Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 91 92 93 94 [95] 96 97 98 99 ... 273
Print
Author  (Read 133063 times)
angel4u
Guest
«Reply #1410 on: May 13, 2007, 05:33:20 PM »

Lafzon Ki Kahani Hai,
Bas Yehi Zindagani Hai,
Kabhi Gam Ke Katahrey Mein,
Kabhi Khushiyon Ke Daayre Mein,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai,

Zindagi Ki Raahon Mein,
Raahiyon Ke Milne Se,
Phir Bichhadne Ke Dar Se,
Abhi Dilko Behlana Hai,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai,

Guzre Hue Lamhon Ki,
Yaadon Ko Bhulana Hai,
Abhi To AshQon Ko
Aankhon Mein Chhupana Hai,
Hamein Bas Muskurana Hai,
Abhi To Muskurana Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1411 on: May 13, 2007, 05:36:47 PM »

Jaane Kyon
Us Shakhs Mein
Ye Ehsaas Hi Na Tha
Ke Us Par Kisiki Pyaar Bhari Nazrein Bhi Hai,
Us Par Kisika Dil Bhi Hai,
Us Par Koi Jaan Se Fida Bhi Hai,

Na Jaane Kyon,
Us Shakhs Mein
Ye Ehsaas Hi Na Tha,
Ke Uski Saanson Ke Saath
Kisi Aur Ki Saansein Bhi Judi Hui Hai,
Uske Dilke Sath,
Kisike Dilki Dhadkan Bhi Rawaan Hai,

Na Jaane Kyon
Us Shakhs Mein
Ye Ehsaas Hi Na Tha,
Ke Kisiki Zindagi,
Us Par Bhi Tamam Ho Sakti Hai,
Kisike Pyar Ki Baarish,
Us Par Bhi Nichhawar Ho Sakti Hai,

Na Jaane Kyon
Us Shakhs Ka Shayad Ehsaas Hi Mar Gaya Tha,
Ya Wo Behis Ho Gaya Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1412 on: May 13, 2007, 05:39:03 PM »

Hum Jab Bhi Neendon Ke Safar Par Jaate Hai,
Bas Tumhe Hi Apne Roobaroo Paate Hai,

Hum Jab Bhi Muskurana Chahte Hai,
Is Mein Ek Dard Ka Payam Paate Hai,

Hum Jab Bhi Dua Ke Liye Haath Uthate Hai,
Bas Teri Aarzu FaQat Kar Paate Hai,

Hum Jhel Jaate Hai Is Duniya Ke Saare Gam,
Tumhe Sochte Hi Aansu Rok Na Paate Hai,

Hum Har Shab Tere Khayal Mein Guzarte Hai,
Tere Khayal Se Aage Soch Na Paate Hai,

Hum Dilki Hasraton Ko Daba Kar Rakhte Hai,
Tere Khayal Ke Aate Hi Ikhtiyar Kar Na Paate Hai,

Hum Wisl Ki Kali Shab Mein Kho Kar Reh Gaye Hai,
Aah! "Rukh" Kya Hum Is Mein Ujala Kar Paate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1413 on: May 13, 2007, 05:40:46 PM »

Mere Khayalon Mein Koi Aane Laga Hai,
Mere Dil Par Ab Koi Chhane Laga Hai,

Naye Khwaab Mujh Mein Jagane Laga Hai,
Mujhe Khudse Begana Banane Laga Hai,

Manzil Nayi Dekhne Laga Hai,
Khud Rasta Ab Mujhe Bulane Laga Hai,

Tanha Rehne Mein Ab Maza Aane Laga Hai,
Kisika Khayal Mujhe Satane Laga Hai,

Sochne Mein Ab To Maza Aane Laga Hai,
Koi Mujhe Mujhse Churane Laga Hai,

Khamoshi Mein Bhi Koi Aur Sunane Laga Hai,
Andhere Mein Koi Chirag Jalane Laga Hai,

Phoolon Ki Tarah Mujhe Koi Mehkane Laga Hai,
Har Taraf Khushbu Jaise Kio Phailane Laga Hai,

Sawan Mein Ab To Maza Aane Laga Hai,
Hawa Mein Mujhe Jaise Koi Udane Laga Hai,

Ab To Har Mausam Suhana Nazar Aane Laga Hai,
Mujhe Deewana Jaise Koi Banane Laga Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1414 on: May 13, 2007, 05:42:49 PM »

Aisa Nahi Ke Humko Mohabbat Nahi Mili,
Jise Chahte The Humko Wo Ulfat Nahi Mili,

Milne Ko Zindagi Mein Kayi Humsafar Mile,
Par Unki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehron Mein Dusron Ke Tumhein Dhundte Rahe,
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bahut Der Se Aaya To Mere Paas Kya Kahun,
Alfaaz Dhundne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili,

Tujhko Gila Raha Ke Tawajah Na Di Tujhe,
Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Nahi Mili,

Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila,
Koi Bhi Chiz WaQt-E-Zaroorat Nahi Mili,

Humko To Teri Aadat Achhi Lagi,
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1415 on: May 13, 2007, 05:44:16 PM »

Rasta Bhool Gaye, Kaarvan Bhool Gaye,
Karwan-E-Simt-E-Rahnuma Bhool Gaye,

Rooh-E-Qaid Ko Shikwa Hai Watan Walon Se,
Janesaran-E-Wafa Ahd-E-Wafa Bhool Gaye,

Aisa Nadan Musafir Kahin Dekha Na Suna,
Apni Samjhi Hui Manzil Ka Pata Bhul Gaye,

Apni TaQdeer Ko To Hum Ilzaam Dete Hai,
Lekin Afsos Apni Khata Bhool Gaye,

Mukhtasir Khana Hai Ya Hirsohawa Mein Shareek,
Dars, Tafseer-O-Hadeesa-O-FiQa Bhool Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1416 on: May 13, 2007, 05:46:19 PM »

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke,
Wo Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gam Guzaar Ke,

Veeran Hai Maikada Khum-O-Saagar Udaas Hai,
Tum Kya Gaye Ke Ruth Gaye Din Bahar Ke,

Ek Fursat-E-Gunah Mili Wo Bhi Chaar Din,
Dekhe Hai Humne Hausle Parwardigar Ke,

Duniya Ne Teri Yaad Se Begana Kar Diya,
Tujhse Bhi Dilfareb Hai Gam Rozgaar Ke,

Bhule Se Muskura Ke Diye Wo Aaj Faiz,
Mat Puchh Walwale Dil-E-Nakarda Kaar Ke...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1417 on: May 13, 2007, 05:49:06 PM »

Ye Dhoop Kinara Shaam Dhalein,
Milte Hai Dono WaQt Jahan,
Jo Raat Na Din, Jo Aaj Na Kal,
Pal Bhar Ko Amar, Pal Bhar Mein Dhuwan,
Is Dhoop Kinare Pal Do Pal,
Hothon Ki Lapak Baahon Ki Khanak,
Ye Mel Hamara Jhooth Na Sach,
Kyon Raar Karein, Kyon Dosh Dharein,
Kis Kaaran Jhuthi Baatein Karein,
Jab Teri Samundar Aankhon Mein
Shaam Ka Suraj Doobega
Sukh Soyenge Ghar Dar Wale,
Aur Raahi Apni Raah Lega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1418 on: May 13, 2007, 05:50:16 PM »

Tere Gam Ko Jaan Ki Talashi Thi, Tere Jaan Nisar Chale Gaye,
Teri Raah Mein Karte The Sar Talab Sar-E-Rehguzar Chale Gaye,

Teri Kal Adayi Se Haar Ke Shab-E-Intezar Chali Gayi,
Mere Zabt Haal Se Rooth Kar Mere Gamgusaar Chale Gaye,

Na Sawal-E-Wasl, Na Arz-E-Gam, Na Hikaitein Na Shikayatein,
Tere Ahd Mein Dil-E-Zaar Ke Sabhi Akhtiyar Chale Gaye,

Ye Hamein The Jinke Lubas Par Sar-E-Raah Siyahi Likhi Gayi,
Yehi Daag The Jo Saja Ke Hum Sar-E-Bazm-E-Yaar Chale Gaye,

Na Raha Junoon-E-Rukh-E-Wafa, Ye Rasan Ye Daar Karoge Kiya,
Jinhe Jurm-E-IshQ Pe Naaz Tha Wo Gunahgaar Chale Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1419 on: May 13, 2007, 05:52:00 PM »

Mujhko Shikwa Hai Mere Bhai Ke Tum Jaate Hue,
Le Gaye Sath Meri Umr-E-Guzishta Ki Kitaab,
Is Mein To Meri Bahut Keemti Tasveerein Thi,
Is Mein Bachpan Tha Mera, Aur Mera Aihd-E-Shabab,

Iske Badle Mujhe Tum De Gaye Jaate Jaate,
Apne Gam Ka Ye Damakta Hua Khoon Rang Gulaab,
Kya Karun Bhai, Ye Aizaz Main Kyon Kar Pehnun,
Mujh Se Le Lo Meri Sab Chaak Qamizon Ka Hisaab,

Aakhri Baar Hai, Lo Maan Lo Ek Ye Bhi Sawaal,
Aaj Tak Tumse Main Lauta Nahi Mayoos-E-Jawab,
Aa Ke Le Jao Tum Apna Ye Damakta Hua Phool,
Mujhko Lauta Do Meri Umr-E-Ghazishta Ki Kitaab...

{Faiz Ahmed Faiz}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1420 on: May 13, 2007, 05:53:43 PM »

Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi,
Amjad Magar Wo Shakhs Mujhe Bhulta Nahi,

Darta Hoon Aankh Kholun To Manzar Badal Na Jaye,
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jagta Nahi,

Aashuftagi Se Uski Use Bewafa Na Jaan,
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi,

Tanha Udaas Chaandko Samjho Na Bekhabar,
Har Baat Sun Raha Hai Magar Bolta Nahi,

Khamosh Ratjagon Ka Dhuaan Tha Chahaar Su,
Nikla Kab Aaftab Mujhe To Pata Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1421 on: May 13, 2007, 05:55:05 PM »

Gulaab Chehre Pe Muskurahat,
Chamakti Aankhon Mein Shokh Jazbe,
Wo Jab Bhi College Ki Sidiyon Se
Saheliyon Ke Liye Utarti
To Aisa Lagta Tha Jaise Mere Dil Mein Utar Rahi Ho,
Kuch Is YaQeen Se Baat Karti Thi Ke Jaise Duniya
Uski Aankhon Se Dekhti Ho
Wo Apne Raste Mein Dil Bichati Hui Nigahon Se Hans Ke Kehti
"Tumahre Jaise Bahut Se Ladkon Se Main Ye Baatein
Bahut Se Barson Se Sun Rahi Hoon
Main Sahilon Ki Hawa Hoon, Neele Samundaron Ke Liye Bani Hoon"
Aye Tamanna-E-Jaan!
Ajnabiyat Ke Is Sheher Mein Gumnaam Mein
Main Tere Naam Ka Ek Masloob Hoon,
Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahi, Tu Bhi Milta Nahi,
Ho Mubarak Tujhe Teri Kamgooiyaan, Tujhko Dhundun Kahan
Mere Ehsaas-E-Jaan Ki Namu Tujhse Hai,
Main Agar Seep Hoon Aabru Tujhse Hai,
Phool Hoon Main Agar Rang-O-Boo Tujhse Hai,
Aur Agar Jism Hoon Main To Lahoo Tujhse Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1422 on: May 13, 2007, 05:56:39 PM »

Sar Phool Dahan Phool Badan Phool,
Sar Ta Pa Tum Ho Phool Hi Phool,

Le Lo Paseena Aye Baag Ke Phool,
Ban Jaoge HaQeeQat Mein Phool,

Ud Ud Ke Choom Leta Sabz Gumbad Aur Minaron Ko,
Main Jo Hota Unke Koonche Ki Dhool,

Suno Banao Apna Ye Vird Aur Ye Maamul,
Ke Har Dam Bhejte Raho Duroodon Ke Phool,

Chamkao Meri Turbat Ko Aye Rab Ke Noor,
Lillah Meri Qabr Ko Banao AQa Phool,

De Sab Ko Hukum Ibadat Ka KhaliQ-E-Kul,
Aur Khud Bheje Habeeb Par Duroodon Ke Phool,

Rab Ke Chamakte Damakte Aye Noori Phool,
Mast Kar Do Humko Bhi Sunakar Khushbu-E-Phool,

Ujda Hai Dilka Baagh Na Is Daali Pe Koi Phool,
Aye Jaan-E-Chaman Khila Is Mein Tere IshQ Ka Phool,

Dil Jaber Ka Khil Jaye Aye Malik-E-Kul,
Bana Do Ise Aisa Mehekhta Hua Phool...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1423 on: May 13, 2007, 05:58:09 PM »

Mera IshQ Bhi Tu, Mera Pyaar Bhi Tu,
Mera Deen Bhi Tu Emaan Bhi Tu,
Mera Jism Bhi Tu Meri Rooh Bhi Tu,
Mera Dil Bhi Tu Dil Jaan Bhi Tu,
Mera Qaba Qibla Masjid Mimbar,
Mus-Haff-O-Quraan Bhi Tu,
Mera Farz Fraiez Haj Zakat,
Saam-O-Sallat Azaan Bhi Tu,
Mere Zehd Ibadat
TooQ TaQwa
Ilm Bhi Tu Irfan Bhi Tu,
Mera Zikr Bhi Tu
Meri Fikr Bhi Tu
Mera TooQ Bhi Tu
Wajdaan Bhi Tu
Menda Sanwal Methra Sham Salona
Manmohan Janan Vee Tu
Mera Murshid Hadi Peer TareQat
Shiek Hikayet Jaan Bhi Tu,
Meri Aas Ummid
Takya Maan Kalam Bhi Tu
Mera Bharam Bhi Tu
Mera Dharam Bhi Tu
Meri Sharm Bhi Tu
Meri Shaan Bhi Tu
Mera Dukh Sukh Rona
Dard Bhi Tu Darman Bhi Tu
Meri Khushiyon Ka Asbaab Bhi Tu
Mera Naseeb Bhi Tu
Naam Bhi Tu Insaan Bhi Tu
Meri Husn Ka Roop Nikhar Bhi Tu
Mera Dekha Bhala Samjha Socha
Meri Hasti Ka Saman Bhi Tu...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1424 on: May 14, 2007, 05:44:29 PM »

Chandni Tera Naam Aur Chandki RonaQ Tu Hai,
Rashk Khud Par Hai Mujhe Meri Mohabbat Tu Hai,

Jab Bhi Sochun To Khayalon Mein Tujhe Hi Sochun,
Meri Soch Samundar Aur Is Ki Halchal Tu Hai,

Tujhse Qayam Hai Mere Khwabon Ki Mehfil,
Shab Ki Rahon Mein Mera Sath Mera Humdam Tu Hai,

Qayam Hai Tere Hone Se Meri Saanson Ka Rishta,
Mera Saya Hai Meri Zaat Ka Hissa Tu Hai,

Saath Chhute Tera Is Tasavvur Se Hi Mar Jaunga,
Mere Humdam, Mere Jeene Ka Sahara Tu Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 91 92 93 94 [95] 96 97 98 99 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 12:06:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer