Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 273
Print
Author  (Read 132798 times)
angel4u
Guest
«Reply #180 on: January 11, 2007, 07:06:44 PM »

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
Kamal Ki Gazal Tumko Sunayenge Kisi Roz,

Thi Unki Zid Ke Main Jaun Unko Manane,
Mujhko Ye Vahem Tha Wo Bolenge Kisi Roz,

Allah Kasam Maine To Socha Bhi Nahi Tha,
Wo Itna Mere Dilko Dukhayenge Kisi Roz,

Har Roz Aaine Se Yehi Puchhta Hoon Main,
Kya Rukh Pe Tabassum Bhi Sajenge Kisi Roz,

Udne To In Paridon Ko Aazad Fiza Mein,
Tumhare Honge Agar Laut Hi Ayenge Kisi Roz,

Apne Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Asar Tum,
Zakhm-E-Jigar Tamaam Dikhayenge Kisi Roz,

Jo Peete Rahe Yun Hi Doston,
Hum Keh Rahe Hai Jaan Gawayenge Kisi Roz...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #181 on: January 11, 2007, 07:08:47 PM »

Mehakti Hui Sard Raaton Ke Saye Mein,
Kaampte Patton Ke Halke Halke Sarsarahaton Mein,

Mujhe Apna Wajood Bhi Aaadha Sa Laga,
Tere Bagair Is Lamhe Maine Jana Ke,
Meri Sari Khushiyan Bhi Adhuri Hai,
Tere Bagair...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #182 on: January 11, 2007, 07:12:32 PM »

Shaam Ke Ujalon Par,
Apne Narm Haathon Se,
Koi Baat Achhi Si,
Koi Khwab Sacha Sa,
Koi Bolti Khushbu,
Jab Bhi Likhna Chahunga,
Sochke Darichon Se,
Yaad Ke Hawalon Se,
Mera Naam Chup Chup Kar,
Tumko Yaad Aayega,
Hath Kaamp Jayenge,
Sham Thaher Jayegi,
Mera Naam Chup Chup Kar,
Tumko Yaad Aayega
Sham Thehar Jayegi,
Sham Theher Jayegi...
* * * * *
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #183 on: January 12, 2007, 12:32:13 PM »
2 Good Angel JI
Daad Haazir Hai JI kabul Farmaaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #184 on: January 12, 2007, 07:41:37 PM »
Thanks HUM DUM JI...
shukriya, hamare ashkon ki mehfilmein aane ka Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #185 on: January 12, 2007, 07:43:47 PM »

Main Use Dekhke Hairan Hua Phirta Hoon,
Wohi Gatee Hui Aankhein Wohi Andaaz-E-Kalaam,
Wohi Gulnaar Tabassum Se Muskurata Chehra
Wohi Khush Rang Kharaam,
Narm Lehje Mein Tarannum Ki Wohi Gulkaaree,
Jaise Wo Kal Ki Gayi Aaj Chali Ayi Ho,
Jaise Jag Ke Kaati Hui Kaali Raatein,
Sard Kamre Mein Thithartee Hui Sochein, Yaadein,
Raat Bhar Royi Hui Aankh Se Bhige Takiye,
Aur Taaloo Se Chimte Hue Kadwe Lamhe,
Maine Socha Tha Guzre Hue Kadwe Lamhe,
Uske Taaloo Se Bhi Chmite Honge,
Uske Takiyon Pe Bhi Meri Yaadein,
Ashq Banke Tapakti Hongi,
Sard Raaton Mein Rasm-E-Tanhayi,
Uski Neendon Ko Bhi Khaata Hoga,
Uski Aankhon Mein Magar Dard Ka Saya Bhi Na Tha,
Jaise Usne Mujhe Chaha Bhi Na Tha,
Mujhko Yun Saamne Paa Akr Wo Harasaan Na Hui,
Mere Be-Rabt Sawalon Se Pareshan Na Hui,
Apne Maanoos Tabassum Mein Tarannum Bhar Kar,
Aujh Se Chalte Hue Boli,
Shair-E-Waqt Kaho, Kaise Ho,
Main Use Dkehke Hairan Hua Phirta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #186 on: January 12, 2007, 07:44:50 PM »

Wo Barkha Rut Ki Boondon Mein,
Kisi Chhoti Si Waadi Mein,
Guzre Jo Tumhare Sath, Un Anmol Lamhon Par,
Bahut Maasoon Jazbon Par,
Tumhare Shokh Aankhon Par,
Laraztee Apni Palkon Par,
Chalo Ek Nazm Kehte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #187 on: January 12, 2007, 07:46:05 PM »

Bahut Hi Muddat Ke Baad Kal Jab,
Kitaab Maazi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se Naamon Pe Dil Paseeja,
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska Onwan Humsafar Tha,
Jo Safha Sabse Mo'atbar Tha,
Kuch Aur Aansu Phir Us Par Tapke,
Phir Usse Aage Main Padh Na Paya,
Kitab Maazi Ko Band Karke,
Tumhari Yaadon Mein Kho Gaya Main,
Agar Tu Milta To Kaisa Hota,
Inhi Khayalon Mein So Gaya Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #188 on: January 12, 2007, 07:47:41 PM »

Chale Jaana
Magar Thehro Zara,
Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo
Ye Kehtaa Hai,
Ke Aage Dhoop Hai,
Tum Meri Chhanv Saath Le Jao,
Hare Mausam Jab Aayenge,
Main Tumko Khushbuyein Bhejunga,
Meri Shaakh Aankhein Barg Aansu Royenge,
Main Janta Hoon,
Jab Hawa Hi Par Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate,

Chale Jaana,
Magar Thehre Zara,
Ye Lawn Tumko Yaad Karta Hai,
Yahan Shaam Ka Suraj Aur Hamare Geet Ki Lai Aaj Tanhayi Hai,
Tumhare Qahqahon Ke Phool Suthi Tehniyon Pe Jhulte Hai,
Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hai,
Sadaayein Bujh Gayi Hai,
Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai,
Aur Hawayein Narm Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai,

Chale Jaana,
Magar Thehro Zara,
Ye Dar Ye Deewar Judayi Ki Lughat Hai,
In Pe Likhe Lafz Ko Padh Lo,
Ke In Boseedah Deewaron Ki Aankhon Mein Tumhare Aks Roshan Hai,
Inhe Achhi Tarah Dekho,
Ke In Din Tum Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge,
Lekin Waapsi Ke Saare Raaste Band Paoge,

Chale Jana,
Magar Thehro Zara,
Par Kya?Huh???
Thik Hai Chale Jaiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #189 on: January 12, 2007, 07:48:36 PM »

Dilke Aaino Par Tum Aitbar Kar Lete,
Mausamon Ke Khulne Ka Intezaar Kar Lete,

Sheher Chhod Jane Ki Thi Tumhe Bahut Jaldi,
Ye Na Kar Sake Mera Dukh Shumaar Kar Lete,

Tum To Har Taaluq Hi Sath Le Gaye Apne,
Kash Ye Bichhad Jana Tum Udhaar Kar Lete,

Ek Tumhare Milne Ki Aas To Bandhi Rehti,
Raasta Koi Aisa Ikhteyaar Kar Lete,

Ishq Mein Bhi Tum Ne Fayde Hi Soche The,
Kash Tum Koi Behtar Karobaar Kar Lete...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #190 on: January 12, 2007, 07:51:14 PM »

Dilpe Roshan Ek Dareecha Kiya Hua,
Band Hum Par Gharka Darwaza Hua,

Is Tarah Dekha Tujhe Kal Khwaab Mein,
Khwab Par Taabeer Ka Dhoka Hua,

Tak Raha Hai Aasman Ko Aasman,
Jheel Ki Aagosh Mein Simta Hua,

Raaste Lagte Hai Kyon Chalte Hue,
Kaarwan Kyon Lagta Hai Thehra Hua,

Aye Hawa-E-Gulistan Khush Aamdeed,
Yaad To Aaya Koi Bhoola Hua,

Jis Taraf Jaata Hai Dilka Raasta,
Us Taraf Bhi Kya Kabhi Jana Hua,

Wo Hawa-Ekoi Janan Kya Hui,
Wo Gubaar-E-Rahe Pema Kya Hua,

Zindagi Kitni Sabak Raftaar Hai,
Khudse Milke Aaj Andaza Hua,

Dekhiye Kya Waqt Ki Parchhaiya,
Jodiye Kya Aaina Tuta Hua,

Jaane Wale Dilse Jab Jaate Nahi,
Phir Yahan Aakhonse Ojhal Kya Hua,

Hai Zameen Odhe Hue Girdogubaar,
Aasman Pe Chand Hai Nikla Hua,

Is Tarah Basti Hai Koi Bastiyan,
Raasta Sunsaan, Dil Ujda Hua,

Bun Raha Hoon Jane Kis Lamhon Ke Khwab,
Waqt Ki Dehleez Pe Baitha Hua,

Ek Taraf Hai Naam-O-Nasab,
Ek Taraf Taqdeer Ka Likha Hua,

Aane Wale Waqt Ki Aawaz Hoon,
Main Nahi Lamha Koi Guzra Hua,

Ye Bhi Mumkin Hai Udhar Koi Na Ho,
Aur Ho Bas Aaina Rakha Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #191 on: January 12, 2007, 07:52:46 PM »

Main Aur
Meri Tanhaai
Shab Bhar Baatein Karte Hain
Chaand, Sitaare, Raat Ho
Sab Meri Baatein Sunte Hain
Rote Hain, Hanstey Hain
Door Ufaq Par
Subah Ka Taara Jaise Hi Chamakta Hai
Aankh Mein Thehra Aakhri Aansoo
Chupke Se Beh Jaata Hai....!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #192 on: January 12, 2007, 07:54:35 PM »

Zyada Se Zyada Ye Hoga,
Dilki Dhadkan Tham Jayegi,
Log Hasenge Aur Kahenge,
Hum To Pehle Hi Kehte The,
Baraf Pighal Sakti Hai Lekin,
Bhadak Uthe Ye Namumkin Hai,
Chhodo Jo Bhi Kehte Haikehne Do Unko,
Aao Jaanam,
Aaj Wafa Ka Aakhri Naata Tod Ke Dekhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #193 on: January 14, 2007, 09:28:54 PM »

Hawa Jab Tez Chalti Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai,
Jab Patte Sarsaraate Hai,
Tumhara Zikr Hota Hai,

Kabhi Haule Se Shab Ko,
Mere Dil Mein Aakar Ke Dekho,
Hai Ke Mehfil Saji Hoti,
Tumhara Zikr Hota Hai,

Tumhein Kaise Bataun Kitni Chahat
Maine Ki Tumse,
Ke Jab Aansu Chhalakte Hai,
Tumhara Zikr Hota Hai,

Kabhi Chanda Ko Main Dekhoon,
Kabhi Taare Main Ginti Hoon,
Jab Chandni Muskurati Hai,
Tumhara Zikr Hota Hai,

Zamana Hai Bahut Zaalim
Kahin Ye Chhin Na Le Tumko,
Main Bas Khamosh Hoti Hoon
Aur
Tumhara Zikr Hota Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #194 on: January 14, 2007, 09:30:55 PM »

Juda Hona Hi Thehra To,
Gila Kaisa Shikayat Kya,
Juda Ho Jayein Chupke Se,
Na Tum Bolo Na Main Bolun,
Hamare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai,

Hawaon Mein Fizaon Mein,
Judayi Zaat Mein Bhar Lein,
Chalo Hum Is Tarah Kar Le
Kisi Sunsaan Raaste Ke Kisi Bhi Mod Par Dono,
Juda Ho Jayein Chupkese,
Na Tum Bolo Na Main Bolun,
Hamare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 03:50:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer