Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 273
Print
Author  (Read 132786 times)
angel4u
Guest
«Reply #135 on: December 03, 2006, 08:00:25 PM »

Kya Hua Jo TuMhara Saath Nahi,
Mere Haathon Mein TuMhara Haath Nahi,

Mere Liye TuMhari Yaadein Hi Kafi Hai,
Mohabbat Mein Zaroori Mulakat Nahi,

Main Saari UMar Tarsi Hoon Chahat Ke Liye,
Mere Naseeb Mein Shayad Ye Saugaat Nahi,

Is Andaz Se Bikhar Kar Phir SiMat Na Saki,
Mujhe SaMetne Wale Hi Koi Haath Nahi,

Jiski Dosti Pe Naaz Tha, Wo Dost Bhi Gaya,
Kis Qarb Se Kaha Ayaz Ne Koi Baat Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #136 on: December 03, 2006, 08:03:17 PM »

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilka Aangan Nikhar De,
Jo Mohababton Ki Ravayatein,
Lahoo Ki Bali Se Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein,
Yahan Khwahishon Ke Saraab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Main Kahan Se Laun Wo Wafa,
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua,
Yehi Sochta Main Chala Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #137 on: December 03, 2006, 08:05:02 PM »

Din Raat Ke Aane Jaane Mein,
Duniya Ke Ajayab Khane Mein,
Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai,
Kabhi Manzar Saaf Hote Hai,
Kabhi Surat Baat Nahi Karta,
Kabhi Taare Aankh Badalte Hai,
Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai,
Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein,
Kabhi Khushi Puri Hoti Hai,
Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti,
Kabhi Khwab Adhure Hote Hai,
Ye Sab To Sahi Hai Lekin,
Aashob Ke Manzar Khane Mein,
Duniya Kya Ajayab Khane Mein,
Kuch Saya Karti Aankho Ke PaiMan To Dikhayi Dete Hai,
Hathon Se Agarche Door Sahi IMkaan To Dikhayi Dete Hai,
Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar,
Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai,
Manzil Se Koson Door Sahi,
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi,
ZakhMose Musafir Choor Sahi,
Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe ZakhMi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari UMr Nai Rote,
Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai,
Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #138 on: December 03, 2006, 08:06:16 PM »

HuMne Uska Haath Chhua Tha,
Wo Muskura Kar Batane Lagi,
TuMhare Haath Kitne GaraM Hai Aur GaraM Haath Wafa Ki
Nishani Hote Hai,
Ye Sunkar Main Itna Khush Hua Tha Ke Mujhe Har Baat
Bhool Gayi Thi,
Aur Aaj Mujhe Yaad Aa Raha Hai,
Uske Haath Kitne Sard The...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #139 on: December 06, 2006, 05:06:34 PM »
awesome  Collection  Huzena................   nice  sharing .............
Logged
angel4u
Guest
«Reply #140 on: December 06, 2006, 05:59:51 PM »
Thanks motuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #141 on: December 06, 2006, 06:08:57 PM »
Har Palke Sunepan Mein Tum Hi Tum Samaye Ho,
Meri Aankhon Se Dekho Har Shay Mein Nazar Aaye Ho,

Akele Mein Gungunati, Kabhi Khamosh Sa Rehti Hoon,
Dilki Dhadkan Mein Bhi Rehkar Kyon Lagte Paraye Ho,

Jab Jab Ye Doori Tarsati Hai, Majboori Muskurati Hai,
Duniya Walon Batao Kyon Deewane Ko Sataye Ho,

Raat Ki Chandi Faili Ho, Ya Dinka Ujala Chamke,
Kaise Batayein Jana Tum Yaad Bahut Hi Aaye Ho,

Wajood Hai Tumse Mera, Tumhi Se Bahar Hai,
Tumhi Meri Duniya Ko Phoolon Se Sajaye Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #142 on: December 06, 2006, 06:11:21 PM »
Shaam Doobi To Beqarari-E-Dil,
Yun Badhi Jaise Janib-E-Saahil
Mauj Toofan-E-Tand-O-Tez Badhe,
Jaane Kyon Dabdabayi Aankhon Se,
Teri Tasveer Dekh Kar Maine
Keh Diya Kitni Bewafa Hai Tu,
Aur Teri Tamam Tasveerein
Husn Ki Lazawal Tehreerein,
Maine Besakhata Ulat Dein,
Ishq Pechaan Ki Bail Khidki Par,
Tandi-E-Badekh Se Ghabra Kar,
Raat Bhar Apna Sar Patakti Rahi,
Ek Ajab Ajnabi Tarike Se,
Aakh Ke Neemva Dareeche Se,
Neend  Aa Aa Ke Laut Jaati Rahi,
Poo Phatti Doobne Lage Tere,
Muskurate Shafaq Ke Nazare
Ishq Pechaa'n Ke Phool Khil Uthe,
Maine Tasveerein Jo Ulat Di Thi,
Par Qareene Se Mez Par Rakh Di Thi,
Aur Khud Hans Pada Najane Kyon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #143 on: December 06, 2006, 06:27:33 PM »
Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi,

Tanha Bethi Baatein Karti Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Bethi Rehti Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi,

Waqt Guzarte Malum Nai Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Baithe Baatein Karti Hoon,
Tanha Hoon Magar Sath Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #144 on: December 08, 2006, 07:43:29 PM »
Thanks majid. Usual Smile


Main jab bhi
zindagi ki chichilati dhoop mein tap kar
Main jab bhi
doosron ke aur apne jhooth se thak kar...
main sabse lad ke, khud se haar ke,
jab bhi us ek kamre mein jaata tha...
Woh halke aur gehrey kathaii rangon ka kamra,
woh behadd meharbaan kamra...
jo apni narm mutthi mein mujhe aise chupa leta tha
jaise koi maa...
bachhe ko aanchal mein chupa le
pyaar se daante...
yeh kya aadat hai
jaltii dopahar mein maare maare ghoomte ho tum
Woh kamra yaad aata hai...

Dabeez aur khaasa bhaari
kuch zara mushkil se khulne waala
woh sheesham ka darwaazaa
ki jaise koi akhad baap
apney khurdure seene mein
shafkat ke samandar ko chupaye ho....

Woh kursi
aur uske saath woh judwaan behan uskii
woh dono dost thi meri
woh ek gustaakh muhfat aaina
jo dil ka achha tha
woh behangam si almaari
jo kone mein khadi
ek boodhii annaa ki tarah
aaiine ko tanveeh karti thi

woh ek guldaan
nanha sa
bahut shaitaan
un dono pe hansta tha
Dareecha, ya zahaanat se bhari ek muskuraahat
aur dareeche per jhuki woh bel
koi sabz sagoshi

Kitaabein,
Taaq mein aur shelf per
sanjeeda ustaani bani baithi
magar sab muntazir is baat ki
mein unse kuch poochun
sirhaane neend ka saathi
thakan ka chaaragar
woh naram dil taqiyaa
main jiski God mein sar rakhkar
chhat ko dekhta tha
chat ki kadiyon mein
na jaane kitne afsaano ki kadiyaan thi

woh chotii mez per
aur saamney deewar per
aavezaan tasveerein
mujhe apnaaiiyat aur yakeen se dekhtii thi
muskuraati thi
unhe shaq bhi nahi tha
ek din....
main unko aise chod jaaunga
main ek din yun bhi jaaunga
ki phir wapas na aaoonga....

Main ab jis ghar mein rehta hun
bahut hi khoobsurat hai
magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hun
Woh kamra baat karta tha....
(JAVED AKHTAR)
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #145 on: December 08, 2006, 07:44:58 PM »
saal dar saal beet rahi hai yeh zindgi
nahi rok sakti hai ye jeene ka ulhaas
kyuki abhi tak tuti nahi hai dil mein mere
ek aur madhumass bitaane ki aas

abhi tufaani hawaon zara thehro,
mat karo yun mere jeevan ka haas
kyuki abhi tak meri zindgi mein bachee hai
ek aur jeevan jeene ki aas

abhi to karni hai kayi baatein phoolon se
abhi to jhumna hai mast hawao ke jhoole se
abhi to chunni hai kaliyaan baago se
abhi na karao mujhe kanto ki chubhan ka ehsaas
kyuki abhi tak hai meri zindgi mein
ek aur jeevan ki pyaas

abhi bhi mera dil Suraj ke taap se nahi hai ghabarta
abhi bhi Chaand hai apni chandni ki thandak pahunchata
abhi bhi bahut apna sa lagta hai
yeh taaron bhara akaash
kyuki abhi bhi is dil mein hai
ek aur aasman chhoone ka vishwas

abhi kuch der aur sawan ke jhoole jhoolane do
abhi kuch der aur apne bachpane ko jee lane do
abhi kuch der aur nadiya ki laharo sa machalne do
bahut bachi hai abhi bhi dil mein ek pavitara si pyaas
kyuki khatam nahi hua hai is jeevan ke
sukhane ka abhi ehsaas

tab dastak dena umar tum apni
jab dil mein jeene ki koi umang na ho
jab dil ka koi kona pyasa na ho
aur yun hi bewazah jeevan ko jeene ki abhilasha na ho

per abhi meri komal bhavnaon ko lagao na
beetate samaye ka abhishaap
kyuki abhi bhi hai jeevan ke is amrit ko peene ki pyas
abhi tak hai baki ek aur madhumass beetane ki aas
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #146 on: December 09, 2006, 03:03:40 PM »
nice  sharing  Husena..............:lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #147 on: December 09, 2006, 09:22:58 PM »
Thanks Mr. Waheed tongue3
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #148 on: December 12, 2006, 02:05:19 PM »
Bohat khoob Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #149 on: December 29, 2006, 12:29:52 PM »
Thanks Aryaan and Majid...
jald hi kuch aur post karungi.
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:58:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer