Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 273
Print
Author  (Read 133042 times)
angel4u
Guest
«Reply #1260 on: April 30, 2007, 06:42:00 PM »

Logon Ka Sataya Insaan Jangal Chala Manane Sog,
Veerane Mein Tikne Na Dein Aa Pahuche Satane Log,

HaQ Jataye Baithe Hai Jo Ilm-O-Hunr Ke Masnand Par,
Deewane Ko Pathar Marein Khudko Kahein Sayane Log,

Is Basti Mein Aa Kar Humne Dekhi Ek Neerali Reet,
Pehle Dar-E-Dil Diya Phir Aaye Dil Behlane Log,

Do Takon Ke Khatir Yahan Amol Armaan Bike,
Hirs-O-Hawas Ki Mehfil Mein Duniya Shama Parwane Log,

Chullu Bhar Aab Na Dala Sab Tamasha Karte Rahe,
Aashiyan Mein Kuch Na Bacha To Aaye Aag Bujhane Log,

Tan Maile Ko Malmal Dhoyein Khushbudar Sabun Se,
Man Mein Paap Ki Jamna Leke Ganga Chale Nahane Log,

Ho Gaye Nazron Se Ojhal To Yaad Lagi Tadapne,
Bich Mohalle Rehta Tha To The Kaise Begane Log,

Jeete Jee Haal Na Puchha Jis Hamsaye Ka Barson Se,
Mar Gaya To Daude Aaye Mujhko Dafnane Log...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1261 on: April 30, 2007, 06:42:57 PM »

FurQat Mein Tere Pyar Ka Ghar Jalne Laga Hai,
"Aa Jaa Ke Mere Dil Ka Nagar Jalne Laga Hai",

Is May Se Bhale Dil Ki Agan Bujhne Lagi Ho,
Par Ye Bhi HaQeeQat Hai Jigar Jalne Laga Hai,

Mausam Ko Nahi, IshQ Ne Badla Hai Mujhi Ko,
Thanda Hai Na Sooraj Na Qamar Jalne Lagi Hai,

Hai RashQ Mein Ab Gair Inaayat Pe Tumhari,
Jo Daag Idhar Tha Wo Udhar Jalne Laga Hai,

Pathraya Koi Muntazir-E-Deed Hi Shayad,
Jhopdi Mein Diya Shaam-O-Sheher Jalne Laga Hai,

Shola Hai Jo Andar Wo Qalam Tak Nahi Aata,
Kis Aag Mein Mera Hunar Jalne Laga Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1262 on: April 30, 2007, 06:43:51 PM »

Kayi TareeQ Chehre Hai,
Jinhe Main Bhool Sakta Tha,
Unhe Main Bhool Bhi Jaata,
Agar
Mere Zehen Ka Ye Khala Pur Ho Chuka Hota,
Meri Kuchli Hui Khudariyon Ke Nakhl,
Phir Se Sabz Ho Jaate,
Agar
Main Aap Hi Apni Shikaston Ka
Sabab Bankar Na Reh Jaata,
Agar
Sabke Ravaiyon Se,
Mujhe Ye Baar Baar,
Ehsaas Na Hota,
Ke Meri Shakhsiyat Hi Namukammal Hai,
Adhuri Shakhsiyat Meri
Adhuri, Zindagi Ki Har Kahani Hai,
Wo Chahe Daastan-E-IshQ Ho,
Ya Daastan-E-Gam,
Wo Gam Chahe Judayi Ka Ho,
Ya Chahe Gam-E-Dauraan,
Gam-E-Dauran Ho Ya Chahe Gam-E-Deen Ho,
Sabhi Kuch Namukammal Hai,
Main Kya Tha
Aur Na Jane Main Kya Banta
Magar Tareek Se Chehron Ki Zehreeli
Adaon,
Kaavishon Ne,
Haif! Mujhko Kya Bana Dala,
Main Un Tareek Chehron Ko,
Bhula Sakta Tha Yaaron
Aur Main Ab Tak To Unko Bhool Bhi Jaata
Magar............
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1263 on: April 30, 2007, 06:45:29 PM »

Mohabbat Ka Wajood Mujhko
Saraab Lagne Laga Tha Yaaron,
Par Us Sitamgar Ne Jaate Jaate
Palat Ke Dekha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1264 on: April 30, 2007, 06:46:40 PM »

WO Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai,
Hans Ke Bole Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hai,

Aur Kuch Der Na Bujhne De Isse Rab-E-Sahar,
Doobta Chand, Mera Dast-E-Dua Lagta Hai,

Jisse Munh Fer Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujde Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai,

Ab Ke Saawan Mein Bhi Zardee Na Gayi Chehron Ki,
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai,

Sheher Ki Bhid Mein Kholte Hai Kahan Uske Nakoosh,
Aao Tanhayi Mein Sochein Ke Wo Kya Lagta Hai,

Munh Chhupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaabse Aaj,
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai,

Ab To Mohsin Ke Tasavvur Mein Utar Rab-E-Jaleel,
Is Udaasi Mein To Pathar Bhi Khuda Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1265 on: April 30, 2007, 06:47:33 PM »

Ye Mere Halaat Ka Zikr
Meri Meri Aankhon Ka Charcha,
Kabhi Be Sabab Shor Barpa,
Yaron Mian Mara Nahi,
Bus Zindagi Haar Baitha Hoon,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1266 on: April 30, 2007, 06:49:44 PM »

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Jeena Bahut Dushwar Lagta Hai,
Maahol Sogwar Lagta Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ek Pal Chain Se Nahi Guzarta
Dil-E-Wehshi
Teri Aas Lagaye Baithe Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ye Duniya Veeran Lagti Hai
Har Pal Har Ghadi
Bejaan Lagti Hai

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ab Zindagi Zindagi Nahi Lagti
Ek Dard Ka Toofan Lagti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1267 on: April 30, 2007, 06:51:00 PM »

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Band Tha Wo Khamoshi Ki Zindaan Mein
Jis Mein Dar Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Mein Aaya Ke Uski Ye Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Dun Use,

Usse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Wo Meri Baat Par Soch Mein Pad Gaya,
Apne Maazi Ka Dar Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Wo Ye Samjha Ke Uske Andheron Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Irade Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Maine Usse Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Wo Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Mein Is Qadar Kho Gaya,

Uski Khamoshiyion Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyon Ka Nagar,
Aur Main Apni Majbooriyon Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Main, "Har Pari
Umar Bhar Yun Pari Banke Reh Jaye To
Dolti Hai Nazar Uspe Har Dev Ki,
Aur Nazar Wo Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan Pari Ka Jala Kar Tale,
Uski Khushiyon Ki Aur Raahaton Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le Lun, Tum Hi Ab Kaho?

Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chunna Pada
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har Pari Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke Ladki Piya Sang Jaana Pada,

Maine Usse Phir Us Din Kuch Aise Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Usnep Uchha, "Wo IQraar-O-Ehd-E-Wafa,
Kya Hue, Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhuth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Kitna Hairan Hua Hoga Wo Sunkar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karungi Khuda Se Dua,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gam Kabhi,

Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke Mile Aur Mil Kar Bichhad Jaye Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1268 on: April 30, 2007, 06:52:14 PM »

Aaj Koi Hai Udaas, Bahut Dukh Hua,
Aaj Koi Hai Naraz, Bahut Dukh Hua,
Jaate Hue Zindagi Se Dil Lagana, Bahut Dukh Hua,
Na Jaate Hue Ko Chhod Jana, Bahut Dukh Hua,
Humne To Banaya Tha Dilse Rishta,
Ek Pal Mein Gair Keh Jana, Bahut Dukh Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1269 on: April 30, 2007, 06:54:17 PM »
Usne Mere Seene Pe Sar Rakhke Puchha,
Jaana! Apne Jeevanka Wo Lamha To Batao,
Jiske Badle Mil Sakte Hai Sabhi Taare,
Dariyaon Ke Saare Moti,
Sawan Ki Pehli Barish Ke Saare Qatre,
Ujle Chand Ki Sari Kirnein,
Dharti Ke Seene Se Lipte Sabhi Khazane,
Saare Mausam Sabhi Duwayien,
Phoolon Ki Rangeen Qabayein,
Patti Patti Padne Wali Bheni Khushbu,
Ism-E-Azam,
Usne Mere Seene Pe Sar Rakhkar Mujhse Puchha,
Jaana! Apne Jeevan Ka Wo Lamha To Batao Mujhko,
Jiske Badle Sab Kuch Apna, Sab Kuch, Sab Kuch.....
Apna Sab Kuch De Sakte Ho.....
Maine Uska Matha Chuma Aur Kaha CHUP
Aaj Pehli Baar Tumne Apna Sar Mere Seene Par Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1270 on: April 30, 2007, 06:55:25 PM »

Main Apne Dil Hi Dil Mein Rota Rehta Hoon,
Tumko Kya Kya Maalom
Main Siskiya Sanse Nimi Nimi Aahein Bharta Rehta Hoon,
Tumko Kya Malum Main Tumko Chahta Hoon
Tum Ko Kya Malum Main Zinda Hoon Lekin Murda,
Tumko Kya Malum Main Bikhre Rangon Ki Manind Hoon
Tumko Kya Maulm...
* * * * *

Neend Nahi Ati Hai Chain Nahi Aata Hai,
Dilko Qaraar Nahi,
Kaisi Khumari Hai Haal Mera Kaisa Hai,
Samjhega Yaar Nahi,

Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,

Baadal Garja Bijli Chamki Barish Bhi Thi Tez Toofani,
Chhed Rahi Thi Sard Hawayein Dil Mein Aati Thi Shaitani,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,

Har Aahat Pe Aisa Laga Ke Mera Sona Dilbar Aaya,
Kaise Kahan Kab Tumse Milun Main Socha Par Main Mil Nahi Paya,
Haay Tera Naam Likh Likh Ke Mitati Rahi,
Haay Tera Naam Likh Likh Ke Mitati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Haay Pal Pal Meri Jaan Jaati Rahi,
Haay Kitna Mujhe Tadpaati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Saari Raat Teri Yaad Mujhe Aati Rahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1271 on: April 30, 2007, 06:56:41 PM »

Wo Hai Manind-E-Sung To Main Sung Tarash Ban Jaun,
Chahun Use Itna Ke Pathar Bhi Devta Ban Jaye,

Main Hoon Jahan-E-Wafa Main Us Urooj Par Mutayyan
Jo Tera Naam Le Ke Jiye Tere Naam Pe Mar Jaye,

Ho Aisi Kashish Meri Chahat Mein Ke Use Har Bandhan Se Azad Karun,
Wo Laut Aaye Har Baar Magar Aur Mera Ban Jaye,

Ho Shiddat Aisi Ke Mujhe Hi Kya Mere Aks Ko Bhi Tera Khayal Ho,
Main Jo Aayna Dekhun Kabhi Mujhe Khud Par Bhi Tera Guman Ho Jaye,

Mera IshQ Ho IshQ Ki Us Manzil Par Ke Khud IshQ Tadap Uthe,
Main Tujhe Nazar Bhar Ke Dekhun Hi Kya Meri Aankh Bhar Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1272 on: April 30, 2007, 06:57:35 PM »

Jiske Jhankar Mein Dil Ka Aram Tha, Wo Tera Naam Tha,
Mere Hothon Pe RaQsan Jo Naam Tha, Wo Tera Naam Tha,

Tohmatein Mujhpe Aate Rahe Har Ek Ki, Ek Se Ek Ne
Khubsurat Magar Jo Ek Ilzaam Tha, Wo Tera Naam Tha,

Dost Jitne The Na Aashan Hog Aye Parsa Ho Gaye,
Saath Mere Jo Ruswa Sar-E-Aam Tha, Wo Tera Naam Tha,

Subah Se Shaam Tak Jo Mere Pasa Thi Wo Teri Yaad Thi,
Shaam Ke Baad Jo Kuch Lab A Bam Tha Wo Tera Naam Tha,

Mujhpe Qudrat Hamesha Rahe Meherbaan, De Diya Sara Jahan,
Par Jo Sab Se Bada Naam Tha, Wo Tera Naam Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1273 on: April 30, 2007, 06:58:25 PM »

Hogayi Hoon Main Pagal Haan Tere Liye,
Tere Bin Dil Bechara Ye Kaise Jiye,
Maine Kho Ke Hai Chain Payi Tujhme Khushi
Tu Bana Jaane Jaana Meri Zindagi,
Wo Pehli Baar Jab Hum Mile,
Hogaye Shuru Ye Silsile,
Hogaya Ye Dil Deewana,
Hota Hai Pyar Kya Humne Jaana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1274 on: April 30, 2007, 07:00:09 PM »

Besabab Koi Kisike Liye Marta Nahi,
Bewajah Koi Kisiko Yaad Karta Nahi,

Kisiki Yaad Mein Bhi Wajah Koi,
Raat Raat Bhar Dard Ki Aahein Bharta Nahi,

Zaroor Koi To HaQeeQat Hogi Warna,
Tanhayi Mein Koi Kisiko Yaad Karta Nahi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 81 82 83 84 [85] 86 87 88 89 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 04:44:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer