Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 273
Print
Author  (Read 131578 times)
angel4u
Guest
«Reply #1455 on: May 18, 2007, 05:11:07 PM »

YaQeen Kar Lo Sar Se Paa Tak Zameen Se Neele Aasman Tak,
Teri Tamanna Mein Jee Rahe Hai Judayi Ka Zeher Pee Rahe Hai,
Na Tairgi Ka Mizaj Dekha Na Roshni Ka Khiraj Dekha,
Chale Hai Teri Nagar Ke Jaanib Ruke Hai Teri Nazar Ki Jaanib,
YaQeen Kar Lo Ke Aasman Bhi Tumhare Dil Ka Ye Aashiyan Bhi,
Meri Wafa Ka Ameen Hoga Aise Bhi Mujh Par YaQeen Hoga,
Haan Dooriyon Ka Sabab Batao Ye Kaisa Khud Par Gazab Batao,
Batao Wo Dilki Pyaari Baatein Na Keh Sake Jo Wo Pyari Baatein,
Batao Khuf-O-Hiras Kyon Hai Tumhare Andar Ye Pyaas Kyon Hai,
Kyon Mere Nazdeek Aate Aate Jhijhak Ke Kyon Ho Palat Jaate,
Tum Aao Mujh Par YaQeen Kar Lo Mujhe Bhi Dilka Makeen Kar Lo,
Hamein Tumhari Hi Aarzu Hai Hamein Tumhari Hi Justuju Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1456 on: May 18, 2007, 05:12:27 PM »

Khwaab Dil Hai Na Aankehin Na Saansein Ke Jo
Reza Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge

Khwab Marte Nahi
Khwab To Roshni Hai Nawa Hai Hawa Hai,
Jo Kaale Pahaadon Se Rukte Nahi,
Zulm Ke Dozakhon Se Bhi Fukte Nahi,
Roshni Aur Nawa Aur Hawa Ka Aalam
MaQtalon Mein Pahuch Kar Bhi Jhukte Nahi,

Khwaab To Harf Hai,
Khwaab To Noor Hai,
Khwaab To SuQraat Hai,
Khwaab Mansoor Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1457 on: May 18, 2007, 05:26:52 PM »

Neend Se Bojhal Jalti Aankhein,
Lambi Bankar Jaagti Raatein,
Jab Bhi Main Koi Sapna Dekhun,
Sapna Dekhkar Dar Jata Hoon,
Sapne Aksar Dukh Dete Hai
Uljha Uljha Roz-E-Shab Mein
Na WaQif Begane Saare
In Mein Jab Koi Apna Dekhun,
Milne Se Bhi Katrata Hoon,
Apne Aksar Dukh Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1458 on: May 18, 2007, 05:30:01 PM »

Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakha Hai,

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hai Tujhe Sochte WaQt,
Humne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai,

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho,
Humne Ye Soch Kar Hi Tumko Khafa Rakha Hai,

Tum Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din,
Humne Us Shaam Ko Seene Se Laga Rakha Hai,

Chain Lene Nahi Deta Ye Kisi Taur Mujhe,
Teri Yaadone Jo Toofan Utha Rakha Hai,

Jaane Wale Ne Kaha Tha Wo Laut Ayega Zaroor,
Ek Isi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hai,

Tere Jaane Se Jo Dhool Uthi Thi Gam Ki,
Humne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai,

Mujhko Kal Shaam Se Wo Bahut Yaad Aane Laga,
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shakhs Bhula Rakha Hai,

Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere Naam Wasi,
Maine Is Khat Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1459 on: May 18, 2007, 05:35:36 PM »

Tumhari In Siyan Aakhon Mein,
Meri Zindagi Ki Shamma Jalti Hai,
Jab Tum Kareeb Se,
Meri Taraf Dekhte Ho,
To Meri Zindagi Ki Saansein Aur Badh Jaati Hai,
Aur Jab Tum Muskurate Ho To
Tumhari Muskurahat Se Mera Dil Aur Zor Se Dhadakta Hai,
Aur Main Ye Duwa Mangti Hoon
Kash!
Khuda Kare
Tumhari Aankhon Ki Chamak,
Aur Hothon Ki Muskurahat
Sada Yuhi Rahe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1460 on: May 18, 2007, 05:37:36 PM »

Jeevan Kya Hai Chalta Phirta Ek Khilona Hai,
Do Aankhon Mein Ek Se Hansna Ek Se Rona Hai,

Jo Jee Chahe Wo Mil Jaye Kab Aisa Hota Hai,
Har Jeevan Jeevan Jeene Ka Samjhauta Hai,
Ab Tak Jo Hota Aya Hai Wohi Hona Hai,

Raat Andheri Bhor Sunahi Yehi Zamana Hai,
Har Chaadar Mein Dukh Ka Taana Sukh Ka Banana Hai,
Aati Saans Ko Paana Jaati Saans Ko Khona Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1461 on: May 18, 2007, 05:39:42 PM »

Chand Se Phool Se Ya Meri Zubaan Se Suniye,
Har Taraf Aapka Qissa Jahan Se Suniye,

Sab Ko Aata Hai Duniya Ko Sata Kar Jeena,
Zindagi Kya Mohabbat Ki Dua Se Suniye,

Meri Awaz Parda Mere Chehre Ka,
Main Hoon Khamosh Jahan Mujhko Wahan Se Suniye,

Kya Zaroori Hai Ke Har Parda Uthaya Jaye,
Mere Haalaat Apne Apne Makaan Se Suniye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1462 on: May 18, 2007, 05:42:51 PM »

Pyaar Ka Meetha Ehsaas Dilane Lage Ho Tum,
Ab To Mujhse Mujhi Ko Churane Lage Ho Tum,

Tumhari Chahaton Ka Chaya Hai Surur Is Kadar,
Har Pal Har Jagah Nazar Aane Lage Ho Tum,

Veeran Thi Ye Zindagi Tumhare Aane Se Pehle,
Khushiyon Ke Sapne Mujhe Dikhane Lage Ho Tum,

Har Pal Mujhe Hota Hai Bas Tumhara Hi Ehsaas,
Is Kadar Meri Saanson Mein Samane Lage Ho Tum,

Ek Pal Ki Bhi Doori Seh Nahi Paati Hoon Main,
Hoke Masroof Kyon Mujhe Aazmaane Lage Ho Tum,

Raah Chalte Hue Aksar Hota Hai Ye Gumaan,
Ke Banke Saaya Sath Mere Aane Lage Ho Tum,

Naam Koi Bhi Lun To Naam Aaye Tera Labon Pe,
Ban Ke Jaadu Meri Rooh Mein Samane Lage Ho Tum,

Teri Yaadon Se Hi Aksar Hota Hai Dil Munavver Mera,
Ghulke Sath Lahoo Ke Nas Nas Mein Samane Lage Ho Tum,

Jaane Kaunsi Dor Hai Teri Aur Khich Le Jaati Hai,
Mujhko Apna Deewana Banane Lage Ho Tum,

Tasavvur Mein Aksar Hota Hai Ye Mehsoos Mujhe,
Chhod Ke Duniya Meri Baahon Mein Samane Lage Ho Tum,

Ye To Bata Ke Kya Naam Dun Is Deewangi Ko,
Bechain Karke Har Lamha Mujhe Tadpane Lage Ho Tum,

Tere Khayalon Se Mehekne Lagti Hai Zindagi Meri,
Mere Zehn-O-Dil Pe Is Kadar Chhane Lage Ho Tum,

Ye Masumiyat Ye Bholapan Ye Sadgi Tumhari,
Mujhko Har Ada Se Ab Satane Lage Ho Tum,

Zist Ki Raahon Mein Dhoop Thi Har Taraf,
Apne Pyaar Ki Baarish Ko Barsane Lage Ho Tum,

Kya Is Baat Ka Tumhe Ehsaas Hai Jaana,
Mere Har Sher Mein Har Gazal Mein Aane Lage Ho Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1463 on: May 18, 2007, 05:45:00 PM »

Meri Zindagi Mein Tum Ho

Subah-E-Naseem Mein,
Shaam Ke Dhundlkey Mein,
Baarish Ke Baad,
Dhanak Ke Rangon Mein,
Meri Zindagi Mein Tum Ho

Sahil Samundar Par
Maujon Ki Tughyani Mein,
Pursukoon Lehron Mein,
Gehre Paniyon Mein
Chand Ka AQs
Aur Usmein Ek Chehra
Mere Tasavvur Mein
Meri Zindagi Mein Tum Ho

Rawayat Ke Qafs Mein Qaid
Sochun Ke Alkhat NaQoosh Mein,
Meri Zindagi Ke Pasbaan
Meri Zindagi Mein Tum Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1464 on: May 18, 2007, 05:48:23 PM »

IshQ Mein Hum Tumhe Kya Batayein Kis Kadar Chot Khaye Hue Hai,
Maut Ne Humko Maara Hai Aru Hum Zidnagi Ke Sataye Hue Hai,

Aye Lahed Apni Mitti Se Keh De, Daag Lagne Na Paye Kafan Ko,
Aaj Hi Humne Badle Hai Kapde, Aaj Hi Hum Nahaye Hue Hai,

Dushmano Ki Shikayat Hai Beja Dosto Se Gila Kya Karein,
Jhad Chuke Jin Darakhton Ke Patte Phir Kahan Unke Saye Hue Hai,

Kya Hai Anjam-E-Ulfat Patango Jaa Ke Shama Ke Nazdeek Dekho,
Kuch Patango Ki Laashein Padi Hai, Par Kisike Jalaye Hue Hai,

Unki Tarif Kya Puchhte Ho Umar Saari Gunahon Mein Guzri,
Paarsa Ban Rahe Hai Wo Aise Jaise Ganga Nahaye Hue Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1465 on: May 18, 2007, 05:50:12 PM »

Mohabbat Tak Rasaa'ii Chahta Hoon,
Main Kab Saari Khudayi Chahta Hoon,

Khushi Bhi Mujhko Raas Aati Nahi Hai,
Gamon Se Bhi Rihayi Chahta Hoon,

Khizaan Mein Shaakh Se Gul Jaise Bikhre,
Main Yun Tujhse Judayi Chahta Hoon,

Mere Hothon Pe Kaliya Khil Uthti Hai,
Main Phir Shola-Nawayi Chahta Hoon,

Ganwa Baitha Hoon Sab Kuch Phir Bhi,
Wahi Farmaan-E-Rawayi Chahta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1466 on: May 18, 2007, 05:51:17 PM »

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere,
Tu Kahan Hai Aye Dost Purane Mere,

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajusus Bekar,
Burg-E-Awara Ki Manind Dikhane Mere,

Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Der Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere,

KhalQ Ki Bekhabri Hai Ke Meri Ruswayi,
Log Mujhko Hi Sunate Hai Fasane Mere,

Aaj Ki Aur Baras Beet Gaya Us Ke Bagair,
Jiske Hote Hue Hote The Zamane Mere,

Kash Tu Bhi Meri Awaz Sunta Ho,
Phir Pukara Hai Tujhe Dilki Sada Ne Mere,

Kash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihayi Ko,
Log Aate Hai Bahut Dilko Dukhane Mere,

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kah Sakta,
Baat Sun Li Meri Aaj Khuda Ne Mere,

Tu Hai Kis Haal Mein Aye Zood-Faramosh Mere,
Mujhko To Chhin Liya Ahd-E-Wafa Ne Mere,

Charagar Yun To Bahut Hai Magar Aye Jaan-E-Faraz,
Juz Tere Koi Aur Zakham Na Jaane Mere...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1467 on: May 18, 2007, 05:54:02 PM »

Aao Koi Baat Karein,
Aankh Ki Seep Mein Jo Band Hai,
Us Khwab Ki Baat,
Hijr Ke Khauf Se Sehmi Hai Jo,
Us Raat Ki Baat,
Lab Pe Aake Jo Ruk Jaati Hai,
Us Baat Ki Baat,
Aao Koi Baat Karein,
Isse Pehle Ke Ghutan Badh Jaye,
Honth Khamosh Rahein Aur,
Thakan Badh Jaye,
Lamha-E-IQraar Guzar Jaaye,
Harf Mar Jayein,
Kyon Zamane Se Darein,
Aao Koi Baat Karein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1468 on: May 18, 2007, 05:55:16 PM »

Badalte Hue Mausam Mein Sahara Kaun Deta Hai,
Bikharte Hue Patton Ko Zamana Aur Bikher Deta Hai,
Dard Mein Ho To Saansein Bhi Sard Nikalti Hai,
Bhala Sukhe Hui Patton Ko Kitabon Mein Kaun Rakhta Hai,
Wo Mera Apna To Hai Magar Phir Bhi Ajnabi Sa Hai,
Jo Bhi Hansta Hai Usi Ka Sath Deta Hai,

Meri Saanson Mein Rehta Hai Aur Apna Bhi Kehta Hai,
Main Use Apna Kaise Kahun, Wo Jo Kisi Aur Ka Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1469 on: May 18, 2007, 05:56:14 PM »

Dekho Tumhari Chaah Mein,
Hum Jee Rahe Hai Kis Tarah,
Ke
Na Hosh Hai Na Khabar Koi,
Na Hai Rasta Na Safar Koi,
Na Hai Mushkilein Na Bhanwar Koi,
Bas Intezar Hi Intezar,
Ke
Kab Karega Ek Nazar
Aur Bolega Ye Satar,
"Hamein Tumse Hai Pyar,
Hamein Tumse Hai Pyaar",
Dekho Tumhari Chah Mein,
Hum Jee Rahe Hai
Kis Tarah...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 94 95 96 97 [98] 99 100 101 102 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 04:57:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer