Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 108 109 110 111 [112] 113 114 115 116 ... 273
Print
Author  (Read 131611 times)
angel4u
Guest
«Reply #1665 on: June 09, 2007, 04:55:57 PM »
Quote from: "thycreator"
ha ha ha....toh dukhi kyu ho.....

Kanton pe chalne ka dar hai toh muhabbat kyu kar kiya,
Muhabbat mein wahi jiya hai jo mar mar ke hai jiya....Winking


darte nahi kaanto se aye dost hamein,
jab apna maseeha hi seena cheer jaye, dard to hota hia...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1666 on: June 09, 2007, 05:12:37 PM »
Angel,

Dard ke bina muhabbat mein koi maza nahi,
Gar haasil ho mehboob toh phir koi nasha nahi,
Jo bat hai tadap mein wo khushi mein kahan mile,
Aashiq ka janaza kya jo uske lahoo se saza nahi.....Winking
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1667 on: June 09, 2007, 06:04:15 PM »
lahoo se saja janaza dulhan ki tarah hota hia,
gar khanjar khud yaar ne mara ho to dard kahan hota hia,
naaz to sabhi karte hai wafaon pe apni,
par bewafa ko chahna kahan sabke bas mein hota hia...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1668 on: June 10, 2007, 04:59:31 PM »
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai,
Nass Nass Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se,
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu,
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raks Gamon Ka Hota Hai,
Khwabon Ki Taal Lpe Saare Dukh,
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Mein Jhumte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1669 on: June 10, 2007, 05:01:38 PM »

Suno Hum Zamane Se Darne Lage Hai,
Mohabbat Jo Tumse Karne Lage Hai,

Ye Kundilein Aankhon Ki Bujhne Lagi Hai,
Ke Aankhon Mein Dariya Utarne Lage Hai,

Ye Be-Waqt Mausam Ke Tever Badle Kyon,
Ye Patte Kyon Shakhon Pe Mudne Lage Hai,

Hamein Ab Nahi Hai Zamane Ki Hasrat,
Akele Hum Baatein Jo Karne Lage Hai,

Gulon Se Shikwa Hai Na Kharon Se Ranjish,
Hamein Mat Sameto Bikharne Lage Hai,

Meri Jaan Judayi Mein Jalne Lagi Hai,
Ke Raaton Mein Uth Uth Ke Darne Lage Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1670 on: June 10, 2007, 05:11:25 PM »

Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Shaam Ke Baad,
Aur Badh Jati Hai Afsurdadili Shaam Ke Baad,

Ab Iradon Pe Bharosa Hai Na Tauba Pe Yaqeen,
Mujhko Le Jaye Kahan Tashnaalabi Shaam Ke Baad,

Yun To Har Lamha Teri Yaad Ka Bojhal Guzara,
Dilko Mehsoos Hui Teri Kami Shaam Ke Baad,

Yun To Kuch Sham Se Pehle Bhi Udaasi Thi,
Ab To Kuch Aur Badhi Dilki Lagi Shaam Ke Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1671 on: June 10, 2007, 05:13:29 PM »

Ye To Nahi Ke Gam Nahi,
Haan Meri Aankh Nam Nahi,

Tum Bhi To Tum Nahi Ho Aaj,
Hum Bhi To Aaj Hum Nahi,

Ab Na Khushi Ki Hai Khushi,
Gam Ka Bhi Ab To Gam Nahi,

Maut Agarche Maut Hai,
Maut Se Zist Kam Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1672 on: June 10, 2007, 05:15:15 PM »

Waqt Aata Hai Aur Ek Pal Mein Guzar Jaata Hai,
Jaise Har Taar Par Har Saaz Badal Jaata Hai,

Shikwa Karte Ho Tum Tanhayi Ka Is Zeest Mein,
Tanha Bashar Aata Hai Aur Tanha Hi Guzar Jaata Hai,

Samjho To Isse Badi Haqeeqat Nahi Koi,
Khwabon Ke Khilauno Se Har Nafs Bahel Jaata Hai,

Adawaton Ke Khar Bahut Khoob Hai Gar-Cha,
Mohabbaton Ka Phool Khilte Hi Bikhar Jaata Hai,

Chup Reh Kar Kabhi Taaqub Karo Sadao Ka,
Nahi Milta Jo Kabhi To Wo Bhi Mil Jaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1673 on: June 10, 2007, 05:17:54 PM »

Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe,
Ajeeb Yaadon Mein Dhal Gaye Hai,
Kisiko Apna Na Keh Sake Hum,
Kisiko Apna Na Kar Sake Hum,
Kahin Pe Ranjish Hai Tanha Dil Ki,
Kahin Pe Khwabon Ki Kirchiyan Hai,
Kahin Pe Khoon Hai Armano Ka,
Kahin Pe Shikasta Yaadein,
Bas Yehi Paya Hai Is Duniya Se,
Yehi Mila Hai Hamein Yahan Se,
Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1674 on: June 10, 2007, 05:21:33 PM »

Nazar Mili To Nazar Ki Zubaan Samajh Lenge,
Sune Bagair Teri Dastan Samajh Lenge,

Jalega Haath Faqt Hath Kuch Nahi Aayega,
Agar Shararon Ko Hum Titliyan Samajh Lenge,

Hamein Darayega Phir Kaise Khauf-E-Tanhayi,
Hum Apni Zaat Ko Gar Karwan Samajh Lenge,

Abhi To Waqt Ne Majboor Kar Rakha Hai Hamein,
Jo Waqt Badla To Ek Ek Ko Haan Samajh Lenge,

Mere Wajood Se Inkaar Hai Jinhe Hum Bhi,
Unhein Khuda Ki Kasam Benishaan Samajh Lenge,

Mujhe Yaqeen Hai Itne Wo Be-Shaur Nahi,
Chhupi Hain Lafzon Mein Jo Bijliyan Samajh Lenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1675 on: June 10, 2007, 05:25:30 PM »

Is Zamane Se Na Hum Koi Gila Rakhein,
Dil Lagayein To Na Shart-E-Wafa Rakhein,

Na Dikhayein Kabhi Dilpe Lage Zakhm Unhein,
Dard Uthega Magar Dilko Daba Rakhein,

Jaan De Denge Agar Ek Ishara Kar De,
Hum Use Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhein,

Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Humdam,
Ghar Ke Darwaze Ko Har Wakt Khula Rakhein,

Unki Har Baat Ko Bhule Se Na Bhulenge Kabhi,
Unki Yaadon Ko Bhi Seene Se Laga Rakhein,

Toot Bhi Jayegi Ummid Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaon Mein Jala Rakhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1676 on: June 11, 2007, 05:38:38 PM »
Pata Tha Jis Qadar Gehri Meri Deewangi Hogi,
Gamon Ka Daayron Mein Qaid Meri Zindagi Hogi,

Ajab Hai Muskurata Hoon To Aansu Behne Lagte Hai,
Na Jane Kis Tarah Ke Phir Meri Sanjeedgi Hogi,

Bade Shaffaf Paani Mein Qadam Maine To Rakha Tha,
Naa Jana Tah Ye Maine Har Taraf Aaloodgi Hogi,

Mere Daaman Ko Jo Tumne Kiya Hai Chaak Honthon Se,
Koi Samjhega Kya Phoolon Mein Itni Karkhtgi Hogi,

Kaho To Laut Jaun Phir Unhe Behiss Andheron Mein,
Jo Mere Sath Cahlne Se Tumhe Aashuftgi Hogi,

Chali Jaa Chhod De Aye Zindagi Daman Bacha Apna,
Ke Yun Mar Mar Ke Jeene Se Bhali Alaidgi Hogi,

Yahan Jo Mil Raha Hai Har Koi Badh Kar Khuloos Se,
Yahan Dhokon Mein Bhi Badi Sha'istgi Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1677 on: June 11, 2007, 05:40:03 PM »

Lo Apna Jahan Duniya Walo Hum Is Duniya Ko Chhod Chale,
Jo Rishte Naate Jode The, Wo Rishte Naate Tod Chale,

Kuch Sukh Ke Sapne Dekh Chale, Kuch Dukh Ke Sapne Jhel Chale,
Taqdeer Ki Andhi Gardish Mein, Jo Khel Khele Khel Chale,

Har Chiz Tumhe Lauta Di, Hum Leke Nahi Kuch Saath Chale,
Phir Dosh Na Dena Logon, Hum Dekh Lo Khali Haath Chale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1678 on: June 13, 2007, 05:08:43 PM »
MuQaddar Chhod De Jisko Zamana Chhod Deta Hai,
Khizan Mein Har Parinda Aashiyan Chhod Deta Hai,

Samajh Lein Lag Rahi Hai Aapki Buniyaad Mein Deemak,
Padosi Jab Kabhi Nazrein Milana Chhod Deta Hai,

Zamane Bhar Ki Taqreerein Asar Mujh Par Nahi Karti,
Magar Ek Lafz Tera Ek Fasana Chhod Deta Hai,

Wo Zaalim Bewafa Harjayi Hai Magar Phir Bhi,
Nazar Milte Hi Ek Manzar Suhana Chhod Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1679 on: June 13, 2007, 05:12:13 PM »

Mat Is Khwab Ke Pichhe Bhago,
Pathar Bankar Reh Jaoge,
Tez Bahut Hai Waqt Ka Dariya,
Tum Bhi Is Mein Beh Jaoge,
Ye Nishtar, Jaise Ruswayi,
Bolo Kaise Seh Paoge,
Kya Bachhon Jaisi Baaton Se,
Tum Sab Ko Behla Sakte Ho,
Kya Tum Apne Man Ki Mantaq
Duniya Ko Samjha Sakte Ho,
Khwabon Jaisi Baatein Karke,
Kya Tabeerien Paa Sakte Ho,
Baap Ki Shafqat, Maa Ki Mamta,
Kya Sach Much Thukra Sakte Ho,
Jis Ghar Mein Parwaan Chadein Tum,
Kya Usko Chhod Ke Aa Sakte Ho,
Aisi Baatein Namumkin Hai,
Na Mumkin Baatein Mat Socho,
Bas Tum Apni Tanhayi Mein
Hijr Ke Geet Gaa Sakte Ho...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 108 109 110 111 [112] 113 114 115 116 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 01:15:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer