Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 93 94 95 96 [97] 98 99 100 101 ... 273
Print
Author  (Read 131577 times)
angel4u
Guest
«Reply #1440 on: May 17, 2007, 06:03:40 PM »

Tum Ye Jaan Rakhna,
Hamari Chahatein Umar Bhar Ke Liye Hai,
Tum Ye Jaan Rakhna,
Tumhe Humse Na Sahi Humein Tumse Mohabbat Hai,
Hamari Mohabbat Ka Tum Maan Ho,
Zindagi Ek Baar Milti Hai,
Tum Hamari Zindagi Ka Samaan Ho,
Halaat Bahut Nazuk Hai Is Dil Ke,
Isliye Tum Apne Dilko To Na Anjaan Rakhna,
Tere Bin Is Zindagi Mein To Kuch Bhi Nahi,
Hamari Is Baat Par To Imaan Rakhna,
Hamari Cahhatein Umar Bhar Ke Liye Hai,
Tum Ye Jaan Rakhna
Tum Ye Jaan Rakhna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1441 on: May 17, 2007, 06:05:36 PM »

Yehi Bahut Hai Ke Dil Usko Dhund Laya Hai,
Kisike Sath Sahi Wo Nazar To Aaya Hai,

Karun Shikayatein Takta Rahun Ke Pyaar Karun,
Gaye Bahaar Ki Surat Wo Laut Aaya Hai,

Wo Samne Tha Magar Ye YaQeen Na Aata Tha,
Wo Aap Hai Ke Meri Khwahishon Ka Saya Hai,

Azaab Dhup Ke Kaise Hai Barishein Kya Hai,
Fasil-E-Jism Giri Jab To Hosh Aya Hai,

Main Kya Karunga Agar Wo Na Mil Saka,
Abhi Abhi Mere Dil Mein Khayal Aaya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1442 on: May 17, 2007, 06:06:50 PM »

Ek BeQarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein Jhoom Kar,
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha,

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
Ummid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne IQraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Aitbaar Ka Haath Thaam Kar
Yaadon Ko Hamraah Le Kar,
Is Masoom Ne Be-Ikhtiyar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Ek Khoobsurat Itminaan Ki Tarah,
Tum Hue Hamari DUA Ki Tarah,
Humne Tumhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1443 on: May 17, 2007, 06:09:09 PM »

Hamara Dil Savere Ka Sunehra Jaam Ho Jaye,
Chiragon Ki Tarah Aankhein Jalein Jab Shaam Ho Jaye,

Kabhi To Aasman Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye,

Ajab Halaat The Yun Dilka Sauda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haweli Jis Tarah Neelaam Ho Jaye,

Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De Humko,
Hawayein Tez Ho Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye,

Mujhe Malum Hai Uska Thikana Phir Kahan Hoga,
Parinda Aasman Chhune Mein Jab Nakaam Ho Jaye,

Ujale Apni Yaadon Ke Hamare Sath Rehne Do,
Na Jaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1444 on: May 17, 2007, 06:10:50 PM »

Zindagi Ke Raston Mein Itni Gird Udti Hai,
Fasle Se Dekhein To Kuch Nazar Nahi Aata,
Manzilon Ke Chehre Bhi, Raah Ki Nishani Bhi,
Sab Hi Doob Jaate Hai,
Gird Ke Samundar Mein,
Dard Ke Samundar Mein,
Raasta Nahi Milta,
Fasla Nahi Ghatta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1445 on: May 17, 2007, 06:12:22 PM »

Ye Hadein Na Tod Dena, Mere Dayre Mein Rehna,
Mujhe Apne Dil Mein Rakhna, Mere Haafze Mein Rehna,

Mera Bojh Khud Uthana, Mera Qarb Aap Sehna,
Mere Zakhm Baant Lena, Mere Rat-Jage Mein Rehna,

Mera HuQb Khood Sunna, Meri Mohr Khood Lagana,
Mere Mashware Mein Hona, Mere Faisle Mein Rehna,

Kabhi Manzilon Ki Soorat Meri Dastaras Se Bahar,
Kabhi Sang-E-Mel Ban Kar Mere Raste Mein Rehna,

Mere Haath Ki Lakeerein, Tera Naam Banke Chamke,
Meri Khwahishon Ki Khushbu, Mere Za'iche Mein Rehna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1446 on: May 17, 2007, 06:13:51 PM »

Kar Liya Hai Faisla Kehna Usse,
Ab Na Hoga Rabta Kehna Usse,

Jis Pe Hum Chalte Rahe Hai Saath Saath,
Kho Gaya Wo Rasta Kehna Usse,

Teri Yaadein Dilse Rukhsat Ho Gayi,
Ho Chuka Ye Saneha Kehna Usse,

Ab Na Dekhega Tumhara Rasta,
Dilko Main Samjha Chuka Kehna Usse,

Chain Se Sone Na Dega Gam Tujhe,
Raat Bhar Ab Jagna Kehna Usse,

Mud Ke Pichhe Dekhte Hum Bhi Nahi,
Soch Kar Muh Pherna Kehna Usse...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1447 on: May 17, 2007, 06:15:08 PM »

Unse Milne Ko Dil BeQarar Sa Rehta Hai,
Har Ghadi Har Pal Intezaar Sa Rehta Hai,

Paheli Si Ban Gayi Hai Mohabbat Ki Dastan,
IQraar Dil Mein, Zubaan Pe Inkaar Sa Rehta Hai,

Dil Ke Sehra Se Khayalon Ke Kaarwaan,
Guzar To Jaate Hai Par Gubaar Sa Rehta Hai,

Nazron Se Door Magar Dilke Kareeb Hai,
Gair Ho Kar Bhi Unpe Aitbaar Sa Rehta Hai,

Chahat Ki Giraft Mein Jab Dil Ho 'Hijaab'
Na Zor Koi Dil Pe Na Ikhtiyaar Sa Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1448 on: May 17, 2007, 06:16:29 PM »

ZauQ-E-Sitam Janoon Ki Hadon Se Guzar Gaya,
Kam-Zarf Zinda Reh Gaye, Insaan Mar Gaya,

Gam Khana-E-Jahanan Mein Kisi Jurrat-E-Qayam,
Mera Hi Huasla Tha, Do Din Theher Gaya,

Hai Shiddat-E-Khuloos Ek Zurm-E-AashiQui,
Parwana Jal Ke Shamma Ko Badnaam Kar Gaya,

Baithe Hai Aaj Aayina-E-Dil Le Ke Wo,
Ab Jaane Ye Nazm-E-Do Alaam Sanwaar Gaya,

Lillah! Aap Mujhse Mohabbat Na Kijiye,
Do Roz Hi Mein Aapka Chehra Utar Gaya,

Pehle To Zindagi Ki Tamanna Thi IshQ Mein,
Ab Dhundta Hoon Main, Mera Qatil Kidhar Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1449 on: May 17, 2007, 06:18:07 PM »

Khamoshi Bol Uthe Har Nazar Paigam Ho Jaye,
Ye Sannata Agar Had Se Badhe Kehram Ho Jaye,

Sitare Mashalein Le Kar Mujhe Bhi Dhundne Niklein,
Main Rasta Bhool Jaun, Jungalon Mein Shaam Ho Jaye,

Main Wo Adam Gazeedah Houn Jo Tanhayi Ke Sehra Mein,
Khud Apni Chaap Sunkar Larza Bara-Nadam Ho Jaye,

Misal Aisi Hai Us Dor-E-Khard Ke Hosh Mandon Ke,
Na Ho Daman Mein Zara Aur Sehra Naam Ho Jaye,

Shakaib Apne Taruf Ke Liye Yeh Baat Kaafi Hai,
Hum Usse Bach Ke Chalte Hai Jo Rasta Aam Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1450 on: May 17, 2007, 06:19:20 PM »

Apne Zarf, Apni Talab, Apni Nazar Ki Baat Hai,
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai,

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi,
Kam Nazar Samjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai,

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi,
Shama Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai,

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop,
Zindagi Jo Chashmak-E-BarQ-O-Sharar Ki Baat Hai,

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hai Warna Zindagi,
Ek Musalsal Rehguzar, Payham Safar Ki Baat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1451 on: May 17, 2007, 06:20:24 PM »

Zakhm-E-Dil Ko Gulab Kya Likhun,
Chahaton Ke Azab Kya Likhun,

Apni Aukaat Se To WaaQif Hoon,
Khud Ko Mehtaab Kya Likhun,

Kis Ke Hisse Mein Ayein Tabeerein,
Kis Ke Ujde Hain Khwab Kya Likhun,

Jisne Likha Hai Zindagi Mujhko,
Uske Khat Ka Jawab Kya Likhun,

Sadme Pehle Bhi Seh Liye Hai Magar,
Ab To Toota Hai Ataab Kya Likhun,

Tishnagi To Na Bujh Saki,
Kitne Aaye Saarab Kya Likhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1452 on: May 17, 2007, 06:21:35 PM »

WaQt Thoda Hai Paas Mere,
Par Ab Bahut Kuch Abhi Karna BaaQi Hai,

Wo Zakhm Jo Apno Ne Diya
Use Abhi Bharna BaaQi Hai,

Teri Dosti Ki Aadat Si Apd Gayi Hai Mujhe,
Kuch Der Tere Sath Chalna Mera BaaQi Hai,

Shamshan Chhod Ke Kuch Pal Ke Liye Kahin Mat Jaa,
Warna Rooh Kahegi Ruk Jaa Abhi Tere Yaar Ka Jalna BaaQi Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1453 on: May 18, 2007, 04:12:51 PM »
bahoot khoob Angle!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1454 on: May 18, 2007, 05:03:35 PM »
Thanks DI...
Logged
Pages: 1 ... 93 94 95 96 [97] 98 99 100 101 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 04:54:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer