Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 89 90 91 92 [93] 94 95 96 97 ... 273
Print
Author  (Read 133059 times)
angel4u
Guest
«Reply #1380 on: May 12, 2007, 06:57:49 PM »

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka TaQaza Hai,
Gam-E-Duniya Se Ghabra Ke Tumhe Dil Ne Pukara Hai,

Tumhari Berukhi Ek Din Hamari Jaan Le Legi,
Kasam Tumko Zara Socho Ke Dastoor-E-Wafa Kya Hai,

Na Jane Kis Liye Duniya Ki Nazrein Phir Gayi Humse,
Tumhe Dekha Tumhe Chaha Qasoor Iske Siwa Kya Hai,

Na Hai Fariyaad Honthon Pe Na Aankhon Mein Koi Aansu,
Zamane Se Mila Jo Gam Use Giton Mein Dhala Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1381 on: May 12, 2007, 07:00:25 PM »

Tum Jo Pal Ko Theher Jao To Ye Lamhe Bhi,
Aanewale Lamhon Ki Amanat Ban Jaye,
Tum Jo Theher Jao To Ye Raat Mehtaab,
Ye Sabza, Ye Gulab Hum Dono Ke Khwaab,
Sabke Sab Aise Mubham Ho Ke HaQeeQat Ho Jayein,
Tum Theher Jao Ke Unvaan Ki Tafseer Ho Tum,
Tumse Talkhi-E-AuQaat Ka Mausam Badle,
Raat To Kya Badlegi, Halaat To Kya Badlenge,
Tum Jo Theher Jao To Meri Zaat Ka Mausam Badle,
Meherbaan Hoke Na Thehro To Phir Yun Thehro,
Jaise Pal Bhar Ko Koi Khwaab-E-Tamanna Thehre,
Jaise Dawaish-E-Mada-Nosh Ke Pyale Mein Kabhi,
Ek Do Pal Keliye Talkhi-E-Duniya Thehre,
Theher Jao Ke Madaarat Maikhane Se,
Chalte Chalte Koi Ek-Aadh Subu Ho Jaye,
Isse Pehle Ke Koi Lamha Aayinda Ka Teer,
Is Tarah Aaye Ke Paivast-E-Gulu Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1382 on: May 12, 2007, 07:02:05 PM »

Hamein WaQt Ranj-O-Malal Kya Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,
Use Yaad Karke Na Dil Dukha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Na Gila Kiya Na Khafa Hue Yunhi Raste Mein Juda Hue,
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Gazal Ki Ek Kitab Tha Wo Gulon Mein Ek Gulab Tha,
Zara Der Ko Koi Khwab Tha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Udaas Dhoop Samet Kar Kahin Waadiyon Mein Utar Chuka,
Use Ab Na De Mere Dil Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Ye Safar Bhi Kitna Taweel Hai Yahan WaQt Kitna Qaleel Hai,
Kahan Laut Kar Koi Ayega Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Wafayein Thi Ke Jafayein Thi Ye Na Soch Kiski Khatayein Thi,
Jo Tera Hai Usko Gale Laga Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Koi FarQ Shah-O-Gada Nahi Ke Yahan Kisiki BaQa Nahi,
Ye Ujaad Mehlon Ki Sun Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Tujhe Aitbaar-O-YaQeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi,
Na Malal Kar Mere Sath Aa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1383 on: May 12, 2007, 07:03:36 PM »

Kabhi Kabhi Ye Dil Chahta Hai
Tumhari Shaamon Ka Haal Puchhun
Sawal Puchhun
Ke Fikar-E-Farda Mein Kaisi Guzri
Yunhi Kabhi Mera Naam Aaya Tumhare Hothon Pe Ek Palko,
Meri Mohabbat Ki Yaad Mehki Kabhi Tumhare Bhi Raaston Mein,
Kabhi Kisi Din Tumhari Subah Ke Dar Par
Jaagi Sadaay-E-Dastak
Kabhi Ibadat Ki Kaifiyat Mein
Tumhe Mera Bhi Gumaan Guzra
Tumhare Sehen-E-Dua Se Mera Bhi Dhyan Guzra
Kabhi Kabhi Dil Ye Chahta Hai Sawal Puchhun
Magar Main Chup Hoon
Hamare Mabain Yeh Jo
Deewar-O-Ajnabiyat Hai Ye Ganeemat Hai,
Isi Mein TauQeer-E-Harf-O-Lab Hai,
Yahin Pe TarQ-O-Talab Ki Had Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1384 on: May 12, 2007, 07:06:01 PM »

Phirse Pyaar Ka Dhoka Khaya Jaa Sakta Tha,
Dil Ka Kya Hai Dil Behlaya Jaa Sakta Tha,

Kyon Wapas Na Aaye Jaakar Wo Jaane,
Lekin Uske Paas To Jaaya Jaa Sakta Tha,

Gar Na Hota Mom Ki Surat Ka Dil Apna,
Gam Ke Suraj Se Takraya Jaa Sakta Tha,

Ek Tumhara Sath Agar Mil Jaata To,
Sari Duniya Ko Thukraya Jaa Sakta Tha,

Logone Mujrim Thehraya, Maan Liya,
Aakhir Kis Kis Ko Samjhaya Jaa Sakta Tha,

Le Dooba Jab Aankhonko Toofan,
Kaise Dilka Sheher Bachaya Jaa Sakta Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1385 on: May 12, 2007, 07:11:48 PM »

Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata,

Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim,
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata,

Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai,
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata,

Koshish Se Badal Jati Hai Takdeerein,
De Kar Ilzaam Qismat Aur Dilko Behlaya Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1386 on: May 12, 2007, 07:13:31 PM »

Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justuju Hai,
Zubaan Jab Talak Hai Yehi Guftugu Hai,

Khuda Jane Kya Hoga Anjaam Iska,
Main Besabr Itna Hoon Wo Tund Khu Hai,

Tamanna Hai Teri Agar Hai Tamanna,
Teri Aarzu Hai Agar Aarzu Hai,

Kiya Sair Humne Gulzaar-E-Duniya,
Gul-E-Dosti Mein Ajab Rang-O-Boo Hai,

Ganimat Hai Ye Deed Wa Deed-E-Yaaraan,
Jahan Mund Gayi Aankh, Main Hoon Na Tu Hai,

Nazar Mere Dilki Padi Dard Kis Par,
Jidhar Dekhta Hoon Wohi Rubaru Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1387 on: May 12, 2007, 07:15:34 PM »

Yaaron Se Ab Haath Milate Dar Lagta Hai,
Aur Ek Naya Dhoka Khate Hue Dar Lagta Hai,

Jab Koi Raag Hi Naye Chhed Raha Ho,
Bhola Sa Ek Nagma Gaate Hue Dar Lagta Hai,

Wo To Chhod Gaya Ek Mod Pe Laa Ke Lekin,
Humko Tanha Aage Jaate Hue Dar Lagta Hai,

Ye Bhi Nahi Ke Raasta Bhul Gaye Hai,
Der Hui Hai Itni Ke Jaate Hue Dar Lagta Hai,

Ye To Sach Hai Ke Dhoka Kha Baithe Hai,
Par Dilko Ye Samjhate Hue Dar Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1388 on: May 12, 2007, 07:16:59 PM »

Bahut Dino Ki Baat Thi
Shabab Par Bahar Thi,
Fiza Bhi Khushgawar Thi
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisine Mujhko Rok Kar
Badi Ada Se Tok Kar
Kaha Ke Laut Aaiye
Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye

Magar Mujhe Khabar Na Thi,
Mahol Par Nazar Na Thi,
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada,
Phir Sheher Se Main Aagaya,
Khayal Tah Ke Paa Gaya
Use Jo Mujhse Doori Thi
Magar Meri Zaroorat Thi
Phir Ek Haseen Shaam Ko
Main Chal Pada Salam Ko
Gali Ke Rang Dekhkar
Naye Tarang Dekhkar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch Isi Khushi Mein Tha
Kisine Jhank Kar Kaha
Paraye Ghar Se Jaaiye
Meri Kasam Na Aaiye
Meri Kasam Na Aaiye

Wohi Haseen Shaam Hai
Bhar Jiska Naam Hai,
Chala Hoon Ghar Ko Chhod Kar
Na Jane Jaunga Kidhar
Koi Nahi Jo Rok Kar
Koi Nahi Jo Tok Kar
Kahe Ke Laut Aaiye
Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1389 on: May 12, 2007, 07:18:19 PM »

Khizaan Ke Rang Mein Abhi Bahar BaaQi Hai,
Chirag-E-Seher Hai Par Intezaar BaaQi Hai,

Hamein Salam Karo Aye Hawadis-E-Dauran,
Tumhare Sath Hai Phir Bhi Qaraar BaaQi Hai,

Guzar Chuka Hai Ummidon Ka Qaafila Kab Ka,
Raah-E-YaQeen Pe Ab Bhi Gubaar BaaQi Hai,

Hamein Pukar Lo Jab Chaho Hum Milenge Wahin,
Mile Hai Khaak Mein Lekin VaQaar BaaQi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1390 on: May 12, 2007, 07:20:52 PM »

Teri Yaad Ne Mere Dil Ko Saja Rakha Hai,
Tere Pyar Mein Sab Kuch Bhula Rakha Hai,

Kuch Achha Nahi Lagta Teri Judayi Ke Baad,
Ek Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai,

Tera Milna To Ab Ek Khwab Hai,
Na Jane Kyon Ab Dilko Bhula Rakha Hai,
FaQt Teri Yaadon Ko Palkon Mein Chhupa Rakha Hai,

MuQaddar Se Milte Mitle Bichhad Gaya Warna,
Aaj Bhi Tera Naam Dil Mein Saja Rakha Hai,

Na Jane Kyon Koi Jachta Nahi In Aankhon Mein,
Ek Tasveer Ko Dil Mein Saja Rakha Hai,

Khushiyan To Pal Mein Aati Aur Chali Jaati Hai,
Humne To Gamon Ko Bhi Apna Dost Bana Rakha Hai,

Sabhi Aaye To Bhi Aa Kar Dekh Mera Haal,
Ke Maine Tere Pyaar Mein Khudko Bhula Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1391 on: May 12, 2007, 07:22:17 PM »

Samundar Bhi Kisike Aansu Ki Takhleek Hai,
Har Su Har Lamha Ek Nayi Si Tasveer Hai,

Koi Agar Ise Gaur Se Dekhe To Jaan Le,
Bahut Rota Hai Ye Bhi Wo Maan Le,

Shayad Iske Dil Mein Koi Raaz Dafan Hai,
Kisika Dost Kisika Pyaar Kisika Sajan Hai,

Iski Aankhon Ko Dekhne Ke Liye Aankh Chaiye,
Lehron Ke Shor Ko Bhi Ek Zuban Chahiye,

Jis Din Maine Gaur Kiya Is Samundar Ki Zaat Par,
Khud Hi Hasi Aane Lagi Apni Har Ek Baat Par,

Jo Kehta Tha Wo Mohabbat Hai Jhuth Tha,
Uska Pyaar Wo Intezar Wo IQraar Jhuth Tha,

Ek Baar Dekha Mazir Barish Ke Samundar Par,
Laga Badal Bhi Isse Giryee Mein Masroof Tha,

Jis Talak Hum Ne Dekha Sooraj Door Tha,
Samundar Ki Laali Mein Shayad Wo Bhi Garoob Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1392 on: May 12, 2007, 07:24:18 PM »

Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho,
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho,

Mere Khulus Ko Pehchanta Ho Bas Kaafi Hai,
Wo Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho,

Jo Khwab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Wo Aisa Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hausla Bhi Rakhta Ho,

Agar Kabhi Rooth Jaun Main Usse To,
Muskura Ke Manaye Wo Aisa Ho,

Jo Baat Kare To Wo Nibha Bhi Sake,
Iradon Mein Wo Apne Chattano Jaisa Ho,

Dukhon Mein Hasne Ka Hunar Janta Ho,
Ek Aisa Humsafar Jo Samundar Ki Tarah Gehra Ho,

Uske Pyar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Wo To Bilul Aasman Ke Chand Jaisa Ho,

Wo Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho,
Umar Bhar Saath Chalne Ka Irada Rakhta Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1393 on: May 12, 2007, 07:25:18 PM »

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,
Jiski Harb Aat Mehez Khushbu Hai,

Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,
Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,

Mere Ehsaas Pe Chha Gaya Hai Yun,
Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

Har Taraf Uska AQs Hai Ab To,
Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,

Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,
Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1394 on: May 12, 2007, 07:26:24 PM »

Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aaya,
Aaj Kya Jaaniye Kya Yaad Aaya,

Phir Koi Haath Hai Dil Par Jaise,
Phir Tera Ehd-E-Wafa Yaad Aaya,

Jis Tarah Dhund Mein Lipte Hue Phool,
Ek Ek NaQsh Tera Yaad Aaya,

Aisi Majboori Ke Alam Mein Koi,
Yaad Aaya Bhi To Kya Yaad Aaya,

Aye RafeQ Sar-E-Manzil Jaakar,
Kya Koi Aablaapa Yaad Aaya,

Yaad Aaya Tha Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Yaad Aaya,

Jab Koi Zakhm Bana Daagh Bana,
Jab Koi Bhul Gaya Yaad Aaya,

Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhule Wo Sada Yaad Aaya...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 89 90 91 92 [93] 94 95 96 97 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 11:02:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer