Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 100 101 102 103 [104] 105 106 107 108 ... 273
Print
Author  (Read 133076 times)
angel4u
Guest
«Reply #1545 on: May 24, 2007, 05:40:08 PM »

Main Ek Fard Hoon,
Ya Ek Ehsaas Hoon,

Main Ek Jism Hoon,
Ya Rooh Ki Pyaas Hoon,

Ke Sach Ki Talash Hai,
Door Aakash Hai,

Manzil Paas Nahi,
Kya Tu Mere Paas Hai,

Kabhi Main Amar Hoon,
Gar Tujhe Main Nahi,

To Phir Main Mehel Hoon,
Ke Sach Ki Talash Hai,

Door Aakash Hai,
Manzil Paas Nahi
Kya Tu Mere Paas Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1546 on: May 24, 2007, 05:41:38 PM »

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Jalan Kaisi Hai,
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai,

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai,

Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte,
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai,

Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga,
Mausam-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hai,

Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,

Mujhe Masoom Si Ladki Pe Taras Aata Hai,
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1547 on: May 24, 2007, 05:43:39 PM »

Tum Meri Aankhon Ke Tevar Na Bhula Paoge,
Ankahi Baaton Ko Samjhoge To Yaad Aunga,

Humne Khushiyonki Tarah Dukh Bhi Ikatthe Dekhe,
Safah-E-Zist Ko Paltoge To Yaad Aunga,

Isi Andaaz Mein Hote The Mukhatib Mujhse,
Khat Kisi Aur Ko Likhoge To Yaad Aunga,

Sard Raaton Ke Mehekte Hue Sannaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Chumoge To Yaad Aunga,

Ab Tere Ashq Main Hothon Se Chura Leta Hoon,
Hath Se Khud Inhe Pochhoge To Yaad Aaunga,

Shaal Pehnayega Ab Kaun December Mein Tumhe,
Baarishon Mein Kabhi Bhigoge To Yaad Aaunga,

Aaj Tum Mehfil-E-Yaaraan Pe Ho Magroor Bahut,
Jab Kabhi Toot Ke Bikhroge To Yaad Aaunga,

Haadse Aayenge Jeevan Mein To Tum Hoke Nidhaal,
Kisi Deewar To Thamoge To Yaad Aunga,

Is Mein Shaamil Hai Meri Bakht Ki Tariki Bhi,
Tum Siyaah Rang Jo Pehnoge To Yaad Aunga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1548 on: May 24, 2007, 05:45:41 PM »

Yun Na Mujhko Dekh Tera Dil Pighal Na Jaye,
Mere Aansuon Se Tera Daman Jal Na Jaye,

Wo Mujhse Phir Mila Hai Aaj Khwabon Mein,
Aye Khuda Kahin Meri Neend Khul Na Jaye,

Puchha Na Kar Sab Ke Samne Meri Kahani,
Kabhi Tera Naam Hothon Se Nikal Na Jaye,

Jee Bharke Dekh Lo Humko Tum Sanam,
Kya Pata Phir Zindagi Ki Shaam Dhal Na Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1549 on: May 24, 2007, 05:47:45 PM »

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke,
Wo Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gam Guzaar Ke,

Veeran Hai Maikada Khum-O-Saagar Udaas Hai,
Tum Kya Gaye Ke Ruth Gaye Din Bahar Ke,

Ek Fursat-E-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din,
Dekhe Hai Humne Hausle Parwardigar Ke,

Duniyane Teri Yaad Se Begana Kar Diya,
Tujhse Bhi Dilfareb Hai Gam Rozgar Ke,

Bhule Se Muskura Ke Diye Wo Aaj FAIZ
Mat Puchh Walwale Dil-E-Nakarda Kaar Ke...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1550 on: May 24, 2007, 06:02:01 PM »

Woh Ladki Achhi Ladki Thi Tum Naam Na Lo Hum Jaan Gaye,
Haan Jiske Lambe Gesu The Pehchan Gaye Pehchan Gaye,
Haan Saath Hamare Insha Bhi Us Ghar Mein The Mehman Gaye,
Par Usse To Kuch Baat Na Ke Anjaan Rahe Anjaan Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1551 on: May 25, 2007, 05:45:51 PM »
Abhi Aur Tez Kar Le Sar-E-Khanjar-E-Adaa Ko,
Mere Khoon Ki Hai Zaroorat Teri Shokhi-E-Heena Ko,

Tujhe Kis Nazar Se Dekhe Ye Nigah-E-Dard Aagin,
Jo Duwayein De Rahi Hai Teri Chashm-E-Bewafa Ko,

Kahin Reh Gayi Shayad Tere Dilki Dhadkano Mein,
Kabhi Sun Sake To Sun Le Meri Khoonshida Nawaa Ko,

Koi Bolta Nahi Hai Main Pukarta Raha Hoon,
Kabhi Butt Kade Mein But Ko Kabhi Qaabe Mein Khuda Ko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1552 on: May 25, 2007, 05:50:01 PM »

Kisi Ibteda Aur Intehaa,
Ke Darmiyan Hai Zindagi,
Jahan Is Taraf Na Us Taraf,
Door Tak Kahin Kuch Nahi,
Jaise Doro Kahin Kisi Reh Guzar,
Ke Bich-O-Bich Koi Ajnabi,
Dhool Mein Kho Ke Raaston Ko,
Hichkiyon Se Ro Pade,
Jaise Rehguzar Ki Garam Ret,
Aur Aasman Ko Chhod Kar,
Nazar Ki Tamam Wusaton Mein Aur Kuch Na Mil Sake,
Dhoop Ki Tamazaton Ki Inteha Ki Wo Sar Zameen,
Jahan Hasraton Ke Bich Se Faqt Saraab Hi Khil Sake,
Us Ajnabi Ki Pyaas Kya,
Ummid Kya Aur Yaas Kya,
Bajuz Ajal Ka Intezar,
Aur Bacha Hai Uske Paas Kya,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Main Bhi Hoon,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Tu Bhi Hai,
Jaise Door Kahin Jangalon Mein,
Rail Ki Do Patriyan,
Jo Qurbaton Ki Anginat Raat-O-Din Ke Bawajood,
Ek Hath Bhar Ke Fasle Se,
Rehguzar Mein Bant Gayi,
Aah! Kya Mil Baithneki Wo Shabnami Si Hasratein,
Jo Zaviyon Ki Hair PHair Ki Ganjalon Mein Phans Gayi,
In Intehahon Ke Darmiyan Ki Sitam Zareefi Dekhiye,
Jo Chandni Se Khwab The Wo Raaston Mein Kho Diya,
Jo Siskiyon Ke Azab The,
Wo Zindagi Ko De Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1553 on: May 25, 2007, 05:57:52 PM »

Kaam Aa Sakin Na Apni Wafayein To Kya Karein,
Ek Bewafa Ko Bhul Na Jayein To Kya Karein,

Mujhko Ye Etaraaf Duwaon Mein Hai Asar,
Jaaye Na Arsh Par Jo Duwayein To Kya Karein,

Ek Din Ki Baat Ho To Use Bhool Jayein Hum,
Naazil Ho Roz Dilpe Balayein To Kya Karein,

Shab Bhar To Unki Yaad Mein Taare Gina Kiye,
Taare-Se Din Ko Bhi Nazar Aaye To Kya Karein,

Ahad-E-Tarab Ki Yaad Mein Roya Kiye Bahut,
Ab Muskura Ke Bhul Na Jayein To Kya Karein,

Ab Jee Mein Hai Ke Unko Bhula Kar Hi Dekh Lein,
Wo Baar Baar Yaad Jo Aaye To Kya Karein,

Tarq-E-Wafa Bhi Jurm-E-Mohabbat Sahi Akhtar,
Milne Lage Wafa Ki Sazayein To Kya Karein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1554 on: May 25, 2007, 06:01:46 PM »

Main To Awara Shayar Hoon Meri Kya Waqaat,
Ek Do Geet Pareshan Se Gaa Leta Hoon,

Gaye Gahe Kisi Nakaam Sharabi Ki Tarah,
Ek Do Zeher Ke Saagar Bhi Chada Leta Hoon,

Tu Ke Ek Waadi-E-Gul Rang Ki Shahzadi Hai,
Ek Bekaar Se Insaan Ke Liye Waqf Na Ho,

Tere Khwabon Ke Jaziron Mein Badi Raunaq Hai,
Ek Anjaanse Toofan Ke Liye Waqf Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1555 on: May 25, 2007, 06:04:30 PM »

Saaqiya Ek Nazar Jaamse Pehle Pehle,
Humko Jana Hai Kahin Shaam Se Pehle Pehle,

Khush Hua Aye Dil Ke Mohabbat To Nibha Di Tune,
Log Ujad Jate Hai Anjaamse Pehle Pehle,

Ab Tere Zikr Pe Hum Baat Badal Dete Hai,
Kitni Ragabat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle,

Saman-E-Umr Padi Hai Shab-E-Tanhayi Ki,
Wo Mujhe Chhod Gaya Shaam Se Pehle Pehle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1556 on: May 25, 2007, 06:07:47 PM »

Palat Jata Hoon Main Tumko Agar Achha Nahi Lagta,
Main Aisa Kar To Sakta Hoon Magar Achha Nahi Lagta,

Main Jiske Har Qadam Par Zindagi Qurbaan Karta Tha,
Mujhe Tujh Bin Wohi Jeevan Safar Achha Nahi Lagta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1557 on: May 25, 2007, 06:10:20 PM »

Haath Utha Ke
Tumhe Rab Se Mang Lun,
Agar Chaho To....
Tumhe Chaah Lun,
Tumhari Masoom Nazron Ka,
Sadqa Utar Lun,

Kaho To Ye Sare,
Chanda Suraj Aur Taare
Tumhari Jholi Mein Bhar Dun,
Bas Tumhe Paa Lun,
Tumhe Chah Lun,
Aur Pyaar Kar Lun,

Kaho To
Tumhari Masoomiyat Ke Waaste
Mar Jaun,
Pyar Amar Kar Dun,
Bas Tumhe Paa Lun,
Kaho To
Haan Agar Kaho To...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1558 on: May 25, 2007, 06:11:48 PM »

Ye Kab Kaha Tha Ke Nazron Se Khauf Aata Hai,
Mujhe To Chand Sitaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmano Ke Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hai,
Hamein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai,

Mile Hai Dost Besakhiyon Se Dard Itne,
Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1559 on: May 25, 2007, 06:14:29 PM »

Aye Dost Mere Kyon Rote Ho-Kyon Gam Ko Dil Mein Bote Ho,
Tum Jab Jab Dukhko Sehte Ho-Aur Tanha Tanha Rehte Ho,
Main Bhi Tanha Ho Jaata Hoon-Aur Gamke Tohfe Pata Hoon,
Tum Joon Joon Inko Paoge-Tum Kundan Bante Jaoge,
Yun Dilko Na Majboor Karo-Aur Gam Ko Dilse Door Karo,
Gam Bin Maange Mil Jaate Hai-Sab Jholi Bhar Ke Paate Hai,
Ye Aansu Tum Jo Peete Ho-Jinko Pee Kar Jeete Ho,
Ye Tumko Tod Kar Rakh Denge-Aur Tanha Chhod Kar Rakh Denge,
Main Isi Liye To Kehta Hoon-Tum Hanste Achhe Lagte Ho...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 100 101 102 103 [104] 105 106 107 108 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 04:50:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer