Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 79 80 81 82 [83] 84 85 86 87 ... 273
Print
Author  (Read 133039 times)
angel4u
Guest
«Reply #1230 on: April 27, 2007, 05:56:00 PM »

Teri Khushbu Meri Jaan Meri Saanson Mein Samayi Hai,
Ab Bhi Dilko Sanam Teri Yaad Aayi Hai,

Taras Rahi Hai Meri Aankhein Teri Deed Ko,
In Aankhon Mein Tere Liye Sagar Si Gehrayi Hai,

Bechain Kar Diya Hai Us Hawa Ne Mujhe,
Tere Chehre Ko Jo Shayad Chhu Kar Aayi Hai,

Tujhe Chahte Hai Kitna Batana Hai Mushkil,
Tumhe Khud Mein Mehsoos Karna Aadat Si Ban Gayi Hai,

Tera Pyar Meri Chahat Hai Aarzu Hai,
Tere Baad Is Jeevan Mein Udaasi Hai Tanhayi Hai,

Mere Ehsaasaat Ko Zaroorat Hai Tere Lafzon Ki,
Mere Khayalon Mein Bhi Teri Aahat Chhayi Hai,

Tere Saath To Bahar Hai Mere Dilki Khizaan Par,
Ab Ke Ye Bahar Dard-E-Judayi Saath Laayi Hai,

Pyaar Ke Is Mausam Mein Bichhadna Theher Hi Gaya To,
Kuch Tere FiraaQ Ka Hai Dard Kuch Meri Kismat Harjayi Hai,

Kismat Se Paya Tha Tera Pyar Sathiya,
Bich Mein Ab Hayaal Zaine Badi Lambi Judayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1231 on: April 30, 2007, 05:36:48 PM »

Teri Yaad Ne Mere Dilko Saja Rakha Hai,
Tere Pyar Mein Sab Ko Bhula Rakha Hai,

Kuch Achha Nahi Lagta Teri Judayi Ke Baad,
Ek Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai,

Tera Milna To Ab Ek Khwaab Hi Lagta Hai,
Najane Ab Kyon Dilko Bhula Rakha Hai,

Sab Kuch Lut Gaya Hamara Tere Pyaar Mein,
Teri Yaad Ko Palkon Mein Chhupa Rakha Hai,

MuQaddar Se Milte Hai Bichhad Ke Warna,
Aaj Bhi Tera Naam Dil Mein Saja Rakha Hai,

Najane Koi Nahi Basta Tere Siwa Ankh Mein,
Ek Teri Tasveer Ko Dil Mein Chhupa Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1232 on: April 30, 2007, 05:37:49 PM »

Panchhi Ki Tarah Khuli Fizaon Mein
Main Bhi Udna Chahti Thi Magar Meri
Ye Tamanna Puri Nahi Hui
Hawa To Chalti Rehti Hai,
Zindagi Bhi Chalti Rahegi
Jaise Chalta Hai Jhonka
Hawa Ka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1233 on: April 30, 2007, 05:39:33 PM »

Tumse Kya Gila
Gila To Takdeer Se Hai,
Tumse Kya Shikayat
Shikayat To Naseeb Se Hai,
Aye The Meri Zindagi Mein Ek Tufan Banke
Gaye To Aandhi Banke,
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Aata Hai Aur Jaata Hai
AB.......
Kisise Kya Gila Jab Wo Hi Sath Nahi Ab Raha
Chalnewale Se Kya Gila Jab
Apna Jise Kaha
Wo Saath Nahi,
Likhe Walene Bahut Kuch Likha Hai Meri TaQdeer Mein
Par Likh Na Saka Wo
Tha Tera Pyaar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1234 on: April 30, 2007, 05:41:15 PM »

Tumse Kuch Is Tarah Ki Chahat Ki Hai,
Tumhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi,
Kuch Is Tarah Se Tumhari Tamanna Ki Hai
Hamare Darmiyan Hai Rahein, Sadiyon Ki Khamoshiyan,
Maine Tumse Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hai,
Pehle Main Khudse Na Aashna Tha
Samjha Hai Pyar Ko Jabse Mohabbat Ki Hai
Meri Zindagi Ki Khushiya Tumse Hi Hai Wabasta
Maine Rabse Tumhe Paane Ki Dua Ki Hai
Main Tumhe Chheen Lunga Duniya Ki Rasmon Se
Maine Tumhare Liye Zamane Se Bagawat Ki Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1235 on: April 30, 2007, 05:42:15 PM »

Woh Be-Hajab Jo Peeke Kal Sharaab Aaya,
Agarcha Mast Tha Main Par Mujhe Hajab Aaya,

Idhar Khayal Mere Dil Mein Zulf Ka Guzra,
Udhar Wo Khatab Hua Dil Mein Pech-O-Taab Aaya,

Khayal Kiska Samaya Hai Deed-O-Dil Mein,
Na Dinko Chain Mujhe Aur Na Shab Ko Khwaab Aaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1236 on: April 30, 2007, 05:44:09 PM »

Pyar Karke Jo Wafa Karte Hai,
Aise Kam Log Mila Karte Hai,
Kyon Wo Khud Humse Nahi Keh Dete
Aur Logonse Gila Karte Hai,
Humse Milne Ko Wo Aa Jaye Kabhi,
Har Ghadi Yehi Dua Karte Hai,
Chahte Hai Unhe Jee Jaan Se Hum,
Bas Yehi Ek Khata Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1237 on: April 30, 2007, 05:45:21 PM »

Koi Izhaar Ki Surat,
Koi IQraar Ki Raah,
Koi Baarish Ki Boondon Mein
Thehre Pyaar Ke Lamhe
Kya Ye Sab Hone Par Bhi Izhaar BaaQi Hai,
Koi IQraar BaaQi Hai,
Kisi Jazbe Ko Koi Lafz Ka
Roop Dene Par,
Us Jazbe Ki Latafat Ko
Kho Dene Mein
Kitni Der Lagti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1238 on: April 30, 2007, 05:46:44 PM »

Dilpe Ek Tarfa Qayamat Karna,
Muskurate Hue Rukhsat Karna,

Achhi Aankhein Jo Mili Hai Usko
Kuch To Lazim Hua Wehshat Karna,

Jurm Kiska Tha, Saza Kisko Mili,
Kya Gayi Baat Pe Hujat Karna,

Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah,
Ab Na Kisise Mohabbat Karna,

Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hai,
WaQt Mil Jaye To Zehmat Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1239 on: April 30, 2007, 05:48:52 PM »

Tumhe Aisa Kyon Lagta Hai Ke Hum Khud Dhundte
Hai Apne Rishton Ko
Suno Janam! Kabhi Aisa Nahi Hota,
Tumhare Aur Mere Chahne Se Kuch Nahi Hota,
Ke Sab Rishte, Sabhi Bandhan Khali Pehle Se
Rakhe Hai,
Wo Saare Aane Wale Pal Jo Aakhir Beet Jaate Hai,
Wo Hum Se Jeet Jaate Hai,
Wo Sab Pehle Se Rakhe Hai
Samajh Kar Soch Kar Rakhe Hai Saare Pal, Sabhi Rishte,
Sabhi Mausam,
Mohabbat To Lamha Hai, Mohabbat Bhi To Mausam Hai,
Ye Kiske Dil Pe Utrega
Kahan Par Lab Kholega, Kaunsi Galiyon Mein Mehkega,
Na Jane Kaunsa Dil Iske Rangon Mein Fanaa Hoga,
Na Jane Kaun Is Lamhe Ko Paate Hi Ghani Tareek
Galiyon Ki Musaafat Se Rihaa Hoga,
Wazahat Hum Nahi Karte,
Mohabbat Hum Nahi Karte
Ke Ye To Jaadugarni Hai Jo Hum Ko Dhund Leti Hai,
Hamein Pehchaan Leti Hai,
Kisi Masroof Kamre Mein Padi Bekaar Chizon Se,
Ye Humko Chaan Leti Hai,
Hamari Ungliyon Ke Nakhuno Mein Saans Leti Hai,
Kabhi Jab Zakhm Khulta Hai,
Buson Aur Daftaron Ki Bhid Mein Bhi Ye Hamare
Saath Rehti Hai,
Hamare Sath Chalti Hai,
Lahoon Ki Dhoop Mein Chup Chap Jalti Hai,
Heena Ki Khushbu Mein Jab Utarti Hai Hamari
Jaan Leti Hai,
Ye Hum Mein Baandh Deti Hai Naye Mausam, Naye Suraj, Sitare Aur Khushbu,
Ye Humko Somp Deti Hai Koi Aizaaz Jiska
Maan Rakhna Farz Hota Hai,
Ye Hum Bojh Banti Hai--Ye Hum Par Qarz Hota Hai,
Kahan Kis Par Nichaver Jaan Karti Hai,
Ye Chahat Hum Nahi Karte
Suno Jaanam! Mohabbat Hum Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1240 on: April 30, 2007, 05:50:06 PM »

Dost Gairon Ko Banate Aap To Aise To Na The,
Aur Humko Bhool Jaate Aap To Aise Na The,

Ye Mohabbat Ki Gali Jo IshQ Se Mansoob Hai,
Iska Rasta Bhool Jaate Aap To Aise Na The,

Husn Par Nazaan Hai Beshak Naaz Kijiye Husn Par,
IshQ Se Daman Bachate Aap Aise To Na The,

Bewafayi Ka Nateeja Hai Ke Aankhein Jhuk Gayi,
Sharm Se Nazrein Jhukate Aap To Aise Na The,

Ye Hamara Dil Nahi Ye Aapka Ghar Hai Huzoor,
Aap Is Dil Mein Na Aate Aap To Aise Na The,

Raat Mein FurQat Ki Maine Pukara Tha Bahut,
Aap Sunkar Bhi Na Aate Aap To Aise Na The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1241 on: April 30, 2007, 05:52:45 PM »

Mera Ek Dost Mere Jaisa Tha,
Mujhse Milta Tha Roz Shaam Dhale,
Sari Baatein, Use Sunata Tha
Kaun Nazan Hai Kisne Haath Male,
Ab Wo Rehta Hai Is Jagah Se Door,
Raaz-E-Dil Ab Wo Kholta Bhi Nahi,
Sheesha-E-Dil Nahi Ab Uska Choor,
Ab Main Bolun To Bolta Bhi Nahi,
Mujhko Shikwa Ke Bewafa Hai Wo,
Log Kehte Hai Usko Danishwar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1242 on: April 30, 2007, 05:53:51 PM »

Kal Shaam Dhale Nange Panv Chalte Chalte
Aankh Se Ek Aansu Ne Bagawat Ki,
Daaman-E-Dil Se Ulajh Gaya,
Thak Kar Puchh Raha Tha Wo,
Zindagi Kya Hai
Nakaam Ummidein
Hasratein!
Khwab Ya Phir Aarzuyein,
Door Se Ek Siski Ubhri,
Aansu Chup Chaap Lut Gaya,
Khwab Ka Daaman Chhut Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1243 on: April 30, 2007, 05:55:22 PM »

Toota Hua Dil Hai Har Baat Par Ro Deta Hai,
Muskurana Bhi Uska Kisi Gam Ki Khabar Deta Hai,

Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagne Lagta Hai,
Wo Itna Hassas Hai Har Baat Dil Pe Le Leta Hai,

Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko,
Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai,

Judayi Ke Dar Ne Bahut Shiddat Se Dasa Hai,
Wo Ab Mujhse Milne Se Bhi Darta Hai,

Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab,
Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai,

Ye Ehsaas Hai Qarb Ki Inteha Ko Chuta Hai,
Wo Majmoyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai,

Bas Mein Ho Agar Mere
Usko Khwahishon Se Labrez Kar Dun,

Tanhayi Door Kar Dun Har Aarzu Jawab Kar Dun,
Uske Makan-O-Dil Mein Apna Basera Kar Lun,

Aas Paas Mandlata Har Andhera Doro Kar Dun,
Agar Meri Zndagi Ho FaQt Meri Zindagi,

To Har Labmha Zindagi Ka Uske Naam Kar Dun,
Apna Haal-E-Dil Uske Gosh Guzar Kar Dun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1244 on: April 30, 2007, 05:56:59 PM »

Yunhi Dhundte Hue Apni BebaQ Manzilein,
Suno Kabhi To Safar Mein Sacha MuQaam Aayega,

Na Bhatakte Hum Gar Pehle Ye Khabar Hoti,
Ke Milne Wo Humse Aaj Sar-E-Shaam Aayega,

Giraftar Hai Usi Sehra Mein Aaj Bhi,
Jahan Waade Nibhane Ka Phir Se Paigam Aayega,

IshQ Ki Majbooriyan Aisi Bhi Nahi Hoti,
Phir Nibha Karna Kyon Use Yaad Aayega,

Jaane Kis Majhdhar Mein Ghiri Hoon
Lagta Hai Phir Se Zalim Toofan Aayega,

Na Dilao Yaad Hamein Wo Bebasi Ka Alaam,
Warna Wo Yaad Mujhe Baar Baar Aayega...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 79 80 81 82 [83] 84 85 86 87 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 02:29:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer