Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 117 118 119 120 [121] 122 123 124 125 ... 273
Print
Author  (Read 131633 times)
angel4u
Guest
«Reply #1800 on: August 11, 2007, 07:54:54 PM »

Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi NaQsh-E-Paa Ki Talash Hai,
Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,
Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,
Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,
Teri Justuju Hai Talash-E-HaQ,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,
Kahin BarQ Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1801 on: August 11, 2007, 07:56:27 PM »

Hum Udaas Rehte Hai,
Tum Na Ye Samajh Lena,
Hum Tum Hi Pe Marte Hai
Ye Udaas Baate Jo,
Dilko Dard Deti Hai,
In Udaas Lamhon Mein,
Anginat Se Aansu Hai,
Anginat Se Sapne Hai,
Kis Koo Main Kahoon Sathi,
Kaun Hai, Jo Apne Hai,
Raat Ki Khamoshi Mein,
Dard Badhta Jaata Hai,
Ek Chehra Aankhon Mein,
Jab Utarta Jaata Hai,
Aankh Ho Ya Dil Apna,
Baarishe To Hoti Hai,
Baarishon Ke Mausam Mei,
Log To Bikharte Hai,
Tum Na Ye Samajh Lena,
Hum Tum Hi Par Marte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1802 on: August 11, 2007, 07:57:27 PM »

Gehri Gehri Aankhon Wali,
Uljhi Uljhi Pagal Ladki,
Tu Ye Kiski Dhun Mein Aakhir,
Lambi Lambi Palkon Upar,
Mote Mote Aansu Lekar,
Sundar Komal Paroon Neeche,
Jalti Balti Dharti Par,
Qariya Qariya Bhaag Rahi Hai,
Kis Ki Khatir Jaag Rahi Hai,
Tujhko Ye Malum Nahi Kya,
Tujh Jaisi Na Jane Kitni,
Gehri Gehri Aankhon Wali,
Kaisi Kaisi Sundarta Ke Khazane Lekar Nikli,
Lekin Phir Bhi Us Raste Se,
Manzil Tak Pahuchne Wala,
Har Ek Saathi Jhutha Nikla,
Ek Ek Aasha Dushman Nikli,
Ek Ek Sapna Dhoka Nikla,
Sachha Har Ek Hadsa Nikla,

Dekho!
Tum Bhi Jaane Do Ab,
Nadani Ka Jitna Rasta,
Tumne Ab Tak Tay Kar Dala,
Us Raste Se Ghar Ki Manzil,
Ab Bhi Itni Door Nahi Hai,
Ab Bhi Wapis Jaa Sakti Ho,
Sab Kuch Wapis Paa Sakti Ho,
Ab Bhi Agar Tum
Nadani Ke Is Raste Se,
Ghar Ko Wapis Na Palti To,
Phir Ek Din Aisa Hoga,
Sundar Aankhein Mar Jayengi,
Palkein Khoon Se Bhar Jayengi,
Jaan Labon Par Aa Jayegi,
Tan Ke Sare Uljhe Pan Ko,
Ghor Musafar Kha Jayegi,
Us Din Phir Tum Chillaogi,
Lekin Kuch Haasil Na Hoga,
Saare Lams Ke Bhooke Saathi,
Pankh Lagake Udd Jayenge,
Tum Raaste Mein Reh Jaogi,
Rasta Bhi Wo Ke Jiske Pichhe,
Dar Ki Gehri Daldal Hogi,
Aage Gam Ka Jungle Hoga,
Sar Par Gehra Badal Hoga,
Us Dinke Aane Se Pehle,
Us Din Tak Jaane Se Pehle,
WaQt Mile To Dhalne Wale,
Har Lamhe Ki Zaat Pe Socho,
Duniya Ki Bareek Nazar Se,
Duniya Ki Har Baat Pe Socho,
Jazbon Ki AuQaat Hi Kya Hai,

Wo Dekho...........
Ek Saaye Par Phir Weerane Mein Bijli Kadki,
Gehri Gehri Aankhon Wali,
Uljhi Uljhi Pagal Ladki...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1803 on: August 12, 2007, 08:07:02 PM »

Khwabon Ke Nagar Ko Kho Kar,
Ek Mohabbat Bhara Dil,
Hijr Ke Dard Mein Dibo Kar
Door Desh Ko Jaane Wala,
Wo Musafir.......
Ab Laut Bhi Aaye Agar,
To Mohabbat Ki Basti Mein,
Ajnabi Hi Rahega,
Jo Dard-E-Naarsayi,
Kisiko Baksh Gaya Tha,
Usi Dard Ko,
Ab Hum Bhi Sahenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1804 on: August 12, 2007, 08:08:10 PM »

Tanhayi Bichh Gayi Thi Raaston Ke Bich,
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich,

Wo Aakhri Wisl Tha Aur Shaam Thi Udaas,
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich,

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha,
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich,

Sochti Hoon Duwaon Ko, Khwabon Ko Kya Karein,
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich,

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-FiraQ,
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich,

Hum Tum Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye,
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich,

Aao Yahin Par Khatam Karein Sab Maamle,
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1805 on: August 12, 2007, 08:09:21 PM »

Kaise Bataun Kaise Guzara Maine Wo,
Din Tum Bin Kaise Bataun Kaise Guzara Maine,
Wo Pal Tum Bin Har Pal Mein Tumhari Yaadein,
Tumhari Justuju Thi, Ye Tumhari Ana Ki Ummid,
Thi Ye Socho Kaise Guzara Hoon Jiye Maine,
Wo Intezar Ki Ghadiyan Tum Bin Aaj Bhi,
Un Raaston Sa Jab Guzarta Hoon Main Tumbin,
To Wo Rasta Bhi Mujhse Kehta Hai Ke Kya,
Zindagi Ye Guzarunga Uske Bin Phir Main Unko,
Kehta Hoon Ke Ab Bhi Reh Raha Hoon Tumbin,
Ana Ki Ummid Hai Uski Wo Aaye Gaye Lekin Kya,
Karein Ye Maut Bhi Kehti Hai Ke Ab Chalo,
Khuda Ke Paas Ke Tum Zinda Nahi Reh Sakte,
Uske Bin Aaj Bhi Par Zinda Hoon Tum Bin Ana Ki,
Ummid Hai Tumhare Ke Tum Zaroor Aaoge,
Ek Din...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1806 on: August 12, 2007, 08:11:24 PM »

Dhund Chhayi Hui Hai Jheelo Par,
Aur Rahe Hai Parand Telo Par,
Sab Ka Rukh Hai Nashemo Ki Taraf,
Bastiyon Ki Taraf Dono Ki Taraf,
Apne Galo Ko Le Kar Charwahe,
Sarhade Bastiyon Mein Jaa Pahuche,
Dil Nakam! Main Kahan Jaun?
Ajnabi Shaam! Main Kahan Jaun???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1807 on: August 12, 2007, 08:13:17 PM »

Mere Zehen Mein Tere Chehre Ka NaQsh Banta Hai,
Dil Mein Ummidon Ka Ek Diya Bhi Jalta Hai,

Teri Baaton Se Ek Aisi Khushboo Aati Hai,
Ke Jaise Gulshan Ke Kisi Daali Par Phool Mehekta Hai,

To Kuch Yun Shamil Aye Zindagi Hua Hai Mujh Mein,
Jis Tara Sang Mere Mera Ye Saya Chalta Hai,

Aur Shayad Ye Teri Aankhon Ki Hi Kashish Hai,
Ke Khurram Dard Uska Meri Aankhonse Jhalakta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1808 on: August 12, 2007, 08:14:44 PM »

Woh Baarish Ki Khushboo,
Wo Thandi Hawa,
Lagti Hai Kami Sirf Ek Chiz Ki,
Ke Ho Tum Bhi Mere Sath,

Wo Bachhon Ki Tarah Muskurana,
Mujhe Pyaar Se Yun Bulana,
Yun Kar Dena Mujhe Na Deewana,
Mujhe Yun Na Satana,

Yaad Aati Hai Wo Baatein,
Wo Bheegi Bheegi Raatein,
Jab Tha Main Tanha,
Wahi Yaad Tha Jo Tumne Kaha,

Bhool Na Jana Mujhe,
Ke Main Gar Hoon Na Tumhare Sath,
Maut Kya Door Karegi Hamein,
Ke Khuda Ne Milaya Hamein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1809 on: August 12, 2007, 08:20:57 PM »

Utha Ke Haath Khuda Se Bas Maangi Yehi Dua,
Naseeb Ho Khushiyaan Tumhe Tum Khush Raho Sada,
Tumhe Rahat Mile, Tumhe Chahat Mile,
Tumhe Saare Jahan Ki Mohabbat Mile,
Jahan Main Sabse Ho Achhe Tumhare Naseeb,
Koi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Qaree,
Tumhare Dilki Har Aarzu Puri Khuda Kare,
Tumhare Chahne Walon Ko Kabhi Na Juda Kare,
Mil Jaye Tumko Mere Bhi Naseeb Ki Khushiyan,
Dua Hai Bas Tumhe Kabhi Gam Na Mile Yahan,
Allah Tumhari Zindagi Ko Chaar Chand Lagaye,
Kyon Ke Zindagi Se Badh Kar Aur Koi Shay Nahi,
"Zindagi" Hai To Sab Kuch Hai Na Ho To Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1810 on: August 12, 2007, 08:22:05 PM »

Aisa Kabhi Ho Sakta Nahi,
Toota Hua Sheesha Phir Joda Nahi Jata,
Aankh Se Nikla Hua Aansu Phir Wapas Nahi Aata,
Tum To Keh Ke Bhool Chuke Ho Sab Kuch,
Lekin Mujhse Wo Pal Bhulaye Nahi Jaate,
Teri Mohabbat Ne Zanjeerein Dali Hai Aisi,
Ke Chhodna Bhi Chahun To Chhudaya Nahi Jaata,
Mehfil Mein Bhi Mujhko Tanhayi Nazar Aati Hai,
Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaya Nahi Jaata,
Mere Dilki Deewaron Par Sifar Tera Hi Naam Likha Hai,
Mitana Bhi Chahun To Mitaya Nahi Jata,
Saans Rokn Se Pehle Ek Jhalak Dikha Jana,
Bewafa Zindagi Ka Aitbaar Kiya Nahi Jaata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1811 on: August 12, 2007, 08:23:36 PM »

Dua Hai Ke Is Saal Tujhe Sab Kuch Mil Jaye,
Dil Par Jo Laga Hai Tere Wo Zakhm Sil Jaye,

Tere Sehraon Mein Bhi Baharon Ka Daur Ho,
Ummidon Ki, Khwaab Ki Har Kali Khil Jaye,

Aankhein Na Rahein Ab Ke Saal AshQ Se Aashna,
FurQat Na Rahe Koi, Dard Ka Suraj Dhal Jaye,

Teri Tehreer Mein Sirf Lafz-E-Wisl Nazar Aye,
Gam-E-Tanhayi Mein Likhe Qaseede Tu Bhool Jaye,

Main Kuch Na Kar Saki Par Itna To Karungi,
Dua Hai Ke Is Saal Tujhe Sab Kuch Mil Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1812 on: August 12, 2007, 08:24:50 PM »

Fizaon Mein Phaili Kyon Phir Wo Manoos Ki Khushbu,
Dilko Gumaan Kyon Hai Wo Phir Se Milne Aayega,

Jisne Dil Mein Reh Kar Dil Ke Sau Tukde Kar Dale,
Ab Bhala Kyon Kar In Tukdonko Jodne Aayega,

Ye Bhi Nahi Ke Uske Bagair Jee Na Payenge Hum,
Lekin Bin Uske Saans Bhi Ek Pal Na Humko Aayega,

Wo Bhi Khush Nahi Hoga Aankh Se Tapke Honge Aansu,
Yaad Jab Usko Aati Hogi Chain Usko Bhi Na Aayega,

Pyara Sa Bandhan Tha Wo Dil Se Bandha Tha Wo Rishta,
Na Jaana Tha Dilka Rishta Khoon Ke Aansu Rulayega...
* * * * *
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1813 on: August 12, 2007, 08:46:08 PM »
Quote from: "angel4u"

Tanhayi Bichh Gayi Thi Raaston Ke Bich,
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich,

Wo Aakhri Wisl Tha Aur Shaam Thi Udaas,
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich,

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha,
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich,

Sochti Hoon Duwaon Ko, Khwabon Ko Kya Karein,
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich,

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-FiraQ,
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich,

Hum Tum Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye,
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich,

Aao Yahin Par Khatam Karein Sab Maamle,
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...

BAHUT KHOOB...BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE... =D>  =D>  =D>
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1814 on: August 13, 2007, 02:21:37 AM »
Lajawaab Angel...
Logged
Pages: 1 ... 117 118 119 120 [121] 122 123 124 125 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 05:48:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer