Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 106 107 108 109 [110] 111 112 113 114 ... 273
Print
Author  (Read 131604 times)
thycreator
Guest
«Reply #1635 on: June 08, 2007, 05:19:18 PM »
Thanks angel......u live upto ur name.....i have come back after ages i guess....thats why we never met

Tum kehte kehte hi yahan kuch bat aisi keh gaye,
Roka bahut humne magar do aansoo phir bhi beh gaye,
Roye bahut hain gum mein, tanha akele hi yuhin,
Socha nahi par khushi mein bhi ye sath mere reh gaye..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1636 on: June 08, 2007, 05:23:28 PM »
Quote from: "thycreator"
Thanks angel......u live upto ur name.....i have come back after ages i guess....thats why we never met

Tum kehte kehte hi yahan kuch bat aisi keh gaye,
Roka bahut humne magar do aansoo phir bhi beh gaye,
Roye bahut hain gum mein, tanha akele hi yuhin,
Socha nahi par khushi mein bhi ye sath mere reh gaye..


Thanks thycreator.

Aansu khushi mein gam mein hamesha paas hote hia,
ye wo khazane hai jo aankhon mein mehfooz rehte hai,
saath de na de koi is jahan mein koi,
ye wo humsafar hai jo marte dam tak saath rehte hia...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1637 on: June 08, 2007, 05:25:17 PM »
bahoot khoob angle and creator ji!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1638 on: June 08, 2007, 05:25:44 PM »
aasha hai ab aapse roz aise hi mulaakat hogi thy creator ji Usual Smile



Shaam Se Hi Bujha Sa Rehta Hai,
Dil Hai Goya Charag Muflis Ka,

Shab Bhar Tha Intezar Ke Phootegi Roshni,
Jage To Roshni Ko Andhere Nigal Gaye,

Din To Kat Jata Hai Hangamon Mein,
Raat Aati Hai To Bas Aake Theher Jaati Hai,

Neend To Khair In Aankhon Ke Muqaddar Mein Nahi,
Maut Bhi Kya Kahein Jaa Ke Mar Jaati Hai...
* * * * *

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1639 on: June 08, 2007, 05:27:20 PM »

Woh Baat Baat Pe Jee Bhar Ke Bolne Wala,
Ulajh Ke Reh Gaya, Doori Ka Kholne Wala,

Lo Saare Sheher Ke Paththar Samet Laaye Hum,
Kahan Hai Hum Ko Shab-O-Roz Tolne Wala,

Hamara Dil To Samundar Tha Usne Dekh Liya,
Bahut Udaas Hua Zeher Gholne Wala,

Kisiki Mauj-E-Rawan Se Kha Gaya Kya Maat,
Wo Ek Nazar Mein Dilonko Tatolne Wala,

Wo Aaj Phir Yehi Dohra Ke Chal Diya,
Main Bhul Ke Nahi Ab Tujhse Bulanewala...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1640 on: June 08, 2007, 05:28:55 PM »

Kabhi Isne Ke Tum Taabeer Ho Aur Khwab Sa Hoon Main,
Ho Tum Bekhwaab Muddat Se Azal Se Jagta Hoon Main,

Jo Puchha Dilka Sauda Kab Kya Kaise Kiya Tumne,
Wo Bola Ek Pal Thehro Yehi To Sochta Hoon Main,

Jo Maine Dasht Par Jaa Ke Pukara Hai Khuda Koi,
Tu Har Zara Pukaar Utha Ke Usko Janta Hoon Main,

Bhala Is Daar Pe Jaa Ke Kis Liye Khali Palat Aaye,
Kaha Manzil Ko Chhu Kar Bhi Laga Ek Rasta Hoon Main,

Abhi Socha Hi Tha Dhundun Ufaq Ke Paar Ka Rasta,
To Dil Bola Mera Socho Kabhi Ka Laapata Hoon Main,

Hawa Boli Samundar Se Tera Bhi Koi Bichhda Hai,
Kaha Jaa Jaa Ke Sahil Pe Usi Ko Dhundta Hoon Main...
* * * * *



Shaam Se Hi Bujha Sa Rehta Hai,
Dil Hai Goya Charag Muflis Ka,

Shab Bhar Tha Intezar Ke Phootegi Roshni,
Jage To Roshni Ko Andhere Nigal Gaye,

Din To Kat Jata Hai Hangamon Mein,
Raat Aati Hai To Bas Aake Theher Jaati Hai,

Neend To Khair In Aankhon Ke Muqaddar Mein Nahi,
Maut Bhi Kya Kahein Jaa Ke Mar Jaati Hai...
* * * * *



Woh Baat Baat Pe Jee Bhar Ke Bolne Wala,
Ulajh Ke Reh Gaya, Doori Ka Kholne Wala,

Lo Saare Sheher Ke Paththar Samet Laaye Hum,
Kahan Hai Hum Ko Shab-O-Roz Tolne Wala,

Hamara Dil To Samundar Tha Usne Dekh Liya,
Bahut Udaas Hua Zeher Gholne Wala,

Kisiki Mauj-E-Rawan Se Kha Gaya Kya Maat,
Wo Ek Nazar Mein Dilonko Tatolne Wala,

Wo Aaj Phir Yehi Dohra Ke Chal Diya,
Main Bhul Ke Nahi Ab Tujhse Bulanewala...
* * * * *



Saath Jo Hai Tumhara To Har Pal Suhana Lagta Hai,
Na Hoga Kabhi Koi Gam Aisa Mujhe Lagta Hai,

Jante To Nahi Hai Ke Mustaqbil Mein Likha Kya Hai,
Gar Jo Tum Agar Sath Na Hue To Dar Lagta Hai,

Na Ho Baat Tumse To Dil Mera Bahut Jalta Hai,
Isko Bujhne Mein Ek Zamana Lagta Hai,

Hai Sach Ye Ke Udaas Ho Tum Mujhse Door Hokar,
Par Ye Hansta Chehra Tumhara Ek Bahana Lagta Hai...
* * * * *
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1641 on: June 08, 2007, 05:29:21 PM »
Quote from: "angel4u"


Thanks thycreator.

Aansu khushi mein gam mein hamesha paas hote hia,
ye wo khazane hai jo aankhon mein mehfooz rehte hai,
saath de na de koi is jahan mein koi,
ye wo humsafar hai jo marte dam tak saath rehte hia...


Sahi Kaha apane......

Yahi sathi hai ab mere, gum ho ya khushi ki bat,
Mauka koi bhi rahe par ye chode na mera saath,
Har sheh mein dost banke rehte hai ye aankhon mein,
Chupa jate hai chadar ban ke ye dil ke mere jajjbat......Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1642 on: June 08, 2007, 05:32:26 PM »
Quote from: "thycreator"
Quote from: "angel4u"


Thanks thycreator.

Aansu khushi mein gam mein hamesha paas hote hia,
ye wo khazane hai jo aankhon mein mehfooz rehte hai,
saath de na de koi is jahan mein koi,
ye wo humsafar hai jo marte dam tak saath rehte hia...


Sahi Kaha apane......

Yahi sathi hai ab mere, gum ho ya khushi ki bat,
Mauka koi bhi rahe par ye chode na mera saath,
Har sheh mein dost banke rehte hai ye aankhon mein,
Chupa jate hai chadar ban ke ye dil ke mere jajjbat......Usual Smile


hmmm...

Aansuon se jazbaat koi dilke samajh nahi paata,
ye gam bhi behte hai khushi mein bhi,
kabhi ye khushi ko chhupa lete hai ashqon ke parde mein,
kabhi gam nazar aate hai hansti hui aankhon mein bhi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1643 on: June 08, 2007, 05:33:30 PM »
Thanks di, aap bhi kuch likhti to kitna achha lagta, sad5 likhiye na...


Mohabbat Ki Tabiyat Mein,
Ye Kaisa Bachpan Kudrat Ne Rakha Hai,
Ke Ye Jitni Purnai Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye,
Ise Taaeed-E-Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,

Yaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Mein Lehlehati Ho,
Nigahon Se Tapakti Ho Lahoo Mein Jagmagati Ho,
Hazaron Tarah Ke Dilkash Haseen Hale Banati Ho,
Isi Izhaar Ke Lafzon Ki Hajit Phir Bhi Rehti Hai,

Mohabbat Mangti Hai Yun Gawahi Apne Honeki,
Ke Jiase Tifl-E-Sadan Shaam Ko Ek Beej Boye,
Aur Shab Mein  Barha Uthe,
Zameen Ko Khod Kar Dekhe,
Ke Ab Paudha Kahan Tak Hai,

Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
Ke Ye Iqraar Ke Lafzon Ko Sunne Se Nahi Thakti,
Bichhadneki Ghadi Ho Ya Koi Milneki Saat Ho,
Isse Bas Ek Hi Dhun Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,

Kuch Aisi Besukuni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein,
Ke Jo Ahl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai,
Ke Jaise Phool Mein Khushbu Ki Jaise Hath Mein Tara,
Ke Jaise Shaam Ka Tarah,
Mohabbat Karne Walon Ki Seher Raaton Mein Rehti Hai,
Guman Ke Shakhon Par Aashiyan Banta Hai Ulfat Ka,
Ye Ain Wasl Mein Bhi Hijr Ke Khadshon Mein Rehti Hai,

Mohabbat Ke Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte Hai,
Thakan Ki Kirchiyan Chunte Wafa Ki Ajrakein Pehne,
Same Ki Rehguzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rukte Hai,
To Koi Doobti Saanson Ki Dori Tham Kar,
Dhire Se Kehta Hai
Ke Ye Sach Hai Na,
Hamari Zindagi Ek Dusre Ke Naam Likhti Thi,
Dhunlka Sa Jo Aankhon Ke Qareeb-O-Door Phaila Hai,
Isika Naam Chahat Hai,
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein,
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1644 on: June 08, 2007, 05:34:33 PM »

Hayat Dast-O-Girebaan Hue Kaza Se Magar,
Hazaron Saanp Nikal Aaye Aasteeno Se,

Bahut Kareeb Thi Manzil Ki Roshni Lekin,
Safeene Jhoom Ke Takra Gaye Safeeno Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1645 on: June 08, 2007, 05:35:41 PM »

Kya Sunau Tumko Main Apne Safar Ki Dastan,
Na Koi Rehbar Tha Mera Na Koi Tha Karwan,

Chal Raha Tha Zindagi Bhar Ek Andheri Raah Mein,
Door Tak Taarikiyan Thi Dhundh Thi Aur Tha Dhuan,

Sochta Tha Ek Din Pichhe Ye Gam Reh Jayega,
Khatam Hokar Na Diya Lekin Ye Gam Ka Aasman,

Kyon Bhatakta Main Na Phirta Dehar Ke Toofan Mein,
Na Khuda Koi Na Tha Kashti Meri Thi Bekaran,

Yaad Bhi Mit Jayegi Meri Mere Marne Ke Sath,
Na Rahega Naam Mera Na Mera Koi Nishaan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1646 on: June 08, 2007, 05:36:38 PM »

Teri Aahat
Sulagti Dopeher Ko Ek Pal Mein Shaam Karti Hai,
Utarti Hai Sawad-E-Hijr Mein Kuch Is Tarah Jaise,
Sada-E-Ashna Koi,
Ghane Gehre Andhere Jangalon Ki Beyaqeeni Mein,
Rukh-E-Manzil Dikhati Hai,
Roshni Ka Kaam Karti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1647 on: June 08, 2007, 05:37:39 PM »

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha,
Sar-E-Bazm Raat Ye Kya Hua,
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi,
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua,
Meri Zindagike Chirag Ka,
Ye Mizaj Kuch Naya Nahi,
Abhi Roshni Abhi Teergi,
Na Jala Hua Na Bujha Hua,
Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar-E-Jehan Mila,
Na Kisi Ki Zerb Ghalat Padi,
Na Kisi Ka Teer Khata Hua,
Mujhe Raste Mein Pada Hua,
Ek Ajnabi Ka Khat Mila,
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Mujhe Humsafar Bhi Mila To Wo,
Sitam Zareef Meri Tarah,
Kayi Manzilon Ka Thaka Hua,
Kayi Raston Mein Luta Hua...
* * * * *
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1648 on: June 08, 2007, 05:40:12 PM »
Ufffffff....mujhe ye pata hi nahi chala ki ismein khud ki creations post nahi karni hai....sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1649 on: June 08, 2007, 05:41:32 PM »

Main Wo Lau Hoon Jo Shama Ke Sath Hi Jal Jaunga,
Jab Dhalegi Shaam Main Bankar Dhuan Ud Jaunga,

Ronaq-E-Mehfil Rahunga Jab Talak Jalta Hoon Main,
Main Bujha To Saath Apne Roshni Le Jaunga,

Mere Daman Mein Andhere Hai Magar Aye Karwan,
Sath Rakhoge Mujhe Main Pasbaan Ban Jaunga,

Na Safar Mein Hoon Koi Na Aas Manzil Ki Mujhe,
Ek Hi Kooche Mein Jalta Hoon Wahin Mit Jaunga,

Kitne Parwane Jale Gam Mein Mere Milkar Gale,
Na Samaje The Ye Na Samjhe Main To Jalta Jaunga,

Waqt Badlega Nayi Mehfil Naye Honge Sukhan,
Sab Badal Jayega Lekin Main Wo Hi Reh Jaunga,

Zindagi Meri Faqt Itni Si Hai Is Deher Mein,
Raakh Hogi Jab Bhi Lau Main Khak Mein Mil Jaunga...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 106 107 108 109 [110] 111 112 113 114 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 11:22:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer