Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 121 122 123 124 [125] 126 127 128 129 ... 273
Print
Author  (Read 131639 times)
angel4u
Guest
«Reply #1860 on: August 17, 2007, 06:55:22 PM »
Lagta Nahi Ab Dil Mera Is Zindagi Se,
Kaash Zindagi Se Chale Jao Ek Pal Ki Tarah,

Wo Yaad Aate Hai Jo Chale Gaye Yahan Se,
Mere Jaane Ke Baad Hamein Bhi Koi Yaad Kare,

Utha Lo Fayda Zindagi Se Phir Haath Nahi Aayegi,
Ye Ek Phool Hai Jo Na Jaane Kab Murjha Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1861 on: August 17, 2007, 06:56:02 PM »
Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Teri Mohabbat,
Tune Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,

Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,

Maine Jab Bhi Tujhse Baat Karna Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,

Main Teri Mohabbat Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,

Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri TaQdeer Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1862 on: August 17, 2007, 06:56:44 PM »

Main Tujhse Kuch Nahi Mangti, Bas.....
Kabhi Zindagi Ki Bheed Se Alag Hokar,
Kabhi Apne Kamre Mein Tanha Ro Ke,
Kabhi Baaton Hi Baaton Mein,
Kabhi Bedhyaani Mein,
Kabhi Ek Bekarari Se,
Kabhi Kisi Dilnasheen Lehje Ke Seher Mein,
Kabhi Kisi Sooraj Ko Dubte Dekh Kar,
Kabhi Akele Fursat Mein,
Kabhi Beinteha Masroofiyat Mein,
Kabhi Kisi Khat Ko Padh Kar,
Kabhi Aayine Mein Sanwar Kar,
Kabhi Chaandni Raaton Mein,
Kabhi Bhigti Hui Barsaton Mein,
Kabhi Doston Se Milte Hue,
Kabhi Sahil Pe Chalte Hue,
Kya Tumne Ye Socha,
Ke Kyon Tujhse Wabasta Har Yaad Ko Main Aise Sambhalti Hoon,
Jaise Apni Koi Sab Se Qeemti Chiz Ko Zamane Se Chhupa Kar Rakhe,
Taake Dilko Kabhi Un Yaadonse Gaafil Na Hone Dein,
Kabhi Kabhi Tum Sochte Honge,
Ke Kitni Pagal Ladki Hai,
Jo Mere Likhe Har Khat Ko Raaton Ko Uth Uth Kar Padhti Hai,
Jo Mujhse Suni Har Baat Ek MuQaddas Nishani Ki Tarah Mehfooz Rakhti

Hai,
Jo Har Us Din Ka Hisab Rakhti Hai Jab Wo Meri Awaz Sunti Hai,
Jo Har Us Lamhe Ko Zindagi Maanti Hai Jab Main Uske Paas Hota Hoon,
Jiske Saare Raste Meri Hi Manzil Ki Taraf Khatam Hote Hai,
Jiske Liye Zindagi Mere Hi Naam Mein Pewast Hokar Reh Gayi Hai,
Jo Meri Pasand Ko Aise Apnaati Hai Jaise Usne Hamesha Se Woh Chiz

Chahi Ho,
Jiska Wajood Har Lamha Dua Karta Hai Meri Khushi Ke Liye,
Lekin In Sab Baaton Ke Bawajood
Main Tujhse Kuch Nahi Maangti,
Na Meri Wafaon Ka Sila
Na Mere Likhi Kisi Bhi Khat Ka Jawab,
Na Meri Mohabbat Pe YaQeen,
Na Mere Kisi Bhi Pal Ka Hisaab,
Bas Chaho To Itna Karna,
Meri Tarah Bahtu Hi Bekarar Hoke,
Mujhe Apne Dil Ke Wo Saare Ehsaasaat Likh Dena,
Jo Tum Mere Liye Mehsoos Karte Ho,
Jo Sirf Mere Liye Hai,
Sirf Mere Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1863 on: August 17, 2007, 07:00:41 PM »

Woh Ek Samundar Komal Ladki,
Mujhko Bahtu Chahti Hai,
Pyaar Ki Meehte Meethe Nagme,
Mujhko Roz Sunati Thi,
Likh Kar Kaagaz Par Naam Mera,
Wo Seene Se Lagati Thi,
Wo Ek Samundar Komal Ladki,
Mujhko Bahut Chahti Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1864 on: August 17, 2007, 07:01:22 PM »
Zindagi Mein Meri Ye Ajab Mod Hai Aaya,
Wo Shakhs Bhi Kho Gaya Jise Tha Muddaton Mein Paaya,

Uska Masoom Sa Chehra Meri Nigahon Ko Bhaya,
Is Pasandgi Ne To IshQ Ka Hai Rog Lagwaya,

Kabhi Jo Hasne Hasane Ki Baat Karta Tha Mujhse,
Aaj Uski Naarazgi Ne Mujhe Betahasha Rulaya,

Wo Na Maana To Pal Mein Bikhar Jaungi Main,
Dil Hota Hai Wo Ghar Jo Ujda To Kisine Na Basaya,

Uski Udaasi Par Dilko Na Kyon Udaas Karun,
Jee Ne Mere Bhi To Hai Use Shiddat Se Chaha,

Is Qadar Aadat Ho Gayi Hai Mujhe Uski,
Kaano Mein Aahat Aati Hai, Nazar Aata Hai Deewar Par Saaya,

Khayalon Mein Tazaad Baato Mein Kafgi Agayi Hai,
Dar Lagta Hai Mann Ko Kahin Wo Ho Na Jaye Paraya,

Saamne Lab Uske Khamosh Ho Jate Hai Mere,
Warna Tasavvur Mein Tha Maine Use Khoob Manaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1865 on: August 17, 2007, 07:02:02 PM »

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Jo Tere Aane Ki Tarah Hai,
Apna Tujhe Banane Ki
Kuch Aisi Hi Ummid Hai,

Tujhe Kuch Batane Ki Ek Tadap Hai,
Ke Idhar Khushiyon Ki Baarat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Ke Mere Yaar Ki Amad Hai,
Ye Kaisa Alam Hai,
Ke Uske Aane Se Pehle,
Uske Kadmon Ki Aahat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Bas Yehi Labon Pe Geet Hai,
Ke Ye Raat Khushnaseeb Hai,

Jo Hue Darwaze Pe Dastak,
To Hone Lagi Tez Dilki Dhak Dhak,
Dil Ki Hui Ajab Halat,
Bekarari Ye Ajeeb Hai,

Jo Ghataye Humne Ye Fasle,
To Ladkhadaye Ye Kadam,
Ye Halat Kuch Ajeeb Hai,
Ye Raat Khushnaseeb Hai,

Jo Khola Yun Darwaza,
To Mila Ye Begham,
Ye Raat Badnaseeb Hai,
Ye Raat Badnaseeb Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1866 on: August 17, 2007, 07:02:44 PM »

Dekhiye Dilke Mazafaat Mein Rakhiye Humko,
Gahe Gahe To Mulakat Mein Rakhiye Humko,

Raas Aati Hai Yehi Suratein Haal Hamein,
Bas Isi Suratein Haal Mein Rakhiye Humko,

Hum FaQeeron Se Munasib Nahi Ye Khuwe Garaiz,
Kaam Aayenge Kabhi!Haath Mein Rakhiye Humko...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1867 on: August 17, 2007, 07:03:34 PM »

Aarzu Bahut Thi
Tumko Paane Ki
Bahtu Dhunda Tumhe Maine
Mandhairon Mein Roshniyon Mein,
Pahadon Mein Waadiyon Mei,
Sehra Ke Regzaron Mein,
Tanhaiyon Mein Insanon Mein,
Shumaar Hota Tha
Main Deewano Mein,
Ummid Thi Mujhe,
Ke Meri Koshish,
Ek Din Rang Layegi,
Aur Main Tumhe Is Duniya Ke
Jungle Se Chura Kar Le Jaunga
Lekin Jab Tum Mili
To Kya Hua
Ek Lafz Mein Hi
Barson Ka Bandha
Bandhan Tod Diya,
Na Tumhe Khayal Tha,
Meri Mohabbat Ki Inteha Ka,
Tod Diya Dil Mera
Tumahre Us Nishtarzada
Khanjar Ne Aur Main,
Kirchi Kirchi Ho Kar Bikhar Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1868 on: August 17, 2007, 07:04:34 PM »

IshQ Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Puchho Na Zindagi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Phoolon Ki Taazgi Hai Kya Chaand Ki Chaandni Hai Kya,
Rang Hai Roshni Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Meri Har Ek Soch Ki Hai Teri Zaat Tak Udaan,
Aur Meri Shayri Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Meri Shaam-E-Fikar Mein Hai Tere Pyaar Ki Mehek,
Phool Hai Kya Kali Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1869 on: August 17, 2007, 07:05:23 PM »

Is Dilki Khata Kya Thi Kyon Ise Tod Diya,
Ab Gam Bhi Meri Zindagi Hai Jo Tumne Milna Chhod Diya,
Kaise Bayan Karein Dilki Halat,
Bas Yun Samajh Lo Saansein To Chal Rahi Hai
Magar Maine Jeena Chhod Diya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1870 on: August 17, 2007, 07:06:40 PM »

Meri Zindagi Ek Masla Hai Tum Isse Nikal Jao,
Is Zindagi Se Keh Do Aye Zindagi Badal Jao,

Main Tumse Nafrat Karta Hoon Mere Kooche Se Nikal Jao,
Is Mohabbat Se Keh Do Aye Mohabbat Badal Jao,

Mera Dil Bahut Tadapta Hai Is Dilse Nikal Jao,
Is Dilse Keh Do Aye Dil Badal Jao,

Main Cheekh Cheekh Kar Karta Hoon Tum Lad Kar

Nikal Jao,
Is Muskaan Se Keh Do Aye Muskaan Badal Jao,

Main Dilko Kuch Samajhta Hoon Ise Tod Kar Nikal Jaun,
In Lafzon Se Keh Do Aye Alfaaz Badal Jao,

Main Izhaar-E-Mohabbat Chahta Hoon Mujhe Chhod Kar Nikal Jao,
In Jazbaat Se Keh Do Aye Jazbaat Badal Jao,

Kahin Main Kuch Keh Na Dun Tezi Se Nikal Jao,
In Lamhon Se Keh Do Aye Lamhaat Badal Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1871 on: August 17, 2007, 07:07:29 PM »

Bahut Chaha Ke Is Zakhm-E-Dilko,
Chhupa Lun Apne Seene Mein,
Par Kya Karun Bahut Dil Dukhta Hai,
Tanha Jeene Mein,
Ghadi Ghadi Teri Aahat Si Sunayi Deti Hai,
Yun Hi Kabhi Chalte Chalte,
Aur Phir Yun Hi Kabhi Kuch Kehte Kehte,
Tere Naam Munh Se Nikal Jaata Hai,
Main Kaise Tujhe Bhula Dun,
Ke Tasavvur Mein Mera Sar Tere Aanchal Mein Aa Jaata Hai,
Meri Aankhon Se Aansu Nikal Jaate Hai,
Main Kaise Kaun Ye Tumse,
Ke Kitni Takleef Hoti Hai,
Ek Teri Judayi Ka Dard Sehne Mein,
Bahut Chaha Hai Ke Is Zakhm-E-Dilko,
Chhupa Lun Apne Seene Mein,
Par Kya Karun Bahut Dil Dukhta Hai,
Tanha Jeene Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1872 on: August 17, 2007, 07:08:32 PM »

Main Tumhe Dil Mein Basa Lun Agar Bura Na Lage,
Main Tumhe Apna Bana Lun Agar Bura Na Lage,

Tum Hi Ho Chahat Meri Tum Hi Ho Manzil Meri,
Tumhe Dhadkan Mein Chhupa Lun Agar Bura Na Lage,

Shab-E-Tanhayi Mein Tera Intezar Karta Hoon,
Teri Neendon Ko Chura Lun Agar Bura Na Lage,

Tum Hi Khwahish Ho Tum Hi Khushi Ho Meri,
Tum Hi Se Tumko Chura Lun Agar Bura Na Lage...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1873 on: August 17, 2007, 07:09:34 PM »

Raat Mein Khayalon Mein Aati Ho Tum,
Kabhi Saamne Aakar Bhi Dekho,
Humse Baatein To Roz Karte Ho Tum,
Kabhi Hamari Taraf Muskurakar Bhi Dekho,
Hamari Nazar Bahut Kuch Keh Deti Hai,
Kabhi Hamein Nazron Se Samajh Kar To Dekho,
Humse Dosti Ka Rishta Hai Tumhara,
Kabhi Humse Dil Laga Kar To Dekho,

Hamari Baatone Tumhara Dil Kayi Baar Behlaya Hai,
Kabhi Apni Baaton Se Hamein Hansa Kar To Dekho,
Mujhse Milkar Anjaane Mein Dil Mein Basa Kar To Dekho,
Har Mushkil Raah Beaasan Ho Jayegi Bas,
Hum Par Ek Baar Aitbaar Karke To Dekho,
Hum Tumhe Zindagi Mein Har Khushi Denge,
Bas Ek Baar Humse Pyaar Karke To Dekho,

Tumhe Apnana Ke Liye Har Imtehaan Denge Hum,
Hamein Kabhi Aazma Kar To Dekho,
Tum Kehte Ho Ke Bahut Mushkil Hai Mujhe Apnana,
Ek Baar Hamein Apna Bana Kar To Dekho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1874 on: August 17, 2007, 07:10:28 PM »

Hum Jo Kehte Hai Wo Baat Khuda Lagti Hai,
Bas Yehi Baat Zamane Ko Buri Lagti Hai,

Chhut Na Jaye Kahin Chehre Se NaQabon Ka Hujoom,
Aaj Biphri Hui Kuch Tez Hawa Chalti Hai,

Taarne Wale Qayamat Ki Nazar Rakhte Hai,
Band Honthon Ki Kasam, Aankh Bahut Kuch Kehti Hai,

BurQ Girti Hai To Kehte Hai Jala Deti Hai,
Jalne Walon Ko Wo Kuch Aur Jala Deti Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 121 122 123 124 [125] 126 127 128 129 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:27:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer