Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 88 89 90 91 [92] 93 94 95 96 ... 273
Print
Author  (Read 131570 times)
angel4u
Guest
«Reply #1365 on: May 10, 2007, 05:59:21 PM »

Hum Tumse Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya Karte Hai,
Raat Din Bas Tera Hi Naam Liya Karte Hai,

Hum Insaan Ko Parakh Liya Karte Hai,
Mohabbat Mein Jaise Kuch Log Fana Hua Karte Hai,

Zindagi Jeete Jeete Maut Mang Liya Karti Hoon,
Lash Hoon Chalti Firti Ek Kafan Maang Liya Karti Hoon,

Samjhate Samjhate Doston Ko Dushman Bana Liya Karti Hoon,
Isliye Khuda Se Dushmano Ki Umar Maang Liya Karti Hoon,

Pyar Mein Dimag Se Nahi Dilse Kaam Leti Hoon,
Jab Bhi Pyaar Mein Aazmayish Aati Hai Main Apna Sir Jhuka Leti Hoon,

Sochna Mat Kabhi Ke Main Haar Jaya Karti Hoon,
Haarte Haarte Jeetne Ka Hunar Sikh Liya Karti Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1366 on: May 10, 2007, 06:00:52 PM »

Dupatta Laal Chunri Ka,
Lipat Kar Tujhse Rehta Hai,
Meri Pyaasi Nigahon Par
Hamesha Hansta Rehta Hai,

Kabhi Udta Hawaon Mein,
Simatta Teri Baahon Mein,
Kabhi Kaandhe Pe Bekaboo,
Sarakta Phirta Rehta Hai,

Tere Kaano Mein Kehta Kuch,
Ya Seene Se Laga Rehta,
Teri Dhadkan Ko Gin Gin Kar,
Ye Uthta Girta Rehta Hai,

Kabhi Teri Kamar Iski,
Girafton Mein Bandhi Rehti Hai,
Kabhi Ye Peeth Par Kaafir,
Khisakta Khichta Rehta Hai,

Kabhi Poche Paseene Ko,
Kabhi Dhakta Hai Soorat Ko,
Kabhi Gaalon Ko Chhuta Hai,
Kabhi Muh Lag Ke Rehta Hai,

Kabhi Kaaleen Ban Jaata,
Kabhi Godi Mein Sota Hai,
Tere Hathon Ko Sehlata,
Satata Mujhko Rehta Hai,

Ise Sar Na Chadhao Tum,
Dupatta Hai Mera Dushman,
Hamare Darmiyan Har Dam,
Kyon Ye Besharam Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1367 on: May 10, 2007, 06:02:57 PM »

Jab Bhi Teri Dhun Mein Jiya Karte The,
Hum Bhi Chup Chap Pyar Karte The,

Aankhon Mein Pyaas Hua Karti Thi,
Dil Mein Toofan Utha Karte The,

Log Aate The Gazal Sunne Ko,
Hum Teri Baat Kiya Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1368 on: May 10, 2007, 06:06:16 PM »

Dil Hai Aaina-E-Hasrat Do-Chaar Aaj Ki Raat,
Gam-E-Dauraan Mein Hai AQs-E-Gam-E-Yaar Aaj Ki Raat,

Aatish-E-Gul Ko Daaman Se Hawa Deti Hai,
Didani Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahar Aaj Ki Raat,

Aaj Ki Raat Ka Mehmaan Hai Malboos-E-Harir,
Is Chaman-Zaar Mein Ugte Hai Sharar Aaj Ki Raat...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1369 on: May 10, 2007, 06:10:14 PM »

Tumhe Hai ShauQ Agar Bijliya Giraneka,
Hamara Kaam Bhi Hai Aashiyana Bananeka,

Bhala Wo Kaise Samundar Ke Paar Utrega,
Nafas Nafas Jinhe Khadshaa Hai Doob Jaaneka,

Suna Hai Aap Hain Maahir Hawa Chalane Mein,
Magar Hamein Bhi Hunar Hai Diye Jalane Ka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1370 on: May 10, 2007, 06:12:20 PM »

Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai,
Goya Ki Mohabbat Nahi Ehsaan Kiya Hai,

Socha Tha Ke Tum Dusron Jaise Nahi Honge,
Tumne Bhi Wahi Kaam Meri Jaan Kiya Hai,

Mushkil Tha Bahut Mere Liye Tark-E-TalluQ,
Ye Kaam Bhi Tumne Mera Aasaan Kiya Hai,

Har Roz Sajate Hai Teri Hijr Mein Gunche,
Aankhon Ko Teri Yaad Mein Guldaan Kiya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1371 on: May 10, 2007, 06:14:45 PM »

Qarb Ke Sheher Se Nikle To Ye Manzar Dekha,
Humko Logone Bulaya Hamein Chhu Kar Dekha,

Jab Bhi Chaha Hai Ke Malabus-E-Wafa Ko Chhu Lein,
Misl Khushbu Koi Udata Hua Paikar Dekha,

Wo Barsaat Mein Bhiga To Nigahein Uthi,
Yun Laga Hai Koi Tarasha Hua Patthar Dekha,

Zindagi Kitni Pareshan Hai Ye Socha Bhi Na Tha,
Iske Ataraaf Mein Sholon Ka Samundar Dekha,

Aa Gayi Gam Ki Hawa Phir Tere Gesu Chhukar,
Hamne Veerana-E-Dil Phir Se Mu'attar Dekha,

Wo Jo Udti Hai Sada Dasht-E-Wafa Mein,
Usi Mitti Mein Nihaan Dard Ka Gauhar Dekha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1372 on: May 11, 2007, 06:15:08 PM »
Soo-E-Maikada Na Jaate To Kuch Aur Baat Hoti,
Wo Nigaah Se Pilate To Kuch Aur Baat Hoti,

Jo Hawa-E-Gulistaan Ne Mere Dil Ki Laaj Rakhi Hai,
Wo NaQaab Khud Uthate To Kuch Aur Baat Hoti,

Ye Baja Kali Ne Khilkar Kiya Gulistan Muattar,
Magar Aap Muskurate To Kuch Aur Baat Hoti,

Ye Khule Khule Se Gesu, Inhe Laakh Tu Sanware,
Mere Hath Se Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti,

Jo Haram Ke Raste Se Wo Pahuch Gaye Khud Tak,
Teri Raahguzar Se Jaate To Kuch Aur Baat Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1373 on: May 11, 2007, 06:18:06 PM »

Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-RaQeeb Se,
Tum Se To Kam Gila Hai Zyada Naseeb Se,

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai,
Hota Hai Pehron Zikr Tumhara Tabib Se,

Barbaad-E-Dil Ka Aakhri Sarmaya Thi Ummid,
Wo Bhi Tumne Chhin Liya Mujh Garib Se,

Dhundla Chali Nigah Dam-E-Vaapsi Hai Ab,
Aa Paas Aa Ke Dekh Lun Tujhko Kareeb Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1374 on: May 11, 2007, 06:20:06 PM »

Ab Ke Rutt Badli To Khushbu Ka Safar Dekhega Kaun,
Zakhm Phoolon Ki Tarah Mehkenge Par Dekhega Kaun,

Dekhna Sab RaQs-E-Bismal Mein Magan Ho Jayenge,
Jis Tarafse Teer Aayega Udhar Dekehga Kaun,

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai,
Log To Phal Phool Dekhenge Shajar Dekhega Kaun,

Hum Chirag-E-Shab Hi Jab Thehre To Phir Kya Sochna,
Raat Thi Kis Ka MuQaddar Aur Seher Dekhega Kaun,

Aa Fasil-E-Sheher Se Dekhein Ganim-E-Shahar Ko,
Sheher Jalta Ho To Tujhko Baam Par Dekhega Kaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1375 on: May 11, 2007, 06:21:39 PM »

Aise Chup Hai Ye Mansil Bhi Kadi Ho Jaise,
Tera Milna Bhi Judayi Ki Ghadi Jo Jaise,

Apne Hi Saye Se Har Gam Laraz Jaata Hoon,
Raste Mein Koi Deewar Khadi Ho Jaise,

Manzilein Door Bhi Hai Manzilein Nazdik Bhi Hai,
Apne Hi Paanv Mein Zanjeer Padi Ho Jaise,

Kitne Nadaan Hai Tere Bhulane Wale Ke Tujhe,
Yaad Karne Ke Liye Umr Padi Ho Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1376 on: May 12, 2007, 06:47:55 PM »
Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua,
Ab Kya Kahein Ye Kissa Purana Bahut Hua,

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-E-FiraaQ,
Aye Marg-E-Naagahaan Tera Aana Bahut Hua,

Hum Khud Se Nikal To Gaye Hai Par Aye Khuda,
Itne Se WaaQaye Ka Fasana Bahut Hua,

Ab Hum Hai Aur Zamane Ki Dushmani,
Usse Zara Rabt Badhana Bahut Hua,

Ab Kyon Na Zindagi Pe Mohabbat Ko Vaar Dein,
Is AashiQui Mein Jaan Se Jaana Bahut Hua,

Ab Tak To Dilka Dils E Taarruf Na Ho Saka,
Maana Ki Usse Milna Milana Bahut Hua,

Kya Kya Na Hum Kharab Hue Hai Magar Ye Dil,
Aye Yaad-E-Yaar Tera Thikana Bahut Hua,

Kehta Tha Naaseehon Se Mere Muh Na Aao,
Phir Kya Tha Ek Hoon Ka Bahana Bahut Hua,

Lo Phir Tere Labon Pe Usi Bewafa Ka Zikr,
Ahmad Tujhse Kaha Na Bahut Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1377 on: May 12, 2007, 06:50:33 PM »

Aakhri Tees Aazmane Ko,
Jee To Chaha Tha Muskurane Ko,

Yaad Itni Bhi Sakht Jaan To Nahi,
Ek Gharonda Raha Hai Dahane Ko,

Sang Rezon Mein Dhal Gaye Aansu,
Log Hanste Rahe Dikhane Ko,

Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai,
Ek Diya Reh Gaya Jalane Ko,

Jalane Wale To Jal Bujhe Aakhir,
Kaun Deta Khabar Zamane Ko,

Kitne Majboor Ho Gaye Honge,
Ankahi Baat Muh Pe Laane Ko,

Khulke Hansna To Sab Ko Aata Hai,
Log Taraste Rahe Ek Bahane Ko,

Reza Reza Bikhar Gaya Insaan,
Dilki Veeraniyan Jatane Ko,

Hasraton Ki Panah Gahon Mein,
Kya Thikhane Hai Sar Chhupane Ko,

Haath Kaanto Se Kar Liye Zakhmi,
Phool Baalon Mein Ek Sajane Ko,

Aas Ki Baat Ho Ki Saans Ki,
Ye Khilaune Hai Toot Jaane Ko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1378 on: May 12, 2007, 06:52:32 PM »

Na Gubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna,
Mere Dard Ki Aab-O-Tab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi WaQt Shaam Malaal Mein Mujhe Sochna,
Kabhi Apne Dilki Kitab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi Dhun Mein Tum Bhi Jo Bastiyon Ko Tyaag Do,
Isi Raah-E-Khana Kharab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi Raat Maah-O-Najuum Se Mujhe Puchhna,
Kabhi Apni Chasm Pur-Aab Mein Mujhe Dekhna,

Isi Dilse Ho Kar Guzar Gaye Kayi Kaarvan,
Ke Hijraton Ke Zaab Mein Mujhe Dekhna,

Main Na Mil Sakun Bhi To Kya Hua Ke Fasana Hoon,
Nayi Daastan Naye Baab Mein Mujhe Dekhna,

Mere Khaar Khaar Sawal Mein Mujhe Dhundna,
Mere Geet Mein Mere Khwaab Mein Mujhe Dekhna,

Mere Aansuon Ne Bujhayi Thi Meri Tashnagi,
Isi Barg-Zinda Sahab Mein Mujhe Dekhna,

Wahi Ek Lamha Deed Tha Ke Ruka Raha,
Mere Roz-O-Shab Ke Hisaab Mein Mujhe Dekhna,

Jo Tadap Tujhe Kisi Aayine Mein Na Mil Sake,
To Phir Aayine Ke Jawab Mein Mujhe Dekhna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1379 on: May 12, 2007, 06:55:40 PM »

Ek Khalish Ko Haasil-E-Umr-E-Rawan Rehne Diya,
Jaan Kar Humne Unhe Naameherbaan Rehne Diya,

Kitni Deewaron Ke Saaye Hath Phailate Rahe,
IshQ Ne Lekin Hamein Bekhwanamaan Rehne Diya,

Apne Apne Hosle Apni Talab Ki Baat Hai,
Chun Liya Humne Unhe Saara Jahan Rehne Diya,

Ye Bhi Kya Jeene Mein Jeena Hai Bagair Unke "Adeeb"
Shama Gul Kar Di Gayi BaaQi Dua Rehne Diya...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 88 89 90 91 [92] 93 94 95 96 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 03:02:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer