Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 96 97 98 99 [100] 101 102 103 104 ... 273
Print
Author  (Read 133066 times)
angel4u
Guest
«Reply #1485 on: May 19, 2007, 06:17:36 PM »

Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti,

Kuch Log Yun Hi Shaher Mein Humse Bhi Khafa Hai,
Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti,

Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shayad,
Wo Kaun Hai Jisse Teri Surat Nahi Milti,

Hanste Hue Chehron Se Hai Bazar Ki Zeenat,
Rone Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1486 on: May 19, 2007, 06:19:40 PM »

Wo Baagh Mein Mera Muntazir Tha,
Aur Chaand Taloo Ho Raha Tha,
Zulf-E-Shab-E-Visl Khul Rahi Thi,
Khushbu, Saanson Mein Ghul Rahi Thi,
Ayi Thi Main Apne Piya Se Milne,
Jaise Koi Gul Hawa Se Khilne,
Ek Umr Ke Baad Main Hansi Thi,
Khud Par Kitni Tawajjo Di Thi,
Pehna Tha Gehra Basanti Joda,
Aur Etar-E-Sohaag Mein Basaya,
Aaiyne Mein Khud Ko Kayi Baar,
Uski Nazron Se Maine Dekha,
Sandal Se Chamak Raha Tha Matha,
Chandan Se Badan Damak Raha Tha,
Hothon Mein Bahut Sharir Laali,
Gaalon Pe Galal Khelta Tha,
Baalon Mein Piroye Itne Moti,
Taaron Ka Guman Ho Raha Tha,
Afshan Ki Lakeer Mang Mein Thi,
Kaajal Aankhon Mein Hans Raha Tha,
Kaanon Mein Machal Rahi Thi Baali,
Baahon Mein Lipat Raha Tha Gajra,
Aur Saare Badan Se Phootta Tha,
Uske Liye Jo Geet Likha Tha,
Haahton Mein Le Diye Ki Thaali,
Uske Kadmon Mein Jaake Baithi,
Aayi Thi Keh Aarti Utaroon,
Saare Jeewan Ko Daan Kar Dun,
Dekha Mere Devta Ne Mujhko,
Baad Uske Zara Sa Muskuraya,
Phir Mere Sunehre Thaal Par Haath
Rakha Bhi To Ek Diya Uthaya,
Aur Meri Tamam Zindagi Se,
Maangi Bhi To Ek Shaam Maangi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1487 on: May 19, 2007, 06:21:47 PM »

Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake,
Tumne Hamein Bhula Diya, Hum Na Tumhe Bhula Sake,

Tum Hi Na Sun Sake Agar Qissa-E-Gam Sunega Kaun,
Kiski Zubaan Khulegi Phir, Hum Na Agar Suna Sake,

Hosh Mein Aa Chuke The Hum Josh Mein Aa Chuke The Hum,
Bazm Ka Rang Dekh Kar Sar Na Magar Utha Sake,

ShauQ-E-Visaal Hai Yahan, Lab Pe Sawal Hai Yahan,
Kiski Majal Hai Yahan, Humse Nazar Mila Sake,

RaunaQ-E-Bazm Ban Gaye Lab Pe Hikaayatein Rahin,
Dil Mein Shikayatein Rahi Lab Na Magar Hila Sake,

Aisa Bhi Koi Naamaabar Baat Pe Kaam Dhar Sake,
Sun Kar YaQeen Kar Sake Jaa Ke Unhein Suna Sake,

Ahal-E-Zubaan To Hai Bahut Koi Nahi Hai Ahl-E-Dil,
Kaun Teri Tarah "Hafeez" Dard Ke Geet Gaa Sake...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1488 on: May 22, 2007, 05:09:50 PM »

Dasht-E-Hijran Mein Saya Na Sada, Tere Baad,
Kitne Tanha Hai Tere Abla-Paa Tere Baad,

Lab Pe Ek Harf-E-Talab Tha, Na Raha Tere Baad,
Dil Mein Taseer Ki Khwahish Na Dua Tere Baad,

Ek Hum Hai Ke Hai Be Barg-O-Nawa Tere Baad,
Warna Abad Hai Ek KhalQ-E-Khuda Tere Baad,

Ek Qayamat Ki Khirashen Mere Chehre Pe Sajayein,
Ek Mehshir Mere Andar Se Utha Tere Baad,

Tu Keh Simta Tu Rag-E-Jaan Ki Hadon Mein Simta,
Main Ke Bikhra To Sameta Na Gaya Tere Baad,

Ye Alag Baat Ke Afsha Na Hua Tu Warna,
Maine Kitna Tujhe Mehsoos Kiya Tere Baad,

Meri Dukhti Hui Aankhon Se Gawahi Lena,
Maine Socha Tujhe Apne Se Siwa Tere Baad??

Seh Liya Dilne Tere Baad Malaamat Ka Azab,
Warna Chubhti Hai Rag-E-Jaan Mein Hawa Tere Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1489 on: May 22, 2007, 05:12:06 PM »

Woh Koi Aur Na Tha Chand Khushk Patte The,
Shajar Se Tootke Jo Fasl-E-Gul Pe Roye The,

Abhi Abhi Tumhe Socha To Kuch Na Yaad Aaya,
Abhi Abhi To Hum Ek Dusre Se Bichhde The,

Tumhare Baad Chanam Par Jab Ek Nazar Daali,
Kali Kali Mein Khizan Ke Chirag Jalte The,

Tamam Umr Wafa Ke Gunehgaar Rahe,
Ye Aur Baat Ki Hum Aadmi To Achhe The,

Shab-E-Khamosh Ko Tanhayi Ne Zabaan De Di,
Pahad Gunjte The Dasht Sansanaate The,

Wo Ek Baar Mare Jinko Tha Hayaat Se Pyaar,
Jo Zindagi Se Gurezan The Roz Marte The,

Naye Khayal Ab Aate Hai Dhal Ke Zehen Mein,
Hamare Dil Mein Kabhi Khet Lahlahaate The,

Ye IrtiQa Ka Chalan Hai Ke Har Zamane Mein,
Purane Log Naye Aadmi Se Darte The,

'Nadeem' Jo Bhi MulaQaat Thi Adhuri Thi,
Ke Ek Chehre Ke Pichhe Hazar Chehre The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1490 on: May 22, 2007, 05:14:26 PM »

Us Zakhm-E-Jaan Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara,
Us Zinda Dil Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara,
Us Zindagi Ke Naam, Guzaara Nahi Jisse,
Us Qarz-E-Fun Ke Naam, Utara Nahi Jisse,
Ahl-E-Nazar Ke Naam, Jo Johar Shanaas Hai,
Ahl-E-Wafa Ke Naam, Jo Fan Ki Asaan Hai,
Un Doston Ke Naam, Jo Gosha Nasheen Hai,
Un Be-Hisso Ke Naam, Jo Baar-E-Zameen Hai,
Un Bedilon Ke Naam, Jo Har Dam Malool Hai,
Un Bebason Ke Naam, Jo Gamlon Ke Phool Hai,
Un Ahl-E-Dilke Naam Jo Raahon Ki Dhool Hai,
Un Hauslon Ke Naam, Jinhe Dukh Qabool Hai,
Us Shola-Rukh Ke Naam Ke Roshan Hai Jisse Raat,
Hai Zofishaan Andhere Mein Har NuQta-E-Kitaab,
Aur Husn-E-Baa-Kamaal Ki Raanaaiyon Ke Naam,
Aur Apne Zehn-O-Qalb Ki Tanhaiyon Ke Naam...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1491 on: May 22, 2007, 05:17:55 PM »

Shab Utarti Hai To Yaadein Bhi Utar Aati Hai,
Jis Tarah Chidiya Kahin Door Se Ghar Aati Hai,

Din Guzarta Hai To Ho Jaate Hai Lab Khushk Mere,
Shaam Dhalti Hai To Aankhein Meri Bhar Aati Hai,

Khwahishein Liye Khwab Ke Darwazon Se,
Mere Seene Ke Bayaban Mein Dar Aati Hai,

Tu Nahi Hai To Tere Baare Mein Sochein Meri Aankhein,
Rote Rote Hue Basti Se Guzar Aati Hai,

Roz Le Jaati Hai Ek Khwab Ki Hawayein Aur Phir,
Ek Hi Shakhs Ki Dehleez Pe Dhar Aati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1492 on: May 22, 2007, 05:20:39 PM »

Bilaakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai,
Kisike Sar Se Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai,

Kisi Der Aashna Ko Jhuthe Sachhe Kuch Hawalon Se,
Taarruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta Hai,

Jo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein Damakte Hai,
Achanak Ek Din Unko Bhula Dena Hi Padta Hai,

Diye Jo Hum Jalate Hai Nihayat ShauQ Se Har Shab,
Unhe Khud Apni Phoonkhon Se Bujha Dekha Hi Padta Hai,

Koi Jab Puchhta Hai Humse Kaisa Haal Hai Sajid,
Hamein Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Padta Hai,

Chamak Uthte Hai Sajid Jab Sitare Uski Palkon Par,
Use Dilse Laga Kar Hausla Dena Hi Padta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1493 on: May 22, 2007, 05:22:05 PM »

Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan,
Meri Khamoshi Ko Na Sada De,
Jo Tere Bagair Na Jee Sake,
Usse Jeene Ki Dua Na De,
Tu Aziz Dil-O-Jaan Se Hai,
Tu Qareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere Jism-O-Jaan Ka Ye Faisla,
Kahin WaQt Aur Badha Na De,
Tujhe Bhool Ke Bhi Na Bhula Sakun,
Tujhe Chaah Ke Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila To De,
Wo Tadap Jo Sholajaan Mein Thi,
Mere Tan-E-Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha Usse,
Na Bujha Sake To Hawa Na De...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1494 on: May 23, 2007, 04:57:49 PM »

Apni Khamosh Mohabbat Aaj Mujh Par Ashkaar Kar De,
Aye Khuda Meri Ye Dua Wo Shakhs Mere Naam Kar De,
Ruko! Suno! Mujhe Tumse Kuch Kehna Hai,
Laut Kar Tumne Mere Paas Hi Aana Hai,
Main Adhoori Hoon Mujhe Mukammal Tumne Banana Hai,
Saath Apne Mujhe Tumne Le Kar Jaana Hai,
Dekho! Khuda Ki Nematon Ko Thukraya Nahi Karte,
Mila Lein Jisse Haath Phir Chhudaya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1495 on: May 23, 2007, 04:59:50 PM »

Ye Kaisi Ajab Zindagi Ki Ghadi Hai,
Ke Jabse Ki Bhi RafaQat Nahi Hai,
Koi Shakhs Unko Naya Jo Mila To,
Kaha Ke Purane Ki Aadat Nahi Hai,

Meri Aankh Bojhal Na Ho Gar To Kaise?
Koi Bojh Sehne Ki Aadat Nahi Hai,
Koi Aake Khole Meri Band Aankhein,
Mujhe Ab Jagne Ki Aadat Nahi Hai,

Koi KhalQ Ki Bandagi Jo Kare Gar,
To Ye Bandagi Hai, Ibaadat Nahi Hai,
Jo Mafhoom Puchhe Koi Abd Ka To,
Kahein Ye Batane Ki Aadat Nahi Hai,

Safar Ye Kathin Hai, Bataya Tha Unko,
Unhe Sath Chalne Mein Raahat Nahi Hai,
Jo Har Pal Hamein Aazmate Rahe Ho,
Unhe Aazmane Ki Aadat Nahi Hai,

Wafa Lafz Kehte Rahe Umar Bhar Jo,
Unhe Ye Nibhaneki Aadat Nahi Hai,
Jo Tum Khelte Ho To Khelo Dilonse,
Hamein Dil Lagane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Kehte The Tumko Hai Sapno Mein Dekha,
Wo Kehte Hai Khwabon Ki Aadat Nahi Hai,
Kisiki Hansi Yaad Aati Hai Warna,
Hamein Muskurane Ki Aadat Nahi Hai,

Jo Dekhi Wo Aankhein, Qadam Unke Bojhal,
Kahein Humko Manzil Ki Chahat Nahi Hai,
Rahe Dasht Ke Umr Bhar Jo Musafir,
Qadam Do Qadam Ki Bhi Aadat Nahi Hai,

Naya Sheher Har Din, Naya Darr Har Ek Shab,
Dagar Puchhne Ki Bhi Haajat Nahi Hai,
Hamein Ghar Mila Bhi To Us WaQt Sajid,
Ke Jab Ghar Ko Jaane Aadat Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1496 on: May 23, 2007, 05:01:58 PM »

Yeh MuQaam-E-Ulfat Tum Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Jab Had Se Gir Jao To Sajda Gira Rakhna,

Meri Rooh Kyon Becain Hai Mere Jism Ke Darse,
Jab Dil Dahel Jaye Meri Rooh Bechain Rakhna,

Kuch Maazi Ki Batein Jo Mujhse Keh Na Sake To,
Tujhe Padhneke Waste Ye Aankhein Khuli Rakhna,

Teri Ab Har Saans Par Dhadakta Dil Hai Mera,
Jab Tujhse Joda Ho Apne Dilko Tham Rakhna,

Wo WaQt Shanasayi Tum Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Wo Shaam Ka Paher Tha Wo WaQt Tham Rakhna,

Phir Sarakta Aanchal Wo Aankhon Se Behta Kajal,
Jab Dhoop Si Na Paao, Meri Chhanv Yaad Rakhna,

Ye Duniya Badi Zalim Hai Tum Kiske Paas Jaogi,
Jab Sab Se Thokar Khalo Mera Dar Yaad Rakhna,

Ye MuQam-E-Ulfat Tum Aaj Bhi Yaad Rakhna,
Jab Had Se Gir Jao To Sajda Gira Rakhna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1497 on: May 23, 2007, 05:04:46 PM »

Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne,
Apni Aankhonse Bhi Main Zakhm Chhupaun Apne,

Main To Qaem Hoon Tere Gam Ki Badaulat Warna,
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne,

Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka Diya,
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne,

Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi,
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1498 on: May 23, 2007, 05:06:03 PM »

HO Kar Zameen Ka Aasmaan Ki Chaah Kyon Karun,
Main Tujhko Paane Ki Tamanna Kyon Karun,

Mujhko Khabar Hai Judayi Tadpayegi Tujhe Har Pal,
Isliye Bata De Main Tujhse Wafa Kyon Karun,

Meri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaya Hai Mohabbat Ke Liye,
Tujhe Chahne Ki Phir Main Khata Kyon Karun,

Farishte Bhi Tadap Jaate Honge,
Jab Meri Aankh Se AshQ Chalakte Hai,
Ye Dard Tujhe De Kar Main Koi Gunaah Kyon Karun,

Teri Meri Qismat Ki Raahein Hai Juda Juda,
Main Phir Tera Ban Jaane Ki Aarzu Kyon Karun,

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi Hai Naam Tera,
Main Tera Naam Apne Naam Se Milane Ki Justuju Kyon Karun,

Meri Baatien Tere Dil Mein Hamesha Bas Jaati Hai,
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagu Kyon Karun,

Baaton Baaton Mein Benaam Fasane Ban Jaate Hai,
Aur Aisi Adhuri Kahani Ko Main Shuru Kyon Karun,

Jo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hai,
Ye Batao Ke Main Unka Zikr Dubara Kyon Karun,

Maana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Ghera Asar Karti Hai,
Use Pyaar Se Dekhkar Us Par Koi Jaadoo Kyon Karun,

Mere Liye Ye Mumkin Nahi Ke Main Tera Ban Jaun Kabhi,
To Phir Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyon Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1499 on: May 23, 2007, 05:11:06 PM »

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Jab Paas Tum Nahi Hoti,
Khudko Kitna Udaas Paata Hoon,
Gumse Apne Hawas Pata Hoon,
Jaane Kya Dhun Samayi Rehti Hai,
Ek Khamoshi Si Chhayi Rehti Hai,
Dilse Bhi Guftagu Nahi Hoti,
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahi Hoti,

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Shab Ki Taveel Khalwat Mein,
Tere Aukat Sochta Hoon Main,
Teri Har Baat Sochta Hoon Main,
Kaunse Phool Tujhko Bhaate Hai,
Rang Kya Kya Pasand Aate Hai Tujhe,
Kho Sa Jata Hoon Teri Jannat Mein,
Phir Bhi Shab Ki Taveel Khalwat Mein,

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Ehsaas Se Nijaat Nahi,
Sochta Hoon To Ranj Hota Hai,
Jaise Dilko Koi Dabota Hai,
Jisko Is Darja Chahta Hoon Main,
Jisko Itna Sarahta Hoon Main,
Usmein Teri Si Koi Baat Nahi,
Phir Bhi Ehsaas Se Nijaat Nahi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 96 97 98 99 [100] 101 102 103 104 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 01:56:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer