Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 119 120 121 122 [123] 124 125 126 127 ... 273
Print
Author  (Read 131642 times)
angel4u
Guest
«Reply #1830 on: August 15, 2007, 06:14:32 PM »
Thanks pooja didi Usual Smile

Dil Chah Raha Hai Aaj Ke Janab Likhein,
Hum Inki Adaon Par Ek Kitaab Likhein,
Aaj Likhenge Ise Aur Ab Kahenge,
Magar Pehle Ise Adaab Likhenge,

Jab ZiQr Chhedenge Inki Aankhon Ka,
To In Aankhonko Sharab Likhenge,
Aayegi Baat Jab Inke Galon Ki,
To Inke Gulabi Galon Ko Gulaab Likhenge,

Jab Karenge Baat Inke Honthon Ka,
To Abke Satar Nahi Pura Baab Likhenge,

Is Mein Likhenge Hum Apna Haal-E-Dil,
Aur Jab Bhi Likhenge Hum To Betaab Likhenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1831 on: August 15, 2007, 06:17:01 PM »

IshQ Mein Jaane Kaise Dil Deewana Hogaya,
Mera Hoke Mujhse Hi Anjana Hogaya,

Lipatne Ko Bekarar Jalti Shama Ke Seene Se,
Bhool Ke Dil Anjaam Ko Parwana Hogaya,

Rehta Tha Sab Se Door Tanhayi Thi Pasand,
Udke Aanchal Ulfat Ka Afsana Hogaya,

Koi Mehfil Jachi Nahi Koi Mela Haseen Nahi,
Dil Mein Basaya Pyaar Jahan Begana Hogaya,

Nazuk Kali Si Thi Kal Tak Meri Nazar,
Ab To Sara Badan Hi AashiQana Hogaya,

Khulte Nahi The Lab Lagta Tha Sil Gaye,
Bas Apna Use Batana Mera Muskurana Hogaya,

Sehra Thi Zindagi Warna Tha Saman,
Mausam Badal Gaya Chaman Aashiyana Hogaya,

Udta Phire Hai Dil Rukta Nahi Kahin,
Har Soo Mera Safar Bhi Aazadana Hogaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1832 on: August 15, 2007, 06:20:20 PM »

Dil Hai Ke Manta Nahi,
Ke Jab Tumhe Izhaar Karne Lagta Hoon
To Najane Yon Mujhe Tumhari Aankhon Mein,
Kisi Aur Ke Liye Pyaar Nazar Aata Hai,
Ye Mera Wahem Hai Ya WaQayi Tum Kisi Aur Se Pyaar Karti Ho,
Ye Soch Kar Sochta Hoon Ke Izhaar Karun Ya Na Karun
Ke Kahin Tum Inkaar Na Karo,
Ye Sochta Hoon To
Dil Hai Ke Maanta Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1833 on: August 15, 2007, 06:22:34 PM »

Dil Jalon Se Dil Jalon Ka Rabta Achha Laga,
Jo Ghadi Mil Baithne Ka Silsila Achha Laga,

Koi Khoobi To Na Thi Mujhme Ke Chaha Jaun Main,
Phir Na Jaane Kyon Use Chehra Mera Achha Laga,

Raat Saari Jagne Ke Baad Mujhko Suab Dam,
Neem Baaz Aankhon Se Uska Dekhna Achha Laga,

Sar Mere Seene Par Rakh Kar Usne Sharmate Hue,
Saath Jeene Marne Ka Waada Kiya Achha Laga,

Apne Chehre Pe Jo Dekhe Unke Honthon Ke NaQsh, Muddaton Ke Baad Mujhe Aayina Achha Laga,

Umar Bhar Jage Magar Rehan Us Shab Ki Kasam,
Saath Unko Bhi Jaga Kar Jaagna Achha Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1834 on: August 15, 2007, 06:26:12 PM »

Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya,

Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai Sanam Pehra Tera,

Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai,
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai,

Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera,

Pyaar Mein Hum Sanam Ye Sara Jag Bhula Denge,
Mar Ke Waade Chahaton Ke Hum Nibha Denge,

Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera,
Chaand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1835 on: August 15, 2007, 06:32:23 PM »

Jo Bhi Dilke Kareeb Hota Hai,
Ek Naya Zakham Deke Jaata Hai,

Jab Ke Milti Nahi Khushi Mein Khushi,
Phir Kyon Har Gam Mujhe Rulata Hai,

Jo Tha Sab Kuch Luta Baithe Hai,
Aur Ab Kya Wo Humse Chahta Hai,

Ab Bhi Age Ki Sochne Baithun,
Mera Maazi Mujhe Bulata Hai,

De De Thodi Si Mohabbat Mujhko,
Is Mein Aakhir Kya Uska Jaata Hai,

Pyar Hota Nahi Sada Ke Liye,
Phool Kaisa Bhi Ho Murjha Jata Hai,

Ke Mohababt Hai Ya Koi Ehsaan,
Jab Bhi Milta Hai Wo Jataata Hai,

Main Na Chahte Hue Bhi Chahun Use,
Kya Kya Kambakht Dil Karaata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1836 on: August 15, 2007, 06:36:35 PM »

Dil Ka Armaan Thi,
Tu Meri Jaan Thi,
Tu Meri Zindagi,
Meri Pehchan Thi,
Tune Dil Tod Ke Barbaad Kiya,
Had Se Zyada Sanam Tujhse Pyaar Kiya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1837 on: August 15, 2007, 06:39:04 PM »

Jab Tum Hamare Dilke Dard Ko Na Samajh Sake,
Tumhare Samne Phir Hum Dukh Ka Izhaar Kya Karte,

Aankhon Mein Aansuon Ki Barf Si Jam Gayi,
Phir Ungliyon Par Hum Apne Dukh Ka Shumar Kya Karte,

Har Shakhs Ne Jinko Nafrat Di Har Pal,
Bhala Batao Wo Log Khudi Se Pyar Kya Karte,

Har Karz Hai Jab Apni Jaan Par Bujh Hua Thehra,
Tu Rakh Ke Kisi Ki Yaadon Ka Audhaar Kya Karte,

Bhanwar Ne Likh Diya Ho Jaan Ne Jinki Kismat Nemin,
Wo Log Phir Auter Ke Par Kya Karte,

Jinke Dukhon Mein Dilka Sukoon Hi Punhaan Thehra,
Nikal Kar Pair Apne Dilse Unka Khair Kya Karte,

Jab Yaadein Teri Mere Dilki Makeen Ho Gayi,
Suno.....Jana Phir Inse Hum Farar Kya Karte,

Tum Us Din Hi Aankhon Mein Bas Gayi,
Hum Isse Badh Kar Khudi Ko Tere Liye Bekarar Kya Karte,

Jaan Tum Kisi Aur Manzil Ke Musafir Hi Thehre,
To Rah Mein Ruk Kar Hum Tera Intezar Kya Karte,

Hum To Fareb De Kar Khushi Mein Kho Gaye,
Hum Apne Dilki Khushi Se Beraaz Kya Karte,

Sar Par Gamon Ki Dhoop Hai Bahut Kadi,
Aur Khudi Ko Phir La Kar Hum Saya Deewar Kya Karte,

Jis Mein Khasara Hai Hum MuQaddar Ho Thehra,
Tu Jana! Aisa Ghate Ka Karobar Hum Kya Karte,

Wo Dost Jo Humko Chhod Gaye Hai Sar-E-Raah,
Inko Zamane Ki Bhid Mein Pukar Kar Kya Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1838 on: August 15, 2007, 06:42:40 PM »

Dil Ka Darwaza Khol Kar Ek Din,
Maine Use Andar Bulaya Tha,
Aur Phir Band Kar Diya Tha Dar,
Dhire Dhire Guzar Gaye Mausam,
Ye Bhi Aata Raha Khayal Mujhe,
Lgo Wo Kitne Dilruba The Jo,
De Ke Dastak Chale Gaye Wapas,
Na Khula Dilka Darwaza Kisi Par,
Dhire Dhire Guzar Gaye Mausam,
Aaj Muddat Ke Baad Mujh Par Khula,
Wo Jo Mehmaan Tha Is Dil Mein,
Uske Dil Mein Basa Hai Koi Aur,
Wo Kisi Aur Ke Dil Mein Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1839 on: August 15, 2007, 08:02:12 PM »

Dilka Gam Dil Hi Jaane,
Kya Kahoon Main Kisise,
Maine Aansu Chhupaye,
In Labon Ki Hansi Se,
Dil Ne To Kuch Chaha Tha,
Aur Kuch Ho Gaya Hai,
Meri Aankhon Ka Sapna,
Ab Kahin Kho Gaya Hai,
Meri Aankhon Ki Nami,
Is Mein Hogi Na Kami,
Chhayi Chehre Pe Udasi,
Jisse IQraar Hua Tha,
Jhutha Wo Saathi,
Zakhm Kitne Diye Hai,
Hum Gine Bhi To Kaise,
Dilke Tukde Hue Hai,
Hum Chunein Bhi To Kaise,
Zakhm Mera Hara Hai,
Jheel Si Un Aakhon Mein,
Zeher Kitna Bhara Hai,
Bujh Gaye Sare Diye,
Apni Palkon Ke Tale,
Jisko Maine Pyaar Kiya Tha,
Wo Hai Harjayi,
Dil Mein Kaante Chubho Kar,
Usne Badli Hai Raahein,
Bewafa Ho Gayi Wo,
Dilse Uthti Hai Aahein,
Bikhre Bikhre Hai Armaan,
Saare Sapne Hai Jhuthe,
Kiya Jispe Bharosa,
Wohi Dhaage Hai Toote,
Zakhm Ye Kaise Sahoon,
Chup Bhi Kaise Rahun,
Ye Nahi Baat Sara Si...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1840 on: August 15, 2007, 08:08:06 PM »
Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gaya,
Jo Kuch Uske Paas Tha Wo Mujhe Daan Kar Gaya,
Bichhda Kuch Is Ada Se Ke Raat Hi Badal Gayi,
Ek Shakhs Saare Sheher Ko Veeran Kar Gaya,

Dilchasp WaQeya Hai Kal Ek Aziz Dost,
Apne Mufad Par Mujhe Qurbaan Kar Gaya,
Kitni Sudhar Gayi Hai Judayi Mein Zindagi,
Haan Wo Jafa Se Mujhpar To Ehsaan Kar Gaya,

Aamir Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jisko Jaan,
Wo Shakhs Aakhir Mujhe Bejaan Kar Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1841 on: August 15, 2007, 08:14:16 PM »

Humne Tumse
Tumne Humse
Kaise Nibhayi
Mohabbat
Sochna!!!!!
Tanha Baith Ke
Akele Mein
Aankh Band Karke
Keh!!!!
Main 'Bawafa Thi'
Ya!!!!!
Tum 'Bewafa Ho'...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1842 on: August 16, 2007, 07:23:23 PM »

Kuch Din Pehle Mohabbat Ko Mohabbat Samjha Humne,
Mohabbat Hui Mohabbat Ko Apna Samjha Humne,

Mohabbat Mein Is Qadar Madhosh Ho Gaye,
Iski Bewafayi Ko Wafa Samjha Humne,

Zakham Is Qadar Mohabbat Ne Diye,
In Zakhmon Ko Phool Samjha Humne,

Mohabbat Ki Chikh-O-Pukaar Is Qadar Thi,
Paase Ke Logonke Rone Ko Asna Samjha Humne,

Mohabbat Ki Shiddat Mein Aankhein Is Qadar Chandiya Gayi,
Har Chamakti Chiz Ko Sona Samjha Humne,

Deewana Is Qadar Mohabbat Ne Banaya Humko,
Apno Ko Begana Aur Unko Apna Samjha Humne,

Mohabbat Ki Yaadein Dil Par Kuch Yun NaQsh Kar Gaye,
Bhulane Ki Koshish Mein Khud Ko Hi Bhula Diya Humne...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1843 on: August 16, 2007, 07:24:46 PM »

Tum Kehti Ho Mujhe Phoolon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Phool Khilte Hai,
To Unhe Tehni Se Tod Daalti Ho,
Tum Kehti Ho Mujhe Barishon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Baarish Hoti Hai
Tum Chhupti Phirti Ho,
Tum Kehti Ho Mujhe Hawaon Se Pyaar Hai,
Magar Jab Hawa Chalti Hai,
To Khidkiyan Band Kar Leti Ho,
Phir Us WaQt
Main Khaufzada Sa Ho Jata Hoon,
Jab Tum..........Mujhse Kehti Ho
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1844 on: August 16, 2007, 07:25:46 PM »

Mohabbat Jhuth Lagti Hai Mujhe,
Ek Khokhla Jazba
Jise Izhaar Ki Har WaQt Khwahish Ho,
Kahe Jaaneki
Sunne Ki
Jise Har Pal Zaroorat Ho,
"Mujhe Tumse Mohabbat Hai"
Is Jumle Ko Sunne Ke Liye Bedar Hote Hai,
Ye Aisa Jhuth Hai Jiska Seher,
Sadiyon Se Tari Hai,
Magar Janaan,
Mohabbat Jab Kabhi Izhaar Ko Tarse,
Koi Tum Se Agar Keh De,
"Mujhe Tumse Mohabbat Hai",
To Uski Baat Mat Sunna

Mohabbat Rooh Se Phoote,
Mohabbat AQs Ban Jaye,
To Phir Tumko YaQeen Aaye,
Ke Maine Sach Kaha Tumse,
Mohabbat Rooh Ban Jaye,
To Phir Uska YaQeen Karna,
Warna Ek Jumla Koi Kitni Baar Dohraye,
Kahe Jaye,
Nahi Sunna,
Mohabbat Jhuth Hai Janaan,
Agar Izhaar Ki Isko Zaroorat Ho...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 119 120 121 122 [123] 124 125 126 127 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:33:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer