Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 87 88 89 90 [91] 92 93 94 95 ... 273
Print
Author  (Read 133054 times)
angel4u
Guest
«Reply #1350 on: May 09, 2007, 05:41:33 PM »

Ye Na Samjho Ke Dhal Rahi Hai Shaam,
Apne Tewar Badal Rahi Hai Shaam,
Tum Nahi Aaye Aur Us Din Se,
Mere Seene Mein Jal Rahi Hai Shaam,
Failti Jaa Rahi Tareeki,
Ek Dukh Se Nikal Rahi Hai Shaam,
Zard Suraj Chhupa Raha Hai Badan,
Lamha Lamha Pighal Rahi Hai Shaam,
Odhati Jaa Rahi Hai Khamoshi,
Aisa Lagta Hai Dhal Rahi Hai Shaam,
Uske Hamraah Chal Raha Hai Din,
Mere Hamraah Chal Rahi Hai Shaam...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1351 on: May 09, 2007, 05:42:45 PM »

Use Kehna December Aa Gayi Hai,
December Ke Guzarte Hi
Baras Ek Aur Mazi Ki Chhanv Mein Doob Jayega,
Use Kehna December Laut Aayega,
Magar Jo Khoon So Jayega Jismon Mein,
Na Jagega
Use Kehna Hawayein Sard Hai Aur Zindagi Ke Kohre,
Deewaron Mein Larzaan Hai,
Use Kehna Shagofey Tehniyon Mein So Rahe Hai,
Aur Un Pe Barf Ki Chadar Bichhi Hai,
Use Kehna Agar Suraj Na Niklega,
To Kaise Barf Pighlega,
Use Kehna Laut Aaye
Use Kehna Laut Aaye,
Use Kehna December Aa Gayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1352 on: May 09, 2007, 05:43:45 PM »

Naya Saal Aaya,
Veeran Subhon Ki Neeli Tehno Se Ubharta,
Kheyyabaan-O-Dasht-O-Jabal Ki Thatharti Khamoshi Mein,
Barfeeli Seeti Bajata,
Dabe Paanv Aaya,
Yukh Aalooda Shaamon Ki Khamoshiyan,
Uske Qadmon Ki Aahat Samete,
Guzar-Gahon Pe, Saybanon Mein Noha Kinaan Hai,
Der Aati Hai Shaam Ko, Darichon Ki Dararon Se,
Pur-Shor Jhonkonki Be-Mohr Thandak,
Brodat Zada Paniyon Par, Parinde,
Kinaron Par Aistaadah Pairon Ki Gam-Naak,
Shakhonki Janib Ude Jaa Rahe Hai,
Makeen Aanganon Mein Chhaton Par,
Dhadakte Dilon Mein Hazaron Khayalon Ki Shammayein Jalaye,
Dabe Paanv Aate Hue Saal Ko Dekhte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1353 on: May 09, 2007, 05:44:58 PM »

Kabhi Jo Tumhare Haath Se Kitaab Gire,
To Samajh Lena Ke Kisi Ne Tumhe Yaad Kiya Hai,
Kabhi Jo Tum Us Mein Rakhe Phool Ko Dekho,
To Samajh Lena Koi Dastaan Likh Raha Hai,
Un Guzre Hue Haseen Lamhon Ki,
Kabhi Jo Tum Darakhton Par Naam Likha Dekho,
To Samajh Lena Koi Ab Tak Chahta Hai Tumhe,
Kabhi Jo Tum Un Dekhe Bhale Raston Par Safar Karo,
To Samajh Lena Kisine In Par Sath Chalne Ki Kasam Khayi Thi,
Aur.....
Kabhi Jo Tum Lautne Ka Irada Karo,
Aur Safar Karo Usi Rah-E-Guzar Par,
To Samajh Lena Koi Tumhara Intezar Kar Raha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1354 on: May 10, 2007, 05:43:51 PM »

Kaise Kahoon Ke Kya Ho Tum,
Chalo Main Bataun Ke Kya Ho Tum,

Mere Liye Meri Duniya Ho Tum,
Chhu Ke Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,

Maine Jo Mangi Wo Dua Ho Tum,
Kare Mujhko Jo Roshan Wo Diya Ho Tum,

Dil Ye Kahe Mera Jiya Ho Tum,
Kiya Maine Mehsoos Wo Ehsaas Ho Tum,

Meri Nazar Ki Talash Ho Tum,
Meri Zameen Ka Aakash Ho Tum,

Mere Chehre Ki Kashish Ho Tum,
Mere Sitaron Ki Gardish Ho Tum,

Meri Zindagi Ka Qaraar Ho Tum,
Maine Jo Chaha Wo Pyaar Ho Tum,

Mere Intezaar Ki Rahat Ho Tum,
Mere Dilki Chahat Ho Tum,

Tum Ho To Ye Duniya Hai Meri,
Kaise Kahun Ke Meri JAAN Ho Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1355 on: May 10, 2007, 05:45:34 PM »

Aaj Koi Hai Udaas, Bahut Dukh Hua,
Aaj Koi Hai Naraz, Bahut Dukh Hua,
Jate Hue Zindagi Se Dil Lagana, Bahut Dukh Hua,
Na Jaate Hue Ko Chhod Jana, Bahut Dukh Hua,
Humne To Banaya Tha Dilse Rishta,
Ek Pal Mein Gair Kehna, Bahut Dukh Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1356 on: May 10, 2007, 05:48:03 PM »

Mansoob The Jo Log Meri Zindagi Ke Sath,
Aksar Wohi Mile Hai Badi Berukhi Ke Sath,

Majbooriyon Ki Baat Chali Hai To Main Kahan,
Humne Piya Hai Zeher Aksar Khushi Ke Sath,

Chehre Badal Badal Ke Mujhe Mil Rahe Hai Log,
Itna Bura Sulook Meri Saadgi Ke Saath,

Gar Karam Ki Lai Bhi Ho, Jis Mein Khuloos Bhi,
Mujhko Gazab Ka Pyaar Hai Us Dushmani Ke Sath...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1357 on: May 10, 2007, 05:49:15 PM »

IshQ Jab Mo'tabar Nahi Hota,
AshQ Bhi Kaar-Gar Nahi Hota,

Baat Jab Bas Zubaan Kehti Hai,
Uska MutliQ Asar Nahi Hota,

Usse Aankhein Jo Chaar Nahi Hoti,
IshQ Ye, Kya Khabar Nahi Hota,

Unse Puchhe Koi Ke Ghar Kya Hai,
Jinki Qismat Mein Ghar Nahi Hota,

Zindagi Sirf Wo Hi Jeete Hai,
Jinko Marne Ka Dar Nahi Hota,

Gar Na Hota Hamara Tar Daaman,
Ab Ye Daaman Bhi Tar Nahi Hota,

Bas Nahi Hai Sukhan Ki Aamad Par,
Kaam Ye Soch Kar Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1358 on: May 10, 2007, 05:50:17 PM »

Hamare Dam Mein Dard-E-IshQ Wo Taaseer Dalega,
Ke Tesha Aah Ka Us Sang-E-Dil Ko Cheer Dalega,

Main Itna Nadim-O-Sharminda-E-Baar-E-Gunah Hounga,
Khudawand Cheer Mera Naama-E-TaQseer Dalega,

Main Kirmak Hoon, Mujhe Aakhir Ko Soo-E-Toor Jaana Hai,
Andhera Kab Talak Is Paanv Mein Zanjeer Dalega,

Khuda Ya! Kab Khichegi Zalimon Ki Paanv Ki Rassi?
Tu Kab In Gardanon Mein Phanda-E-Ta'zeer Dalega?

Ek Aisi Soz Ki Ye Dil Tamanna Karta Rehta Hai,
Jo Zamil Ke Sukhan Mein Aatish-E-Dilgeer Dalega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1359 on: May 10, 2007, 05:51:32 PM »

Tumko Itna Malum Hi Hoga Zamane Ka Chalan,
Jane Wale Ko Bhulana, Hum Bhi Sikhenge Ye Fan,

Qais Ka Qissa Ho Ya Meri Wafa Ki Daastan,
IshQ Ki Shiddat Wohi Hai, Sheher Ho Chahe Ho Ban,

Wo Bechara Bhi Amavas Ki Shabon Mein Bujh Gaya,
Chand Jo Khudko Kaha Karta Tha, "Main Hoon Shab-Shikan",

Zindagi Ke Aakhri Ayyam, Yaadon Ke Azaab,
Aur Badh Jaati Hai Yaaro Umr-E-Rafta Ki Thakan,

Ladkiyon Ki Zindagi Mein Hai Hi Kya Iske Siwa,
Chand Sapne, Chand Dhoke Aur Nazron Ki Chubhan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1360 on: May 10, 2007, 05:52:47 PM »

Khamoshi Khamoshi,
Har Taraf Ho Gayi
Badalon Mein Kahin
Chandni Kho Gayi
Aur Aise Mein Hi
Ek Tanha Si Ladki
Khamoshi Se Ek
Neem-Taareek Kamre Mein
Chhoti Si Khidki Ki Tooti Hui
Jaaliyon Se Simatti Hui Aa Lagi
Baadlaon Mein Kahin
Uski Aankhein Lagi
Chand Ko Dhundne
Chand Mil Na Saka
Aankhein Dhundla Gayi
Moti Girne Lage
Aur Bikharne Lage
Koi Chhu Na Saka
Kaun Chunta Bhala
Chand Majboor Tha
Kukch Bahut Door Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1361 on: May 10, 2007, 05:54:02 PM »

Khuda Ka Raaz Hai Kya, Tu Bhi Iska Raazdan Ho Ja,
Khuda Baatien Mein Jalwa-Numa, Tu Aasman Ho Ja,

Falak To Aankh Ke Til Mein Sama Jata Hai, Iska Kya,
Falak Bhi Dekh Na Paaye, Tu Aise Bekaraan Ho Ja,

Kabhi Sooraj, Kabhi Chanda, Kabhi Taara, Kabhi Shamma,
Sukhan-Yar! Is Jahan Mein Misl-E-Noor-E-Jaavidaan Ho Ja,

Tujhe Idraak Hi Kab Hai Ke Tujh Mein Hai Nehaan Kya Kuch,
Jahan Ko Khoj Ho Teri, Jahan Ka Tu Jahan Ho Ja,

Zara Si Roshni Ek Boond Ke Jauhar Dikhati Hai,
So Noor-E-Toor Se Tu Roshni Le Kar Kamaan Ho Ja,

Tu Kab Tanha Hai, Tere Aaiyne Mein AQs Lakhon Hai,
Tu Uska Muntazir Na Ho, Sarapa Karvan Ho Ja,

Na Jane Kyon Tere Dildaar Ki Khwahish Machalti Hai,
Khuda! Tu Aaj Tak Jalwon Mein Pinhaan Hai, Ayaan Ho Ja...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1362 on: May 10, 2007, 05:55:16 PM »

Teri Aankhon Ke Samundar Mein
Doob Jane Ko Dil Karta Hai,
Tere Husn Ke Paimane Ko,
Chhalkane Ka Mann Karta Hai,
Tere Pyaar Mein Sabse,
Lad Jaane Ko Dil Karta Hai,
Ke Is Zindagi Mein Na Hogi Tamanna Puri,
Teri Khatir Ek Aur Janam Paane Ko Dil Karta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1363 on: May 10, 2007, 05:56:31 PM »

Kaha Usne Agar Chaho To Mer Dil Qubool Kar Lo,
Badle Mein Mujhe Bhi Dil Dene Ki Tum Bhool Kar Lo,

Kaha Maine, Kabhi Dil Lagane Ki Bhool Na Karna,
Kho Doge Sab Khushiyan, Reh Jayega Bas Bhatakna,

Kaha Usne, Dildar! Bada Nazuk Hai Dil Hamara,
Berukhi Se Kahin Tere, Tadapta Reh Jayega Bechara,

Kaha Maine, Na Ghabrao Tumhara Dil Sambhalenge,
Sambhal Na Paye To Phir Is Ko Hum Uchhalenge,

Kaha Usne Jo Bhi Karlo Aakhir Dil Hai Tumhara,
Dil Ke Tukde Ho Kar Bhi Naam Ye Lega Tumhara,

Kaha Maine Tumhare Idlke Hum Tukde Na Hone Denge,
Ho Jaye Tukde To Apne Pyaar Se Use Jod Lenge,

Kaha Usne, Teri Chah Mein Raaton Ko Jagti Rehti Hoon,
Har WaQt Tere Aane Ki Raah Mein Takti Rehti Hoon,

Kaha Maine Na Tadpo Itna Ke Dam Nikal Jaye,
Aana Chahun Paas Tumhare Aur Jaan Nikal Jaye,

Kaha Usne, Bin Tere Ab Mujhse Raha Nahi Jayega,
Tum Agar Sath Do To Jo Bhi Hoga Dekha Jayega,

Kaha Maine Tere Jazbaat Ko Dil Mein Qaid Karta Hoon,
Dil To Kya Chiz Hai Sanam, Jaan Bhi Tere Naam Karta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1364 on: May 10, 2007, 05:58:07 PM »

Wo Pari Jo Meelon Door Hai,
Jiski Yaad Se Dil Noor Noor Hai,
Jaanta Hoon Har Surat Wo Gair Hai,
Phir Bhi Uski Aarzu Zaroor Hai,

Mila Anjaam Na Kahani Ko,
Barbaad Kar Baitha Jawani Ko,
Seene Se Lagaye Phirta Hoon,
Yaar Ki Aakhri Nishani Ko,

Wo Na Hoti To Main Kahan Hota,
Zarra Hota Na Aasman Hota,
Wo Duniyadaari Ki Jhagae Hoti,
Wo Hi Berozgari Ka Samna Hota,

Arey Kaash Ke Wo Bewafa Hota,
Yahan Makaam Kuch Juda Hota,
Main Ro Deta Hoon Is Khayal Par,
Wo Jo Meri Hoti To Kya Hota,

Uske Gam Mein Khoye Rehte Hai,
Khuli Aankhon Se Soye Rehte Hai,
Girte Hai Palkon Se Aansu Aise,
Ke Apna Daaman Bhigoye Rehte Hai,

Jab Kabhi Khudko Tanha Paata Hoon,
Ek Tasveer Zehen Mein Banata Hoon,
Karke Band Bhigi Palkon Ko,
Uski Yaadon Mein Doob Jaata Hoon,

Kiase Keh Dun Wo Paraya Hai,
Usi Ne To Jeena Sikhaya Hai,
Hai Usike Naamse Ye Shayri,
Ye Kamal Usi Ne Sikhaya Hai,

Wo Pari To Meelon Door Hai,
Haan Uski Aarzoo Zaroor Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 87 88 89 90 [91] 92 93 94 95 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 09:15:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer