Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 97 98 99 100 [101] 102 103 104 105 ... 273
Print
Author  (Read 131588 times)
angel4u
Guest
«Reply #1500 on: May 23, 2007, 05:13:19 PM »

Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya,
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya,

Tu Na Roya Koi Parwah Nahi,
Chaak Garebaan Pe Har AashiQ Roya,

Jo Haseeno Se Pyaar Karta Ho,
Aise Royega Jaise Main Roya,

Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo,
Ye To Shahid Hai Jo Subah Tak Roya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1501 on: May 23, 2007, 05:17:30 PM »

Wo Qayamat Ho, Sitara Ho Ke Dil,
Kuch Na Kuch Hijr Mein Toote To Sahi,

Hum Wahin Par Hi Basa Lein Khudko,
Wo Kabhi Raah Mein Roke To Sahi,

Sabse Hat Kar Hi Manana Hai Use,
Humse Ek Baar Wo Roothe To Sahi,

Dil Usi WaQt Sambhal Jayega,
Dilka Ehwaal Wo Puchhe To Sahi,

Uski Nafrat Bhi Mohabbat Hogi,
Mere Baare Mein Wo Soche To Sahi,

Uske Qadmon Mein Bichha Dun Aankhein,
Meri Raah Guzar Se Wo Guzre To Sahi,

Uske Sab Jhuth Bhisach Maan Lun Mohsin,
Shart Sirf Itni Ke Wo Bole To Sahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1502 on: May 23, 2007, 05:23:13 PM »

Sheher Ke Raat Aur Main Naashaad-O-Nakaara Phiroon,
Jagmagati, Jaagti Sadkon Par Aawara Phiroon,
Gair Ki Basti Hai Kab Tak Darbadar Maara Phiroon,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Jhilmilate QumQamon Ki Raah Mein Zanjeer Si,
Raat Ke Hathon Mein Din Ki Mohni Tasveer Si,
Mere Seene Par Magar Dhaki Hui Shamsheer Si,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Ye Rupehlee Chhanv Ye Aakash Par Taaron Ka Jal,
Jasie Soofi Ka Tasavvur Jaise AahsiQ Ka Khayal,
Aah Lekin Kaun Jaane Kaun Samjhe Jee Ka Haal,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Phir Wo Toota Ek Sitara Phir Wo Chhuti Phooljhadi,
Jaane Kiski God Mein Aayi Ye Moti Ki Ladi,
Hook Si Seene Mein Uthi, Chot Si Dil Pe Padi,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Raat Hans Hans Kar Ye Kehti Hai Ke Maikhane Mein Chal,
Phir Kisi Shehnaaz Lala Rukh Ke Kaashane Mein Chal,
Ye Nahi Lekin To Phir Aye Dost Veerane Mein Chal,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Har Taraf Bikhri Hui Rangeeniyan, Ranaaiyan,
Har Qadam Par Ishratein Leti Hui Angdaiyan,
Badh Rahi Hai God Phaili Hui Ruswaiyan,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Jee Mein Aata Hai Ke Ab Ahd-E-Wafa Bhi Tod Dun,
Unko Paa Sakta Hoon Main Ye Aasra Bhi Tod Dun,
Haan Munaasib Hai Ye Zanjeer-E-Hawa Bhi Tod Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Ek Mahel Ki Aad Se Nikla Wo Peela Mehtaab,
Jaise Mulla Ka Amaama Jaise Banye Ki Kitaab,
Jaise Muflis Ki Jawani Jaise Bewaa Ka Shabaab,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Dil Mein Ek Shola Bhadak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Mera Paimana Chhalak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Zakhm Seene Ka Mahek Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Jee Mein Aata Hai Ye Murd Achand Taare Noch Lun,
Is Kinare Noch Lun Aur Us Kinare Noch Lun,
Ek Do Ka Zikr Kya, Saare Ke Saare Noch Lun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun,

Badh Ke Is Andar Sabha Ka Saaz-O-Saman Phoonk Dun,
Is Ka Gulshan Phoonk Dun, Uska Shabistan Phoonk Dun,
Takht-E-Sultan Kya, Main Sara Qisr-E-Sultan Phoonk Dun,
Aye Gam-E-Dil Kya Karun, Aye Wehshat-E-Dil Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1503 on: May 23, 2007, 05:27:31 PM »

Har Mod Pe Milta Hai Yehi Ek Dost,
Halka Karta Hai Ye Sabke Dilka Bojh,
Bina Jhijhak Keh Do Isse Apne Dilka Rog,
Tnahayi Mein Yehi Hai Ek Saug,
Janam Isika Diya Hua Hai Ye Hi Suoaz,
Khoob Jaata Hai Ye Dil Mein,
Guzarti Shab Mein,
Girta Hai Ye Jab,
Aksar Mujhe,
Apni Yaadon Se,
Itne Pyar Se Naam Karta Hai Mujhe,
Betaab Sa Rehta Hai,
Janejaana Aansu Hai Meri Aankhon Ka Wo,
Karta Hai Mujhse Behad Pyaar,
Besabab Chhalakne Ko Beikhtiyaar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1504 on: May 23, 2007, 05:30:01 PM »

Mere Humnafs Mere Humsafar,
Sun Aye Behkhabar Teri Ek Nazar,
Kare Wo Asar Mere Charagar,
Ke Main Reh Jaun Dilko Thaam Kar,
Mere Charagar Tujhko Kya Khabar,
Ye Jo Teri Aankh Ka Noor Hai,
Ye Kere Sitaron Ko Bhi Mand Hai,
Aaj Keh Rahi Hai Yehi Chandni,
Mere Pehloo Mein EID Ka Chand Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1505 on: May 23, 2007, 05:31:48 PM »

Mere Shehron Ko Kiski Nazar Lag Gayi,
Meri Galiyonki RonaQ Kahan Kho Gayi,
Roshni Bujh Gayi, Aagahi So Gayi,
Hum To Nikle The Hathon Mein Suraj Liye,
Raat Kyon Ho Gayi?
Humse Kyon Roshni Ne Ye Parda Kiya,
Kyon Andherone Raston Pe Saaya Kiya,
Aao Sochein Zara,
Hum Bhi Sochein Zara, Tum Bhi Socho Zara,
Aagahi Se Pare, Roshni Ke Bina,
Jitne Imkaan Hai Saare Mar Jayenge,
Jo Bhi TakhleeQ Hai Wo Bikhar Jayegi,
Taalibaan-E-Seher! Aao Sochein Zara, Aao Dekhein Zara,
Aarzoo Ke Sitaron Se Damka Hua,
Parcham-E-Roshni Kis Tarah Phat Gaya,
Kaun Sa Mod Humse Galat Kat Gaya,
Phool Rutt Mein Khazan Kis Tarah Chha Gayi,
Beej Kya Bo Gayi,
Hum To Nikle The Haathon Mein Suraj Liye,
Raat Kyon Ho Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1506 on: May 23, 2007, 05:33:17 PM »

Wo Khwaab Hi Sahi Paish-E-Nazar To Ab Bhi Hai,
Bichhadne Wala Mera Humsafar To Ab Bhi Hai,

Kade WaQt Ne Deewar-E-Hijr Utha Di Warna,
Khayal-E-Yaar Mera Humsafar To Ab Bhi Hai,

Mohabbatein Agar Mo-Atbar Hai To Phir Ek Shakhs,
Mohabbaton Ki Tarah Mo-Atbar To Ab Bhi Hai,

Hamari Dar-Badri Pe Na Jaiye Ke Hamein,
Shaur-E-Saya-E-Dar-O-Deewar To Ab Bhi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1507 on: May 23, 2007, 05:34:39 PM »

Kabhi Shikaston Ke Dukh Uthe To Usse Puchhun,
Wo Meri Manind Toot Jaye To Usse Puchhun,

Use Bhi Koi Sitara Manzil Se Door Kar De,
Use Bhi Rasta Nazar Na Aaye To Usse Puchhun,

Safar Mein Wo Bhi Kisi Kade Imtehaan Se Guzre,
Use Bhi Yun Kio Aazmaye To Usse Puchhun,

Use Mohabbat Mein Kaunsa Dukh Diya Hai Maine,
Kabhi Nazar Se Nazar Milaye To Usse Puchhun,

Meri Tarah Din Chadhe Tak Wo Bhi Soye,
Use Bhi Shab Bhar Na Neend Aaye To Usse Puchhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1508 on: May 23, 2007, 05:36:05 PM »

Kaha Tha Usne
Agar........
Main Chahoon
Tujhe Bhula Dun,
Kaha Tha Maine
Nahi Ye Mumkin
Kaha Jo Usne
Wo Kiya Na
BHULA DIYA NA!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1509 on: May 23, 2007, 05:37:17 PM »

Ek Pathar Ko Yun Khuda Karke,
Kya Mila Aisa Tajurba Karke,

Dard Badhta Gaya Dawa Karke,
Lamha Lamha Zara Zara Karke,

Ban Gayi Baddua Khushi Wo Hi,
Jisko Manga Kiye Dua Karke,

Zakhm Khaye Bade Bade Humne,
Usse Chhoti Si Ilteja Karke,

Zindagi Aazmaye Jee Bharke,
Hum Bhi Nikle Hai Hausla Karke,

Raaste Mein YaQeen Mila Lekin,
Wo Bhi Jaata Raha Daga Karke,

Sirf Yaadein Hi Humne Paayi Hai,
Bhool Jaane Ka Faisla Karke,

Uski Raahon Ka Rukh Agar Karna,
Zakhm Khane Ka Hausla Karke,

Yaad Rakhna Bhalayi Auron Ki,
Bhool Jana Magar Bhala Karke...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1510 on: May 23, 2007, 05:39:28 PM »

Bichhad Gaya Wo Mujhse Na Puchh Kitne Saal Guzre,
Mila Tha Jab Wo Mujhko Is Bin Ek Ek Pal Mohaal Guzre,

Guzar Gayi To Guzar Gayi Guzri Raaton Ka Malaal Kaisa,
Jo Ab Mile Ho To Ye Batao Kaise Guzre Jo Saal Guzre,

Zara Batao Tumhari Barkha Raatein Guzri To Kaisi Guzri,
Mere Malool Aur Pyaase Man Mein Bas Yehi Sawal Guzre,

Tumhari Un Inayaton Se Mujhe Yakeen Ho Raha Tha Jaana,
Ke Agar Usi Tarah Chahti Raho To Mera Bhi Har Din Kamaal Guzre...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1511 on: May 23, 2007, 05:40:55 PM »

Bichhad Jana Zaroori Hai,
Tumhe Majboor Ho Kar,
Hum Ne Aakhir Likh Diya Jaana,
Ke In Halaat Mein Behtar Hai,
Hum Bhi Man Hai Jahan,
Bichhad Jana Zaroori Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1512 on: May 23, 2007, 05:42:21 PM »

Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga,
Chand Lamhe Hi Sahi, Wo Bhi Roya To Hoga,

Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar,
Uske Naino Ko Bhi AshQone Bhigoya To Hoga,

Dilke Rishte Bhi Kis Kadar Ajeeb Hote Hai,
Tujhko Bhi Sanam Kisi Rishte Ne Thukraya To Hoga,

Lab Khamosh Honge, Kismat Mein Tanhayi Hogi,
Tab Hi Wo Mere Pyaar Mein Dooba To Hoga,

Tere Naseeb Mein Hai Aakhri Saans Jab Tak,
Jahan Bhi Jaoge Wahan Pyaar Ka Saaya To Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1513 on: May 23, 2007, 05:43:47 PM »

Manzil Se Koso Door Sahi,
Purdard Sahi Ranjore Sahi,
Zakhmon Se Musafir Chur Sahi,
Par Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Aansu Ki Tarah Seene Mein Chhupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari Umar Nahi Rote,
Neendein Bhi Mouhaiya Hoti Hai Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagte Rehte Hai Kyon Sari Raat Nahi Sote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1514 on: May 23, 2007, 05:45:28 PM »

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai,

Kehte Hai Log IshQ Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai,

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai,

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,

Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,

Usse TaaluQ Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 97 98 99 100 [101] 102 103 104 105 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:33:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer