Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 120 121 122 123 [124] 125 126 127 128 ... 273
Print
Author  (Read 131637 times)
angel4u
Guest
«Reply #1845 on: August 16, 2007, 07:27:01 PM »

Zabt Karna Kabhi Zabt Mein Wehshat Karna,
Itna Aasan Bhi Nahi Tujhse MOHABBAT Karna,

Tujhse Kehne Ki Koi Baat Na Karna Tujhse,
Kunj-E-Tanhayi Mein Phir Khudko Malamat Karna,

Ek Bagoole Ki Tarah Dhundte Phirna Tumko,
Rubaru Ho To Shikwa Na Shikayat Karna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1846 on: August 16, 2007, 07:27:53 PM »

Wo Baat Sach Agar Hai Jo Farma Rahe Hai Aap,
Kyon Baar Baar Meri Kasam Kha Rahe Hai Aap,

Bina Soche Samjhe Aapko Apna Samajh Liya,
Pachhtana Mujhko Chahiye, Pachha Rahe Hai Aap,

Kya Chiz Hai Fareb Koi Sikhe Aapse,
Kashti Meri Bhanwar Mein Hai Chakra Rahe Hai Aap,

Kehte The Hum Karenge MuQabil Ka Samna,
Aayina Hath Mein Hai To Ghabra Rahe Hai Aap...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1847 on: August 16, 2007, 07:28:58 PM »

Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade,
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade,

Har Shaam Ye Sawal Mohabbat Se Kya Mila,
Har Shaam Ye Jawab Ke Har Shaam Ro Pade,

Raah-E-Wafa Mein Humko Khushi Ki Talash Thi,
Do Gaam Hi Cahle The Ke Har Gaam Ro Pade,

Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila,
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1848 on: August 16, 2007, 07:41:24 PM »

Kaisi Ye Mohabbat Ki Shuruwat Hui Hai,
Khud Mujhse Juda Aaj Meri Zaat Hui Hai,

Jaata Hai Usi Simt Meri Soch Ka Dhara,
Jis Shakhs Ke Hathon Se Mujhe Maat Hui Hai,

Phoolon Ki Mohabbat Ne Mujhe Din Ye Dikhaye,
Kaanton Ki Chubhan Shamil-E-Halat Hui Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1849 on: August 16, 2007, 07:43:03 PM »

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai,
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyon Hai,
Yehi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya Kyon Hai,
Yehi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyon Hai,

Ek Zara Haath Badha Do To Pakad Lein Daman,
Unke Seene Mein Sama Jaye Hamari Dhadkan,
Itni Qurbat Hai To Phir Faasla Itna Kyon Hai,

Tum Musarrat Ka Kaho Ya Ise Gam Ka Rishta,
Kehte Ho Pyaar Ka Risha Hai Janam Ka Rishta,
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyon Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1850 on: August 16, 2007, 07:44:30 PM »

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare,
Kisse Duniya Mein Koi Pyaar Kare,
Apna Saaya Bhi To Apna Dushman Hai,
Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare,

Dilke Zakhm Zubaan Par Laya Nahi Karte,
Hum Apni Aankhon Se Aansu Bahaya Nahi Karte,
Zakhm Dilke Kitne Hi Gehre Kyon Na Ho,
Hum Apne Honthon Se Muskurahat Hataya Nahi Karte...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1851 on: August 16, 2007, 07:45:59 PM »

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle,

Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Hai,
Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle,

Mera Pyaar Jal Raha Hai, Arey, Chaand Aaj Chhup Jaa,
Kabhi Pyaar Tha Hamein Bhi Teri Chandni Se Pehle,

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Yeh Ilm Hota,
Ke Hazaron Gam Milenge Mujhe Ek Khushi Se Pehle,

Ye Ajeeb Imtehaan Hai Ke Tumhi Ko Bolna Hai,
Mile Kab The Is Tarah Hum Tumhe Be-Dili Se Pehle,

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1852 on: August 17, 2007, 06:42:07 PM »

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do,
Tadapte Dilke Dard Ki Yun Dawa Na Do,

Duniya Ke Gam Saunp Kar Mujhe,
Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do,

Dikhla Kar Maikhane Ka Rasta Phir,
Aab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do,

Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein,
Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do,

Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein,
Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do,

Gunaah Jo Sarzad Hua Hai Mujhse,
Pal Pal Begunahi Ki Saza Na Do,

Badnaam Kar Ke Uski Galiyon Mein Ab,
Uske Aashiyaane Ka Tumhi Pata Na Do,

Mohabbat Karte Hai, Dikhana Nahi Jaante,
Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do,

Jala Rakha Hai Ummidion Ka Diya Sadiyon Se,
Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do,

Main Ek Na-Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon,
Mujhe Yun Safah-E-Hasti Se Mita Na Do,

Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool,
Nafrat Hi Sahi, TarQ-E-TalluQ Ki Magar Hawa Na Do,

Chheen Kar Mujhse Zindagi Meri,
Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...[/color
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1853 on: August 17, 2007, 06:42:43 PM »

Badla Na Apne Aapko Jo The Wahi Rahe,
Milte Rahe Sabhi Se Magar Ajnabi Rahe,

Duniya Na Jeet Pao To Haaro Na Khudko Tum,
Thodi Bahut To Zehen Mein Narazgi Rahe,

Apni Tarah Sabhi Ko Kisiki Talash Thi,
Hum Jiske Bhi Qareen Rahe Door Hi Rahe,

Guzro Jo Baag Se To Dua Mangte Chalo,
Jis Mein Khile Hai Phool Wo Daali Hari Rahe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1854 on: August 17, 2007, 06:43:44 PM »
Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hogi,
Ek Deewar Magar Beech Mein Hayail Hogi,

Uske Jalwon Ke Bahut Paas Main Hounga Lekin,
Wo Kisi Aur Ki TaQdeer Ka Haasil Hogi,

Surkh Kapdon Pe Saje Taar Na Honge Mere,
Uski Aankhon Mein Mere Pyaar Ki Jhilmil Hogi,

Jaate Jaate Wo Mujhe Pyaar Se Dekhegi Jab,
Rote Rote Wo Meri Rooh Mein Shaamil Hogi,

Mujhse Wo Door Bahut Door Chali Jayegi,
Ye Kahani Bhi Sar-E-Bazm Mukammal Hogi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1855 on: August 17, 2007, 06:50:30 PM »

Abhi Wo Dard BaaQi Hai,
Agarche WaQt Marham Hai,
Magar Kuch WaQt Lagta Hai,
Kisiko Bhool Jaane Mein,
Dubara Dil Basane Mein,
Abhi Kuch WaQt Lagna Hai,
Abhi Wo Dard BaaQi Hai,
Main Kaise Nayi Ulfat Mein,
Apni Zaat Ko Gum Kar Dun,
Ke Mere Jism-O-Wajdaan Mein,
Abhi Wo Fard BaaQi Hai,
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Par,
Nigaah-E-Sard BaaQi Hai,
Abhi To IshQ Ke Raston Ki,
Mujh Par Gard BaaQi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1856 on: August 17, 2007, 06:52:56 PM »

Koi Apna Nahi Banta,
Labon Pe Naam Rakhne Se,
Dilon Mein Yaad Rakhne Se,
Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan,
Kisike Naam Karne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Tamaam Umar Ki Khushiyan,
Mohabbat Ki Sabhi Ghadiyan,
Kisiko Daan Karne Se,
Ke Uspe Maan Karne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Wo Pehle Pyaar Ki Baatein,
RafaQat Ki Sabhi Raatein,
Wo Chahat Ki Sabhi Rasmein,
Mohabbat Ki Sabhi Kasmein,
Hamesha Yaad Rakhne Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Kisi Tanha Akeli Rehguzar Par,
Purane Se Kisi Budhe Shajar Par,
Patthar Se Koi Dil Banane Se,
Aur
Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajane Se,
Koi Apna Nahi Banta,
Ke Jab.........Aankhein Hi Mar Jayein,
To Phir Sapna Nahi Banta,
Ye Jeewan Daan Kar Jayein,
To Bhi Apna Nahi Banta,
Koi Apna Nahi Banta,
Koi Apna Nahi Banta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1857 on: August 17, 2007, 06:53:33 PM »
Na Jaane Kyon Dil Laga Lete Hai Log,
Khud Ko Yun Hi Saza Dete Hai Log,

Jab Koi Paas Ho To Qadar Nahi Karte,
Door Koi Chala Jaaey To Sada Dete Hai Log,

Jab Mil Jaye Safar Mein Naya Humsafar Koi,
Phir Kyon Purani RafaQat Ko Bhula Dete Hai Log,

Gam Bhi Dete Hai Aur Kehte Hai Bhool Jao,
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hai Log...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1858 on: August 17, 2007, 06:54:09 PM »

Yeh To Aaj Tumhari Bewafayi Ne
Tumhare Be-Atnayi Ne,
Mujhe Tanha Kar Diya,
Kirchi Kirchi Kar Diya,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun,
Aaj Ki Raat Kategi Kaise,
Kal Ka Din Katega Kaise,
Zindagi Meri Kategi Kaise,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun,
Wo Jo Tumhari Baatein,
Wo Jo Tumhare Irade,
Kahan Gaye Wo Waade,
Jo Tum Sab Bhool Chuke Ho,
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1859 on: August 17, 2007, 06:54:46 PM »

Tu Har Ek Baat Mein Has Deta Hai,
Aur Main Is Soch Mein Pad Jati Hoon,
Ye Teri Sada-O-Masoom Hansi,
Aankh Ki Bhool, Samaat Ka Fasoon,
Teri Aadat, Tera Andaaz Na Ho,
Tere Besakhta Hansne Ki Ada,
Teri Tanhayi Ki Awaz Na Ho...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 120 121 122 123 [124] 125 126 127 128 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:26:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer