Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 82 83 84 85 [86] 87 88 89 90 ... 273
Print
Author  (Read 131548 times)
angel4u
Guest
«Reply #1275 on: April 30, 2007, 07:01:02 PM »

Ye Raaz Hai Meri Zindagi Ka,
Pehne Hue Hoon Kafan Khudi Ka,

Phir Nashtar-E-Gam Se Chhedte Hai,
Ek Tarz Hai Ye Bhi Dil Dahi Ka,

O Lafz-O-Bayaan Main Chhupane Wale,
Ab Qasd Hai Aur Khamoshi Ka,

Marna To Hai Ibteda Ki Ek Baat,
Jeena Hai Kamaal Muntahi Ka,

Haan Seena Gulon Ki Tarah Har Chaak,
De Marke Saboot Zindagi Ka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1276 on: April 30, 2007, 07:02:40 PM »

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai,
Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai,
Kahin Ek Haseen Sa Khwab Hai,
Kahin Jaanleva Azaab Hai,

Kahin Aansu Ki Hai Daastan,
Kahin Muskurahaton Ka Bayan,
Kayi Chehre Ispe Chhupe Hue,
Ek Ajeeb Si Ye NaQaab Hai,

Kahin Kho Diya
Kahin Paa Liya,
Kahin Ro Liya,
Kahin Gaa Liya,
Kahin Chhin Leti Hai Har Khushi,
Kahin Meherbaan Behisaab Hai,

Kahin Chhaanv Hai,
Kahin Dhoop Hai,
Kahin Aur Hi Koi Roop Hai,
Kahin Barkaton Ki Hai Baarishein,
Kahin Tashnagi Behisaab Hai...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1277 on: May 03, 2007, 10:16:11 PM »
Bohat khoob Angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1278 on: May 05, 2007, 05:45:05 PM »
Thanks Aryaan Usual Smile


Jab Kabhi Tum
Tanha Ho To
Sirf Ek Lamhe Ko
Ye Sochna Ke
Mere Jaisa Zarf
Tum Mein Bhi Maujood Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1279 on: May 05, 2007, 05:49:03 PM »

Zindagi Tum Ho,
Log Kehte Hai Ajnabi Tum Ho,
Ajnabi Meri Zindagi Tum Ho,
Dil Kisi Aur Ka Na Ho Paya,
Aarzu Meri Aaj Bhi Tum Ho,
Mujhko Apna Sharik-E-Gam Kar Lo,
Yun Akele Bahut Dukhi Tum Ho,
Doston Se Wafa Ki Ummidein,
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho,
Main Zameen Pe Ghana Andhera Hoon,
Aasmano Ki Chandni Tum Ho,
Log Aate Hai Log Jaate Hai,
Meri Aankhon Mein Aaj Bhi Tum Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1280 on: May 05, 2007, 05:51:59 PM »

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye,
Ke Manzil Door Ho Aur Raaste Mein Shaam Ho Jaye,

Wohi Naala Wohi Nagma Bas Ek Tafriti Lafzi Hai,
Qafas Ko Muntashir Kar Do, Nasheman Naam Ho Jaye,

Ye Aalam Ho To Inko Behijabi Ki Zaroorat Kya,
NaQab Uthne Na Paye Aur Jalwa Aam Ho Jaye,

Ye Mera Faisla Hai Aap Mere Ho Nahi Sakte,
Main Jab Jaano Ke Ye Jazba Mera Nakaam Ho Jaye,

Abhi To Dil Mein Bahut Halki Si Khalish Mehsoos Hoti Hai,
Bahut Mumkin Hai Kal Iska Mohabbat Naam Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1281 on: May 05, 2007, 05:55:15 PM »

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,
Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai,

Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,
Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,

Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,
Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

Har Taraf Uska AQs Hai Ab To,
Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,

Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,
Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1282 on: May 05, 2007, 06:03:30 PM »

Agar Mohabbat Meri Sachi Hai To Ek Din Zaroor Mila Degi,
Agar Zid Meri Pakki Hai To Aye Khuda Aasman Ko Bhi Hila Degi,

Na Inkaar Kar Sakta Hai Koi Meri Wafa Se, Mujhe Yakeen Hai,
Par Tum Sambhalna Ek Din Meri Wafa Tujhe Bewafayi Ka Sila Degi,

Ye Baat Sach Hai Ke Tumne Humse Pyaar Kiya Par Dusre Hi Pal Bhula Diya,
Mera Pyaar Itna Aasan Na Tha Na Socha Tha Ke Teri Mohabbat Daga Degi,

Na Bhula Sakungi Wo Mohabbat Na Wo Bewafayi Jo Tune Ki,
Saza Isse Badhke Kya Degi Ke Umar Bhar Meri Mohabbat Tujhe Dua Degi,

Agar Dam Hai Meri Wafa-E-Mohabbat Mein To Wo Ek Din Ayega Zaroor,
Jab Meri Yaad Mein Tu Tadpega Par Tab Tujhe Apni Mohabbat Na Degi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1283 on: May 05, 2007, 06:04:52 PM »

Aankh Jab Band Kiya Karte Hai,
Zinda Aap Hua Karte Hai,

Aap Jaisa Hi Mujhe Lagta Hai,
Sapno Mein Jisse Mila Karte Hai,

Tu Agar Chhod Ke Jaata Hai To Kya,
Haadse Roz Hua Karte Hai,

Naam Unka Na Koi Unka Pata,
Log Jo Dil Mein Raha Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1284 on: May 05, 2007, 06:07:04 PM »

Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi,
Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi,

Ab Agar Mel Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi,
Baat Todi Bhi Nahi Tumne Banayi Bhi Nahi,

Ye Sahara Bhi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye,
Tum Agar Meri Nahi Ho To Parayi Bhi Nahi,

Mere Dilko Na Saraho To Koi Baat Nahi,
Gair Ke Dil Ko Sarahogi To Mushkil Hogi,

Tum Haseen Ho, Tumhe Sab Pyar Karte Honge,
Main Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge,

Sabki Aankhon Mein Isi ShoQ Ka Toofan Hoga,
Sab Ke Seene Mein Yehi Dard Ubharte Honge,

Mere Gam Mein Na Karraho To Koi Baat Nahi,
Aur Ke Gam Mein Karrahogi To Mushkil Hogi,

Phool Ki Tarah Hanso Sabki Nigahon Mein Raho,
Apni Masoom Jawani Ki Panahon Mein Raho,

Mujhko Wo Din Na Dikhana, Tumhe Apni Hi Kasam,
Main Tarasta Rahoon Tum Gair Ki Baahon Mein Raho,

Tum Jo Mujhse Na Nibhao To Koi Baat Nahi,
Kisi Dusham Se Nibhaogi To Mushkil Hogi,

Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Hogi,
Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1285 on: May 05, 2007, 06:09:08 PM »

Sochta Hoon Ke Use Nind Bhi Aati Hogi,
Ya Meri Tarah FaQt AshQ Bahati Hogi,

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulne Wali,
Meri Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,

Is Zameen Pe Bhi Hai Sailab Mere Ashkon Se,
Mere Maatam Ki Sada Arsh Hilati Hogi,

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Ke Shamayein,
Apni Palkon Pe Kayi Khwaab Sulati Hogi,

Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Libaas,
Ab Moharram Ki Tarah EID Manati Hogi,

Jab Bhi Zulfon Mein Koi Phool Sajati Hogi,
Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali,

Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,
Dilki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hogi,

Joon Hi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi,
Roop Dekar Mujhe Us Mein Kisi Shehzade Ka
Apne Bachhon Ko Kahani Sunati Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1286 on: May 05, 2007, 06:11:45 PM »

Mujhe Likhna Agar Aata,
To Likhta Teri Aankhon Par,
Bahut Kuch Likhna Chahun Main,
Teri Aankhon Ki Palkon Par,
Teri Aankhon Ki Shokhi Par,
Tere Naino Ke Kajal Par,
Ke Jab Tu Baat Karti Hai,
Tere Honthon Ki Jumbish Par,
Teri Lehrati Zulfon Par,
Ke Kab Tu Muskurati Hai,
Goya Phool Khilte Hai,
Ke Jab Tu Aankh Uthati Hai,
To Dil Rukne Sa Lagta Hai,
Ke Jab Tu Apne Baalon Mein
Koi Gajra Sajati Hai,
Fazayein Gungunati Hai,
Main Apne Dilke Jazbon Ko,
Tumhare Naam Karta Hoon,
Mujhe Likhna Agar Aata To,
Likhta Teri Aankhon Par,
Magar
Main Kya Karun,
Mujhe Likhna Nahi Aata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1287 on: May 05, 2007, 06:13:14 PM »

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai,
Saaya Bhi Chhupta Jaata Hai,

Aisi Hi Muskaan Tumhari,
Guncha Jaise Khil Jaata Hai,

Zakhm Laga Ke Wo Kehte Hai,
Bol Re Sajan Tu Kaisa Hai?

Baatein Kar Imroz Ki Pyaare,
Chhod De Usko Jo Farda Hai,

Is Duniya Mein Ulfat Dhunde,
Kuch Kuch Diwana Lagat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1288 on: May 05, 2007, 06:17:09 PM »

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta,
Shaakh Se Toot Kar Gira Patta,

Zard Roo Sa Muda Tuda Patta,
Aye Aandhi Hua Hawa Patta,

Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta,
Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta,

De Slaa Rabt Pair Se Rakhna,
Fasl-E-Gul Ka Yeh Gamzada Patta,

Besaharon Ki Zindagi Jaise,
Pair Ke Saaye Mein Pada Patta,

Hum Bhi Ra'na The Yun Kabhi,
Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1289 on: May 05, 2007, 06:19:45 PM »

Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De,
Mere Baazu Meri Aankhein Mera Chehra Laa De,

Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samundar Mein Gire,
Isse Behtar Hai Ke Mujhko Mera Sehra Laa De,

Kuch Nahi Chahiye Tujhse Meri Aye Umr-E-Rawan,
Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudiya Laa De,

Jiski Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Padh Sakti Ho,
Koi Chehra To Mere Sheher Mein Aisa Laa De,

Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kayi Barso Se,
Aye Khuda Ab To Dubo De Ya Kinara Laa De...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 82 83 84 85 [86] 87 88 89 90 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 10:41:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer