Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 95 96 97 98 [99] 100 101 102 103 ... 273
Print
Author  (Read 131584 times)
angel4u
Guest
«Reply #1470 on: May 18, 2007, 05:58:27 PM »

Khuda Se Husn Ne Ek Roz Sawal Kiya,
Jahan Main Kyon Na Mujhe Tune Lazawal Kiya,

Mila Jawab Ke Tasveer Kahan Hai Duniya,
Shab Daraz-E-Adam Ka Fasana Hai Duniya,

Hui Hai Rang-E-Taghayur Se Jab Namodas Ki,
Wo Haseen Hai HaQeeQat Zawal Hai Jiski,
Kahin Kareen Tha Ye Guftugu Qamar Ne Suni,
Falak Ne Aam Hui Akhtar Saher Ne Suni,
Seher Ne Tare Se Sunkar Sunayi Shabnam Ko,
Falak Ki Baat Bata De Zameen Ke Mehram Ko,
Bahar Aayi Phool Ke Aansu Piyam-E-Shabnam Se,
Kali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gaya Gam Se,
Chaman Se Rootha Hua Masaum-E-Bahar Gaya,
Shabab Saeer Ko Aya Tha Sogwar Aaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1471 on: May 18, 2007, 05:59:42 PM »
Raaton Mein Jal Kar Aye Shama Roshni Bikherna Sikh Liya,
Na Asar Karegi Dua Bhi Ke Dard Ko Azmana Sikh Liya,
Logto Phool Rakhte Hai Kitabon Mein,
Humne Kaantonko Apnana Sikh Liya,
Tu Ne To Bas Mohabbat Ki, Humne Nibhana Sikh Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1472 on: May 18, 2007, 06:00:39 PM »
Kitni Mushkil Se Guzarti Hai Ye Raat Na Puchho,
Aah Seene Se Nikalti Hai Tum Ye Baat Na Puchho,

Uske Har Lafz Mein Afsane Hazaron Ke Dafan Hai,
Aur Kaiyon Ke Bayan Ho Na Sake Jazbaat Na Puchho,

Har Zubaan Naam Le Jiska Tu Wo Shay Hai Zalim,
Nazar Ko Intezar Hai Jiska Wo Mulakat Na Puchho,

Usne Hasne Se Kyon Gulshan Mein Bahar Aati Hai,
Uske Rone Se Kyon Ho Jaati Hai Barsaat Na Puchho,

IshQ Ki Gustakhiyon Pe Jab Wo Khafa Hote Hai,
IshQ Kehte Hai Ke Mera Rang Meri Zaat Na Puchho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1473 on: May 18, 2007, 06:02:40 PM »
Mera Wajood Hai
Aziyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehen Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Badmast Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyaar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phattta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehed" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baaghbaan Uski Rooh Ko,
Bakhsh De Har Khata Uski,
Razi Ho Ja Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Main De Jaga,
Apne Rehem Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunehgaar Ki Ye Iltija Gar Manzoor Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1474 on: May 18, 2007, 06:04:59 PM »
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Gar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai?

Kyon Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Mein Khushbu Ka Safar Rehta Tha,
Dil Mein Aabaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha,
Zindagi Khaar Bhari Raah Mein Laayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Hoon Bikhra Hua Gardish Mein Sitare Mere,
Gam Ke Toofan Mein Doobe Hai Kinare Mere,
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunehgaar Hoon Main,
Sach To Ye Hai Ke Mohabbat Ka Parastar Hoon Main,
Ye Saza Phir Bhi Mere Hisse Mein Aayi Kyon Hai,
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Agar Roun To Sehra Ko Samundar Kar Dun,
Sakht Ho Jaun Agar Mom Ko Patthar Kar Dun,
Raakh Ho Jaye Jahaan Mein Jo Agar Aah Bharun,
Aasman Toot Pade Tujhse Jo Fariyaad Karun,
Itni Gehrayi Mere IshQ Mein Aayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Agar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1475 on: May 18, 2007, 06:06:08 PM »
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe YaQeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Liye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1476 on: May 18, 2007, 06:09:14 PM »
Bichhda Hai To Ek Pal Bhi Bhulaya Nahi Jaata,
Wo Pehli MulaQaat Ka NaQsha Nahi Jaata,

Ek Shakhs Ki Awaz Pe Yun Daud Raha Hoon,
Gar WaQt Bhi Ruk Jaye To Thehra Nahi Jaata,

Jab Baat Karun Usse To Nazrein Nahi Uthti,
Aur Nazrein Uthata Hoon To Bola Nahi Jaata,

Kho Jaati Hai Aankhein Bhi, Neend Bhi, Dil Bhi,
Ek Usse Jo Mil Lun To Mera Kya Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1477 on: May 18, 2007, 06:11:13 PM »
Dil Ki Baat Dil Mein Na Reh Sakegi,
Kuch Log Chehre Padh Lete Hai,

Humne Unse Kabhi Kuch Na Kaha,
Hamari Aankhon Se Wo Sab Samajh Lete Hai,

Ek Baar Phir Khayal Aata Hai Ke Unki Raah Dekhein,
Unki Ruswayi Ke Dar Se Qadam Hum Rok Lete Hai,

Khizaan Shuru Hone Ko Hai, Bahar To Bahut Door Hai,
Unki Baatein Sunkar Hamesha Phool Dil Mein Khilte Hai,

Dostone Phir Bahut Samjhaya Dillagi Thik Nahi,
Lekin Hum Phir Wohi Apne Dilki Sunte Hai,

Dil Jab Shiddat-E-Jazbaat Se Bhar Jaata Hai,
Hum Kuch Saaz Chhed Kar Dil Ko Behla Lete Hai,

Aur Jab Haal-E-Dil Suna Na Sake, Baat Samjha Na Sake,
Hum Bhi Kuch Sher Likh Kar Dil Halka Kar Lete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1478 on: May 18, 2007, 06:13:13 PM »
Uski Mujh Par Nigah Rahi Chaar Din,
Chahat Ki Chah Rahi Chaar Din,

Aayina Dekh Kar Sharmati Rahi,
Main Bhi Karta Raha Singhar Chaar Din,

Din Gulabi Aur Chandni Raatein Rahi,
Duniya Haseen Lagti Rahi Chaar Din,

Dil Mein Dard Ki Tarah Bas Gaya Wo,
Main Uska Bimar Raha Chaar Din...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1479 on: May 19, 2007, 06:05:19 PM »
Jo Sachha Pyar Karta Hai Wo Kahan Fariyaad Karta Hai,
Labon Ko Hilne Nahi Deta Dil-O-Dil Yaad Karta Hai,

Muskurate Hai To Bijliyan Gira Dete Hai,
Baat Karte Hai To Deewana Bana Dete Hai,

Husn Walon Ki Nazar Kam Nahi Qayamat Se,
Aag Paani Mein Wo Nazron Se Laga Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1480 on: May 19, 2007, 06:07:29 PM »

Aaj Ye Aansu Aaya Hai Pehli Baar,
Aaj Dil Ro Raha Hai Pehli Baar,

Aaj Hai Meri Aankhon Ko Tera Intezaar,
Kyon Hai Mujhe Tumse Itna Pyaar,
Kyon Main Rota Hoon Tumhare Liye Har Baar,

Aaj Ye Aansu Aaya Hai Pehli Baar,
Aaj Ye Aansu Aaya Hai Pehli Baar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1481 on: May 19, 2007, 06:09:24 PM »

Na Jaane Kaunsa Aansu Kisise Kya Keh De,
Hum Is Khayal Se Nazrein Jhukayein Baithe Hai,
Gar Toot Bhi Jayein To Gila Tak Nahi Karte,
Toofan Mein Doob Jaate Hai Khamoshiyon Ke Sath,
Koi Hat Na De Hum Sada Bhi Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1482 on: May 19, 2007, 06:10:47 PM »

Char Mausam Bhi Hai Aur Zindagi Bhi Chaar Din,
Koi Nagma Wafa Ka Charagar Dhoond Lo,

Sard Mausam Ki Bhi Hai Kuch Apni Deewangi,
Barf Chandni Ki Lekar Jism Ko Dhaanp Lo,

Baharon Ka Mausam Phoolon Ki Kahani,
Rangein Ka Chhoda Karein Ke Rang Mein Dhal Lo,

Garam Mausam Ki Lipti Hui Lau Mein,
Apne Rang Mein Naha Kar Aise Tarang Kar Lo,

Patjhad Ka Mausam Patton Ki Rawani,
Tum Apni Kahani Yun Sab Ko Suna Lo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1483 on: May 19, 2007, 06:12:20 PM »

Kisine Puchha Mohabbat Kya Hai,

Samundar Ne Kaha....
Mohabbat Samundar Ki Gehraiyon Mein Chhipe Ek Sipi Hai,
Jis Mein Chahat Jaisa Anmol Moti Maujood Hai,

Badal Ne Kaha.....
Mohabbat Ek Dhanak Hai, Jis Mein Har Rang Nomaya Hota Hai,

Shayar Ne Kaha.....
Mohabbat Ek Aisi Gazal Hai,
Jo Har Ek Sunne Wale Ke Dil Mein Utarti Chali Jaati Hai,

Mali Ne Kaha.....
Mohabbat Gulshan Ke Phool Ki Wo Dilkash Khushbu Hai,
Jis Mein Sara Gulshan Mehek Utha Hai,

Aankhone Kaha.....
Mohabbat Aansu Ka Samundar Hai,
Jo Kisike Intezar Mein Khamoshi Se Behta Hai,

Dil Ne Kaha.....
Mohabbat Kisiko Khamoshi Se Chahe Jane Ka Naam Hai,
Ke Aakhri WaQt Bhi Izhaar Na Kiya Jaye,

Naseeb Ne Kaha.....
Mohabbat Wala Duniya Ka Khush Kismat Tareen Insaan Hai,
Aur Jiske Dilme Mohabbt Nahi,
Wo Duniya Ka Badtareen Shakhs Hai,

Nafrat Ne Kaha.....
Aakhri Jeet Mohabbat Ki Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1484 on: May 19, 2007, 06:15:29 PM »

Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikr Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikr Na Karna,

Wo Zabt Na Kar Payenge Aankhon Ke Samundar,
Tum Raah Guzron Se Mera Zikr Na Karna,

Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Main Sada Se,
Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikr Na Karna,

Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhayein,
Ab Chand Sitaron Se Mera Zikr Na Karna,

Wo Meri Kahani Ko Galat Rang Na De Dein,
Afsana Nigaaron Se Mera Zikr Na Karna,

Shayad Wo Mere Haal Pe Besakhta Ro Dein,
Is Baar Baharon Se Mera Zikr Na Karna,

Le Jayenge Gehrayi Mein Tumko Bhi Baha Kar,
Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikr Na Karna,

Wo Shakhs Mile To Use Har Baat Batana,
Tum Sirf Isharon Se Mera Zikr Na Karna...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 95 96 97 98 [99] 100 101 102 103 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 06:50:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer