Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 86 87 88 89 [90] 91 92 93 94 ... 273
Print
Author  (Read 133053 times)
angel4u
Guest
«Reply #1335 on: May 07, 2007, 06:07:31 PM »

Kuch Toot Gaye Hai Kuch Khwaab BaaQi Hai,
Maazi Ki Wafaon Mein Kuch Sarab BaaQi Hai,

Ab Bhi Wazey Nahi Hui Tasveer Zindagi Ki,
Dar Parda Ab Bhi Kuch NaQaab BaaQi Hai,

Har Sawal Apni Jagah Jyon Ka Tyon Raha,
Zubaan Pe Shikayaton Ke Kuch Jawab BaaQi Hai,

Khali Hua Behte Behte Yaad Mein Behta Sagar,
Phir Bhi Nigahon Mein Kuch Sailaab BaaQi Hai,

Maaf Kiya Khoon-E-Jigar Apna Kisi Dosti Ko,
To Usi Dosti Se Kuch Hisaab BaaQi Hai,

Kisika Aasman Tareekiyon Ka Ujala Ban Gaya,
Kahin Berukhi Ke Kuch Mehtaab BaaQi Hai,

Mar Bhi Nahi Sakte Ab To Sukoon-E-Zalim,
Hasratein Reh Jayengi Kuch Hijaab BaaQi Hai,

Musalsal Jal Rahe Aatish-E-IshQ Ke Angaron Mein,
Parastish Ke Aur Bhi Kuch Aadaab BaaQi Hai,

Kagaz Ki Nazron Se Mehek Aayegi Kaise,
HaQeeQat Ke Guldano Mein Kuch Gulaab BaaQi Hai,

Sab Ko Samjh Na Saki Tu Yaar Bewafa,
Teri Raah Lute Yahan Kuch Nawab BaaQi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1336 on: May 07, 2007, 06:09:40 PM »

Mehsoos Kar Mujhe Tu, Kabhi Paas Aake Dekh,
Mere Jahan-E-Dil Mein Apna Ghar Basa Ke Dekh,

Koi Aise Ajnabi Bhi Nahi Is Sheher Ke Log,
Kuch Keh To Ranj-O-Gam Ki, Sab Ko Suna Ke Dekh,

Hamshakal Ho Gaya Hai Mere Gam Ka, Tera Gam,
Tu Mere Dilko Apna Aayina Bana Ke Dekh,

Ye FarQ Dair-O-Harm Ka Nazron Ka Bharam Hai,
Tu Deengah Se Apni, Bahar To Aa Ke Dekh,

Jab Ranjishon Mein Kat Gayi, Ab Na Fareb Kar,
WaQt Aakhri Hai, Ab Na Muskura Ke Dekh,

Khamosh Sun Rahe Hai Hum, Sargoshi-E-Bahar,
Aate Hai Apne Gaanv Se Jhonke Hawa Ke Dekh,

Main Muntazir Hoon Roz-O-Shab, Aye Dard-E-Do Jahan,
Bedard, Jab Bhi WaQt Mile, Aazma Ke Dekh...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1337 on: May 07, 2007, 06:11:41 PM »

Tanha Hoon Is Dasht Mein Saath De Koi,
Haathon Mein De Haath Aisa Ho Humsafar Koi,

Main Hoon Pyasa Aur Teri Aankhein Hai Jheel,
Is Jheel Tak Mujhko Pahucha To De Koi,

Nibhayengi Tamam Umar Ab Tere Sath,
Shart Ye Hai Ke Na Aaye Dusra Koi,

Main Likh To Lun Dilpe Wo Naam Magar,
Tera Naam To Mujhko Bata De Koi,

Wo Na Bhi Mila To Kya Uski Yaadein To Hai,
Bas In Yaadon Ko Na Mujhse Chhine Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1338 on: May 07, 2007, 06:13:32 PM »

Aao Ke Dil Ke Zakhmon Par Muskurayein,
Aao Aankhon Mein Phir Khwaab Sajayein,
Aao Hawa Ke Sang Dur Tak Udte Jaayein,
Aao Badalon Ko Humsafar Banayein,
Aao Behte Jharno Ke Jhurmat Mein Zara Baithein,
Aao Palkon Ki Nami Ko Zara Chhupayein,
Aao Golo Ke Rang Ko Pehne,
Aao Kisi Waadi Mein Khushbu Ke Geet Gaayein,
Aao Khwahishon Ko Dein Ek Nayi Mehkar,
Aao Ummid Ko Zartar Aanchal Udayein,
Aao Sitaron Ke Us Paar Jaayein,
Aao Ye Phir Baarish Ke Sang Maati Mein Hi Jazb Ho Jayein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1339 on: May 09, 2007, 05:21:17 PM »

Kan-E-Siyah Mein Hota Nahi Sawera,
Par Kiran-E-Aas Pe Hota Nahi Andhera,

Hota Hai Hazaron Mein Ek Chaman-E-Sheeda,
Jo Deta Hai Puri Kaan Ko Ek Tanha Savera,

Pyaas Nahi Bujhti Aas Ki Ke Jab Hota Ho Andhera,
Ke Jise Shab-E-Sukoon Mein Khamoshi Ka Ho Dera,

Nahi Banta Insaan Ki Mehnat Se Wo Ek Heera,
Ke Jise Qudrat Ka Ho Ek Dilkash Zameema,

Rakh Thaam Kar Is Ko Ke Shayad Aaye Nateeja,
Par Qudrat Ka Bemool Mein Anmol Hai ZaQeera,

Nahi Hota Kharab Magar Khoob Ke Jitna Ho Ye Gehra,
Kaam-E-Nazuk Bhi Fitrat Hai Khuda Ka Sameera,

Ke Kaan-E-Siyaah Ko Diya Ek Anmol Sa Heera,
Banta Nahi Aise Ke Hota Hai Ye Heera,

Ke Jaise Ho Chaman Ka Ek Adna Sa Sawera...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1340 on: May 09, 2007, 05:24:29 PM »

Wo Tasavvur Jo Akele Mein Hansata Tha Kabhi,
Wo Ek Shakhs Khayalon Mein Jo Aata Tha Kabhi,

Jiske Aane Se Hawaon Se Mehek Uthti Thi,
Wo Jo Chalta Hua Saba Ko Jalata Tha Kabhi,

Jiske Hansne Ne Gulon Ko Bhi SaliQa Baksha,
Jo Tehelta Hua Lehron Ko Sikhata Tha Kabhi,

Saare Taaron Ki Chamak Mand Kiye Deta Tha,
Wo Jo Palkon Ko Nazakat Se Uthata Tha Kabhi,

Ab Ke Dushwar Hai Kyon Uska Tasavvur Karna,
Jiska Chehre Meri Yaadon Ko Sajata Tha Kabhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1341 on: May 09, 2007, 05:26:35 PM »

Raat Bhig Jaata Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai,
Jab Bhi Teri Yaadon Ke
Badalon Mein Lipatte Se,
AshQ Behne Lagte Hai,
Aur Dil Sulagte Hai,
WaQt Ki Rawani Mein,
Baadalon Ke Paani Mein,
Raat Bhig Jaati Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai,
Raat Ke Andhere Mein,
Teergi Ke Ghere Mein,
Roshni Bikharti Hai,
Aur Teri Yaadon Ka
Kaarwan Guzarta Hai,
Phool Band Hote Hai,
Aah Si Ubharti Hai,
Ek Ajeeb Si Dil Mein,
Khamoshi Utarti Hai,
Tab Kisiki Aankhon Mein,
Aansuon Ke Paani Mein,
Raat Bhig Jaati Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1342 on: May 09, 2007, 05:27:42 PM »

Shab-E-Gam Ke AshQon Ke Siwa Tere IshQ Ne Mujhe Kya Diya,
Jis Dil Mein Teri Hi Chaah Thi, Usi Dilko Tune Jala Diya,

Tu Jo Dilka Chain-O-Qaraar Tha, Tu Jo Dillagi Ka Khumaar Tha,
Tujhe Dilse Hum Ne Mita Diya, Tujhe Dilse Humne Bhula Diya,

Wo Jo Saath Mere Tha Raat Din, Wo To Sirf Tera Khayal Tha,
Use Zehn-O-Dil Se Nikaal Kar Gaye Maaziyon Mein Chhupa Diya,

Har Ummid WaQt Ki Gard Mein Yun Dabi Ke Phir Na Ubhar Saki,
Jise Gard-E-WaQt Na Chhu Saki Use Aansuone Mita Diya,

Na To Dil Ko IshQ Ka Hai Junoon, Na Nazar Kisi Ki Talash Mein,
Teri Yaad Dil Se Samet Kar Maine AshQ AshQ Baha Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1343 on: May 09, 2007, 05:28:46 PM »

Mohabbat Ek Tasalsul Hai,
Mohabbat Muskurata, Gungunata,
Ek Jhonka Hai,
Sada Gardish Mein Rehta Hai,
Mohabbat Baankpan Hai,
Jism Ke Zindaan Ka Rauzan Hai,
Mohabbat Be-Iraada Muskurahat,
Aansuon Ki Jhilmilahat Hai,
Mohabbat Bekarari Hai,
Khumari Hai,
Magar Be-Ikhteyaari Hai,
Mohabbat Ek Mausam Hai,
Azal Se Hai
Abad Tak,
Na Kabhi Tabdeel Hota Hai,
Na Iske Phool Jharte Hai,
Na Iske Rang Udte Hai,
Mohabbat Javidaan Hai,
Mar Nahi Sakti,
Mohabbat Kya Hai Duniya Mein,
Ke Jo Ye Kar Nahi Sakti,
Mohabbat Khel Hai Yaaron,
Wafaon Ka, Jafaon Ka,
Wafa Paigam Deti Hai,
Mohabbat Ko
Suhani Zindagani Ka,
Magar Yaaron,
Jafa Bhi Maut Ka Aakhir,
Koi Paigaam To Hargiz Nahi Deti,
Mohabbat Ko
Jafa Bas Karti Hai
Mohabbat Ki Nadi Ka Rukh,
Zara Sa Mod Deti Hai,
Mohabbat Boond Paani Ki,
Kayi Rangon Mein Dhalti Hai,
Mohabbat Mar Nahi Jaati,
Mohabbat Rukh Badalti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1344 on: May 09, 2007, 05:30:14 PM »

Maine Yaadon Ko Teri Bhool Bhi Jana Chaha,
Wo Jo Mumkin Hi Na Tha Kar Ke Dikhana Chaha,

Chubh Gaya Aankh Mein Fauran Kisi Kaante Ki Tarah,
Jab Kisi Khwaab Ko Palkon Pe Sajana Chaha,

Pa-Ba-Zanjeer Kiya Is Gam-E-Duniya Ne Mujhe,
Jab Kabhi Tujhse MulaQaat Ko Aana Chaha,

Jaane Kyon IshQ Agan Aur Bhadak Uthti Hai,
Jab Bhi AshQon Se Ise Maine Bujhana Chaha,

Phir Mujhe Sheher Ke Raston Mein Teri Yaad Mili,
Gaya Bekaar, Tujhe Jab Bhi Bhulana Chaha,

Hosh Kho Kar Main FaQt Haath Jala Baitha Hoon,
Teri Tasveer Ko Jab Jab Bhi Jalana Chaha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1345 on: May 09, 2007, 05:34:16 PM »

Khizaan-E-Guzeeda Gulaab Hai Meri Zindagi,
Meri Zindagi Ka Azaab Hai Meri Zindagi,

Na Hi Yaar Hai, Na Hi Dilruba, Na Hi Mai-Kada,
Mat Puchh Kitni Kharab Hai Meri Zindagi,

Na Khumaar Hai, Na Suroor Hai, Na Hi Rang Hai,
Ye Ajeeb Talkh Sharab Hai Meri Zindagi,

Mere Aas Paas To Yaar Dasht Hai Qarb Ka,
Isi Dasht-E-Gam Ka Saraab Hai Meri Zindagi,

Mujhe Dekhti Hui Har Nazar Mein Tarehm Hai,
Koi Chaak Chaak Hijaab Hai Meri Zindagi,

Jahan Surkh WarQ Pukarte Hai Lahoo Lahoo,
Wohi Be-Satar Si Kitaab Hai Meri Zindagi,

Na To Abr Hai, Na Khuda Ka Haath Hai Haath Mein,
Har Roz, Roz-E-Hisaab Hai Meri Zindagi,

Mat Puchh Ke Hai Udaas Kyon Meri Shaayri,
Ek Shaher-E-Dard Ka Baab Hai Meri Zindagi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1346 on: May 09, 2007, 05:35:15 PM »

Tere Dil Mein Jo Be-Buniyaad Wehmon Ka Ghubaar Utha,
Tera Mujhse, Mera Chah-O-Wafa Se Aitbaar Utha,

Ke Roz-E-Hashr Na Denge Tumhe Ilzaam, Thani Thi,
Magar Dil De Gaya Dhoka, Tumhe Dekha Pukaar Utha,

Na Aaya Jab Koi Is Dilki Chaarah-Saaziyaan Karne,
To Phir Seene Mein Mere Dard, Banke Gam-Gusaar, Utha,

Sehel Kar Di Har Ek Mushkil Hamari Zindagani Ki,
Junoon Jab Dilke Tool-O-Arz Mein Deewana-Waar Utha,

Tabiyat Mein Udaasi Si Ajab Dilne Paayi Thi,
Zara Jo Koi Iske Paas Baitha, Sogwar Utha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1347 on: May 09, 2007, 05:36:35 PM »

Raat AshQon Mein Nihaan Karke Tamannaon Ka Khoon,
Jaan Seemab Ki Manind Talatum Paiham,
Dard-E-Betaab Ke Pathar Se Tarashe Hue Honth,
IshQ-E-Pur-Josh Ke Sookha Hua Maflooj Badan,
Chaak Daaman Jo Falak-Rang Kiye Jazba-E-ShauQ,
Hath Phailaye Hue, Aankh Ko Pathraye Hue,
Rooh Khamosh Magar Bismil-O-Fariyaad-Kunaan,
Chhod De Kaash MuQaddar Bhi Adawat Apni,
Kash Ho Jaye YaQeen IshQ Ke Maghroor Gumaan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1348 on: May 09, 2007, 05:38:54 PM »

Jo Mila Mujhse Wo Dushman Ban Gaya,
Gaaliban Chehra Ye Darpan Ban Gaya,

Ab To Saari Umr Dukhna Hai Ise,
Dard Tera Dilki Dhadkan Ban Gaya,

Ab Lahoo BaaQi Kahan Hai Jism Mein,
Jo Bhi Tha AshQon Ka Eendhan Ban Gaya,

Dilne Jab Bhi Deed Ki Ki Aarzu,
Aasman Mein Ek Rauzan Ban Gaya,

Naam Tera Dilki Raahat Tha Kabhi,
Ab To Ek Benaam Uljhan Ban Gaya,

Khush Khayali Meri Aadat Thi Magar,
Zehen Ab Yaadon Ka Madfan Ban Gaya,

Har Tamanna AshQ Roti Reh Gayi,
Har Sitara Zeb-E-Daaman Ban Gaya,

Sheron Ki Kya Qadar Hogi Ke Jab,
Sher Kehna Mahez Ek Fan Ban Gaya,

Mera Aangan Ek Gulshan Tha Kabhi,
Baad Tere Khaar Ka Ban Ban Gaya,

Mainkhasi Se Main Bhi Nalaan Tha Magar,
Maikada Ab Mera Maskan Ban Gaya,

Na Jaane Kahan Nind Meri Kho Gayi,
Mera Bistar Nok-E-Sozan Ban Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1349 on: May 09, 2007, 05:40:22 PM »

Tere Bagair Sard Mausamon Ke Khushgawar Din Udaas Hai,
Fiza Mein Dukh Racha Hua Hai,
Hawa Koi Udaas Geet Gunguna Rahi Hai,
Phool Ke Labon Par Pyaas Hai,
Aisa Lagta Hai,
Hawa Ki Aankhein Rote Rote Khushk Ho Gayi Ho,
Saba Ke Dono Haath Khali Ho,
Ke Sheher Mein Tera Koi Pata Nahi,
Saans Lena Kitna Mahaal Hai,
Udaasiyan Udaasiyan Ajab Haal Hai,
Tamam Sabz Sayya-Dar Pairon Ne,
Tere Bagair Wehshaton Mein Apne Perahan Ko Tar Tar Kar Diya,
Ab Kisi Shajr Ke Jism Par Qubba Nahi,
Sookhe Zard Patte,
Koo Ba Koo Teri Talash Mein Bhatak Rahe Hai,
Mere Darichon Mein Gulabi Dhoop Roz Jhankti Thi,
Magar Uski Aankhon Mein,
Wo Jagmagahatein Nahi,
Jo Tere WaQt Mein Zameen Ke Sabeeh Maathe Par,
Soorajon Ki Kehkashan Sajane Aati Nahi,
Zameen Bhi Meri Tarah Hi,
Tere Bagair Iski Kokh Se Bhi Ab,
Koi Gulaab Ug Na Payega,
Zameen Banjar Ho Gayi Thi,
Aur.....
Meri Rooh Ke Bahaar Aafreen Kokh Bhi,
Meri Soch Ke Sadaf Mein,
Fan Ke Sache Moti Kis Tarah Janam Liya Karein,
Keh Main Sarapa-E-Tashnagi Hoon,
Aur Door Tak, Visaal-E-Abr Ki Khabar Nahi,
Mere Aur Tere Darmiyan,
Paanch Paaniyon Ke Des Mein,
Kachhe Ghade Bhi To Meri Dastars Se Door Hai,
Main Kis Tarah Sher Kahoon,
Meri Soch Ke Badan Kotu Namoo To De,
Ke,
Main Tere Bagair Ek Sehra Hoon...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 86 87 88 89 [90] 91 92 93 94 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 09:08:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer