Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 113 114 115 116 [117] 118 119 120 121 ... 273
Print
Author  (Read 133107 times)
angel4u
Guest
«Reply #1740 on: August 07, 2007, 08:49:00 PM »

Kya YaQeen Jispar, Kuch Saath De Kar Chal Diye,
Kal The Mere Dost Aaj Kisi Aur Ke Ban Kar Chal Diye,

Sun Kar Meri Daastan Wo Muskurate Chale Gaye,
Dilaya Dosti Ka Aasra Aru Dusron Se Bayaan Karte Chale Gaye,

De Kar Haath Apna Meri Mushklein Aasan Kar Gaye,
WaQt Ke Sath Sath Wo Mujhe Badnaam Kar Gaye,

Diya Kaandha Apna Kuch Samay Sar Rakhne Ke Liye,
Kiya Barbaad Hamein Aur Chhod Tanha Wo Chal Diye,

Karein Kisse Shikayat Karein Kisse Fariyaad,
Badi Der Mein Aaya Samajh Aur Hum Khamosh Hogaye,
Dosti Ka Tha Ek Aasra, Jaate Jaate Wo Bhi Humse Chhin Le Gaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1741 on: August 07, 2007, 08:50:11 PM »

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,

Judayi Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana,

Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Qadam Phir Meri Taraf, Chale Aana,

Had Se Guzre Jaaye Jab Mere Zabt-E-Gam,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana,

Uske Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Memon,
Meri Maut Ka Tumko Mile Paigam Chale Aana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1742 on: August 07, 2007, 08:51:05 PM »

Din Guzarte Hai Kahan Raat Kahan Hoti Hai,
Dard Ke Maaron Se Ye Baat Kahan Hoti Hai,

Ek Se Chehre To Hote Hai Is Duniya Mein,
Ek Si Soorat-E-Haalaat Kahan Hoti Hai,

Zindagi Ke Kisi Mod Pe Wo Mil Gaye,
Mil To Jaate Hai MulaQaat Kahan Hoti Hai,

Aasmano Se Koi Boond Nahi Barsegi,
Jalte Sehraon Mein Barsaat Kahan Hoti Hai,

Ya To Auron Ki Bahut Baatein Sunayi Unko,
Apni Jo Baat Hai Wo Baat Kahan Hoti Hai,

Jaisi Aagaz-E-Mohabbat Mein Hua Karti Thi,
Waisi Phir Shiddat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai,

Pyaar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jinko,
Un Ke Zehno Mein Bhala Zaat Kahan Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1743 on: August 07, 2007, 08:52:22 PM »

Kisiko Humse Hai Chand Shikwe Kisiko Behad Shikayatein Hai,
Hamare Hisse Mein Sirf Apni Safaiyaan Hai, Wazahatein Hai,

Qadam Qadam Par Bada Rahe Hai Musafiron Ki Talab Ke Raste,
Hawaon Jaisi Mohabbatein Hai, Sadiyon Jaisi RafaQatein Hai,

Kisika MaQrooz Main Nahi Par Mere Girebaan Pe Haath Sabke,
Koi Meri Chahaton Ka Dushman Kisiko Darkaar Chahatein Hai,

Teri Judayi Ke Kitne Suraj UfaaQ Pe Doobe Magar Abhi Tak,
Khalish Hai Seene Mein Pehle Dinse Lahoon Mein Waisi Hi Wehshatein Hai,

Meir Mohabbat Ke Raazdan Ne Ye Keh Ke Lauta Diya Mera Khat,
Ke Bheegi Bheegi Si Aansuon Mein Tamaam Gunjalak Ibaratein Hai,

Main Doosron Ki Khushi Ki Khatir Gubaar Bankar Bikhar Gaya Hoon,
Magar Kisine Ye HaQ Na Maana Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1744 on: August 07, 2007, 08:54:18 PM »

Ye Duniya Badi To Nahi,
Ke
Ek Baar Ke Bichhde Phir Na Mil Sakein,
Bichhdo To Is Tarah
Ke
Phir Milne Ka Imkaan Na Rahe,
Mujhse Waada Karo Tum,
Bichhadne Ke Baad,
Main Tumko Nazar Aaun Agar,
Aise Zaahir Karna,
Jaise Dekha Hi Nahi,
Mujhe Dekhar Kar Tumhara,
Dil Dhadka Hi Nahi,
Kio Baat Na Karna,
Labon Se
Aur Na Hi,
Aankhon Se,
Qurbat Ka Koi Gul Na Khilana,
Na Milna Mujhe Phir Kabhi,
Ke
Main Mil Kar Phir Bichhadne Ka Azab Na Seh Sakungi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1745 on: August 07, 2007, 08:55:39 PM »

Usko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai,
Bedard Sahi Par Wo Meri Humraaz To Hai,

Wo Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin,
Shiddat Se Mujhe Uska Intezar To Hai,

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayengi Kabhi,
Mere Dil Mein Usse Milan Ki Aas To Hai,

Pyaar Ki Gawahi Mere Humjaan Mere Aahon Se Na Maang,
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1746 on: August 07, 2007, 08:56:48 PM »

Chaandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai,

Is Mein Kuch Rang Bhi Hai Khwaab Bhi Mehkar Bhi Hai,
Jhilmilati Hui Khwahish Bhi Inkaar Bhi Hai,

Isi Khushboo Mein Kayi Dard Bhi Afsane Bhi,
Isi Khushboo Ne Banaye Kayi Deewane Bhi,

Mere Aanchal Pe Ummidon Ki Qatar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai,

Isi Khushboo Se Kisi Yaad Ke Dar Khulte Hai,
Mere Pairon Se Jo Lipte To Safar Khulte Hai,

Yehi Khushboo Jo Mujhe Ghar Se Utha Laayi Thi,
Ab Kisi Taur Palat Kar Nahi Jaane Deti,

Meri Dehliz Bulati Hai Mujhe Laut Aao,
Yehi Khushboo Mujhe Wapas Nahi Aane Deti,

Ranj Aur Dard Mein Doobi Bahar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1747 on: August 07, 2007, 08:58:07 PM »

Aankhein Bhi Wohi Hai Dareecha Bhi Wohi Hai,
Maine Mere Jazbon Ki SadaQat Ko Na Jaana,
Ab Meri RafaQat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai,

Is Dilke Kharabi Se Guzark Iska Hua Hai,
Aankhein Bhi Wohi Honth Bhi Lehja Bhi Wohi Hai,

Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhayi Ne Tujh Se,
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai,

Wo Jisne Diye Mujhko Mohabbat Ke Khazane,
Badal Ki Tarah Aankh Se Barsa Bhi Wohi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1748 on: August 07, 2007, 08:59:15 PM »

Hazaron Pal Tumhare Bin,
Na Puchho Kaise Katte Hai,
Kabhi Yaadein Rulati Hai,
Kabhi Mausam Satate Hai,
Use Kehna Hum Aate Hai,

Hamein Mayus Na Karna,
Hamara Maan Rakh Lena,
Hamein Wapas Nahi Jaana,
Hamein Dil Mein Basa Lena,
Hamein Apna Bana Lena,

Bahut Tadpe Hue Dilse,
Bahut Rootha Nahi Karte,
Mohabbat To Ibadat Hai,
Zamane Se Chhupate Hai,
Ise Ruswa Nahi Karte,

Suno Aisa Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1749 on: August 07, 2007, 09:00:15 PM »

Suno Naraz Ho Humse,
Magar Hum Khud Wo Hai Jinko Manana Bhi Nahi Aata,
Kisi Se Humne Mohabbat Jo Nahi Ki,
Mohabbat Kis Tarah Hoti Hai,
Hamare Sheher Ke Itraaf Mein To Pehra Tha Sakht Khizaon Ka,
Is Sheher-E-Pareshan Ki Faseelein Ladi Thi Zard Bailon Se,
In Mein Na To Khushbu Thi Na Koi Phool Tum Jaisa,
Ke Mehek Uthe Hamare Deeda-E-Dil Jiski Khushbu Se,
Hum Is Sheher Ki Veeran Galiyon Mein Ek Sookhe Hue Patte Ki Maanind

The,
Ke Zaalim Hawa Jab Hum Par Apne Qadam Rakhti,
To Uske Paanv Ke Neeche Hamara Dam Nikal Jaata,
Magar Suna Hai Patjhad Ka Wo Mausam Tal Chuka Ab To,
Magar Jo Haar Honi Thi Wo Ho Chuki Humse,
Suno Haare Hue Logonse Rootha Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1750 on: August 07, 2007, 09:01:06 PM »

Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein Khud Jal Jayenge,
Tumse Door Bahut Reh Kar Bhi Kya Paaya Kya Payenge,

Dukh Bhi Sachhe Sukh Bhi Sachhe Phir Bhi Teri Chahat Mein,
Humne Kitne Dhoke Khaye Kitne Dhoke Khayenge,

AQl Pe Humko Naaz Bahut Tha Lekin Ye Kab Socha Tha,
IshQ Ke Haathon Ye Bhi Hoga Log Hamein Samjhayenge,

Kal Ke Dukh Bhi Kaun Se BaaQi Aaj Ke Dukh Bhi Kayi Dinke,
Jaise Din Pehle Kaate The Ye Din Bhi Katt Jayenge,

Humse Abla-Paa Jab Tanha Ghabrayenge Sahara Mein,
Raaste Jab Tere Hi Ghar Ki Jaanib Ko Mud Jayenge,

Aankhon Se Ojhal Hona Kya Dilse Ojhal Hona Hai,
Mujhse Chhut Kar Bhi Ahal-E-Gam Kya Tujhse Chhut Jayenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1751 on: August 08, 2007, 06:11:10 PM »
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhi Ko Dekhte Rehna,
Tumhi Ko Chahte Rehna,
Tumhi Ko Sochte Rehna,
Tumhi Ko Sunte Rehna,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Bahut Gehre Khayalon Mein,
Jawabon Mein Sawalon Mein,
Mohabbat Ke Hawalon Mein,
Tumhara Naam Aa Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhare Sang Sang Chalna,
Wafa Ki Aag Mein Jalna,
Tumhe Naraz Kar Dena,
Kabhi Khud Rooth Bhi Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Kabhi IQraar Kar Lena,
Kabhi Inkaar Kar Lena,
Kabhi Aankhon Se Kuch Kehna,
Kabhi Keh Kar Mukar Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhari Berukhi Par Bhi,
Tumhari Aarzu Karna,
Khud Apne Dilki Dhadkan Se,
Tumhari Guftugu Karna,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1752 on: August 08, 2007, 06:12:14 PM »

Gaye Dino Ki Azeez Baatein,
Nigar Subhein Gulaab Raatein,
Bisat-E-Dil Bhi Ajeeb Shay Hai,
Hazar Jeetein Hazar Maatein,
Judaiyon Ki Hawayein,
Lamhon Ki Khushk Mitti Uda Rahi Hai,
Gayi Ruton Ka Malal Kab Tak,
Chalo Ke Shakhein To Tootti Hai,
Chalo Ke Qabron Pe Khoon Rone Se,
Apni Hi Aankhein Phootti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1753 on: August 08, 2007, 06:13:20 PM »

Pehle Pehel To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti Hai,
Phir Aankhein Palkon Mein Chhup Kar Rone Lagti Hai,

Jaane Tab Kyon Suraj Ki Khwahish Karte Hai Log,
Jab Baarish Mein Sab Deewarein Girne Lagti Hai,

Tasveeron Ka Rog Bhi Aakhri Kaisa Hota Hai,
Tanhayi Mein Baat Karo To Bolne Lagti Hai,

Sahil Se Takrane Wali Wehshi Maujein Bhi,
Zinda Rehne Ki Khwahish Mein Marne Lagti Hai,

Tum Kya Jaano Lafzon Ke Aazaar Ki Shiddat Ko,
Yaadein Tak Sochon Ki Aag Mein Jalne Lagti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1754 on: August 08, 2007, 06:14:39 PM »

Bahut Masroof Rehte Ho,
Sehar Se Shaam Hone Tak,
Koi Lamha Nahi Milta,
Koi Gumnaam Si Sa'at,
Koi Benaam Si Fursat,
Kahin Baithe Hue Tanha,
Kabhi Jo Shaam Ho Jaye,
To Meri Iltija Hai Ye,
Koi Lamha Chura Lena,
Jo Mere Naam Ho Jaye,
Ke  Hum Jaise Aseeron Ka,
Koi To Kaam Ho Jaye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 113 114 115 116 [117] 118 119 120 121 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 03:48:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer