunhi Hansi Hansi Mein Log,

Ye Jante Hue Bhi
Ke Jism Ka Zakhm Gehra Nahi Htoa,
Bhar Hi Jaata Hai
Par Zubaan Se Lagaya Hua Zakham
Dil Mein Utar Jaata Hai,
Phir Kitne Hi Talaafi Ke Marham Lagao,
Madham Nahi Hota,
Bas Yunhi Hansi Hansi Mein Log,
Dilonse Khel Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1223 on: April 27, 2007, 05:45:17 PM »

Mohabbat Aisi Nemat Hai Ke Main Batla Nahi Sakta,
Ye Ek Aisi HaQeeQat Hai Ke Main Batla Nahi Sakta,

Agar Cahhe To Ye Sabke Dilon Ko Jeet Sakti Hai,
Mohabbat Mein Wo Takat Hai Ke Main Batla Nahi Sakta,

Tumhe Shayad YaQeen Na Ho Magar Aye Jana Jana Tumse,
Mujhe Itni Mohabbat Hai Ke Main Batla Nahi Sakta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1224 on: April 27, 2007, 05:47:20 PM »

Ajnabi Sheher Ajnabi Raaste,
Meri Tanhayi Par Muskurane Lage,

Main Bahut Der Tak Yunhi Chalta Raha,
Tum Bahut Der Tak Yaad Aate Rahe,

Zeher Milta Raha Zeher Peete Rahe,
Roz Jeete Rahe Roz Marte Rahe,

Zindagi Bhi Hamein Aazmati Rahi,
Aur Hum Zindagi Ko Aazmate Rahe,

Hum Bhi Goya Kisi Saaz Ke Tar Hai,
Chot Khate Rahe, Gungunate Rahe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1225 on: April 27, 2007, 05:48:32 PM »

Hazar Dard Aise Hai Agar Bharte To Achha Tha,
Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhe Milte To Achha Tha,

Koi Aakar Hamein Puchhe Tumhe Kasie Bhulaya Hai,
Tamam AshQon Ko Humne Shab-E-Gam Mein Jalaya Hai,

Hazaron Zakham Aise Hai Agar Silte To Achha Tha,
Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tumhe Milte To Achha Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1226 on: April 27, 2007, 05:49:17 PM »

Meri Jaan Tum Chand Par Jana Wahanse Thodi Mitti Lana,
Aur Us Mitti Se Do Putle Banana,
Ek Mera Aur Ek Tumhara,
Aru Phir Isko Aise Girana,
Ke Mujh Mein Tum Aur Tum Mujh Mein Sama Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1227 on: April 27, 2007, 05:51:32 PM »

Chaha Hai Tumko, Chahat Se Zyada
Na The Tum Chahat Ke Qaabil
Na Hi The Tum Aitbaar Ke Qaabil,

Lekin Akal Haari,
Ye Dil Ye Pagal Dil Jeeta

Hamesha Kaha Tha Na Todna Is Dilko Kabhi,
Ye Dil Tera Ghar Hai,
Aur Koi Apna Ghar Toda Nahi Karta,

Kaun Lagayega Mere Zakhmo Pe Marham,
Ye Duniya To Namak Chidakne Ki Aadi Hai,

Mangi Thi Izzat, Mili Badnami Mujhko,
Diya Tha Pyaar, Mili Nafrat Mujhko,

Mangi Thi Khushiyan Mile Kitne Gam,
Tanha The Kal Bhi Aur Tanha Hai Aaj Bhi Hum,

Mera Dil Tha Ke Sheesha Ka Koi Bartan,
Jo Tumse Sambhala Nahi Gaya,
Toota Bhi Aisa Ke Kirchi Kirchi Ho Gaya,

Kya Diya Tumne Aaj Tak Mujhko
Aashaon, Siskiyon Aur Aansuon Ke Siwa,

Toot Gaye Saare Sapne Mere,
Chhin Gaye Saare Sapne Mere,

Apno Ke Bich Mein Bhi Ho Gayi Hoon Gair Main,
Nahi Kar Sakti Dil Ka Haal Ab Bayan Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1228 on: April 27, 2007, 05:53:09 PM »

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazmaungi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supard Karke Use Chandni Ke Haathon Mein,
Main Apne Ghar Ke Andheron Mein Laut Aaungi,

Badan Ke Qarb Ko Wo Bhi Samajh Na Payega
Main Dil Mein Rahungi, Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke RifaaQat Ke Sare Lutf Gaye,
Main Kisse Rooth Sakungi Kise Manaungi,

Wo Jhuth Bolega Aur Lajawab Kar Dega,
Main Sach Kahungi Phir Bhi Haar Jaungi,

Jawaaz Dhund Raha Tha Nayi Mohabbaton Ka,
Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhool Jaungi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1229 on: April 27, 2007, 05:54:25 PM »

Suno Achha Nahi Lagta
Ke Koi Dusra Dekhe
Tumhari Sharbati Aankhein,
Lab-O-Rukhsaar Aur Palkein,
Siyaah Lambi Ghani Zulfein,
Sarahe Dusra Koi,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
Kare Jab Tazkara Koi,
Kare Jab Tabsara Koi,
Tumhari Zaat Ko Khoje,
Tumhari Baat Ko Soche,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
Tumhari Muskurahat Par
Hazaron Log Marte Ho,
Tumhari Ek Aahat Par,
Hazaro Dil Dhadakte Ho,
Kisika Tumpe Yun Marna
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta
Hawa Guzre Tumhe Chhu Kar,
Na Hoga Zabt Ye Mujhse,
Kare Gustakhi Tumse,
Tumhari Zulfein Bikhar Jayein,
Tumhare Lams Pe Jaayein,
Mujhe Achha Nahi Lagta,

Suno Achha Nahi Lagta,
Ke Tum Ko Phool Bhi Dekhe,
Tumhare Paas Se Mehke,
Ya Chanda Ki Guzarish Ho,
Ke Apni Roshni Bakshun,
Rukh-E-Jaana Koi Dekhe,
Mujhe Achha Nahi Lagta...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 78 79 80 81 [82] 83 84 85 86 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 08:42:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer