Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 273
Print
Author  (Read 132783 times)
angel4u
Guest
«Reply #150 on: December 30, 2006, 07:00:01 AM »

Mujhse Wakif To Mere Jism Ka Saya Bhi Na Tha,
Kaise Ho Jata Tumhara Main Khud Apna Bhi Na Tha,

Jitna Mayus Hai Wo Shakhs Bikhar Kar Mujhse,
Itni Shiddat Se To Maine Use Chaha Bhi Na Tha,

Jaise Ilzaam Lagaye Hai Mere Sar Usne,
Aisi Nazronse To Maine Use Dekha Bhi Na Tha,

Meri Awaaz Ka Gam Shaher Ne Jana Kyonkar,
Main To Us Bhid Mein Khamosh Tha Bola Bhi Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #151 on: December 30, 2006, 07:02:45 AM »

Ulfat Ki Nayi Manzil Ko Chala, Tu Baanhein Daal Ke Baahon Mein,
Dil Todnewale Dekhke Chal, Hum Bhi To Pade Hai Raahon Mein,

Kya Kya Na Jafayein Dilpe Sahi, Par Tumse Koi Shikwa Na Kiya,
Is Jurmko Bhi Shamil Kar Lo, Mere Masum Gunahon Mein,

Jahan Chandni Raaton Mein Tumne Khud Humse Kiya Ikraar-E-Wafa,
Phir Aaj Hai Hum Kyon Begane, Teri Beraham Nigahon Mein,

Hum Bhi Hai Wahi Tum Bhi Ho Wahi, Ye Apni Apni Kismat Hai
Tum Khel Rahe Ho Khushiyonse, Hum Doob Gaye Hai Aahon Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #152 on: December 30, 2006, 07:06:54 AM »

Dard Ki Had Se Guzarna To Abhi Baki Hai,
Toot Kar Mera Bikharna To Abhi Baki Hai,

Paas Aake Mera Dukh Dard Bantnewale,
Mujhse Katra Ke Guzarna To Abhi Baki Hai,

Chand Shehron Mein Kahan Dhalti Hai Ehsaas Ki Aag,
Gam Ka Ye Rang Nikharna To Abhi Baki Hai,

Rang-E-Ruswayi Sahi Shaher Ki Diwaron Par,
Naam "Rashid" Ka Ubharna To Abhi Baki Hai,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #153 on: January 08, 2007, 06:39:11 PM »
Thanks re majid...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #154 on: January 08, 2007, 06:42:08 PM »

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao,
Akele Chod Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao,

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki,
Bahut Aasan Ho, Thode Bahut Dushwar Ho Jao,

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao,

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Bas Ab Aisa Karo, Tum Saya-E-Deewar Ho Jao,

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din, Tum Is Kadar Nadar Ho Jao,

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai,
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #155 on: January 08, 2007, 06:45:56 PM »

Aaj Itne Barso Ke Baad,
Jaise Kayi Sadiyon Ke Baad,
Usne Kaha Suno
Ab Se Tum Aazaad Ho,

Qafas Khulte Hi,
Par Tolte Panchhi,
Main Udun Kis Tarah Magar,
Usne Noch Dale The Mere Par,

Dabi Hui Hasratein,
Na Tamam Khwahishein,
Puri Karun Kis Tarah Magar,
Na Ab Waqt Hai Na Nazar,

Dilke Goshon Mein Nahin,
Khwabon Ki Reshmi Doriyan,
Sapna Bunun Kis Tarah Magar,
Sulajhti Nahi Dooriyan Ulajh Kar,

Rasta Chalna Bhool Kar,
Ab Jaun Main Kis Dagar,
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein,
Phir Pehen Li Ab Zanjeerein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #156 on: January 08, 2007, 06:47:05 PM »

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera, Kyon Bujha Gaya Aawargi,
Is Dasht Mein Ek Shaher Tha Wo Kya Hua Aawargi,

Kal Shab Mujhe Be-Shakl Si Awaz Ne Chaunka Diya,
Maine Kaha Tu Kaun Hai To Usne Kaha Aawargi,

Ek Tu Ki Sadiyon Se Mera Hamraah Bhi Hamraaz Bhi,
Ek Main Tere Naam Se Na Aashna Aawargi,

Ye Dardki Tanhaiyan, Ye Dasht Ka Veeran Safar,
Hum Log To Ukta Gaye Apni Suna Aawargi,

Ek Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Gam Ka Sabab,
Sahara Ki Bhigi Ret Par Maine Likha Aawargi,

Le Ab To Dasht-E-Shab Ki Saari Vusatein Sone Lagi,
Ab Jagna Hoga Hamein Kab Tak Bata Aawargi,

Kal Raat Tanha Chand Ko Dekha Tha Maine Khwab Mein,
'Mohsin' Mujhe Raas Aayegi Shayad Aawargi...

Mohsin Naqvi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #157 on: January 08, 2007, 06:48:37 PM »

Tab Yaad Tumhari Aati Hai,
Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe Kuch Yaad Achanak Aa Jaaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Hothon Par Aahe,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aaye,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....
Jab Chandni Dilke Aangan Mein, Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Ek Khwabeeda Se Chote Koi, Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Jab Zulf Pareshan Chehre Par, Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Kuch Dard Bhi Dilme Hone Lage, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aaye,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....
Jab Shaam Dhale Chalte Chalte, Manzil Ka Na Koi Naam Mile,
Ek Hansta Hua Aagaz Mile, Ek Rota Hua Anjam Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se, Is Dilko Koi Paigam Mile,
Aur Saari Wafaon Ke Badle, Mujhko Hi Koi Ilzaam Mile,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aayein,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #158 on: January 09, 2007, 06:02:14 PM »
Thanks re majid... :D


Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi,
Guzarte Waqt Ki, Har Mauj Thaher Jayegi,

Ye Chaand Beete Zamano Ka Aaina Hoga,
Bhatakte Abra Mein, Chehra Koi Bana Hoga,
Udaas Raah Koi Daastan Sunayegi,

Barasta Bhigta Mausam Dhuwan Dhuwan Hoga,
Pighalti Shammon Pe Dil Ka Mera Gumaan Hoga,
Hatheliyon Ki Heena, Yaad Kuch Dilayegi,

Gali Ke Mod Pe, Suna Sa Koi Darwaza,
Tarasti Aankhon Se Rasta Kisika Dekhega,
Nigah Dur Talak Jaake Laut Aayegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #159 on: January 09, 2007, 06:04:46 PM »
Maine Samjha Tha Ke Tu Hai To Darkhshan Hai Hayaat,
Tera Gam Hai To Gam-E-Dahar Ka Jhagda Kya Hai,
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Baharon Ko Sabaat,
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai,
Tu Jo Mil Jaye To Taqdeer Nigun Ho Jaye,
Yun Na Tha Maine Faqat Chaha Tha Yun Ho Jaye,
Aur Bhi Dukh Hai Zamane Mein Mohabbat Ke Siwa,
Raahatein Aur Bhi Hai, Vasl Ki Raahat Ke Siwa,

Mujhse Pehle Si Mohabbat Mere Mehboob Na Maang...

Anginat Sadiyon Ke Taarik Bahimaana Talism,
Resham-O-Atalas-O-Kam_Khwaab Mein Bunwaye Hue,
Jaa-Ba-Jaa Bikte Hue Kucha-O-Bazar Mein Jism,
Khaak Mein Lithade Hue Khoon Mein Nehlaye Hue,
Jism Nikale Hue Amaraaz Ke Tannuuron Se,
Piip Bahati Hui Galte Hue Nasooron Se,
Laut Jaati Hai Udhar Ko Bhi Nazara Kya Kije,
Ab Bhi Dilkash Hai Tera Husn Magar Kya Kije,
Aur Bhi Dukh Hai Zamane Mein Mohabbat Ke Siwa,
Raahatein Aur Bhi Hai Vasl Ki Raahat Ke Siwa,

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Maang...
* * * * *[/B]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #160 on: January 10, 2007, 06:36:02 PM »
wonderful  work  Husena..........   good going :lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #161 on: January 10, 2007, 06:40:51 PM »
Thanks motuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu tongue3


Tere Hothon Ke Phoolon Ki Chahat Mein Hum,
Daar Ki Khushk Tehni Pe Vaare Gaye,
Tere Haathon Ki Shammon Ki Hasrat Mein Hum,
Neem Tarik Raahon Mein Maare Gaye,

Suliyon Par Hamare Labonse Pare,
Tere Honthon Ki Laali Lapakti Rahe,
Teri Zulfon Ki Masti Barasti Rahi,
Tere Haathon Ki Chand Si Damakti Rahi,

Jab Khuli Teri Raahon Mein Shaam-E-Sitam,
Hum Chale Aaye, Laaye Jahan Tak Qadam,
Lab Pe Harf-E-Gazal, Dil Mein Qandil-E-Gam,
Apna Gam Tha Gawahi Tere Husn Ki,
Dekh Qaayam Rahe Us Gawahi Par Hum,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye,

Na Rasaa'ii Agar Apni Takdeer Thi,
Teri Ulfat To Apni Hi Tadbeer Thi,
Kisko Shikwa Hai Gar Shauq Ke Silsile,
Hijr Ki Qatl-Gaahon Se Sab Jaa Mile,

Qatl-Gaahon Se Chun Kar Hamare Ilm,
Aur Niklenge Ushshaaq Ke Qaafile,

Jinki Raah-E-Talab Se Hamare Qatam,
Mukhtasar Kar Chale Dard Ke Faasile,
Kar Chale Jin Ki Khatir Jahangir Hum,
Jaan Ganwa Kar Teri Dilbari Ka Bharam,
Hum Jo Taarik Raahon Mein Maare Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #162 on: January 10, 2007, 06:42:15 PM »

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
Humnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #163 on: January 10, 2007, 06:43:28 PM »

Kya Kahoon Ab Koi Bhi Achha Nahi Lagta Mujhe,
Tu Bhi Pehle Ki Tarah Apna Nahi Lagta Mujhe,

Ab Teri Baatein Mere Dil Mein Utarti Hi Nahi,
Tu Wo Hi Hai Par Tera Lehja Nahi Lagta Mujhe,

Tu To Ab Aadhe Badanse Sath Chalta Hai Mere,
Tere Shaano Par Tera Chehra Nai Lagta Mujhe,

Tu Kabhi Taqseem Karta Tha Hawayein Chaar Soo,
Ab Tere Bhi Paas Ek Jhonka Nahi Lagta Mujhe,

Ab Lifafe Se Teri Khushbu Nahi Aati Mujhe,
Khat Bhi Tere Hath Ka Likha Nahi Lagta Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #164 on: January 10, 2007, 06:46:26 PM »

Sawan Bhadon Ke Saath (60)Hi Din Hai, Phir Wo Rut Ki Baat Kahan,
Apne Ashq Musalsal Barse Apni Si Barsaat Kahan,

Chandne Kya Kya Manzil Kar Li, Nikla, Chamka, Doob Gaya,
Hum Jo Aankh Jhapak Le So Le, Aye Dil Humko Raat Kahan,

Peet Ka Karobaar Bahut Hai, Ab Tu Aur Bhi Phail Chala,
Aur Jo Kaam Jahan Ke Dekhein, Fursat Dein Halaat Kahan,

Qais Ka Naam Suna Hi Hoga, Humse Bhi Mulakat Karo,
Ishq-E-Junoonki Manzil Mushkil, Sabki Aukaat Kahan...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:24:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer