Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 92 93 94 95 [96] 97 98 99 100 ... 273
Print
Author  (Read 131575 times)
angel4u
Guest
«Reply #1425 on: May 14, 2007, 05:46:05 PM »

Ye Khaloos Koi Khaloos Hai Ke Dilon Mein Rabt-E-Bahum Nahi,
Tujhe Aitraf-E-Sitam Nahi Mujhe Aitbaar-E-Karam Nahi,
Ye FaQat Garoor Ki Baat Hai Ke Zubaanse Apni Tum Na Kaho,
Warna Tumko Iski Khalish To Hai Ke Tumhare Bazm Mein Hum Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1426 on: May 14, 2007, 05:47:53 PM »

Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai,
Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai,
Tum Mujhko Ab Bhi Chahte Ho,
Tum Mujhko Aazmaate Ho,
Main Aankhein Band Kar Lun To
Mujhe Awaz Dete Ho,
Tumhari Tasveer Jo Dekhun,
To Mujhse Baat Karte Ho,
Kabhi Jab Dukh Ke Mausam Mein Main Tumko Yaad Karti Hoon,
To Tumko Paas Paati Hoon,
Tumhare Shane Par Sar Rakh Ke
Main Ghanton Roti Rehti Hoon,
Aur Ye Kehti Rehti Hoon Ke,
Main Gar Mar Bhi Jaun To,
Tumhare Dil Mein Dhadkungi,
Tumhe Main Itna Chahungi,
Ke Tumse Zabt Na Hoga,
Main Itna Yaad Aaungi,
Ke Tum Bhi Paas Paaoge Haan Apne Paas Paoge
Mujhe Aisa Kyon Lagta Hai,
Tum Mujhko Ab Bhi Chahte Ho,
Tum Mujhko Aazmaate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1427 on: May 14, 2007, 05:50:08 PM »

TarQ-E-Mohabbat Apni Khata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Wo Ab Bhi Paband-E-Wafa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Darwaze Par Aahat Sunkar Uski Taraf Kyon Dhyaan Gaya,
Aane Wali Sirf Hawa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Haal-E-Pareshaan Sunkar Mera Ankh Mein Uski Aansu Hai,
Maine Usse Jhooth Kaha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Arz-E-Talab Par Uski Chup Se Zahir Hai Inkaar Magar,
Shayad Wo Kuch Soch Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Khoon-E-Tamanna Karna Uska Sheva Hai Manzoor Magar,
Haath Mein Uske Rang-E-Heena Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1428 on: May 17, 2007, 05:42:23 PM »

Ye Khayal
Ye Tumhara Intezaar
Ye Ruki Ruki Baatein
Ye Thodi Thodi Chahatein
Ye Majboori
Ye Doori
Ye Dillagi
Ye Dilkashi
Ye Deewanapan
Ye Akelapan
Ye Sochna
Ye Samajhna
Ye Dekhna
Ye Chehre Ka Sharma Jana
Ye Aankhon Ka Bhar Jana
Ye Mausam Ka Chala Jana
Ye Dhadkano Ka Ruk Jana
Ye Baaton Ka Badal Jana
Ye Saanso Ka Thehre Jana
Ye Thama Hua Samaa
Ye Saara Sansaar
Ye Tumhari Saans
Ye Mera Ehsaas
Kash Tum Yahan Hote
Mere Nahi To Mere Liye Kuch To Hote
Aur Ab.......
Ye Khamoshi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1429 on: May 17, 2007, 05:43:40 PM »

Aur Kya Kisise Marasim Burha'ein Hum,
Ye Bhi Bahut Hai Tujhe Bhool Jayein Hum,

Sehra-E-Zindagi Mein Koi Dusra Na Tha,
Sunte Rahe Hai Aap Hi Apni Sadayein Hum,

Is Zindagi Mein Itni Fraghat Kise Naseeb,
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jayein Hum,

Tu Itna Dil Zada To Na Thi Aye Shab-E-FiraQ,
Aa Tere Raaste Mein Sitare Lutayein Hum,

Wo Log Ab Kahan Hai Jo Kehte The Kal Faraz,
Heh Heh Khuda Na Karda Tujhe Bhi Rulayein Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1430 on: May 17, 2007, 05:45:58 PM »

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi,
Lekin Is TarQ-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi,

Yun To Hungame Uthate Nahi Deewana-E-IshQ Magar,
Aye Dost Kuch Aison Ka Thikana Bhi Nahi,

Muddatein Guzri Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,
Aur Hum Bhul Gaye Ho Tujhe, Aisa Bhi Nahi,

Muh Se Hum Apne Bura To Nahi Kehte,
Ke FiraQ Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1431 on: May 17, 2007, 05:49:32 PM »

Sabr Har Baar Kiya Ikhtiyaar Kiya,
Humse Hota Nahi Hazaar Kiya,

Aadatan Tumne Kar Diye Waade,
Aadatan Humne Aitbaar Kiya,

Humne Aksar Tumhari Raahon Mein,
Ruk Ke Apna Hi Intezaar Kiya,

Phir Na Mangenge Zindagi Ya Rab,
Ye Gunah Humne Ek Baar Kiya...
{Gulzaar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1432 on: May 17, 2007, 05:51:29 PM »

Ek Parwaaz Dikhayi Di Hai,
Teri Aawaz Sunayi Di Hai,

Jiski Aankhon Mein Kati Thi Sadiyan,
Usne Sadiyon Ki Judayi Di Hai,

Sirf Ek Safah Palat Kar Usne,
Beeti Baaton Ki Safayi Di Hai,

Phir Wahi Laut Ke Jaana Hoga,
Yaar Ne Kaisi Rihayi Di Hai,

Aag Ne Kya Kya Jalaya Hai Shab Bhar,
Kitni Khush Rang Dikahyi Di Hai...
{Gulzar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1433 on: May 17, 2007, 05:52:54 PM »

Wo Khat Ke Purze Uda Raha Tha,
Hawaon Ka Rukh Dikha Raha Tha,

Kuch Aur Hi Ho Gaya Numaayan,
Main Apna Likha Mita Raha Tha,

Usi Ka Imaan Badal Gaya Hai,
Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha,

Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko,
Meri Kahani Suna Raha Tha,

Wo Umr Kam Kar Raha Tha Meri,
Main Saal Apne Badha Raha Tha...
{Gulzaar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1434 on: May 17, 2007, 05:54:44 PM »

Zindagi Yun Hui Basar Tanha,
Qaafila Saath Aur Safar Tanha,

Apne Saaye Se Chaunk Jaate Hai,
Umr Guzri Hai Is Qadar Tanha,

Raat Bhar Bulate Hai Sannate,
Raat Kaate Koi Kidhar Tanha,

Din Guzarta Nahi Logon Mein,
Raat Hoti Hai Basar Tanha,

Humne Darwaze Tak To Dekha Tha,
Phri Na Jane Gaye Kidhar Tanha...
{Gulzaar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1435 on: May 17, 2007, 05:55:55 PM »

Yehi Soch Rakha Hai,
Keh
Jab Bhi Wo Hamein
Kabhi Sar-E-Raah Mil Gaya To
Nigahein Chura Kar
Palkon Pe Bund Baandh Lein
Magar
Achanak Jab Wo Samne Aaya To
Hazar Zabt Ke Bawajood Bhi
Aansu Mere Gaal Tar Karte Hue,
Mera Daman Bhigo Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1436 on: May 17, 2007, 05:57:22 PM »

Khwaab To Hai
Jaise
Ret Ke Gharonde
Jinke Bikhar Jane Ka Khauf
Humein WaQt
Dil-E-Girafta Kiye Rakhta Hai
Jane Kab WaQt Ki Berehem Lehrein
Unko Baha Le Jayein
Ke Shayad
Na MawafiQ Hawayein Hi Hamara MuQadder Thehri Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1437 on: May 17, 2007, 05:58:37 PM »

Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti,
Kahani Hamari HaQeeQat Na Hoti,

Na Dil Tumko Dete Na Majboor Hote,
Na Duniya, Na Duniya Ke Dastoor Hote,

Qayamat Se Pehle, Qayamat Na Hoti,
Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti,

Hum Hi Badh Gaye IshQ Mein Had Se Aage,
Zamane Ne Thokar Lagayi To Jaage,

Agar Mar Bhi Jaate To Hairat Na Hoti,
Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti,

Tumhi Phoonk Dete Nasheman Hamara,
Mohabbat Pe Ehsaan Hota Tumhara,

Zamane Se Koi Shikayat Na Hoti,
Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1438 on: May 17, 2007, 05:59:42 PM »

Yun Bhi Hota Hai Barson Ke Do Humsafar
Apne Khwabon Ki Tabeer Se Bekhabar
Apne Ehad Mohabbat Ke Nashe Mein Gum
Apni Kismat Ki Khoobi Pe Nazaan Magar
Zindagi Ke Kisi Mod Par
Kho Gaye
Aur Ek Dusre Se Juda Ho Gaye

Yun Bhi Hota Hai Do Ajnabi Rahroo
Apni Raahon Se Manzil Se Na-Aashna
Ek Dusre Ki Khabar Tak Nahi
Koi Paimaan-E-Ulfat Nahi Koi Ehad-E-Wafa Nahi,

IttefaQ Se Is Tarah Mil Gaye,
Saaz Bhi Baj Uthe,
Phool Bhi Khil Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1439 on: May 17, 2007, 06:00:52 PM »

Mohabbat Mein Har Zakhm Khate Rahe Hai,
Magar Phir Bhi Hum Muskurate Rahe Hai,

Kisi Mod Pe Humse Mil Jayenge Wo,
Tasalli Ye Dilko Dilate Rahe Hai,

Talab Tere Bin Kuch Nahi Hai Khuda Se,
Yunhi Hath Upar Uthate Rahe Hai,

Kitabon Mein Rakhi Wo Tasveer Teri
Subah-O-Shaam Khud Ko Dikhate Rahe Hai,

Zamane Ka Dar Usko Riz Nahi Hai,
Nazar Pe Nazar Wo Milate Rahe Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 92 93 94 95 [96] 97 98 99 100 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 04:33:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer