Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 84 85 86 87 [88] 89 90 91 92 ... 273
Print
Author  (Read 131561 times)
angel4u
Guest
«Reply #1305 on: May 06, 2007, 05:44:36 PM »

Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon Ke Zaike Se Aashna Na Ho,
Khuda Kare Ke Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein,
Meri Duwaon Ka Saya Rahe,
Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To
Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,
Mere Paas Tumhare Liye,
Duwaon Ke Kuch Phool Hai,
Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas Tumhare Liye,
Chahaton Ke Jugnu Hai,
In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna,
Mere Paas Mohabbat Ki Titli Hai,
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe,
Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe,
Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho,
Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna,
Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1306 on: May 06, 2007, 05:47:30 PM »
SUNA HAI


Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hai,
To Uske Shaher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Halon Se,
So Apne Aapk Barbad Karke Dekhte Hai,

Suna Hai Dardki Ghahk Hai Chasm Naz Uski,
So Hum Bhi Uski Gali Se Guzar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair-O-Shairy Se Shughaf,
To Hum Bhi Mojzey Apne Hunar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jharte Hai,
Ye Baat Hai To Chalo Baat Karke Dekhte Hai,

Suna Hai Raat Use Chand Takta Rehta Hai,
Sitare Baam-Falak Se Utar Kar Dekhte Hai,

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hai,
Sun Ahi Araatko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Chasher Hai Uski Gazal Si Aankhein,
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Raat Se Badh Kar Hai Kaklain Uski,
Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uski Syah Chashmagi Qayamat Hai,
So Usko Surma Farosh Aah Bhar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uske Labon Se Gulaab Jalte Hai,
So Hum Bahar Pe Ilzaam Dher Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Aayina Tamsal Hai Jabeen Uski,
Jo Sada Dil Hai Use Ban Sanwar Ke Dekhte Hai,

Bas Ek Nigaahse Luta Hai Qafla Dilka,
So Raah Raawan-E-Tamam Bhi Dar Ke Dekhte Hai,

Suna Hai Uske Shabistan Se Mutsil Hai Behshat,
Maseeh Udhar Ke Bhi Jalwe Idhar Ke Dekhte Hai,

Ruke To Gardishein Uska Tawal Karti Hai,
Chale To Usko Zamane Theher Ke Dekhte Hai,

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbe Hi Sahi,
Agar Wo Khwab Hai To Tabeer Karke Dekhte Hai,

Ab Uske Sheher Mein Thehre Ke Kuch Kar Jaye,
Faraz Aao Sitare Safar Karke Dekhte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1307 on: May 06, 2007, 05:48:53 PM »

Jo Tumhare Sath Hua Tum Kehte Chalo,
Jo Hamare Sath Hua Hum Keh Nahi Sakte,

Tum Apne Dilka Haal Chaho To ShoQ Se Sunao,
Hum Apne Dil Ka Haal Bayan Kar Nahi Sakte,

Ajab Haal Hai Qismaton Ka Hamari,
Ab Kya Batayein Tumko Ke Bata Nahi Sakte,

Chaha Hai Humne Bhi Ek Haseen Ladki Ko,
Par Darta Hai Dil Ke Shayad Use Paa Nahi Sakte,

Hum Din Bhule Ab Har Pal,
Use Sochte Rehte Hai,
Khuda Jaane Kahan Hai Wo,
Use Dhundte Rehte Hai,

Dar Hai Ke Dhunde To Layenge Hum Usko Zamane Mein,
Magar Dhundne Ke Baad Bhi Izhaar Kar Nahi Sakte,

Hum Apne Dilki Bechaini To Jante Hai Aamir,
Magar Uske Dil Mein Kya Ho Abhi Kuch Keh Nahi Sakte,

Ek Muhtasir Si Mehfilein Mein Pehli Baar Mili Thi Humko,
Ab Mile Ya Na Mile Kuch Keh Nahi Sakte,

Apne Baare Mein Puchha To Kaha "Achhe Lage Ho Humko"
Magar Is Achhe Lage Alfaaz Ko Mohabbat Keh Nahi Sakte,

Jo Tumhare Sath Hau Chaho To Keh Do,
Jo Hamare Sath Hua Hum Keh Nahi Sakte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1308 on: May 06, 2007, 05:49:53 PM »

Shaoor-E-Zeest Se Jab Hum Kalam Hote Hai,
Fana Ke Bojh Ko Hum Aansuon Se Dhote Hai,

Khushi Ke Phool Bas Ek Pal Mein Sookh Jaate Hai,
Chalo Hayat Mein Kuch Talkhiyan Parote Hai,

Hamari Neend Hamesha Ki Neend Hoti Hai,
Hum Ahl-E-Dard To Sirf Ek Baar Sote Hai,

Zara Si Der Mein Mulk-E-Adam Ke Sannate,
Riday WaQt Ke Saare Nishan Dhote Hai,

Wafa Ki Raah Mein Chalta Nahi Hai Saath Koi,
Kya Rone Wale Hamesha Akele Hote Hai,

Wo Ja Chuka Hai To Kya Gam Ke Sabko Jana Hai,
Hasan Hum Isliye Daman Ko Kyon Bhigote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1309 on: May 06, 2007, 05:51:10 PM »

Kisi Din Chahte Hai,
Chupke Se Hum Uske Zeene Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool
Rakh Aayein,
Ke Apne Bachpane Mein
Wo Andheron Se Bhi Darta Tha,
Usse Phoolonki Khushbu Sabhi Raghbat Thi,
Bahut Mumkin Hai Ab Bhi
Shab Ki Tareeki Se Usko Khauf Aata Ho,
Mehekte Phool Shayad Baais-E-Taskeen Ab Bhi Ho,
So Is Imkaan Par,
Ek Shaam Uske Naam Karte Hai,
Chalo Yeh Kaam Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1310 on: May 06, 2007, 05:52:30 PM »

Badalte Mausam Badal Rahe Ahi,
Hazar Raste Nikal Rahe Hai,
Tumhari Dastak Ki Muntazir Hoon,
Tumhe Sunane Ko Geet Kitne,
Mere Labon Par Machal Rahe Hai,
Nadeem Mere
Kalaam Mere Kaleem Mere,
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon,
Saja Ke Rakhoon Ye Ghar Gharonda
Magar Adhoora Hai Saij Sapna,
Najane Ye Kaise Ho Raha Hai,
Wo Door Mujhse Main Door Usse,
Jo Hai Jahan Bhar Mein Ek Apna
Haseen Mere
Hareem Mere Makeen Mere
Chale Bhi Aao Thak Gayi Hoon
Har Ek Nemat Ki Ek Nemat
Tumhari Chahat Tumhari Surat
Magar Tumhe Kis Tarah Bataun
Hai Farsh Dil Pe Nazar Jamaye,
Hamari Chahat Hamari Soorat
Suhag Mere
Haseen Malhar Raag Mere
Chale Bhi Aao Main Thak Gayi Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1311 on: May 06, 2007, 05:54:18 PM »

Ek Ladka
Bahut Hi Pagal
Deewana Sa
Apni Hi Duniya Mein Magan Rehta Tha
Jise Koi Tension Na Thi
Par Us
Laobhaali
Nadaan
Pagal
Chamakti Aankhon Wale Ladkeko
Pyaar Hogaya
Wo Pyar Jisme Mehboob Khuda Nazar Aata Hai
Wo Pyar Jo Galiyon Mein Patthar Khata Hai
Wo Pyar Jo Sooli Pe Chad Jata Hai
Wo Pyaar Jo Dar Se Bedar Kar Jaata Hai
Par In Sab Baaton Se Na Aashna
Ek Hi Dhun Mein
Poristash Karne Laga Wo Apne Pyar Ki
Azeez Tha Mehboob
Parwah Na Ki Dayar Ki
Har WaQt Wo Usse Sochta
Har WaQt Wo Use Poojta
Basa Liya Tha Rom Rom Mein
Pagal Tha
Ye Socha Hi Nahi
Ye Ladkiyan
To Hawa Ka Ek Jhonka Hoti Hai
Wo Jhonka
Jo Ek Pal Mein Guzar Jata Hai
Ye Bhi Hawa Ka Ek Jhonka Hi Thi
Iske Jeewan Mein Bahar Leke Aayi
Bahar Mein To Bahut Chamak Thi, Bahut Mehek Thi
Khushiyon Ke Gunchon Pe Ummidon Ke Phool Khilaye Usne
Khwaab Dekhe Aur Khwaab Dikhalye Usne
Har Taraf Chehek Thi Mehek Thi
Is Pagal Ladke Ko Ye Khushiyan Raas Na Aayi
Jab Uske Gulshanki Bahar Ne Mann Mod Liya Usse
Uske Gulshanko Bikher Diya Usne
Saare Khwabone Ummidon Ne Sath Chod Diya Uska
Uske Gulshan Mein Ab Khizaan Thi
Kuch Sukhe Patteh Aur Bikhre Phool The
Jinm Ein Mehek Talash Karne Laga
Udaas Shakhein Aur Besaya Darakht
Jinke Niche Wo Saya Dhund Raha Tha
Kuch Na Mial Use
Jo Khushiyon Ke Geet Aur Pyar Ki Yaadein Uske Paas Thi
Sab Chhin Gayi Usse
Kuch Bhi To Na Raha Uske Paas
Ab Wo Ladka
Aadhi Raatko Uthta Hai Aur Rota Hai
Har Ek Ajnabi Se
Bas Ek Hi Sawal Puchhta Hai Wo
Uska Kasoor Kya Yehi Tha Ke Usne
Us Pagal Ladke Ne
Ek Devi Ko Bahut Chaha Hai
Khuda Ki Tarah Pooja Hai
Uski Khushi
Uski Hansi
Is Pagal Ki Duniya Thi
Par Sab Bikhar Gaya
Ab Us Phool Se
Pagal Ladke Ka
Hansta Muskurata Chehra
Aise Ho Gaya Hai Jaise
Kisine Phool Se Khushbu Chura Li Ho
Uski Aankhein
Wo Chamakti Aankhein
Jin Mein Shararat Tapka Karti Thi
Ab Aansu Hai Qarb Hai Udasi Hai
Kuch Toote Hue Khwab Hai
Wo Jo Isne Kisiki Godh Mein Sar Rakhke
Hathon Mein Haath Thaam Ke
Bade Pyar Se
Bade Maan Ke Sath
Apni Ek Chhoti Si Duniya Sajane Ke Liye
Apni Aankhon Mein Sajaye The
Wo Khwahishein
Jo Kabhi Iske Man Mein Uthi Thi
Ab Hasrat Ban Chuki Hai
Sab Aankhon Ke Samundar Mein Beh Gaya Hai
Par Phir Bhi
Wo Pagal Ladka
Us Jhonke Ko
Us Hawa Ke Pagal Jhonke Ko
Us Pyari Ladki Ko
Jisse Wo Pyar Karta Tha
Bahut Pyaar Karta Tha
Ab Bhi Yaad Karta Hai
Us Bewafa Ki Tasveer Ko
Seene Se Lagaye Phirta Hai
Uski Mohabbat Adhuri Reh Gayi Hai
Par
Use Aaj Bhi Wo Pagal Ladka
Usi Pyari Ladki Ka Hai
Uski Chahaton Ko
Uski Mohabbaton Ko
Uski Yaadon Ko
Aaj Bhi Wo Bhool Nahi Paya Hai
Aaj Bhi Wo Usse Utna Hi Pyar Karta Hai
Aaj Bhi Wo Usiki Parastish Karta Hai
Aaj Bhi Uske Mann Mein Ek Hi Ladki Hai
Aaj Bhi Usi Raah Pe Khada Intezar Karta Hai
Ke Shayad Wo Aa Jaye
Par Wo Ye Janta Bhi Hai
Jise Wo Pyar Karta Hai
Jise Usne Dhadkan Banaya Hai
Wo Ab Laut Ke Nahi Aayegi
Par Wo Phir Bhi Intezar Karta Hai
Wo Phir Bhi Usi Se Sirf Usi Se Pyar Karta Hai
Kyon?
Shayad Isika Naam Hi To Mohabbat Hai
Haan Shayad Isika Naam Hi To Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1312 on: May 06, 2007, 05:56:02 PM »

Tumhi The Badle Hue Ya Meri Nigahein Thi,
Tumhari Nazron Se Lagta Tha Jiase Meri Bajaye
Tumhare Ghar Mein Koi Aur Shakhs Aaya Hai
Tumhare Ohade Ki Denein Tumhe Mubarak

So Tumne Mera Swagat Usi Tarahse Kiya
Jo Afasaraan-E-Hukumat Ka AitaQaad Mein Hai
Takallufan Mere Nazdik Aake Baith Gaye,
Phir Ehtamam Se Mausam Ka Zikr Chhed Diya,

Kuch Uske Baad Siyaasat Ki Baat Bhi Nikali
Adab Par Bhi Koi Do Chaar Tabasare Farmaye
Magar Na Tumne Hamesha Ki Tarah Ye Puchha
Kya WaQt Kaisa Guzarta Hai Tera Jaan-E-Hayaat

Pahaad Din Ki Aziyat Mein Kitni Shiddat Hai,
Ujaad Raat Ki Tanhayi Kya Qayamat Hai,
Shabon Ki Sust Ravi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai,
Gam-E-FiraaQ Ke Qisse Nishaat-E-Vasl Ka Zikr,
Rawayatein Hi Sahi Koi Baat To Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1313 on: May 06, 2007, 05:57:17 PM »

Ab Is Dilko Intezar Kisika Bhi Nahi,
Guzar Gaye Jo RafaQat Ke Waade Karte The,
Main Jo Tha Ke Azal Se Hi Apne Aap Mein Band,
Ada-E-Husn Se Humko Sataya Karte The,
Ke Jinki Maujudgi Bijli Si Jaan Mein Bharti Thi,
Nigah Aisi Ke Har WaQt Sawal Karti Thi,
Sawal Aise Jo Sar Chad Ke Bolte Wo Sawal
Meri Pareshani-O-Jehd Ke Wo Pahad Se Saal,
Ke Jinko Kaat Ke Aakhir Main Tashna Lab Hi Raha,
Wo Saal Jo Ke Meri Zindagi Ka Sarmaya
Jinhe Bita Ke Main Hasil Na Kuch Bhi Kar Paya
Aur Ab Is Dilko Intezar Kisika Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1314 on: May 07, 2007, 02:57:07 AM »
Good Ones Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1315 on: May 07, 2007, 05:33:32 PM »
Thanks re aryaan Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1316 on: May 07, 2007, 05:35:33 PM »

Ya Rab Hamein Tujhse Koi Gila Bhi Nahi,
Wo Naseeb Mein Nahi Tha Isliye Mila Nahi,

Seencha Tha Jis Chaman Ko Apne Dilke Lahoo Se,
Phir Kyon Barsaat Mein Koi Phoool Khila Nahi,

Na Lage Koi Chit Is Dil-E-Natawan Par,
Abhi To Pichhla Zakham Bhi Mujhse Sila Nahi,

Manga Tha Jholiyan Utha Utha Kar Use,
Magar Hamein Duwayon Ka Koi Sila Mila Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1317 on: May 07, 2007, 05:37:59 PM »

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,

Tum Agar Na Saath Doge,
To Ye Kis Tarah Katega,

Meri Soch Ki Hadon Tak,
Ye Gumaan Bhi Kaise Aaye,

Koi Pal Bina Tumhare,
Bhala Kaise Beet Jaye,

Mere Paas Tum Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho,

Meri Yaad Ke Nagar Mein,
Mere Khwaab Ke Safar Mein,

Meri Soch Ki Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanwar Mein,

Mere Dil-O-Jaan Mein Tan Mein,
Meri Hasraton Ke Ban Mein,

Mere Dilki Teergi Mein,
Meri Shab Ki Roshni Mein,

Haan Tumhi Ho, Har Kahin Ho,
Mere Paas Tum Nahi Ho,

Mere Paas Kab Nahi Ho,
Meri Har Dua Ka Mhwar

Bas Ek Aarzu Tumhari,
Is Aarzu Ke Aage,

Koi Raasta Nahi Hai,
Tumhe Kis Qadar Hai Chaha,

Ye Tumhe Pata Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1318 on: May 07, 2007, 05:39:24 PM »

Yaadon Se Rishta Kal Bhi Tha, Yaadonse Rishta Aaj Bhi Hai,
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha, Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai,

Tum Door Hue Majboori Mein, Hum Toot Gaye Is Doori Mein,
Kabhi WaQt Mile To Laut Aana, Ye Dilka Dar Wa Aaj Bhi Hai,

Wo Saahil Wo Mitti Geeli, Mitti Ke Gharonde Saahil Par,
Sahil Ki Bipherti Mojon Se, Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai,

Tum Khush Raho Abaad Raho Dil Apna To Barbaad Hua,
Gam Dilka Sahara Kal Bhi Tha, Aur Gam Ka Mara Aaj Bhi Hai,

Ye AshQ Nahi Hai Aankhon Mein Ye Taare Jhilmil Karte Hai,
In Aankhon Mein Jo Kal Tha Wohi Chand Sa Chehra Aaj Bhi Hai,

Ab Shikwa Kisise Kya Karna, TaQdeer Mein Jo Likha Tha Mila,
Gam Kal Bhi Mera Sarmaya Tha, Gam Mera Virsa Aaj Bhi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1319 on: May 07, 2007, 05:40:58 PM »

Jab Dekha Teri Aankhon Mein Maine,
Tham Sa Gaya Ye Dil Mera,
Jab Chuma Labon Ko Tere,
Khil Sa Gaya Dil Mera,
Jab Aayi Tum Meri Baahon Mein,
Mehek Sa Gaya Ye Dil Mera,
Jab Aaya WaQt Juda Hone Ka Tumse,
Udaas Hogaya Ye Dil Mera,
Ab Ye Aalam Hai,
Uthi Hai Nazrein Jahan,
Chehra Tumhara Hota Hai Wahan,
Mujhse Kehta Hai Ye Dil Mera,
Le Chal Wapas Mujhe Un Baahon Mein
Sakoon Mujhe Milta Hai Jahan,
Gar Bas Mein Ho Mere Agar,
Cheer Kar Tumhe Dikha Dun Ye Dil Mera,
Jab Dekha Teri Aankhon Mein Maine,
Tham Sa Gaya Ye Dil Mera...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 84 85 86 87 [88] 89 90 91 92 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 12:54:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer