Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 118 119 120 121 [122] 123 124 125 126 ... 273
Print
Author  (Read 131631 times)
angel4u
Guest
«Reply #1815 on: August 13, 2007, 07:55:08 PM »
Thanks khwaish ji, par ye maine nahi likha hia,
actually is thread mein jo bhi poems hia meri collection mein se hai, creation nahi hai Usual Smile
thanks for liking Usual Smile

Thanks a lot Aryaan:)

Patjhad Ka Mausam Chala Bahar Aayi Hai,
Is Dilke Aangan Mein Nikhar Laayi Hai,

Qatra Qatra Moti Banke Chamakne Laga Hai,
Na Jaane Kaisi Ye Barsaat Aayi Hai,

Jaise Ho Koi Dilka Mehmaan Aane Wala,
Hawa Mein Kuch Aisi Mehek Aayi Hai,

Wo Jiski Yaad Se Chehra Chamakne Lage,
Meri Chudiyon Mein Uski Jhankar Aayi Hai,

Patjhad Ka Mausam Chala Bahar Aayi Hai,
Is Dilke Aangan Mein Nikhar Layi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1816 on: August 13, 2007, 07:56:15 PM »

Jab Mere Man-Mandir Mein Tune,
Apne Prem Deep Jalaye The,
Mat Puchho Ke Hum Kaise Kaise
Aur Kitne Ghabraye The,
Tujhse FaQt Yehi Kaha Tha,
Is Prem Deep Ki Lau Ko
Kabhi Na Bujhne Dena O Sajan,
Jis Baat Se Hum Darte The,
Aakhir Wohi Baat Hui,
Tum Humko Chhod Gaye Aakhir,
Aur Jeevan Andheri Raat Hui,
Yaad Kar Humne Tujhse Kitna Kaha Tha,
Hamare Dilko Na Tod Jaana O Sajan!
Dil Kaanch Ka Pyaala O Sajan!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1817 on: August 13, 2007, 07:57:37 PM »

Aansu Nahi Thamte Hai Aankhon Mein Abhi Tak,
Jaate Hue Rota Wo Mujhe Chhod Gaya Tha,

Armaano Ki Duniya Ke Anmol Se Sapne,
Pal Mein Wo Mere Samne Sab Tod Gaya,

Jaan Deta Tha Meri Har Baat Pe Lekin Yun Hi,
Besabab Duniya Se Mera Rukh Mod Gaya Tha,

Dinki Tanhayi Ka Gam, Raaton Ki Udaasi Humraah,
Saare Gamon Se Rishta Mera Jod Gaya,

Aye Kaash Koi Jaake Usse Puchhe,
Yahan Kiske Sahare Pe Mujhe Chhod Gaya Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1818 on: August 13, 2007, 07:59:07 PM »

Kis Tarah Rokta Hoon AshQon Ko,
Kis Tarh Dil Pe Jabar Karta Hoon,
Aaj Bhi Karzar-E-Hasti Mein,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka, Garcha,
Tu Rahi Muddaton Kareeb Mere,
Kuch Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha,
Kuch Khayalat The Ajeeb Mere,
Akhar-E-Kar Wo Ghadi Aayi,
Bar-War Ho Gaye RaQeeb Mere,
Tu Mujhe Chhod Kar Chali Bhi Gyai,
Khair........Kismat Meri, Naseeb Mere,
Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

Jo Zamana Teri Mohabbat Ka,
Ek Bhooli Kahani Hai,
Tere Kooche Mein Umar Bhar Na Gaye,
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hai,
Lazzat-E-Qurb Ho Ke Zamana-E-Firak,
Jo Bhi Hai Teri Meherbani Hai,
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha,
Kis Mohabbat Se Haar Maani Hai,
Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

AshQ Palkon Pe Aa Nahi Sakte,
Dil Mein Hai Teri Aabru Ab Bhi,
Tujhse Roshan Hai Qaaynat Meri,
Tere Jalwe Hai Chaar-Soo Ab Bhi,
Apne Gam Khan-E-Takheeol Mein,
Tujhse Hoti Hai Guftagu Ab Bhi,
Main To Mushkil Se Aah Bharta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1819 on: August 13, 2007, 08:00:15 PM »

Aao Ke Zindagi Mein Hum Phir Se Laut Jayein,
Sab Ranjishon Ko Aao Ek Baar Bhool Jayein,

Chand Roz Zindagi Mein Koi Kiska Hua Hai,
Aao Ke Phri Se Milkar Duniya Nayi Banaye,

Wo Sab Gile Shikwe Jo Tum Ko Rahe The Mujhse,
Aao Ke Phirse Milke Hum Unko Bhool Jayein,

Abhi Kuch Pal BaaQi Hai Mohabbat Ke Liye,
Ek Baar Phir Se Milke Hum Unko Jee Hi Jayein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1820 on: August 13, 2007, 08:02:39 PM »

Har Aahat Par Chonk Jaane Ki Aadat Nahi Rahi Mujh Mein,
Kisi Se Chahe Jaane Ki Chahat Nahi Rahi Mujh Mein,

Behti Thi Jin Aankhon Se AshQon Ki Nadiyan,
Ab Ek Aansu Aur Bahane Ki Himmat Nahi Rahi Mujh Mein,

Jalti Thi Aaftab Ki Tapish Bhi Jin Jazbaat Se,
Pehle Jaise Jazbaat Ki Hidat Nahi Rahi Mujh Mein,

Sameta Tha Jis Dil Mein Awazon Ka Toofan,
Ab Kisi Patte Ki Sarsarahat Bhi Nahi Rahi Mujh Mein,

Jiya Kaise Ghayal Kiya Aye Bewafa Tune,
Wo Pehle Si Ab Shokh Muskurahat Nahi Rahi Mujh Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1821 on: August 13, 2007, 08:07:20 PM »

Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai,
Dekhte Dekhte Kya Se Kya Ho Gayi Hai,

Jab Se Chhoda Hai Tune Mere Dilka Nagar,
Dhool Se Har Gali Aashna Ho Gayi Hai,

Sar Khushi Ki Kaifiyat Teri Rehti Thi Hardam,
Wo Bhi Humse Na Jaane Kahan Kho Gayi Hai,

Tu Jo Rootha Hai Mujhse To Ye To Bata,
Meri Kya Thi Khata Jo Saza Ho Gayi Hai,

Mere Lafzon Ki TaQat Na Tere Lehje Ki Chahat,
Lagta Hai Har Sada Be-Sada Ho Gayi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1822 on: August 14, 2007, 08:01:47 PM »
Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadbir Kaun,
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun,

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le,
Kar Raha Hai Mere Fard-E-Jurm Ki Tehreer Kaun,

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai,
Aaj Mera Naam Leta Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwaabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun,

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Wapas Aayi Thi,
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taamir Kaun,

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir,
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai Daaman-Geer Kaun,

Meri Chadar To Chhini Thi Shaam Ki Tanhayi Ne,
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashahir Kaun,

Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Aazad Hai,
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1823 on: August 14, 2007, 08:05:39 PM »

Usne Ek Shaam Mere Naam Ki Thi,
Maine Us Shaam Apni Zindagani Di Thi,

Usse Jeet Jaana Mere Bas Mein Na Tha,
Aur Mera Haarna Mera MuQaddar Tha,

Wo Apne Andar Ki Aag Bujhata Gaya,
Main Apne Hi Andar Jalte Gaya,

Bas Us Shaam Ko Main Bhula Na Saka,
Kyonke Us Shaam Mujhe Mila Tha Koi,

Jo Raat Ke Andhere Mein Kho Gaya Kahin,
Jise Dhundna Mere Hisab Mein Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1824 on: August 14, 2007, 08:21:06 PM »

Jo Dilko Dega Ek Dard Umar Bhar Ke Liye,
Tadap Raha Hoon Abhi Tak Usi Nazar Ke Liye,

Meri Nazar Ka Hai MaQsad Teri Jamal Ki Deed,
Tujhe Jamal Mila Hai Meri Nazar Ke Liye,

Hum Bawafa The Is Liye Nazron Se Gir Gaye,
Shayad Tumhari Talash Kisi Bewafa Ki Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1825 on: August 14, 2007, 08:25:02 PM »

Tera Yun Sanwar Ke Aana Mere Dil,
Aur Dheeme Se Muskurana Mere Dil,

Mere Jism Se Rooh Ko Khich Leta Hai,
Tera Madhoo Aankhonse Mujhe Dekhna Mere Dil,

Main Un Aankhon Ki Tareef Kaise Likhun,
Muddaton Sochna Padega Mujhe Mere Dil,

Ek Hasrat Thi Uska Hath Chumne Ki,
Kar Dala Us Butt Ko Bhi Usne Nishana Mere Dil,

Main Kahin Bhi Chala Jaun Agar,
Mere Mehboob Ke Paas Rahega Mera Dil...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1826 on: August 14, 2007, 08:27:09 PM »

Dil Zakham Zakham Hai To Aankhein Bhi AshQ-Baar Hai,
Kitna Fareb Khaye Mohabbat-O-Pyaar Mein Aadmi,

Aankhein Dasht Dasht Hai Dil Bhi Dukha Hua,
Guzra Tha Aaj Wo Bhi Hamein Dekhta Hua,

Honthon Pe Muskurahat Aankhon Mein Hai Nami Si,
Wo Samne Hai Phir Bhi Hai Kuch Kami Si,

Tum Munhse Na Bolo Aankhein To Batati Hai,
Kya Jee Mein Tumhare Hai Hum Khoob Samajte Hai,

Aankhein Hazar Sabar Ki Koshish Ke Bawajood,
Ruk Ruk Ke Baar Baar Barasti Hai Aaj Bhi,

Khush Aankhon Ki Lakeerein Pe Pata Deti Hai,
Karwan-E-Gam Ka Isi Raah Se Guzar Hoga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1827 on: August 14, 2007, 08:29:27 PM »

Kuch To Duniya Ki Inayat Ne Dil Tod Diya,
Aur Kuch Talkhi-E-Halaat Ne Dil Tod Diya,

Hum To Samjhe The Ke Barsat Mein Barsegi Sharab,
Aayi Barsaat To Barsaat Ne Dil Tod Diya,

Dil To Rota Rahe Aur Aankh Se Aansu Na Bahe,
IshQ Ki Aisi Rawayat Ne Dil Tod Diya,

Wo Mere Hai Mujhe Mil Jayenge Aa Jayenge,
Aise Bekaar Khayalaat Ne Dil Tod Diya,

Aapko Pyaar Hai Mujhse Ke Nahi Hai Mujhse,
Jaane Kyon Aise Sawalaat Ne Dil Tod Diya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1828 on: August 14, 2007, 08:38:24 PM »

Dil Behelta Hai Kaha Anjaam-O-Mehtaab Se Bhi,
Ab To Hum Log Gaye Deeda-E-Khwaab Se Bhi,

Ro Pada Hoon To Koi Baat Hi Aisi Hogi,
Main Ke Wakif Tha Tere Hijr Ki Aadab Se,

Kuch To Us Aankh Ka Shewa Hai Khafa Ho Jana,
Aur Kuch Bhool Hui Hai Dil-E-Betaab Se Bhi,

Aye Samundar Ki Hawa Tera Karam Bhi Malum,
Pyaas Sahil Ki To Bujhti Nahi Sailaab Se Bhi,

Kuch To Is Husn Ko Jaane Hai Zamana Saara,
Aur Kuch Baat Chali Hai Mere Ehbaab Se Bhi...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1829 on: August 15, 2007, 02:17:52 PM »
wah kaya baat hai Angle ji... very good collection!!!
Logged
Pages: 1 ... 118 119 120 121 [122] 123 124 125 126 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 05:32:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer