Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 83 84 85 86 [87] 88 89 90 91 ... 273
Print
Author  (Read 131556 times)
angel4u
Guest
«Reply #1290 on: May 05, 2007, 06:21:33 PM »

Ye Kya Ke Har Dam Kisi Ki Minnatein Karna,
Kya Isi Ko Kehte Hai Mohabbatein Karna,

Jo Apni Qismat Mein Hai Milega Wohi,
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shikayatein Karna,

Ye Pagalpan Nahi To Aur Kya Hai Phir,
Zameen Ke Hokar Aasman Se Bagawatein Karna,

Bahut Kar Chuka Hai Logonse Pyaar Ye Dil,
Ab Koi Sikhaye Isko Bhi Nafratein Karna,

Pehle Yaad Karna Use Phir Rote Rehna,
Jaane Kab Chhodega Dil, Ye Harkatein Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1291 on: May 05, 2007, 06:24:01 PM »

Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo,
Bahut Bada Hai Safar Thodi Door Saath Chalo,

Tamaam Umr Kahan Koi Saath Deta Hai,
Main Jaanta Hoon Magar Thodi Door Saath Chalo,

Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi Tumhe Bhi Hosh Nahi,
Bada Maza Ho Agar Thodi Door Saath Chalo,

Ye Ek Shab Ki MulaQat Bhi Ganimat Hai,
Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo,

Abhi To Jaag Rahe Hai Chirag Raahon Ke,
Abhi Hai Door Sheher Thodi Door Saath Chalo,

Tavaf-E-Manzil-E-Jaana Hume Bhi Karna Hai,
'Faraz' Tum Bhi Agar Thodi Door Saath Chalo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1292 on: May 05, 2007, 06:25:42 PM »

Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Sannata Hi Gunj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Mera Maazi Mujhse Bichhad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai,
Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Sahara Sahara Kab Tak Main Dhundun Ulfat Ka Ek Alam,
Alam Alam Ek Sahara Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Ahl-E-Toofan Soch Rahe Hai Saahil Dooba Jaata Hai,
Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1293 on: May 05, 2007, 06:28:41 PM »

Na Sawal Banke Mila Karo Na Jawab Banke Mila Karo,
Meri Zindagi Mere Khwaab Hai Mujhe Khwab Banke Mila Karo,

Har Ek Shaam Ko Mere Doston Na Azab Banke Mila Karo,
Mujhe Mehgadeh Mein Milo Agar To Sharab Banke Mila Karo,

Mujhe Achhe Log Bahut Mile Main To Unke Qarz Se Mar Gaya,
Gar Ho Sake To Kabhi Kabhi To Kharab Banke Mila Karo,

Abhi Sochna Hai To Soch Lo Hamein Chhodna Hai To Chhod Do,
Naye Mausamon Mein Milo Mujhe To Gulab Banke Mila Karo,

Na To Is Tarah Se Mila Karo Na To Us Tarahse Mila Karo,
Haan Hazoor Banke Mila Karo Haan Janaab Banke Mila Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1294 on: May 05, 2007, 06:30:56 PM »

Ab Phool Khilein Ya Na Khile,
Tu Saath Chale Ya Na Chale,

Sooraj Ki Suoyaoon Ki Tarah,
Khwabon Ke Sirabon Ki Tarah,

Zindagi Shart Hai,
Ab Main Samjha Ke Tere Lams Ki Nisbat Janan,

Dilpe Wo Aankhon Ki Gulabi Ka Nasha Achha Tha,
Tune Samjha Main Tere Rang Chura Lunga Sabhi,

Mere Pindar Se Wo Tera Gila Achha Laga,
Jhulmilate Hue Har Shaam Ke Durahe Par,

Maine Dekha Hai Tujhe Chand Sitaron Ki Tarah,
Maine Chaha Hai Bas Itna Aye Mere Jaan-E-Jahan,

Tu Mere Paas Rahe Sayia Yazdan Ki Tarah,
Tujhko Paa Kar Main Kisi Aur Ko Pana Chahun,

Maut Aajaye To Phir Kabhi Marna Chahun,
Aye Mere Doobte Saanson Ki Ameen,

Aye Mere Toote Taaron Ke Zameen,
Ab Zindagi Shart Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1295 on: May 05, 2007, 06:32:43 PM »

Ek Tere Rooth Jaane Se,
Kisiko Kuch Nahi Hota,
Phool Bhi Mehekte Hai,
Rang Bhi Damakte Hai,
Suraj Bhi Nikalta Hai,
Taare Bhi Chamakte Hai,
Lekin,
Itna Zaroor Hota Hai,
Ek Tere Rooth Jaane Se,
Koi Hansna Bhool Jaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1296 on: May 05, 2007, 06:40:02 PM »

Bebas Bahut Hai Ke Ye Bimaar Bahut Hai,
Ab Aake Milo Humse Dil Ko Ye Israar Bahut Hai,

Ek Shakhs Jo Har Aan Khafa Rehta Hai Mujhse,
Dil Uski Mohabbat Mein Giraftar Bahut Hai,

Mana Hamein Jeene Ka Qareena Nahi Aata,
Aye Zeest Magar Tujhse Hamein Pyaar Bahut Hai,

Kuch Hum Bhi Bulane Ka TaQaza Nahi Karte,
Kuch Unki Tabiyat Mein Bhi Inkaar Bahut Hai,

Is Zaat Ke Sehra Ki Kadi Dhoop Mein Humko,
Saathi Na Sahi Sai'ayy Deewar Bahut Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1297 on: May 06, 2007, 05:27:53 PM »

Gumnaam Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Adat Si Ho Gayi Hai,

Ye Kaisa WaQt Aaya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Qudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hai,

Jaane Kyon Wo Mujhse Ajanbi Si Ho Gayi Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hai,

Ye Kaisi Hawa Mere Jism Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taveel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Pyaar Ki Bhool Ho Gayi Hai,

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1298 on: May 06, 2007, 05:33:06 PM »

Mohabbat Apni Chhupaoge,
To Tum Bahut Pachhtaoge,
Ek Lamhe Ko Socho To Kya Mere Bin Reh Paoge,
Jo Mujhko Bhool Sako Tum To Ye Bhi Karke Dekh Lo,
Mere Bin Khud Ko Tum Adhoora Hi Paoge,
Zara Ek Dafa Apne Dil Mein Jhank Kar Dekho To,
Koi Aur Nahi Hai Magar Mujhko Hi Hansta Paoge,
Khud Ko Masroof Karke Kya Mujhko Bhool Jaoge,
Ke Tumko Mujhse Pyaar Hai,
Ke Tumko Mujhse Pyaar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1299 on: May 06, 2007, 05:35:15 PM »

Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi, Aur Ammi Ne Samjhayi Nahi,
Main Kaise Meethi Baat Karun? Jab Meethi Chiz Khayi Nahi,

Aapi Bhi Pakati Hai Halwa, Wo Aakhir Kyon 'Halwayi' Nahi?
Bhaiya Ki Mangni Ho Gayi Ka, Kyon Kal Hi 'Dulhan' Mangwayi Nahi?
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi,

Naani Ke Miyaan Jab Naana Hai, Dadi Ke Miyaan Jab Dada Hai,
Tab Aapi Se Maine Puchha....Baaji Ke Miyaan Kya 'Baaja' Hai?
Wo Hans Hans Kar Yun Kehne Lagi, Aye Bhai Nahi Ye Bhai Nahi,
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi,

Jab Naya Maheena Aata Hai, Bijli Ka Bill Aa Jaata Hai,
Halaankey Baadal Bechara Ye Bijli Muft Lutata Hai,
Phir Humne Apne Ghar Bijli Kyon Badal Se Lagwayi Nahi?
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi,

Gar Billi Sher Ki Khala Hai? Phir Humne Usse Kyon Pala Hai?
Kya Sher Bahut Nalaayak Hai? Khala Ko Maar Nikala Hai?
Ya Jungle Ke Raja Ke Yahan Kya Milti Dudh Malayi Nahi?
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi,

Kyon Lambe Baal Hai Bhalu Ke? Kyon Uski Tind Karayi Nahi?
Kya Wo Bhi Ganda Bachha Hai? Ya Uske Abbu Bhai Nahi?
Ye Uska 'Hair Style' Hai? Ya Jungle Mein Koi Naai Nahi?
Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi,

JO Taare Jagmag Karte Hai, Kya Unki 'Chachi Taai' Nahi?
Hoga Koi Rishta Suraj Se? Ye Baat Hamein Batlayi Nahi,
Par Chanda Kaisa Mamoo Hai? Jab Ammi Ka Wo 'Bhai' Nahi?

Ye Baat Samajh Mein Aayi Nahi, Aur Ammi Ne Samjhayi Nahi,
Main Kaise Mithi Baat Karun? Jab Meethi Chiz Khayi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1300 on: May 06, 2007, 05:36:39 PM »

Wafa Ke Waade Wo Saare Bhula Gaya Chup Chap,
Wo Mere Dilki Deewarein Hila Gaya Chup Chap,

Gam-E-Hayat Ke Tapte Hue Biyaban Mein,
Wo Tanha Chhod Ke Mujhko Chala Gaya Chup Chap,

Main Jisko Chhuta Hoon Ishrat Wo Zakhm Deta Hai,
Wo Phool Aise Chaman Mein Khila Gaya Chup Chap...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1301 on: May 06, 2007, 05:39:07 PM »

Aankhon Ka Rang, Baat Ka Lehja Badal Gaya,
Wo Shakhs Ek Shaam Mein Kitna Badal Gaya,

Kuch Din To Mere AQs Raha Aayeena NaQsh,
Phir Yun Hua Ke Khud Mera Chehra Badal Gaya,

Jab Apne Apne Haal Pe Hum Tum Na Reh Sake,
To Kya Hua Jo Humse Zamana Badal Gaya,

Qadmon Tale Jo Ret Bichhi Thi Wo Chal Padi,
Usne Chhudaya Haath To Sehra Badal Gaya,

Koi Bhi Chiz Apni Jagah Par Nahi Rahi,
Jaate Hi Ek Shakhs Ke Kya Kya Badal Gaya,

Ek Sarkhoshi Ki Mauj Ne Kaise Kiya Kamal,
Wo Bhi Niaaz Sara Ka Sara Badal Gaya,

Uth Kar Chala Gaya Koi Wakfay Ke Darmiyan,
Parda Utha To Saara Tamasha Badal Gaya,

Hairat Se Saare Lafz Use Dekhte Rahe,
Baathon Mein Apni Baat Ko Kaise Badal Gaya,

Kehne Ko Ek Sehan Mein Deewar Hi Bani,
Ghar Ki Fiza Makaan Ka NaQsha Hi Badal Gaya,

Shayad Wafa Ke Khel Mein Ukta Gaya Tha Wo,
Manzil Ke Paas Aake Jo Rasta Hi Badal Gaya,

Qayam Kisi Bhi Haal Pe Duniya Nahi Rahi,
Tabeer Kho Gayi Kabhi Sapna Badal Gaya,

Manzar Ka Rang Asal Mein Saaya Tha Rang Ka,
Jisne Use Jidhar Se Bhi Dekha Badal Gaya,

Andar Ke Mausamon Ki Khabar Usko Ho Gayi,
Us Ne Bahar Naaz Ka Chehra Badal Gaya,

Aankhon Mein Jitne AshQ The Jugnu Se Ban Gaye,
Wo Muskuraya Aur Meri Duniya Badal Gayi,

Apni Gali Mein Apna Hi Ghar Dhundte Hai Log,
Hanzala Ye Kaun Sheher Ka Naksha Badal Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1302 on: May 06, 2007, 05:40:24 PM »

Kabhi Duniya Se Ghabra Ke, Masaib Se Kabhi Thak Kar,
Bahut Mayoos Si Ho Ke Kabhi Tanha Ho Jaati Hoon,
Kisiko Sath Na Paa Kar Jo Kabhi Dar Si Jaati Hoon,
Koi Chupke Se Aa Ke Kaan Mein Mere Ye Kehta Hai,
"Udaas Mat Ho Hamesha Se Saath Hoon Main Tumhare"
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Ye Sochte Hue Kabhi Ho Main Ulajh Si Jaati Hoon,
To Apne Aap Se Hi Jhunjhla Ke Puchh Leti Hoon,
Mujhe Lagta Hai Mujhe Dekhke Wo Muskuraya Hai,
Main Uski Dhimi Si Muskaan Ko Mehsoos Karti Hoon
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!

Kabhi Ye Sochti Hoon Wo Meri Sochon Ka Hissa Hai,
Kabhi Mehsoos Hota Hai Wo Mere Dil Mein Rehta Hai,
Mere Khwabon Ko Mehkata Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Mere Sheron Ko Sajata Mere Lafzon Mein Rehta Hai,
Ye Kaun Hai Jo Mere Sath Sath Rehta Hai!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1303 on: May 06, 2007, 05:41:33 PM »
AAJ PHIR


Aaj Phir Barso Baad Mile Ho, Aaj Phir Wapas Jaa Rahe Ho,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Main Ro Raha Hoon, Aaj Phri Tumko Kho Raha Hoon,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phri Kuch Dareeche Hai Palte Hai, Aaj Phir Kuch Din Ulte Hai Maine,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Wo Zakhm Purane Yaad Aaye, Aaj Phir Wo Barson Ke Yaarane Yaad Aaye,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Hawa Chal Rahi Hai, Aaj Phir Diye Bujh Rahe Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Saath Tanhayi Hai, Aaj Phir Chaand Raat Aayi Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Shaam Dhal Gayi Hai, Aaj Phir Raat Machal Gayi Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Ek Hansi Sunayi Deti Hai, Aaj Phir Ek Tasveer Dikhayi Deti Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Aankhein Nam Hai, Aaj Phir In Mein Gam Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Akela Hoon Main, Aaj Phir Tera Hi Hoon Main,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Lambe Tanha Safar Hai, Aaj Phir Maut Hai Mujhko Khabar Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Ek Ehsaas Jaag Raha Hai, Aaj Phir Dil Duniya Se Bhaag Raha Hai,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,

Aaj Phir Main Tujhko Maang Raha Hoon, Baaghi Ho Kar Bhi Bahisht Chah Raha Hoon,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1304 on: May 06, 2007, 05:42:50 PM »

Kabhi Sab Kuch Keh Kar,
Kabhi Khamosh Reh Kar,
Kabhi Bahut Door Jaa Kar,
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka, Shiddaton Ka Koi Shumar Nahi,
Magar Usse Upchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 83 84 85 86 [87] 88 89 90 91 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 11:23:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer