Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 98 99 100 101 [102] 103 104 105 106 ... 273
Print
Author  (Read 131589 times)
angel4u
Guest
«Reply #1515 on: May 23, 2007, 05:47:05 PM »

Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,

Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jana,

Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Be-Khudi Se Dekhte Jaana,

Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Rehke Tere Sath Ka Sochun,

Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jinse Dard Hota Hai,

Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,

To Tay Paya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,

Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1516 on: May 23, 2007, 05:48:33 PM »

Aankhein Hai Meri Weeran,
Dil Mein Uthe Toofan,
Sapno Mein Aake,
Mere Dil Mein Samake,
Mere Piya Ban Gaye Anjaan,
Ye Hawayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Chaya Kaisa Andhera,
Tu Jo Na Hua Mera,
Dekh Akeli Mujhe,
Dhundti Hawaon Mein,
Badalone Hai Ghera,
Ye Ghatayein Kyon Satayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Rimjhim Rimjhim Barse Sawan,
Aaya Kaisa Ye Mausam,
Kajra Bhi Beh Gaya,
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man,
Ye Fizayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1517 on: May 23, 2007, 05:49:31 PM »

Khwaabon Khayal HaQeeQat Nahi Hote,
Rang Sabhi Pakke Nahi Hote,

Log Duniyake Sabhi Sachhe Nahi Hote,
Dost Ehbaab Jaise Bhi Ho Achhe Nahi Hote,

Khuda Ka Matlab Nikal Jaye To Muh Lete Hai Mod,
Bachhe Bhi Aajkal Bachhe Nahi Hote,

Khushiyan To Pal Bhar Ki Hai Ab Samajh Aya,
Gam Ke Lambe Dhaage Kachhe Nahi Hote,

Aye Dost Sambhal Ja Tu Ab Is Bazm Mein,
Is Bazm Mein Log Apne Nahi Hote...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1518 on: May 23, 2007, 05:51:13 PM »

Chahat Ka Israar Nahi Hai,
Tera Bhi Intezar Nahi Hai,
Sapna Dekha Tabeer Na Dekhi,
Aankhon Ka Aitbaar Nahi Hai,
Jism Khwahish Rooh Aur Pyaas,
Ek Jaisa Vyapar Nahi Hai,
Kankar Kankar Moti Moti Hai,
Inko Kisise Pyaar Nahi Hai,
Humko Tumse Rubt Hai Saathi,
Hum Ko Kab IQraar Nahi Hai,
Kho Kar Milein Phir Dobara,
Dil Aisa Bazar Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1519 on: May 23, 2007, 05:52:26 PM »

Hijr Ki Musafar Mein,
Dil Tumhare Bina Jana,
Baar Baar Ghabra Kar,
Zindagi Ke Raste Se
Door Door Ho Jaye,
Jaise Koi Deewana,
Wehshaton Ke Ghere Mein,
Sher Ki Gali Kuche
Chhod Kar Kisi Bin Main,
Dooriyon Se Takrakar
Choor Choor Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1520 on: May 23, 2007, 05:54:14 PM »

Sab Apni Zaat Ke Karb-O-Bala Ke Qaid Mein Hai,
Aur Ek Hum Hai Khwab Tak Wafa Ki Qaid Mein Hai,

Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata,
Hamein To Umr Hui Rehnuma Ki Qaid Mein Hai,

Thake To Nazrein Cheera Laye Aasmanon Se,
Magar Wo Lab Ke Jawab Tak Dua Ki Qaid Mein Hai,

Nazar Hui Hai Bamushkil Sakoot Se Manoos,
Samatein To Abhi Tak Sada Ki Qaid Mein Hai,

Saraab Hai Sabhi Aazadiyan Fizaon Ki,
Kehne Parinde Khane Par Hawa Ki Qaid Mein Hai,

Jab Apne Jaise Hi Makhlook Ke Shikanje Se,
Riha Hue To Ye Dekha KHUDA Ki Qaid Mein Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1521 on: May 23, 2007, 05:55:24 PM »

Tum Jo Chaho
To Hum
Aaj Bhi Apni Saanso Ka Har Sur
Tumhe Sonp De
Sirf Beeti Hui Chahaton Ke Avez...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1522 on: May 23, 2007, 05:56:45 PM »

Udasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna,
Ke Chand Taare Shahab Aankhein Bandal Gaye Hai,
Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Mein,
Tere Aane Ke Muntazir Thi,
Wo Thak Ke Saayon Mein Dhal Gayi Hai,
Wo Teri Yaadein, Khayal Rahe, Wo Ranj Tere, Malaal Tere,
Wo Teri Aankhein, Wo Sawal Tere,
Wo Tumse Meri Tamaam Rishte Bichhad Gaye Hai, Ujad Gaye Hai,
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna,
To Ye Bhi Likhna,
Larazte Honthon Pe Ladkhadate Duak Soruj
Pighal Gaye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1523 on: May 23, 2007, 05:59:19 PM »

Tanhayike Aalam Mein,
Kuch Yaadon Ko Samete,
Motiyon Ki Shakal Mein,
Ek Sapne Ko Piroya,
Hijr Ki Andheri Raat Mein,
Ek Kehkashan Tale,
Kuch Lamhe Yaad Aate Hai,
Khushiyon Se Bhare,
Jo Lamhe Mujhko Sabse Pyaare Hai,
Jo Mere Jeene Ke Sahare Hai,
Aur Shaayad Inhi Lamhon Ke Saye Mein,
Meri Saari Umar Kat Jaye,
Tanhayi, Yaad, Maut Aur Sapne Ek Arjuman Ban Jayein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1524 on: May 23, 2007, 06:00:52 PM »

Be Aasra The Bahar Se Nahi Dare,
Khane Kisi Bhi Lehron Se Nahi Dare,

Tere Liye Tu Kufr Tak Chhu Liya,
Ke Hum Khuda Ke Qaiher Se Nahi Dare,

Gali Gali Ki Chup Hi Kuch Ajeeb Thi,
Hum Apne Aap Sher Se Nahi Dare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1525 on: May 23, 2007, 06:01:46 PM »

Tumhe Khabar Hai,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hai,
Parinde Apne Baseron Mein Shaam Dhalne Par
Hua Hai Yun Ke Palatna Bhi Bhool Jaate Hai,
Bahar Rutt Mein Darakhton Ki Tenhiyon Se Kabhi,
Khazan Se Pehle Hi Patte Bichhadne Lagte Hai,
Aur Ek Umar Guzri To Jinke Raston Par
Wohi Tamam Riyazat Ko Dhool Karte Hai,

Tumhare Lab Pe Ubharti Hui Khafeef Hansi,
Ye Keh Rahi Hai Bhala Is Mein Kya Nayapan Hai,

Magar Tamaam Kahani Mein Ab Naye Tum Ho,
Tumhe Khabar Hai,
Magar Ye Tumhe Khabar Kab Hai,
Tumhare Zaam-E-Mohabbat Ki Aur Wafaon Ke
Isi Bahar Mein Khaime Ukhad Bhi Sakte Hai,

Tumhe Khabar Hai,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1526 on: May 23, 2007, 06:03:44 PM »

Kisi Haath Ne Kisi Loh Par Jo Nahi Likha,
Wohi Ek Harf-E-Gumnaam Hai Hum,
Khut-E-Gumshuda Mein Likhi Gayi
Koi Ajnabi Si Zuban Hai Hum,
Kisi Aur Khita-E-Dard Par Jo Guzar Gaya,
Us Wakt Ki Tug-O-Taaz Ka,
Koi Benishaan Sa Nisaan Se Hai Hum,
Kabhi Apne Hone Ke Wahimayse Nikal Ke Dekhte,
To Na Khul Saka Ke Kahan Hai Hum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1527 on: May 23, 2007, 06:04:58 PM »

Sheher Ki Dhoop Se Puchhein Kabhi Gaanv Wale,
Kya Hue Log Wo Zulfon Ki Ghataon Wale,

Ab Ke Basti Nazar Aati Nahi, Na Hi Galiyan,
Aao Dhundein Kahin Darwesh Duwaon Wale,

Sangzaaron Mein Mere Sath Chale Aaye The,
Kitne Sada The Wo Billor Se Paanv Wale,

Humne Zarron Se Tarashe Teri Khatir Suraj,
Ab Zameen Par Bhi Utar Zard Khalaaon Wale,

Kya Charaghan Tha Mohabbat Ka Ke Bujhta Hi Na Tha,
Kaise Mausam The Wo Pur Shor Hawaon Wale,

Tu Kahan Tha Mere Maalik Ke Mere Kaam Aata,
Mujhpe Hanste Rahe Pathar Ke Khudaon Wale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1528 on: May 23, 2007, 06:06:00 PM »

Pyaar Ke Samundar Mein
Har Utarne Wale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Door Door Tak Jaanan
Dhoop Ki Musafit Hai
Aur Kahin Bhi Pal Bhar Ko
Dhoop Ke Musafir Par
Saibaan Nahi Khulte,
Is Ajab Samundar Mein
Umr Bhar Ki Riyazat Ke Baad
Humne Ye Jaana Hai
Jis Tarah Fizaon Mein
Udne Wale Panchhi Par
Bars Ha Bars Mein Bhi
Aasman Nahi Khulta
Hijr-E-Bekaran Mein Bhi
Bhed Bhed Hi Rehta Hai
Raazdan Nahi Milte
Baam-O-Dar Nahi Khulte
Har Utarnewale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Aur Mil Bhi Jaye To
Baadbaan Nahi Khulte
Pyar Ke Samundar Mein
Bhed Bhed Hi Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1529 on: May 23, 2007, 06:06:50 PM »

Main Bhi Kisi Khayal Se Kuch Ruk Gaya Wahan,
Dekhi Hui Jagah Thi Kisi Guzre Daur Ki,
Meri Sada Ke Sath Ek Aur Thi,
Aagaz-E-Ehd-E-Sard Ke Patjhad Ki Shaam Thi,
Bas Itni Baat Yaad Rahi Us MuQaam Ki...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 98 99 100 101 [102] 103 104 105 106 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:39:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer