Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 273
Print
Author  (Read 131119 times)
angel4u
Guest
«Reply #165 on: January 10, 2007, 06:47:53 PM »

Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe,
Jo Hune Yun Guzare Hai,
Saher Kar Lo Wo Sab Raatein,
Jahan Apni Hi Duniya Thi,
Jahan Saansein Bhi Apni Thi,
Jahan Sapne Bhi Apne The,
Safar Kar Lo Wo Sab Raste,
Jahan Kuch Bhi Wafayein Hai,
Jahan Khushbu Hai Pyaron Ki,
Jahan Yaadein Hai Yaaron Ki,
Fikr Kar Lo Zara Ek Pal
Ke Tumne Kisko Khoya Hai,
Use Tum Tum Dhund Paoge
Kabhi Phir Dekh Paoge
Thaher Jao Jahan Ho Tum,
Ke Us Din Tum Adhure Ho,
Kabhi Phir Mil Na Paoge,
Use Dhundoge Yaadon Mein,
Use Is Pal Bula Lo Tum,
Ke Ye Lamhe Tumhare Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #166 on: January 10, 2007, 06:49:09 PM »

Itne Gehre The Meri Jaan Rawabit Tum Se
Todne Chahe Jo Humne To Bamushkil Toote
Jo Zamane Ki Nigahon Se Chhupa Rakhe The
Waqt-E-Aakhir Woh Taa'luq Sar-E-Mehfil Toote

Sar Kiye Maa'rka-E-Zeest Badi Himmat Se
Daagh Daaman Pe Kisi Baat Pe Aane Na Diya
Tujh Se Izhaar-E-Mohabbat Bhi Magar Kar Na Sake
Hosle Mere Faqat Tere Muqaabil Toote

Husn Phoolon Ka Hi Banta He Tabaahi Ka Sabab Dosto
Khaar-E-Mugheelaan Nahi Nouche Jate
Aap Tareekh-E-Gulistaan Utha Kar Dekhein
Is Mein Bus Shaakh Se Gul Deed Ke Qabil Toote

Mere Paikar Mein Nazakat Hai Gulonki Aur
Main Qaid Hoon Aahani Zanjeer Mein Ek Muddat Se
Azm-E-Parwaaz Mein Phir Bhi Hai Hararat Itni
Arsh Chhoo Loonga Agar Band-E- Salasil Toote

Koh-E-Ghum Teri Mohabbat Ka Gira Hai Mujh Par
Sangraizon Men Badal Jana Mera Wajib Hai
Mit Gaye Hote Jo Yaklakht To Achha Hota
Yeh Qayamat Hay Ke Hum Toote Pa Til Til Toote

Dast Basta Ya Husaini Ki Duaa Hai Ya Rab
Umr Bhar Ashk Bahane Ko Na Zindaa Rakhna
Bhej Dena Tu Mere Naam Pay Paighaam-E-Ajal
Isse Pehle Ke Mohabbat Mein Mera Dil Toote
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #167 on: January 10, 2007, 06:50:30 PM »

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein,
Phir Khwab Aagar Ho Jao To Kya,

Koi Rang To Do Mere Chehre Ko,
Phir Zakham Agar Mehkao To Kya,

Ek Aaina Tha So Tut Gaya,
Ab Khud Se Agar Sharmao To Kya,

Main Tanha Tha Main Tanha Hoon,
Tum Aao To Kya, Na Aao To Kya,

Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib,
Tum Baad-E-Saba Kehlao To Kya,

Jab Dekhne Wala Koi Nahi,
Bujh Jao To Kya Jal Jao To Kya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #168 on: January 10, 2007, 06:52:11 PM »

Mujhe Gale Se Laga Lo Bahut Udas Hoon Main,
Gam-E-Jahan Se Chura Lo Bahut Udas Hoon Main,

Ye Intezar Ka Dukh Ab Saha Nahi Jata,
Tadap Rahi Hai Mohabbat Raha Nahi Jata,
Tum Apne Paas Bula Lo Bahut Udaas Hoon Main,

Har Ek Saans Mein Milneki Pyaas Palti Hai,
Silak Raha Hai Badan Aur Roz Jalte Hai,
Bacha Sako To Bacha Lo Bahut Udaas Hoon Main,

Bahek Chuki Hoon Bahut Zindagi Ki Raahon Mein,
Mujhe Ab Aake Chupa Lo Tum Apni Baahon Mein,
Mera Sawal Na Taalo Bahut Udaas Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #169 on: January 10, 2007, 06:53:36 PM »

Kya Ye Bhi Zindagi Hai Ke Raahat Kabhi Na Ho,
Aisi Bhi To Kisise Mohabbat Kabhi Na Ho,

Waada Zaroor Karte Hai Aate Nahi Kabhi,
Phir Ye Bhi Chahte Hai Shikayat Kabhi Na Ho,

Shaam-E-Visaal Bhi Ye Tagaaful Ye Berukhi,
Teri Raza Hai Mujhko Masarrat Kabhi Na Ho,

Ahabaab Ne Diye Hai Mujhe Kis Tarah Fareb,
Mujhsa Bhi Koi Sada Tabiyat Kabhi Na Ho,

Lab To Ye Keh Rahe Hai Ke Uth, Badh Ke Chum Le,
Aankhon Ka Ye Ishara Ke Jurrat Kabhi Na Ho,

Dil Chahta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din,
Mujhko To Tere Khayal Se Fursat Kabhi Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #170 on: January 10, 2007, 06:54:58 PM »

Aankhein, Qisse, Main Aur Tum,
Baatein, Taane, Main Aur Tum,

Yaadein Teri Pyaari Yaadein,
Rahein Manzil Main Aur Tum,

Saari Mehfil Ek Taraf,
Apni Aankhein Main Aur Tum,

Tere Hathon Par Mehandi Se,
Kaise Likha Tha Main Aur Tum,

Tumne Bhi To Socha Hoga,
Achhe Bachhe Main Aur Tum,

Achha! Tum Bhi Bhul Gayi Ho,
Yaad Dilaun? Main Aur Tum?

Apna Bachpan Kaise Bhoolun,
Tooti Gudiya Main Aur Tum,

Chandni Raat Ke Hote Main,
Kaise Sote Main Aur Tum,

Pehli Baarish Yaad Hai Tumko,
Mitti, Paani, Main Aur Tum,

Khelte Rehna Kudte Rehna,
Tanha Tanha Main Aur Tum...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #171 on: January 10, 2007, 06:57:34 PM »

Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,
Naye Afkar Mehkenge,
Kahin Halchal Nai Hogi,
Safar Ki Dastano Mein,
Tafaqur Ke Zamano Mein,
Yehi Dilko Guman Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,

Had-E-Imkaan Se Aage,
Bahut Se Raaste Honge,
Bade Dilkash Jazeeron Se,
Nazar Ke Faasle Hoge,
Uffaq Ke Paar Jana Ho,
Dhanak Ka Raaz Pana Ho,
To Phir Jazba Jawan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi,

Kabhi Taseer Jab Hogi,
Kisi Mokhlis Ki Baaton Mein,
Wafa Ki Dastan Lab Par,
Sunehri Chand Raton Mein,
Ghata Ghanghor Chayegi,
Fiza Nagme Lutayegi,
Teeqan Ka Saman Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Fareb Zindagi Se Hum
Abhi To Bahel Jayenge,
Nazar Mein Aarzu Ke,
Haseen Sapne Sajayenge,
Pahuch Kar Manzilon Par Jab,
Nayi Manzil Pukaregi,
To Phir Khud Par Ayyan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Wafa Ke Raazdano Ko
Yunhi Din Raat Chalna Hai,
Jahan Ki Thokar Main Bhi,
Hamein Girkar Sambhalna Hai,
Mukaddar Phir Sawarengi
Kathin Raahein Pukarengi
Sankhor Karwan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Magar Safaq Lamhon Mein,
Agar Ek Saans Ruk Jaye,
Dil Betaab Chupke Se
Nazar Ke Sath Jhuk Jaye,
Fiza Bhi Ruth Jaye To,
Ye Daman Chhoot Jaye To,
Koi Noha Kana Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #172 on: January 10, 2007, 06:58:41 PM »

Uski Mohabbat Ne,
Mujhe Yun Mukammal Kar Diya Hai,
Ke Jaise Chaudhween Ki Raat Mein,
Chandni Ke Sath Se,
Adhoore Chand Ko Mil Jata Hai,
Mukammal Chehra,
Husn Poora!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #173 on: January 10, 2007, 07:00:43 PM »

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jane Mere
Tu Kahan Hai Magar Aye Dost Purane Mere

Tu Bhi Khushboo Hai Magar Mera Tujusus Bekar
Burg-E-Awara Ki Maninth Dikhane Mere

Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat
Der Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere

Khalq Ki Bekhabari Hai Ke Meri Ruswayi
Looq Mujhko Hi Sunate Hain Fasane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hoon Keh Ashkon Se Bhara Hai Daaman
Dekh Gharat Gare Dil Yeh Bhi Khazane Mere

Aaj Ik Aur Baras Beeth Gaya Us Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote The Zamane Mere,

Kaash Tu Bhi Meri Aawaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sada Ne Mere

Kaash Tu Bhi Kabhi Aajaye Masiha'ee Ko
Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri, Aaj Khuda Ne Mere

Tu Hai Kis Haal Mein Aye Zood-Faramosh Mere
Mujh Ko Tu Cheen Liya Aihed-E Wafa Ne Mere

Chara-Gar Yoon Tu Bohut Hain Magr Aye Jaan-E-Faraz
Juz Tere Aur Koi Zakham Na Jane Mere
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #174 on: January 10, 2007, 07:01:53 PM »

Nazm Uljhi Hui Hai Seene Mein,
Misare Atke Hue Hai Hothon Par,
Udte Phirte Hai Titliyon Ki Tarah,
Lafz Kagaz Pe Baithte Hi Nahi,
Kabse Baitha Hoon Main Jaanam,
Saade Kagaz Pe Likhke Naam Tera,

Bas Tera Naam Hi Mukammal Hai,
Isse Behtar Bhi Nazam Kya Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #175 on: January 11, 2007, 06:55:36 PM »

Ye Waada Hai Mera Tumse,
Kabhi Wapas Na Aunga,
Magar Tum Dehan Rakhna,
Jab Kabhi Tum Khwab Mein Dekho,
Koi Tooti Hui Kashti,
Ke Ujda Hua Aangan,
Diya Koi Bujha Dekho,
Ya Dekho Maut Ka Matam,
To Mujhko Yaad Kar Lena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #176 on: January 11, 2007, 06:58:22 PM »

Itne Dino Ke Baad To Aya Hai Aaj,
Sochta Hoon Kis Tarah Tujhse Milun,

Mere Andar Jaag Uthi Ek Chandni,
Main Zameen Se Aasman Tak Ek Ang Hoon,

Aur Ujla Ho Gaya Qurbat Ka Chand,
Aur Gehra Ho Gaya Tere Fusun,

Aye Saraapa Rang-O-Nikahat Tu Bata,
Kis Dhanak Se Tera Pairaahan Bunoon,

Saare Gul-Buute Tar-O-Taaza Hue,
Dur Tak Pahuchi Hai Meri Mauj-E-Khun,

Kar Rahe Hai Lamhe Lamhe Ka Hisab,
Milke Phir Baithe Hai Yaaran-E-Junoon,

Dasht-E-Gam Ki Dhoop Mein Mujhpar Khula,
Main Khud Apna Saya-E-Diwaar Hoon,

Naaz Kar Khud Par Ke Tu Hai Beshumaar,
Qadar Kar Meri Ke Main Bas Ek Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #177 on: January 11, 2007, 06:59:19 PM »

Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hai,
Ye Log Raat Mein Kaagaz Kahan Bhigote Hai,

Kisiki Shah Mein Dehliz Par Diya Na Rakho,
Kivaar Sukhi Hui Lakdiyon Ke Hote Hai,

Charaag Paani Mein Maujon Se Puchhte Honge,
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiyan Dubote Hai,

Qadeem Qasbon Mein Kya Sukun Hota Hai,
Thake Thakaye Hamare Buzurg Sote Hai,

Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zameen,
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #178 on: January 11, 2007, 07:01:38 PM »

Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse,
Kab Haath Tera Chhoota Mere Daaman Se,
Ab Nahi Kuch Bhi Haasil Na Hi Koi Manzil,
Hum Ko Tanhayi Mili Hai Is Mohabbat Se,

Ab Bhi Yaad Aate Hai Hame Guzre Wo Lamhe,
Ashq Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se,
Dhadkane Tham Jati Hai Rukti Hai Saansein,
Yaad Jaati Nahi Kyon Teri Is Dil Se,

Socha Tha Humne Kya Aur Humko Mila Kya,
Gila Kismat Se Hai Humko Tumse Gila Kya,
Ab To Tanha Guzar Rahe Hai Hum Is Dagar Se,
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #179 on: January 11, 2007, 07:04:31 PM »

Charaag Apne Tahkan Ki Koi Safayi Na De,
Wo Teeragi Hai Ke Ab Khwab Tak Dikhayi Na De,

Bahut Satate Hai Rishte Jo Toot Jaate Hai,
Khuda Kisiko Bhi Taufiq-E-Aashnayi Na De,

Main Saari Umr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyo Ko Magar Roshni Parayi Na De,

Agar Yehi Teri Duniya Ka Haal Hai Maalik,
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihayi Na De,

Dua Ye Mangi Hai Sehme Hue Mu'arrik Ne,
Ke Ab Qalam Ho Khuda Surkh Roshni Na De...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:27:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer