Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 101 102 103 104 [105] 106 107 108 109 ... 273
Print
Author  (Read 133083 times)
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #1560 on: May 26, 2007, 03:09:10 AM »
aap to cha gaye angel.......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1561 on: May 27, 2007, 05:06:43 PM »
thanks re ankur Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1562 on: May 28, 2007, 05:25:43 PM »

Teri Yaad Mein Surkh Patte Murjha Gaye,
Gulaab Pe Pankhrey Baithna Bhul Gaye,

Tere Yaad Mein Aankh Aansu Se Bhar Gayi,
Hansna Bhool Gaye,

Tere Yaad Ne Maar Diya Hamein
Dafan Hona Bhool Gaye,

Teri Yaad Mein Guzre Apni Zindagi,
Zindagi Mein Tumse Milna Bhool Gaye,

Aakhir Kya Khata Ki Jo Itni Saza Mili Mujhe,
Khata Ka Iqraar Karna Bhool Gaye,

Usne Apni Khata Ka Iqraar Kar Diya Aakhir,
Magar Hum Na Rahe To Duniya Wale
"Pyaar Karna Bhool Gaye"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1563 on: May 28, 2007, 05:32:16 PM »

Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe, Kuch Yaad Achanak Aa Jaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,

Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Honthon Par Aaye,

Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aaye,
Us Waqt Teri Yaad Aati Hai,

Jab Chandni Dil Ke Aangan Mein Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Aur Khaabeeda Se Chok Koi Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,

Jab Zulf Pareshan Chehre Par, Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Jab Dard Bhi Dil Mein Hone Lage, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaise Hi,

Kisi Ek Lamhe Mein Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein Kuch Beete Lamhe Yaad Aayein,
Us Waqt Teri Yaad Aati Hai,

Jab Shaam Dhale Chalte Chalte Manzil Ka Na Koi Naam Mile,
Hansta Hua Ek Aagaz Mile Rota Hua Ek Anjaam Mile,

Palkon Ke Larazte Ashqon Se Is Dilko Koi Paigam Mile,
Aur Sari Wafaon Ke Badle Mujhko Hi Koi Ilzaam Mile,

Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein Chupkese Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein Kuch Beete Lamhe Yaad Aayein,

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai,
Shiddat Se Teri Yaad Aati Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1564 on: May 28, 2007, 05:35:24 PM »

Chehre Naye The Wo Shayad,
Dilki Kitab Mein
Khil Rahe The Phool Naye,
Dil Ki Kitab Mein,
Socha Tha Jisko Humne
Apne Khayalat Mein
Wo Kahan Khogaya Is
Dil Ki Kitab Mein
Nayi Hai Duniya Naya Hai Daur,
Dil Kuch Chahta Hai,
Aur Hum Kuch Aur,
Jeena Nahi Hai Tere Bin
Likha Tha Humne
Dilki Kitab Mein,
Dhundte Hai Ab Wo Likha Kahin,
Gehre Khayalat Mein,
Khair Chhodo Chhote Miyan,
Waqt Ka Ziyaan Na Karo,
In Fazool Jazbaat Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1565 on: May 28, 2007, 05:37:06 PM »

Manzilein Bhi Uski Thi,
Rasta Bhi Uska Tha,

Ek Main Akeli Thi,
Kafla Bhi Uska Tha,

Saath Saath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi,
Phir Rasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha,

Aaj Akeli Kyon Ho,
Dil Ye Sawal Karta Hai,

Log To Uske The,
Kya Khuda Bhi Uska Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1566 on: May 28, 2007, 05:40:24 PM »

Kal Halki Halki Baarish Thi,
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha,
Kal Phool Bhi Nikhre The,
Kal Un Mein Aap Ka Aqs Bhi Tha,
Kal Badal Kaale Gehre The,
Kal Chand Pe Laakhon Pehre The,
Kuch Tukde Aapki Yaadon Ke,
Badi Der Tak Dil Mein Thehre The,
Kal Yaadein Uljhi Uljhi Thi,
Kal Yaad Bahut Tum Aaye The,
KAL YAAD BAHUT TUM AAYE THE...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1567 on: May 28, 2007, 05:45:44 PM »

Wo Ajnabi Tha, Gair Tha, Har Ek Ne Mujhse Yehi Kaha Tha,
Dil Uski Mohabbat Mein Aise Giraftar Hua Tha,

Mere Hathonse Uski Heena Ka Rang Bhi Na Utra Tha,
Abhi Meri Mang Ka Sinduri Rang Bhi Gehra Tha,

Meri Zulfon Mein Sanwra Gajra Bhi Taza Tha,
Meri Aankh Ka Kajal Bhi Gehra Tha,

Mere Surkh Hothon Pe Usika Naam Tha,
Aur Chand Apni Jawani Par Tha,

Har Koi Wafa Wala Tha,
Ek Wo Hi Bewafa Tha,

Wo Ajnabi Tha, Gair Tha,
Har Ek Ne Mujhse Yehi Kaha Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1568 on: May 28, 2007, 05:52:41 PM »

Basi Hai Nafratein Dil Mein Bazahir Yaarana Hai,
Dilon Mein Buguz Rakhte Hai Bazahar Dostana Hai,

Na Baaqi Hai Rawadari Na Baaqi Dard Hai Dil Mein,
Bana Kar Meethi Baaton Se Mohabbat Ko Jatana Hai,

Zabani Baaton Ke Zariye Faqat Rasmein Nibhate Hai,
Zabani Kharch Ke Zariye Faqat Rasmein Nibhana Hai,

Inhe Alfazon Ke Jaadu Jagana Khoob Aata Hai,
Inhi Baaton Se To Logonke Dil Inko Lubhana Hai,

Na Dil Mein Inke Ruqbat Hai Na Raqabat Hai Na Chahat Hai,
Na Dil Mein Pyar Hota Hai Bazahir Dostana Hai,

Bazahir Hai Ye Kaamyab Inhi Ki Kaamyabi Hai,
Inhi Ka Yahan Maskan Inhi Ka Ye Thikana Hai,

Munafqat Se Bhare Dil Mein Keena Rakhte Hai Ye Haider,
Farebi Jaal Hai Sab Ye Mohabbat Ka Bahana Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1569 on: May 28, 2007, 05:54:32 PM »

Bahut Hua

Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua,
Ab Kya Kahein Ye Qissa Purana Bahut Hua,

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-E-Firaaq,
Aye Marg-E-Naagahaan Tera Aana Bahut Hua,

Hum Khud Se Nikal To Gaye Hai Par Aye Khuda,
Itne Se Waaqaye Ka Fasana Bahut Hua,

Ab Hum Hai Aur Saare Zamane Ki Dushmani,
Usse Zara Rabt Badhana Bahut Hua,

Ab Kyon Na Zindagi Pe Mohabbat Ko Vaar Dein,
Is Aashiqui Mein Jaan Se Jaana Bahut Hua,

Ab Tak To Dil Ka Dilse Taarruf Na Ho Saka,
Maana Ki Usse Milna Milana Bahut Hua,

Kya Kya Na Hum Kharab Hue Hai Magar Ye Dil,
Ayi Yaad-E-Yaar Tera Thikana Bahut Hua,

Lo Phir Tere Labon Pe Usi Bewafa Ka Zikr,
Ahmad Faraz Tujhse Kaha Na Bahut Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1570 on: May 28, 2007, 05:55:39 PM »

Mujhe Bhula Kar Gar Gar Jo Jiyoge Tum,
Pal Pal Meri Dua Hai Ke Tadpoge Tum,

Aap Dikha Kar Khwahon Ko Mere Jo Tod Diya,
To Bhala Kaise Sapno Ke Mahal Mein Jiyoge Tum,

Patjhad Ho Udasi Ho Uar Na Ho Koi Saath,
Jo Diya Tumne Mujhe Wo Hi Paoge Tum,

Meri Nindein Chhinne Wale Aye Ajnabi,
Ek Din Toot Kar Dekhna Bikhroge Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1571 on: May 28, 2007, 05:57:36 PM »

Us Mod Se Shuru Karein Phir Ye Zindagi,
Har Shay Jahan Haseen Hti, Hum Tum The Ajnabi,

Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwab The,
Phoolon Ke Khwab The Wo Mohabbat Ke Khwab The,
Lekin Kahan Hai Un Mein Wo Pehli Si Dilkashi,

Rehte The Hum Haseen Khayalon Ki Bhid Mein,
Uljhe Hue Hai Aaj Sawalon Ki Bhid Mein,
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi,

Shayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya,
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya,
Ashqon Ki Chandi Se Bhi Behtar Wo Dhoop Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1572 on: May 28, 2007, 05:59:27 PM »

Udaasi Ka Ye Pathar Aansuon Se Kam Nahi Hota,
Hazar Jugnuon Se Bhi Andhera Kam Nahi Hota,

Kabhi Baarat Mein Shadab Belein Sukh Jaati Hai,
Harye Pairon Ke Girne Ka Koi Mausam Nahi Hota,

Bahut Se Log Dilko Is Tarah Mehfooz Rakhte Hai,
Koi Barish Ho Ye Kagaz Nam Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1573 on: May 28, 2007, 06:01:58 PM »

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chaand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usiki Hai Talash,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai To Nagma Bankar,

Raat Bhi Aayi To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Aake Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chhuda Kar,
Ghar Se Jo Sath Chala Tha Mera Saaya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1574 on: May 28, 2007, 06:03:55 PM »

Raat Madhosh Thi Pehloo-E-Samundar Mein Mehtaab Tha,
Us Andheri Raat Unke Chehre Par Noor-E-Aftaab Tha,

Unki Aankhon Ke Saher Mein Hum The Khogaye,
Jawahir-E-Duniya Mein Wo Ek Jauhar-E-Nayab Tha,

Haathon Unke Pee Gaye Hum Wo Jaan,
Chahe Wo Sharab Thi Ya Zeher-E-Aab Tha,

Dekthe Hi Jisko Madhosh Ho Gaye Hum,
Khilte Hue Kanwal Sa Wo Chehra-E-Janab Tha,

Bandh Aankhon Se Tumne Dekha Jo Qais,
Kya Wo Haqeeqat Thi Ya Koi Khwab Tha...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 101 102 103 104 [105] 106 107 108 109 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 07:10:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer