Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 104 105 106 107 [108] 109 110 111 112 ... 273
Print
Author  (Read 131605 times)
angel4u
Guest
«Reply #1605 on: May 30, 2007, 06:07:00 PM »

Arson Se Mujhko Bulaya Hai Maa Ne,
Godi Mein Mujhko Sulaya Hai Maa Ne,

Bade Pyar Se Apni Mithi Zuban Se,
Mera Naam Le Kar Bulaya Hai Maa Ne,

Mujhe Le Ke Apne Narm Bazuon Mein,
Mohabbat Se Jhula Jhulaya Hai Maa Ne,

Sabhi Zakhm Apne Seene Pe Le Kar,
Har Ek Chot Se Yun Bachaya Hai Maa Ne,

Kabhi Mere Mathe Pe Teeka Laga Ke,
Yun Bachpan Mein Mujhko Sajaya Hai Maa Ne,

Khushiyon Ki Dene Ko Yun Saugat Aksar,
Gamon Ko Khudi Pe Yun Dhaya Hai Maa Ne,

Jo Atwar Achhe Nazar Aaye Mujh Mein,
Tareeka Mujhe Ye Sikhaya Hai Maa Ne,

Yun Chehra Dikha Ke Mujhe Roz Apna,
Mujhe Mere Rab Se Milaya Hai Maa Ne,

Aye Shan To Jo Itra Ke Chalta Hai Jo Ab,
Qabil Tujhe Iske Banaya Hai Maa Ne...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1606 on: May 30, 2007, 06:09:55 PM »

Mohabbat Ka Soz-E-Nihaan Reh Gaya,
Bujhi Aag Lekin Dhuwan Reh Gaya,

Hui Kam Na Taqdeer Ki Gardishein,
Zameen Thak Gayi Aasman Reh Gaya,

Mera Dil Hai Aur Hamnashinon Ka Sog,
Musafir Bas Ek Kaarvan Reh Gaya,

Gaya Tha Koi Sar-E-Dasht-E-Junoon,
Khuda Jaane Kahan Reh Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1607 on: May 30, 2007, 06:12:21 PM »

Main Teri Aankhon Se Nahi,
In Mein Doob Jaane Se Darti Hoon,

Main Teri Mohabbat Se Nahi,
Teri Intehan Se Darti Hoon,

Main Raat Ki Tareeqi Se Nahi,
Is Tareeqi Mein Basi Apni Tanhayi Se Darti Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1608 on: May 30, 2007, 06:14:53 PM »

Naseeb Humko Na Jab Unki Deed Hoti Hai,
Na Chand Hota Hai Apna Eid Hoti Hai,

Jahan Wo Tannafurse Rukh Badalte Hai,
Wahan Par Tamanna Shaheed Hoti Hai,

Issi Ek Baat Ko Roti Hai Zindagi Barson,
Jo Baat Fikr-O-Nazar Se Baeed Hoti Hai,

Woh Jisko Log Mohabbat Ka Naam Dete Hai,
Najane Kitne Gamon Ki Kaleed Hoti Hai,

Zamana Tarq-E-Wafa Lo Hua Magar Saahil,
Wo Jab Bhi Milte Hai Guft-O-Shaneed Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1609 on: May 30, 2007, 06:21:38 PM »

Bahut Kuch Badal Jaata Hai,
Tere Aane Ke Baad,
Bahut Kuch Bichhad Jaata Hai,
Tere Jaane Ke Baad,

Wo Samundar Ki Lehrein,
Wo Ret Ke Mehel,
Bahut Kuch Beh Jata Hai,
Saahil Se Takra Jaane Ke Baad,

Wo Baarish Ke Moti,
Wo Taaron Ki Khwahish,
Bahut Kuch Bikhar Jata Hai,
Khwab Toot Jaane Ke Baad,

Wo Teri Parchaiyon Se Takrana,
Wo Saayon Ka Lehrana,
Bahut Kuch Mit Jaata Hai,
Andhera Chha Jaane Ke Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1610 on: May 30, 2007, 06:25:11 PM »

Phoolon Ki Baharon Ki Shajar Ki Baat Karte Ho,
Par Is Bayaban Mein Kis Haseen Manzar Ki Baat Karte Ho,

Jahan Dekhiye Aadmi Aadmi, Bas Aadmi Hi Aadmi,
Insaan Kahan Hai Kis Sheher Ki Baat Karte Ho,

Guzarna Hai Abhi Hamein Tarikiyon Ke Samundar Se,
Abhi Raat Kahan Guzri Hai Kyon Seher Ki Baat Karte Ho,

Zindagi Kya Dozakh Se Kam Hai Meri,
Jo Marne Par Azab-E-Mehshar Ki Baat Karte Ho,

Jo Khuda Hi Naraz Ho Gaya Ho Humse,
To Kin Duwaon Ke Asar Ki Baat Karte Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1611 on: May 30, 2007, 06:27:14 PM »

Tooti Hai Meri Nind Magar, Tumko Isse Kya,
Bajte Rahe Hawaon Se Dar, Tumko Isse Kya,

Tum Mauj Mauj Misl-E-Saba Ghumte Raho,
Kat Jaye Mere Soch Ke Par, Tumko Isse Kya,

Auron Ka Haath Thamo, Unhe Rasta Dikhao,
Main Bhul Jaun Apna Ghar, Tumko Isse Kya,

Le Jaaye Mujhko Maal-E-Gaminat Ke Sath Koi,
Tumne To Daal Di Hai Seper, Tumko Isse Kya,

Tumne To Thak Ke Dasht Mein Khamein Laga Liye,
Tanha Gaya Kisika Safar, Tumko Isse Kya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1612 on: June 04, 2007, 06:03:27 PM »

Kabhi Udaas Jo Dekho,
To Tum Udaas Na Hona,
Kabhi Naraz Jo Dekho,
To Tum Naraz Na Hona,
Mohabbat Ke Dino Mein To
Aksar Aisa Hota Hai,
Kio Naraz Hota Hai,
Koi Udaas Hota Hai,
Magar Ye Yaad Rakhna Ke,
Mohabbat Hi Ki Taqat Hai,
Udaas Jeevan Ko Jo Khushiyon Se Bhar Dale,
Naraz Dilon Ko Jo Phir Se Mila Dale,
Khwabon Mein,
Khayalon Mein,
Raaton Mein,
Ujalon Mein,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
Aankhon Mein Bas Sa Jaata Hai,
Dil Mein Utar Sa Jata Hai,
Aise Mein Kisi Soorat,
Phir Dilko Chain Nahi Padta,
Magar Ye Yaad Rakhna Ke,
Yaad Wohi Aata Hai,
Jo Dilko Pyara Hota Hai,
Jo Dilko Pyara Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1613 on: June 04, 2007, 06:05:52 PM »

Wo Khaloos Tha Ke Khumar Tha,
Wo Junoon Tha Ke Saraab Tha,
Mujhe Sochne Mein Zamana Laga,
Mujhe Manzilon Ne Bhula Diya,
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha,
Mujhe Usne Sooli Chada Diya,

Kayi Hamsafar Kayi Rehguzar,
Mujhe Raste Mein Mile Magar,
Meri Tashnagi Kuch Aur Hai,
Meri Justajoo Koi Aur Hai,

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe,
Magar Aansuon Mein Sama Sake,

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilka Aangan Nikhaar De,
Jo Mohabbaton Ki Ravayatein,
Lahoo Ki Bali Se Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein,
Yahan Khwahishon Ke Sarab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Main Kahan Se Laun Wo Wafa,
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua,
Yehi Sochta Main Chala Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1614 on: June 06, 2007, 06:56:41 PM »

Judayi Denewale Tumse Ummid-E-Wafa Kaisi,
Ta'aluq Toot Jaye Jab,
Mohabbat Ruth Jaye Jab,
To Phir Rasm-E-Dua Kaisi,
Milan Ki Iltije Kaisi,
Bhanwar Mein Dolti Kashti Pe Sahil Ki Tamanna Kya,
Ukhadte Saans Hon To Zindagi Ki Aarzu Bhi Kya,
Jo Manzil Kho Chuki Ho Uski Phir Se Justuju Bhi Kyon,
Magar Dilne Tumhe Kis Waste Se Yaad Rakha Hai,
Tumhe Kyon Shayri Mein Aaj Tak Aabad Rakha Hai,
Abhi Tak Maine Kyon Khudko Bahut Barbaad Rakha Hai,
Hawa Ke Dosh Par Kyon Nagma-E-Fariyaad Rakha Hai,
Judayi Denewale Aashnayi Ki Kasam Tumko,
Tumhari Bewafayi, Kaj Adayi Ki Qasam Tumko,
Mujhe Itna Bata Dena,
Wafa Ki Chahaton Ki Mashalein Kaise Bujhate Hai,
Nishaan Kaise Mitate Hai,
Bhulana Ho Jinhein Unko Bhala Kaise Bhulate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1615 on: June 06, 2007, 07:00:33 PM »

Raaton Mein Gar Na Ashq Bahaun To Kya Karun,
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

Tumhi Kaho Ke Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha To Tha Ke Chhod Dun Uski Gali 'Aamir',
Lekin Kahin Qaraar Na Paun To Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1616 on: June 06, 2007, 07:03:28 PM »

Zindagi Mein Hai Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi,
Tamashayi Hai Ye Duniya Iske Siwa Kuch Nahi,

Meri Zindagi Se Puchhiye Zindagi Kya Hai,
Zindagi Hai Ek Khwaab Iske Siwa Kuch Nahi,

Khushiyan Hai Laakhon Is Duniya Mein Magar,
Udaasi Hai Mere Dil Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Mujhse Jo Log Bhi Mile Hai Khush Ho Kar,
Inke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Wade To Karte Hai Log Magar Jaante Nahi Wafa Karna,
Bewafayi Hai Is Duniya Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Pal Mein Jise Chaha Use Pal Mein Bhula Diya,
Ye Khel Hai Duniya Ka Iske Siwa Kuch Nahi,

Tumko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke,
Duniya To Hai Ek Sharab Iske Siwa Kuch Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1617 on: June 06, 2007, 07:06:05 PM »

Ishq Ne Kya Kya Ranj Sahe Tum Kya Jaano,
Aag Mein Kitne Phool Khile Tum Kya Jaano,

Hijr Ki Kaali Raat Mein Kaise Kaise Log,
Khaak Mein Milke Khak Hue Tum Kya Jaano,

Humne Ek Tumhare Naam Ki Khushbu Se,
Kitne Dasht Bahar Kiye Tum Kya Jaano,

Apni Kitab-E-Umr Ki Saari Sattron Mein,
Humne Kiske Khwab Likhe Tum Kya Jaano,

Tum Bichhde To Humne Apni Palkon Par,
Kitne Dariya Rok Liye Tum Kya Jaano,

Sar Ki Chhanv Mein Lafz Ki Kaliyan Khilne Tak,
Hum To Sab Kuch Bhool Gaye Tum Kya Jaano...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1618 on: June 06, 2007, 07:09:01 PM »

Kash Tumhe Dekha Na Hota,
Dil Mein Gam Ke Phool Na Khilte,

Honthon Pe Fariyad Na Hoti,
Tanhaiyon Ke Dard Na Milte,

Marne Ka Armaan Na Hota,
Aaj Itne Majboor Na Hote,

Sab Logonse Ulfat Karte,
Agar Khuda Se Door Na Hote,

Kash Ke Tumhe Dekha Na Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1619 on: June 06, 2007, 07:12:44 PM »

Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hai,
Judayi Dhup Lagti Hai Bahut Hi Talkh Chubhti Si,
December June Lagta Hai,
Kisike Naam Ki Ghanti Baje, Mujhko Tumhara Phone Lagta Hai,
Tumhare Laut Aane Tak, Najane Kis Kadar Lambi Udaasi,
Aankh Ke Bistar Mein Chhup Ke Ret Likhegi,
Na Jane Kis Kadar Sapnon Ko Degi Beghari Ka Dukh,
Abhi To Phir Bhi Baaki Hai Koi Sapna,
Tumhare Lams Ke Zinda Warq Par,
Tumhari Khushbuein Zinda Hai, Phoolon Ke Badan Par,
Magar Aisa Na Ho Ke Phool Jal Jayein Kisi Sapne Ke Bujhte Hi,
Tumhara Lams Mar Jaye,
Gulabon Ke Badan Mein Zang Lag Jaye,
Kahin Aisa Na Ho Jana,
Aana Ki Surkh Tehni Par Koi Talwar Ug Aaye,
Kahin Aisa Na Ho Ke, Soch Ki Khidki Mein Koi Wahem Aa Baithe,
Main Is Takmeel Ke Aadhe Safar Mein Hi Na Mar Jaun,
Ye Mausam Jo Adhura Hai, Adhura Hi Na Reh Jaye,
Abhi To Aaina, Chehra Dikhata Hai,
Saraab Hi Sahi Janan Ye Rasta Per Ke Niche Hi,
Abhi To Aas Likhta Hai,
Abhi Hai Waqt Mutthi Mein,
Agarche Ret Ki Maanind Phisalta Jaa Raha Hai,
Par,
Tumhare Laut Aane Tak, Sambhalungi Koi Lamha,
Ye Sara Waqt Girne Se,
Mere Haathonse Behne Se,
Zara Ek Lamha Pehle Tak, Agar Tum Lauto To,
Agar Tum Laut Aao To, Meri Takmeel Ho Jaye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 104 105 106 107 [108] 109 110 111 112 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 11:23:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer