Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 90 91 92 93 [94] 95 96 97 98 ... 273
Print
Author  (Read 131565 times)
angel4u
Guest
«Reply #1395 on: May 12, 2007, 07:28:52 PM »

Jeeti Jagti Insan Hoon Main,
Lekin Khilona Samjhe Wo,

Do Bol Bol Dete Ke Gudiya Na Jaye Ruth,
Bhar Gaya Jab Dil To Shayad Nahi Le Aaye Wo,

Saari Raatein Guzarti Hai Unki Yaad Mein,
Kaisa Laga Ek Din Jaag Kar Mujhko Batlaye Wo,

Mujhko Chhod Diya Na Jane Kis Raah Par,
Akeli Hoon Main Aram Se Aage Chal Diye Wo,

Bechain Aur Betab Ab Unko Kare Kuch,
Jis Aag Mein Hoon Main, Shayad Jaan Jaye Wo,

Milenge Bahut Aage Unko,
Lekin Mujhsi Na Dhund Payenge Wo,

Lafz Kar Diye Qalam Mere Dil Par,
Hafza Kamsor Tha Ye Bhool Gaye Wo,

Banata Hai Rab Sabko Thoda Muktalif,
Paida Kiya Unko Bin Dil, Sab Se Hat Ke Hai Wo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1396 on: May 12, 2007, 07:30:50 PM »

Karta Hoon Jaama Mein To Bikharti Hai Zaar Aur,
BaaQi Hai Kitni Aye Mere Maula Ye Raat Aur,

Leti Hai Jaldi Shamma Bhi Bujhne Mein WaQt
Hai Aadmi Sa Koi Kahan Besabaat Aur,

Sailab Jaise Leta Hai Deewar Ke Qadam,
Karta Hai Gam Bhi Dilse Koi Vaardaat Aur,

Yun To Huzoor-E-Paak Ke Lakhon Hai Maddakhwaan,
Taa'ib Sa Likh Raha Hai Magar Kaun Na'at Aur,

Mazhar Az'l Ke Husn Ke "Amjad" Hai Beshumar,
Lekin Jo Dekhiye To Hai Baarish Ki Baat Aur...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1397 on: May 12, 2007, 07:33:26 PM »

Manzar Ke Ird Gird Bhi Aur Aar Paar Dhundh,
Aayi Kahanse Aankh Mein Ye Beshumar Dhundh,

Kaise Na Uska Sara Safar Raaygan Rahe,
Jis Karwan-E-ShauQ Ki Hai Rehguzar Dhundh,

Hai Ye Jo Maah-O-Saal Ka Mela Laga Hua,
Karti Hai Ismein Chhup Ke Mera Intezar Dhundh,

Aankhein Wo Bazm, Jiska Nishaan Dolte Chirag,
Dil Wo Chaman Ke Jiska Hai Rang-E-Bahar Dhundh,

Kamre Mein Mere Gam Ke Siwa Aur Kuch Nahi,
Khidki Se Jhankti Hai Kise Baar Baar Dhundh,

Firdaus-E-Gosh Thehra Hai Mubham Sa Koi Shor,
Nazaargi Ka Sheher Mein Hai Aitbar Dhundh,

Naatak Mein Jaise Bikhre Ho Kirdaar Ja-Ba-Ja,
"Amjad" Fiza-E-Jaan Mein Hai Yun Be-Karar Dhundh,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1398 on: May 12, 2007, 07:39:24 PM »

Udaasi Ke Chehre Padha Mat Karo,
Gazal Aansuon Se Likha Mat Karo,

Bahar-Haal Ye Aag Hi Aag Hai,
Chiragon Ko Aise Chhua Mat Karo,

Dua Aansuon Mein Khila Phool Hai,
Kisike Liye Baddua Mat Karo,

Tumhe Log Kehne Lagein Bewafa,
Zamane Se Itni Wafa Mat Karo,

Agar WaaQayi Tum Pareshan Ho,
Kisi Aur Se Tazkira Mat Karo,

Khuda Ke Liye Chandni Raat Mein,
Akele Akele Phira Mat Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1399 on: May 12, 2007, 07:40:24 PM »

Dilko Khayal-E-Yaar Ne Makhmoor Kar Diya,
Sagar Ko Rang-E-Bada Ne Purnoor Kar Diya,

Maayus Ho Chala Tha Tasalli Se Haal-E-Dil,
Phir Tune Yaad Aake Ba-Dastoor Kar Diya,

Gustakh-Dastiyon Ka Na Tha Mujh Mein Hausla,
Lekin Hujoom-E-ShauQ Ne Majboor Kar Diya,

Kuch Aisi Ho Gayi Hai Tere Gam Ki Mubtila,
Goya Kisine Jaan Ko Mashhoor Kar Diya,

Betabiyon Se Chhup Na Saka Majra-E-Dil,
Aakhir Huzur-E-Yaar Bhi Mazkoor Kar Diya,

Ahl-E-Nazar Ko Bhi Nazar Aaya Na Roo-E-Yaar,
Yaan Tak Hijaab-E-Yaar Ne Mastoor Kar Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1400 on: May 13, 2007, 05:17:29 PM »

Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kis Sansaan Sapne Mein Chupi Khwahish,
Ke Hidat Mein,
Kisi Masroofiyat Ke Mod Par,
Tanhayi Ke Sehraon Mein,
Ya Phir Kisi Anjaan Bimari Ki Shiddat Mein,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1401 on: May 13, 2007, 05:19:12 PM »

Wo Sharabi Hi Kya
Jiske Haath Mein Jaam Na Ho,
Wo Samundar Hi Kya
Jis Mein Lehron Ka Toofan Na Ho,
Wo Gulistan Hi Kya
Jiska Kahin Gulfaam Na Ho,
Wo Subah Hi Kya
Jiski Kabhi Shaam Na Ho,
Wo Khushi Hi Kya
Jo Kisi Gam Ke Baad Na Ho,
Wo Gazal Hi Kya,
Jismein O Sanam Tera Naam Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1402 on: May 13, 2007, 05:20:50 PM »

Dil-E-Nadan! Unse Pyaar Ki Ummid Na Kar,
Sang-E-Dil Mein Jagah Dhundne Ki Koshish Na Kar,

Gar Manzoor Nahi Unko Pyaar Tera,
Bewajah Dil Lagane Ki Koshish Na Kar,

Dil-O-Dimag Se Nikal De Unko,
Justuju Bhi Unki Na Kar,

Bhool Ja Unko Agar Ho Sake To,
Ab Khayalon Mein Bhi Laane Ki Koshish Na Kar,

Suna Hai Sirf Dard, Dard Aur Dard Milta Hai Is Pyaar Ke Khel Mein,
Haar Jaa Baazi Apni, Jeetne Ki Koshish Na Kar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1403 on: May 13, 2007, 05:22:38 PM »

Sunte Hai Phir Chhup Chhup Unke Ghar Mein Aate Jaate Ho,
Insha Sahab NahaQ Jee Ko Vehshat Mein Uljate Ho,

Dilki Baat Chhupani Mushkil, Lekin Khoob Chhupate Ho,
Ban Mein Daana, Shaher Ke Andar Deewane Kehlate Ho,

Bekal Bekal Rehte Ho, Par Mehfil Ke Adab Ke Sath,
Aankh Chura Kar Dekh Bhi Lete Ho, Bhole Bhi Ban Jate Ho,

Peet Mein Aise Laakh Jatan Hai, Lekin Ek Din Sab Nakaam,
Aap Jahan Mein Ruswa Honge, Waaz Hamein Farmate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1404 on: May 13, 2007, 05:24:02 PM »

Farz Karo Hum Ahl-E-Wafa Ho, Farz Karo Deewane Ho,
Farz Karo Ye Dono Baatein Jhuthi Ho, Afsane Ho,

Farz Karo Ye Jee Ki Bipta Jee Ko Jo Sunayi Ho,
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni Aadhi Humne Chhupayi Ho,

Farz Karo Tumhe Khush Karne Ke Dhunde Hum Bahane Ho,
Farz Karo Ye Nain Tumhare Sach-Much Ke Maikhane Ho,

Farz Karo Ye Rog Ho Jhutha Jhuthi Preet Hamari Ho,
Farz Karo Is Preet Ke Rog Mein Saans Bhi Hum Pe Bhaari Ho,

Farz karo ye jog ka humne dong rachaya ho,
farz karo bas yehi haqeeqat baaqi sab kuch maya ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1405 on: May 13, 2007, 05:26:17 PM »

Chand Ki Ulfat Mein Pagal Ho Gayi,
Raat Ke Jage Hue The So Gayi,

Is Kadar Faile Jhamele Aas Paas,
Zehen Mein Ek Yaad Thi So Kho Gaye,

Uth Gaye Socho Se Yaadon Ke Kadam,
Dhoop Saayon Ke TaaQub Mein Gayi,

Raat Aankhon Mein Udaasi Ki Lakeer,
Shaam Gehri Kitni Gehri Ho Gayi,

Khudnumayi Do Dilon Ke Darmiyan,
Beej Ashaar Nafraton Ke Bo Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1406 on: May 13, 2007, 05:29:06 PM »

Apne Pichhle Baras Mhaa Ke
Dukh Sukh Ka Andaza Karna,
Guzri Yaadein Taaza Karna,
Saada Sa Ek Kagaz Lekar
Bhoole Basre Pal Likh Lena,
Apne Saare Kal Likh Lena,
Phir Is Beete Ek Ek Pal Ka,
Apne Guzre Ek Ek Kal Ka,
Ek Ek Mod Ka Ahata Karna,
Sare Dost Ikhate Karna
Sari Subhein Hazir Rakhna,
Sari Shamein Paas Bholna
Aur Ilawa Inke Dekho
Sare Mausam Dhyan Me Rakhna,
Ek Ek Yaad Guman Mein Rakhna,
Phir Mohtat Qyaas Lagana
Gher To Khushiyan Bhar Jati Hai,
To Phir Tum Ko Meri Taraf Se
Aane Wala Saal Mubarak,
Aur Agar Gum Bhar Jayein To
Mat Bekar Taulof Karna,
Dekho Phir Tum Aisa Karna,
Meri Khushiyan Tum Le Lena
Apne Saare Dukh Mujhe De Dena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1407 on: May 13, 2007, 05:30:13 PM »

Har Samay Har WaQt Ka Pehla Shomarah Hai,
Kisi Bhi Dubte Shab K Akoi Pehla Sitara Hai,
Kahan Koi Bhi Ho Zindagi Ke Sath Chalti Hai,
Magar Umar Ki Dor Kat Jaye,
Kahani Khatam Ho Jaye,
To Phir Mohabbat Dubti Aankhon Mein Rehti Hai,
Mohabbat Mojza Hai Rooh Ko Marne Nahi Deti,
Koi Jivan Koi Duniya Koi Lamha Koi Bhi Pal,
Purane Saal Jane De Purani Raat Rehne De,
Khudaya! Lafz Saare Chin Le Ye Baat Rehne De,
"Mohabbat Sath Rehne De"
"Mohabbat Sath Rehne De"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1408 on: May 13, 2007, 05:31:24 PM »

Dilke Dariya Ko Jis Roz Utar Jana Hai,
Itna Besimt Hai Chal Laut Ke Ghar Jana Hai,

Us Tak Aati Hai To Har Chiz Theher Jaati Hai,
Jaise Paana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai,

Bol Aye Shaam-E-Safar Rang-E-Rihayi Kya Hai,
Dil Ko Rukana Hai Ke Taaron Mein Theher Jaana Hai,

Kaun Ubharte Hue Mehtaab Ka Rasta Roke,
Usko Har Taur Su-E-Dasht-E-Seher Jana Hai,

Main Khila Hoon To Isi Khaak Mein Milana Hai Mujhe,
Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jaana Hai,

Wo Tere Husn Ka Jaadu Ho Ke Mera Gam-E-Dil,
Har Musafir Ko Isi Ghaat Utar Jana Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1409 on: May 13, 2007, 05:32:18 PM »

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majbooriyon Ke Saaye The,
Mere Haathon Se Khat Pakadte Hi,
Jaane Kya Soch Kar Achanak Wo
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi
Uske YaaQut Rang Hothon Ke
Kapkapate Hue Kinaron Par,
Saikdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Hathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulaata Hai,
Hamnashin Ruth Kar Na Jaa Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 90 91 92 93 [94] 95 96 97 98 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 02:34:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer