Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 107 108 109 110 [111] 112 113 114 115 ... 273
Print
Author  (Read 133091 times)
angel4u
Guest
«Reply #1650 on: June 08, 2007, 05:43:18 PM »
Quote from: "thycreator"
Ufffffff....mujhe ye pata hi nahi chala ki ismein khud ki creations post nahi karni hai....sad5


arey maien bhi jo post ki hia, matlab aapke reply mein,
wo khudki hi creation hia,
kar sakte ho na aap, mujhe achha lagta hai Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1651 on: June 08, 2007, 05:45:16 PM »

Sab Kuch Aapke Liye,
Hamara Din Hamari Raat
Hamare Subah Hamari Shaam
Hamara Hansna Hamara Rona
Hamara Roothna Hamara Manana
Hamari Mohabbat Hamari Chahat
Hamara Izhar Hamara Iqraar
Sab Aapke Liye,
Aap Ko Sochna
Aap Hi Ko Dekhna,
Aap Se Hi Baatein Karna,
Aap Hi Ka Intezar
Hai Ye Intezar Aakhri Saans Tak,
Hamari Zindagi Mein,
Sirf Aap Hi Ke Liye
Sab Kuch Aap Ke Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1652 on: June 08, 2007, 05:46:58 PM »

Tum Is Tarah Wafa Ki Laaj Nibhaye Rakhna,
Apne Aansuon Ko Bhi Aanchal Mein Chhupaye Rakhna,

Kahin Dekh Na Le Ye Duniya Tumko,
Meri Tasveer Ko Dil Mein Chhupaye Rakhna,

Agar Puchhe Ye Mere Baare Mein Koi,
Muskura Kar Tum Isko Jawab Dena,

Keh Dena Hamari Mohabbat Nakam Nahi,
Dono Ke Naseeb Mein Likha Hai Door Rehna...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1653 on: June 08, 2007, 05:47:14 PM »
Usnke jhoothe paigaam per, yah ashaq phir mukuraye
Dil ke jakham ro diye, phir bhi umind ke hai diye jalaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1654 on: June 08, 2007, 05:49:32 PM »
Quote from: "Pooja"
Usnke jhoothe paigaam per, yah ashaq phir mukuraye
Dil ke jakham ro diye, phir bhi umind ke hai diye jalaye


ki jo usne phir bewafayi ye ashq phir muskuraye,
di jo mohabbat ki duhayi ye ashq phir muskuraye,
dilko yaqeen tha uspe khud se zyada,
jab usine dhadkanein neelam ki, ye ashq phir muskuraye... sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1655 on: June 08, 2007, 05:51:22 PM »

Teri Yaadon Ke Bina Koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek Pal Nahi Jab Tumhe Humne Pukara Nahi,

Meri Nakamiyon Ko Itna Bhi Gum Na Kijiye,
Agar Aap Jeete Hai To Main Haara Nahi,

Ye Naqsh-E-Dard Kaise Utar Jaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Gam Dilse Utara Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1656 on: June 08, 2007, 05:52:19 PM »

Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Par Haath Rakh De Koi,

Mere Behte Hue Ashqon Ko Rok Le Koi,
Mujhe Apne Seene Se Laga Le Koi,

Mere Dilke Sau Tukde Hue Hai,
Is Toote Dilke Tukdo Ko Jod De Koi,

Aaj Tanha Ho Chuka Hoon,
Kash Mujhe Apna Bana Le Koi,

Seene Mein Dard Bahut Ho Chuka Hai,
Kash Is Seena-E-Dard Ko Baant Le Koi,

Ek Pal Ki Khushi Ke Liye Taras Gaya Hoon,
Kash Khushiyan Dene Wala Mil Jaye Koi,

Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Pe Haath Rakh De Koi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1657 on: June 08, 2007, 05:54:01 PM »

Dilki Baat Zubaan Tak Lana Kitna Mushkil Hai,
Haal-E-Dil Auron Ko Sunana Kitna Mushkil Hai,

Ek Hamein Hai Teri Chahat, Ek Duniya Ki Majboori,
Beech Samundar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai,

Tum Duniya Ki Shedayi Ho, Main Sapno Ka Bashinda,
Sath Hamein Yun Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai,

Ek Nayi Duniya Ki Chahat Le Aayi Hai Kitni Door,
Wapas Laut Ke Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai,

Wehshat Ke Saaz Pe Raksaan Matam Ke Kuch Alfaaz,
In Hothon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hai,

Apne Honthon Se Aana Ke Tale Humse Na Khol Payenge,
Door Hote Sathi Ko Bhulna Kitna Mushkil Hai,

Ab To Har Ek Hi Humko Dard Ka Mara Lagta Hai,
Apne Zakhm Logonko Dikhana Kitna Mushkil Hai,

Roz Mujhse Ek Nayi Tamanna Karta Hai Ye Mera Dil,
Is Nadaan Bachhe Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai,

Hum Aankhon Se Kehne Wale Tum Honthonse Sunnewale,
Apni Chahat Yun Tumhe Batana Kitna Mushkil Hai...
* * * * *
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1658 on: June 08, 2007, 06:02:30 PM »
Hmmmm....lekin apke itni saari poems ka kya jawab du.....sad5

Dil mera kehta hai chalun wo galiyan-o-kuncha dekh lu,
Jis dagar pe mere muhabbat ka katl usne kiya hoga...
Badi muddat se dhoondha par nahi mil saka jo aaj tak,
Mera berehmi se kuchla dil wahan hi kahin pada hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1659 on: June 08, 2007, 06:06:33 PM »
hmmm.
jo bold mein hia wo poems ka jawab na dijiye,
jo simple font mein likhe hai uske de dijiye Usual Smile

kuchal ke mere armaan apni berukhi se,
aaj wo jaa raha hai badi saadgi se,
kaun kahega ye bewafa sanam hai hamara,
usne dil hamara toda bhi to kis maasumiat se..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1660 on: June 08, 2007, 06:13:08 PM »
Quote from: "angel4u"
Quote from: "Pooja"
Usnke jhoothe paigaam per, yah ashaq phir mukuraye
Dil ke jakham ro diye, phir bhi umind ke hai diye jalaye


ki jo usne phir bewafayi ye ashq phir muskuraye,
di jo mohabbat ki duhayi ye ashq phir muskuraye,
dilko yaqeen tha uspe khud se zyada,
jab usine dhadkanein neelam ki, ye ashq phir muskuraye... sad5


wah kay ajawab likha hai angle apne!! good one!!

Her yaad uski, ashqo ki sougaat lati hai
Na jaane kin socho mai, mujhko liye jaati hai
Pal pal dil ki dhadkan, uska naam liye jaati hai
Ashaq hanste hai aor ek cheekh dil mai kahin dab jaati hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1661 on: June 08, 2007, 06:14:08 PM »
Ha ha ha.....kya bat hai.....badi chot kha li apne....

Mere mehboob ko jahan walo sitamgar na samajhna,
Ussi ne mere iss dil ko dhadhakna sikhaya hai,
Kya hua jo toda usne mere iss pyar ke mandir ko,
Uske hi aks mein toh maine bhagwan paaya hai....Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1662 on: June 08, 2007, 06:18:04 PM »
haan sad5

mere hi khuda na mujhe zinda dafnaya hai,
zindagi mein hi usne maut ka manzar dikhaya hia,
kadam kadam pe thi khushiyan kabhi,
aaj usi raste pe dardke kaante bichhaye hai... sad5
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1663 on: June 08, 2007, 06:21:13 PM »
ha ha ha....toh dukhi kyu ho.....

Kanton pe chalne ka dar hai toh muhabbat kyu kar kiya,
Muhabbat mein wahi jiya hai jo mar mar ke hai jiya....Winking
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1664 on: June 09, 2007, 04:52:13 PM »
Quote from: "Pooja"
Quote from: "angel4u"
Quote from: "Pooja"
Usnke jhoothe paigaam per, yah ashaq phir mukuraye
Dil ke jakham ro diye, phir bhi umind ke hai diye jalaye


ki jo usne phir bewafayi ye ashq phir muskuraye,
di jo mohabbat ki duhayi ye ashq phir muskuraye,
dilko yaqeen tha uspe khud se zyada,
jab usine dhadkanein neelam ki, ye ashq phir muskuraye... sad5


wah kay ajawab likha hai angle apne!! good one!!

Her yaad uski, ashqo ki sougaat lati hai
Na jaane kin socho mai, mujhko liye jaati hai
Pal pal dil ki dhadkan, uska naam liye jaati hai
Ashaq hanste hai aor ek cheekh dil mai kahin dab jaati hai


Thanks didi... aapne bhi badhiya jawab diya hai...

dil mein dabi kayi cheekhone aaj dhadkano ka roop le liya,
kal yehi dhadkan kisike dilki aahat sunati thi,
simat gaye saare dard ab ashqon ki baahon mein,
kal kisiki baahein in ashqon ko samet jaati thi... sad5
Logged
Pages: 1 ... 107 108 109 110 [111] 112 113 114 115 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 10:48:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer