Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 273
Print
Author  (Read 133035 times)
angel4u
Guest
«Reply #1245 on: April 30, 2007, 05:58:36 PM »

Hamesha Muskura Ke Aansu Ko Chhupaya,
Gam Ko Chhupane Ka Yehi Rasta Nazar Aaya,

Kis Kis Ko Batate Behte AshQon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil Dil Mein Kisne Jagaya,

Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha,
Rakha Dilpe Pathar To Khud Ko Sajaya,

Baat Be Baat Apni Aahein Daba Kar,
Yaaron Ke Darmiyan Kis Qadar Muskuraya,

Na Thi Chah Kabhi Mujhe Mankashi Ki,
Jaam-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,

Kya MuQaddar Se Shikwa Karte Rahe,
Jo Qismat Mein Tha Wohi Kuch To Paya,

Ye Kis Mod Pe Aagayi Hai Ummidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,

Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairone Aakar Gale Se Lagaya,

Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadan Pe Khanjar Kisne Cahlaya,

Shab-E-Roz Chahat Sila Ye Hai Shaiki,
Dilke Tukde Hue Wo Chunne Na Aaya,

Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1246 on: April 30, 2007, 06:02:25 PM »

Hawaon Uski Gali Se Guzro To Usko Mera Salam Kehna
Mujhe Kahbar Hai Ke Mere Ghar Se
Guzarne Wali Hawa Ka Rasta
Tumhare Ghar Tak Nahi Gaya Hai,
Salaam Mera Tumhare Knon Se Naarsa Hai,
Main Jaanta Hoon Hai Ye Bachpana,
Magar HaQeeQat Ko Jaan Kar Bhi Na Janne Mein Ajab Maza Hai,
Hawa S Emaine Ye Phir Kaha Hai,
Guzar Rahe Hai Tumhari Yaadonke Dam Se Hi Subah Shaam Kehna,
Hawao Uski Gali Se Guzro To Mera Salaam Kehna,
Hawa Ke Rukh Ki Kise Khabar Hai,
Tumhare Ghar Ka Kise Pata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1247 on: April 30, 2007, 06:04:08 PM »

Majboor Ye Halaat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Tanhayi Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Kehne Ko Bahut Kuch Hai Magar Kisse Kahe Hum,
Kab Tak Yunhi Khamosh Rahe Aur Sahe Hum,
Dil Kehta Hai Duniyaki Har Ek Rasm Utha De,
Deewar Jo Hum Dono Mein Hai Aaj Gira De,
Kyon Dil Mein Sulagte Rahe Logon Ko Bata De,
Haan Humko Mohabbat Hai, Mohabbat Hai, Mohabbat Hai,
Ab Dil Mein Yehi Baat, Idhar Bhi Hai Udhar Bhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1248 on: April 30, 2007, 06:06:03 PM »

Humne Kuch Is Tarahse Mohabbat Ki Hai,
Ke Mohabbat Mein Tumhari Parastish Ki Hai,

Tumhare Bagair Zindagi Ka Koi Tasavvur Nahi,
Maine Kuch Is Tarah Se Tumhari Tamanna Ki Hai,

Hamare Darmiyaan Phail Rahi Sadiyon Ki Khamoshiyan,
Maine Tumse Kuch Is Tarah Guftugu Ki Hai,

Mere Dil Mein Bas Jao Tum Rooh-O-Mohabbat Banke,
Maine Dilki Gehrayi Se Ye Iltejaa Ki Hai,

Tumhare Milne Se Pehle Main Khud Se Na-Aashna Thi,
Samjha Hai Pyar Ko Jabse Mohabbat Ki Hai,

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tumhi Se Hai Wabasta,
Maine RAB Se Tumhe Paane Ki Dua Ki Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1249 on: April 30, 2007, 06:07:06 PM »

Teri Judayi Mein Kya Kya Dikhayi Deta Hai,
Kahin Pe Tum Kahin Pe Tum Sa Dikhayi Deta Hai,

Zamana Ho Gaya Aise Kisi Safar Mein Hai,
Ke Ab Na Mod Na Raasta Dikhayi Deta Hai,

Ulajh Rahe Hai Bahut Mujhse Mere Paanv Ki Gard,
Qadam Qadam Pe Tamasha Dikhayi Deta Hai,

Ajeeb WaQt, Suno, Aa Pada Hai Suraj Par,
Tuloo Hota Na Talta Dikhayi Deta Hai,

Yeh Meri Aankhein Nahi Dusron Ki Aankhein Hai,
Andhera Hai Par Ujala Dikhayi Deta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1250 on: April 30, 2007, 06:08:37 PM »

Dekh Lo Khwab Magar Khwab Ka Charcha Na Karo,
Log Jal Jayenge Suraj Ki Tamanna Na Karo,
Khwab Bachhon Ke Khilone Ki Tarah Hote Hai,
Khwab Dekha Na Karo, Khwab Dikhaya Na Karo,
Bekhayali Mein Kabhi Ungliyan Jal Jayegi,
Rakh Guzre Huwe Lamhon Ko Kureda Na Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1251 on: April 30, 2007, 06:31:53 PM »

Hamein Koi Dhoka De Uska Gam Hamein Nahi,
Badnaseeb Hai Wo Jiske Naseeb Mein Hum Nahi,

Gam Mein Agar Gam Ho To Koi Gam Nahi,
Khushi Mein Agar Gam Ho To Qayamat Se Kam Nahi,

Hazaro Khushiyan Kam Hoti Hai Ek Gam Bhulane Ke Liye,
Ek Gam Kafi Hota Hai Zindagi Bhar Tadpane Ke Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1252 on: April 30, 2007, 06:32:47 PM »

Log Jab Chale Jaate Hai,
Kaun Kehta Hai Yaadein Chhod Jaate Hai,

Wo To Aadhi Adhuri Baatein Chhod Jaate Hai,
Kuch Kisse Jo Hum Dohrate Hai,

Kuch Ankahi Sun Jaate Hai,
Kuch Ansuni Keh Jaate Hai,

Pichhe Mud Kar Dekne Ka Wada To Karte Hai,
Jaane Kab Tak Is Waade Ko Nibha Paate Hai,

WaQt Ki Chadar Par Chadar Padti Jaati Hai,
Aur Ek Din Ye Chehra Dhundla Se Jaate Hai,

Gar Mil Bhi Jaye Barso Baad,
Jaante Hue Bhi Ye Chehre Pehchan Nahi Paate Hai,

Isliye Puchhti Hoon Main Jab Chale Hi Jaana Hai Sabko,
To Kyon Kareeb Hamare Aate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1253 on: April 30, 2007, 06:33:37 PM »

Dekha Tumne Mohabbat Ka Dastoor
Tu Mujhse Aur Main Tujhse Door,

Tanhaiya MuQaddar Ban Gayi Hai Hamari,
Aur Dil Hai Ke Zakhmon Se Choor,

Apna Gam Hum Aksar Bhul Jaate Hai,
Jaise Dikhte Hai Hum Majboor,

Meri Dhadkan Kehti Hai Mujhse,
Wo Milne Tujhse Kabhi Aayega Zaroor,

Koshish Karte Raho Ummid Na Chhodna,
Wohi Hoga Jo Khuda Ko Hai Manzoor...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1254 on: April 30, 2007, 06:34:39 PM »

Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,
Dono Insaan Haan Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Jafa Ki Main Wafa Ki Raah Par Hoon Kamzan,
Pichhe Mud Kar Dekhta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Mujhe Main Tujhe Ilzaam Deta Hoon Har Dam,
Apne Man Mein Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Maslihat Ne Kar Diya Dono Mein Paida Iktilaf,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Badgumani Saher Mein Kisne Phaila Di Jab Ke,
Ek Dusre Se Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Jaane Mohsin Tu Bhi Tha Ziddi Ana Mujh Mein Bhi Thi,
Dono Kud Ser The Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1255 on: April 30, 2007, 06:35:41 PM »

Yaad Hai Ek Din
Mere Mez Par Baithe Baithe
Cigrette Ki Dibiya Par Tumne
Chhote Se Ek Podhe Ka
Ek Sketch Banaya Tha,
Aakar Dekho
Us Paudhe Par Phool Aaya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1256 on: April 30, 2007, 06:36:38 PM »

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sake Mere Khadokhal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Garaz Hai Na Hi Wasta,
Mere Dilpe Haath Rakho Zara Meri Dhadkano Ko Qarar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir Ke Ho FiQr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Ise Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Aut Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utar Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1257 on: April 30, 2007, 06:37:50 PM »

Wo Meri Zaat Ka Hissa
Meri Sochon Ka Mehwaar Hai,
Wo Mere Dil Mein Rehta Hai,
Mere Khwabon Ka Paykar Hai,
Main Usko Bhul Jaun,
Bas Yehi Ek Baat Mushkil Hai,
Wohi To Zindagi Ka Ek Chirag-E-Munavvar Hai,
Main Jab Ye Sochti Ho
Ke Wo Mujhko Bhul Jayega,
To Dil Kehta Hai Ke Tu Wo Hai Jo Ulfat Se Hi Munkir Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1258 on: April 30, 2007, 06:39:31 PM »

Shola Hoon Bhadakne Ki Ijazat Nahi Rakhta,
Aazad Parinda Hoon Magar Par Nahi Rakhta,

Ikhlaas Ke Aage To Mite Jaan-O-Jigar Bhi,
Insaan Ke Pairon Mein Magar Sir Nahi Rakhta,

Gairon Ke Liye Hoon Main Shamsheer-E-Barehna,
Apno Se Kio Bugz Sarasar Nahi Rakhta,

Jab Hirs Ke Phande Mein Phansein Apne Paraye,
In Sab Ke Liye Deeda-E-Tar Main Nahi Rakhta,

Haan Jisne Diye Mujhko Kharabat Ke Tohfe,
Ab Uske Liye Laal-O-Gohar Main Nahi Rakhta,

Kuch Aapke Ulfat Mein Giraftar Hai Aise,
Samjhe Ho Koi Teer-E-Nazar Main Nahi Rakhta,

Seene Se Lagaya Hai Kabhi Baal Sanware,
Kya Khoob Kaha Teri Khabar Main Nahi Rakhta,

Samjho  Mujhe Majnu Kaho Faryad Ya Kuch Aur,
Veeran Magar Khana-E-Dil Main Nahi Rakhta,

Waiz Hoon Magar Sath Mere Ho Kabhi SaaQi,
Main Daman-E-Bedagh Bacha Kar Nahi Rakhta,

Apno Se Kabhi Door Na Ho Payega SAAHIL,
Itni Bhi Khabar Aye Mere Dil Tu Nahi Rakhta..
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1259 on: April 30, 2007, 06:40:44 PM »

Mohabbat Kitabyat Mein Ya Kaisa Bachpan Qudrat Ne Rakha Hai,
Ke Ye Jitni Bhi Purani Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye,
Ise Taide Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,
YaQeen Ki Aakhri Had Tak Dilon Mein Lehlehati Ho,
Nigahon Se Tapakti Ho Lahoon Mein Jagmagati Ho,
Hazaron Tarah Ke Dilkash Haseen Haale Banati Ho,
Use Izhar Ke Lafzon Ki Hajat Phir Bhi Rehti Hai,
Mohabbat Mangti Hai Yun Gawahi Apne Hone Ki,
Ke Jaise Tifle Sada Shaam Ko Ek Beej Boi Aur Shab Mein Badha Uthe,
Zameen Ko Khud Kar Dekhe Ke Paudha Ab Kahan Tak Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
Ke Yaya IQraar Ke Lafzon Ko Sunne Se Nahi Thakti,
Bichhadne Ki Ghadi Ho Ya Koi Milneki Saat Ho,
Use Bas Ek Hi Dhun Hai Kaho Mujhse Mohabbat Hai Kaho Mujhse Mohabbat Hai Tujhe Mujhse Mohabbat Hai,
Samundar Se Kahin Gehri Sitaron Se Siwa Roshan,
Pyaron Ki Tarah Qaim Hawaon Ki Tarah Daim,
Zameen Se Aasman Tak Jis Qadar Achhe Manzar Hai,
Mohabbat Ke Kinare Hai Wafa Ki Istaray Hai,
Hamare Waste Ye Chandni Raatein Sanwarti Hai,
Sunehra Din Nikalta Hai Mohababt Jis Taraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai,
Kuch Aise Besakooni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein,
Jo Ehle Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai,
Ke Jaise Phool Mein Khushbu Jaise Haath Mein Pada Ke Jaise Shaam Ka Tara...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 80 81 82 83 [84] 85 86 87 88 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 01:55:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer