Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 110 111 112 113 [114] 115 116 117 118 ... 273
Print
Author  (Read 133099 times)
angel4u
Guest
«Reply #1695 on: June 16, 2007, 05:21:03 PM »

Koi Kesu, Koi Aanchal Hamein Awaz Na De,
Ab Kisi Aankh Ka Kajal Hamein Awaz Na De,

Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hamein,
Koi Aahat Koi Halchal Hamein Awaz Na De,

Humne Tanhayi Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholon Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabbat Ne Hamein Kya Kijiye,
Di Sada Husnki Jannat Ne Hamein Kya Kijiye,

Jiske Saye Se Bhi Aksar Hamein Dar Lagta Tha,
Chhu Liya Aakhir Use Hasrat Mein Kya Kijiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1696 on: June 16, 2007, 05:23:16 PM »

Ab Ke Baras Bhi Wo Nahi Aaya Bahaar Mein,
Guzrega Aur Ek Baras Intezaar Mein,

Ye Aag Ishq Ki Hai Bujhaane Se Kya Bujhe,
Dil Tere Bas Mein Hai Na Mere Ikhtiyaar Mein,  

Hai Toote Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khayaal,
Khush-Rang Hai Bahaar Jo Guzri Bahaar Mein,

Aansu Nahi Hai Aankhon Mein Lekin Tere Bagair,
Wo Kaanpte Hue Hai Dil-E-Bekarar Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1697 on: June 16, 2007, 05:24:22 PM »

Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya,
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya,

Apni Beeti Jag Beeti Hai Jab Se Dilne Jaan Liya,
Hanste Hanste Jeevan Beeta Rona Dhona Bhool Gaya,

Andhyare Se Ek Kiran Ne Jhaank Ke Dekha Sharmayi,
Dhund Si Chhayi To Yaad Rahi Kaisa Chehra Bhool Gaya,

Hansi Hansi Mein Khel Khel Mein Baat Ki Baat Mein Rang Gaya,
Dil Bhi Hote Hote Aakhir Ghaav Ka Rishta Bhool Gaya,

Ek Nazar Ki Ek Hi Pal Ki Baat Hai Dori Saanson Ki,
Ek Nazar Ka Noor Mita Jab Ek Pal Beeta Bhool Gaya,

Jisko Dekho Uske Dil Mein SHaiva Hai To Itna Hai,
Hamein To Sab Kuch Yaad Raha Par Humko Zamana Bhool Gaya,

Koi Kahe Ya Kisne Kaha Tha Keh Do Jo Kuch Jee Mein Hai,
Miraji Keh Kar Pachhtaya Aur Phir Kehna Bhool Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1698 on: June 16, 2007, 05:27:31 PM »

Main Tumse Milna Chahta Hoon,
Kahin Bhi.....Kisi Bhi Waqt,
Phoolon Ki Wadiyon Mein Jahan Khushbu Hamari Razdar Ho,
Badalon Ke Sang Jahan Dhanak Rang Bikhre Ho,
Teri Duniya Mein Jahan Aabad Khushiyon Ke Qahqahe Ho,
In Berang-O-Benoor, Beaab-O-Gayah Sehraon Mein,
Har Zara Jahan Ka, Rafeeq-E-Haal Hai Mere Qadam Ke Aablon Ka,
Ya Phir Yunhi Sar-E-Raah Chalte Hue,
Main Tumse Milna Chahta Hoon, Zara Si Der Ke Liye,
Teri Masroof Hayat Ke Khayal Bhi Hai,
Muddat Se Lekin,
Mere Lab Pe Ek Sawal Bhi Hai,
Bas Ek Mukhtaser Sa Sawal,
Tera Jawab Ke Usse Bhi Mukhtaser Ho Shaid,
Sawal....Ke Teri Zulf Ke Pech-O-Kham Se Pechida Bhi Nahi,
Sawal....Ke Teri Qamat-E-Qayamat Se Dara Bhi Nahi,
Haan....Tere Aariz-E-Gulgoon Ki Mithas Rakhta Hai,
Khushk Hothon Pe Apen Lekin,
Ek Talab, Ek Khalish, Ek Pyaas Rakhta Hai,
Tum Apne Zehen Ke Tamam Khane Khangaal Dalo,
Wo Sab Asbaaq Dohra Lo, Waqt Ne Jo Tumhe Padhe Hai,
Awaz Do Un Alfazko, Jo Teri Yaad Mein Samne Hai,
Phir Bhi....
Mujhe Dar Hai Ke Tum Lajawab Na Ho Jao,
Wo Sawal Hi Aisa Hai,
Ke Tum Se Koi Jawab Na Ban Padega,
Tum Ko Apni Zehnat Ka Dawa Hai To Suno,
Main Puchhta Hoon
Tum Mujhe Kyon Yaad Aate Ho???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1699 on: June 16, 2007, 05:28:47 PM »

Log!
Mere Lafzon Ko Moti Se Tasbeeh Dete Hai,
Wo Kehte Hai
Aapke Lafz Hamare Liye Bahut Keemti Hai,
Aapki Shairi Hum Apne Pyaron Ko Likh Kar Bhijwate Hai,
Unhe Apni Chahat Ka Ehsaas Dilate Hai,
Aur Yun,
Ke Phir Wo Hamare Hi Ho Jate Hai,
Aapke Lafz Hamare Liye Roshni Hai,
Zindagi Hai,
Unhe Kyab Ataun,
Mujhe Apne Lafzon Se Kitni Shikayat Hai,
Ye Us Waqt Chup Ho Gaye The,
Jab Unhe Bolna Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1700 on: June 16, 2007, 05:30:39 PM »

May Bankar, Maikhana Bankar, Masti Ka Afsana Ban Ja,
Masti Ka Afsana Bankar, Hasti Se Begana Ban Ja,
Hasti Se Begana Hona, Masti Ka Afsana Banna,
Is Honse Se, Is Banne Se, Achha Hai Deewana Ban Ja...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1701 on: June 16, 2007, 05:32:35 PM »

Tujhko Chahe Aur Tera Hi Intezar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhise Pyaar Kare,

Teri Yaad Aaye To Dhunde Tujhko Har Taraf,
Khudko Bhi Qarar Nahi Mujhko Bhi Bekarar Kare,

Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare,
Tujhko Chahe Tujhpe Mitne Ki Tamanna Kare,

Tujhse To Kuch Keh Na Paaye Bas Khud Se Iqraar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1702 on: June 16, 2007, 05:33:45 PM »

Barso Ke Baad Dekha Ek Shakh Dilruba Sa,
Ab Zehen Mein Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa,

Alfaaz The Ke Jugnu Awaz Ke Safar Mein,
Ban Jaye Jagalon Mein Jis Tarah Rasta Sa,

Khwabon Mein Khwaab Uske Yaadon Mein Yada Uski,
Neendon Mein Ghul Gaya Ho Jaise Ek Ratjaga Sa,

Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Mein,
Wo Har Tarahse Lekin Auron Se Tha Juda Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ka,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa,

Phir Yun Hua Ke Sawan Aankhon Mein Aa Base The,
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aabla Sa,

Ab Sach Kahein To Yaaron Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat Ek Waaqeya Zara Sa...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1703 on: June 16, 2007, 05:36:02 PM »

Main To Bhool Gaya Uski Yaadon Ko Jo Dil Mein Basera Karte The,
Subah Shaam Din Raat Uski Yaad Mein Aansu Baha Karte The,

Ab To Aansu Bhi Khushk Hogaye Hai Magar Wo Hai Naraz Ab Tak,
Aye Khuda Tu Bhi Aise Hi Rula Usko Meri Jaan Zinda Hai Jab Tak,

Main Mila Hi Kyon Tha Usko Na Jane Kaunsi Wo Ghadi Thi,
Shayad Barsaat Ki Raat Thi Aur Wo Bhigi Hui Baagh Mein Khadi Thi,

Dekhke Maine Kaha Use Yun Na Bhigo Barsaat Hai Badi Sakht,
Shayad Mera Ye Kehna Tha Use Aur Wo Ro Padi Bad Bakht,

Rota Dekhke Mere Bhi Aansu Nikal Aaye Aur Puchha Maine Usse,
Kyon Roti Ho Aye Haseena Hcup Ho Jao Kya Naraz Hai Koi Tujhse,

Kaha Usne Main Toot Gayi Hoon Bikhar Gayi Hoon Aye Khuda Maut Aajaye

Mujhe,
Na Jane Kahan Hoga Wo Jo Mujhe Dilasa De Apni Bahon Mein Uthaye Mujhe,

Ye Sunke Maine Kaha Bhool Jao Usko Ye Duniya Badi Bewafa Hai,
Kal Wo Tera Tha Aaj Kisi Aur Ka Hai Dhoka Yahan Nahi Har Jagah Hai,

Main Bhi Uski Yaad Mein Toota Tha Roya Tha Har Jagah Fariyaad Karta Tha,
De Deta Jaan Apni Magar Mere Dost Apne Khuda Se Main Darta Tha,

Bas Isiliye Maine Soch Liya Bhool Jaunga Main Uski Yaadon Ko,
Uske Sharbati Nain Jheel Jaisi Aankhein Aur Uski Meethi Baaton Ko,

Tum Bhi Hans Do Muskurao Ye Zindagi Bahut Chhoti Hai,
Mohabbat Sirf Ek Dhoka Hai Jisne Kar Li Sari Umar Roti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1704 on: June 16, 2007, 05:37:33 PM »

Gam Ki Tabah Kariyon Ko Kam Na Kar Sake,
Koi Ilaaj Hum Dil-E-Barham Na Kar Sake,

Dil Ke Dyar-E-Shauq Mein Jalta Hua Diya,
Lau Uski Khwahishaat Ki Madham Na Kar Sake,

Sazeena-E-Hayat Ko Chheda To Baar Baar,
Sur Mein Kisi Bhi Saans Ki Sargam Na Kar Sake,

Zakhmonko Mere Jo Bahut Humdardiyan Mili,
Alfaaz Mere Dard Ka Marham Na Kar Sake,

Rasmone Dali Paanv Mein Zanjeer Is Tarah,
Kuch Tum Na Kar Sake Kabhi Kuch Hum Na Kar Sake,

Aansu Diye Kisine, Kisise Mile Fareb,
Hum Dastras Mein Wasl Ke Mausam Na Kar Sake,

Badle Meri Hayat Ki Ek Ek Saans Ke
Ashraf Mujhe Wo Pyar Faraaham Na Kar Sake...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1705 on: June 16, 2007, 05:39:15 PM »

Pathar Na Maar Pichhe Se Seene Pe Waar Kar,
Tu Meri Baat Ka Zara Aitbaar Kar,

Main Uff Bhi Na Karunga Teri Kisi Baat Par,
Tu Us Waqt Ka Bhi Zara Intezaar Kar,

Kisson Se Bhari Hai Is Jahan Ki Baatein,
Sab Ukch Bhula Ke Bas Mujhse Pyaar Kar,

Main Gam Bhari Zindagi Jee To Raha Hoon Bas,
Us Bewafa Ki Baat Ab Na Baar Baar Kar,

Aati Nahi Hansi Mujhko Ab SANAM,
Tanz-O-Maza Ka Rukh Na Tu Ikhtiyar Kar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1706 on: June 16, 2007, 05:40:41 PM »

Na Jaane Kyon Mujhe Reh Rehke Khayal Aata Hai,
Koi To Hai Jo Mera Bhi Hai Mujhe Chahta Hai,

Mile Jo Gar Kabhi Tu Tujhse Ye Sawal Karun,
Meri Aankhon Mein Naye Khwab Kyon Sajata Hai,

Meri Kismat Mein Jo Likha Hai Mujhe Milna Hai,
Ye Soch Soch Ke Hi Dil Mera Ghabrata Hai,

Samundar Ke Kisi Goshey Mein Hai Poshida,
Milega Kisko Gohar Bas Khuda Hi Janta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1707 on: June 16, 2007, 05:42:08 PM »

Usse Bichhad Kar Jaane Kyon Is Qadar Toota Hoon Main,
Dard-O-Gam Ki Teergi Mein Is Qadar Dooba Hoon Main,

Puchhta Hai Rahzanon Se Apne Hi Ghar Ka Rasta,
Yaad Rakhke Usko Apne Aap Ko Bhoola Hoon Main,

Rokta Hoon Khud Ko Main Lekin Chala Jaata Hoon Phir,
Usko Bhulaneki Koshish, Kis Qadar Jhutha Hoon Main,

Uski Aankhein Keh Rahi Thi Woh Pashemaan Hai Bahut,
Jab Wo Rishta Hi Nahi, Kis Baat Pe Rootha Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1708 on: June 16, 2007, 05:43:21 PM »

Baithe Baithe Hi Achanak Wo Rooth Jaata Hai,
Jaane Kyon Dil Pe Hamare Yun Sitam Dhaata Hai,

Berukhi Ki Bhi Koi Had To Mukarrar Hogi,
Hadse Badh Jaye Paimana To Chhakal Jaata Hai,

Roothne Wale Khabar Tujhko Nahi Hai Shayad,
Hamein Roothon Ko Manane Ka Hunar Aata Hai,

Kyon Na Kar Paate Tujhe Mom Mere Deeda-E-Tar,
Aankh Roti Hai To Pathar Bhi Pighal Jaata Hai,

Wisl Ki Chah Mein Wo Bhi Hai Muztarib Lekin,
Ana Ko Tod Ke Iqraar Kar Nahi Paata Hai,

Sadaf Tu Kab Talak Jhelegi Talkhiyan Uski,
Kha Ke Thokar To Deewana Bhi Sambhal Jaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1709 on: June 16, 2007, 05:45:27 PM »

Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota,
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 110 111 112 113 [114] 115 116 117 118 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 12:58:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer