Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 122 123 124 125 [126] 127 128 129 130 ... 273
Print
Author  (Read 133126 times)
angel4u
Guest
«Reply #1875 on: August 18, 2007, 08:14:03 PM »

Haath Mein Mere Agar Hota To Sham Se Pehle Raat Kar Deta,
Main Shaam Hone Se Pehle Hi Apne Dilke Ye Diye Bujha Deta,

Ek Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Mein Jalne Ke Liye,
Koi To Hota Jo Mere Is Jalte Diye Ko Bujha Deta,

Jala Kar Aag Chala Gaya Duniya Ke Kisi Kone Mein,
Wo Kidhar Gaya Koi To Is Dil Ko Bata Deta,

Jaane Wo Kis Haal Mein Ho Jaane Kis Khayal Mein,
Uski Khairiyat Ka Paigam Koi To Mujhe Suna Deta,

Is Dilko Hi Dusre Dilse Raah Hoti Hai,
Koi To Ye Baat Use Bata Deta,

Meri In Aankhon Mein Dukh Ke Badal Ban Gaye,
Koi To Hota Jo Inhe Barsa Deta,

Kal Shab Ujle Chehron Ki Mehfil Mein Wo Yaad Bahut Aayi,
Koi To Hota Jo Use Us Mehfil Mein Bula Leta,

Har Raat Kaati Uske Intezaar Mein Maine,
Ke Phir Naya Din Intezaar Ki Ghadiyan Badha Deta,

Sochta Hoon Nikal Padun Teri Talash-E-Safar Mein,
Par Koi To Hota Jo Meri Rehnumayi Kar Deta,

Main Shakal-O-Soorat Par Nahi Tere Kirdar Par Gaya Tha,
Gar Tera Kirdar Sahi Na Hota To Tujhe Salam Kar Deta,

Mujh Mein Itn Ajazba Hota Ke Koi Chiz Tere Naam Karta,
To Teri Khushi Ke Liye Apni Khushi Qurbaan Kar Deta,

Gar Hoti Tujh Mein Mere Zarra Bhar Mohabbat,
To Phir To Mujhe Apne Paas Bula Leta,

Aye Rehmat Uske Dil Mein Tere Liye Mohabbat Bahut Hai,
Gar Duniya Ka Gam Na Hota To Tujhe Sharik-E-Gam Bana Leta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1876 on: August 18, 2007, 08:15:18 PM »

Kabhi Dekho Na.....
Subah Adhkhuli Palkon Ko,
Bistar Ki Anginat Salwaton Ko,
Sone Ke Kitne Hi Bahano Ko,
Tumko Talashti Un Nazaron Ko.......

Kabhi Dekho Na.......

Dhule Bheege Baalon Ko,
Mehendi Se Saje Haathon Ko,
Kajal Se Bhare Un Naino Ko,
Surkh Reshan Un Honthon Ko,

Kabhi Dekho Na........

Bolti Khamoshiyon Ko,
Gunjti Sargoshiyon Ko,
Adhuri Muskurahaton Ko,
Bhar Aayi Un Aankhon Ko,

Kabhi Dekho Na........

Un Pighalti Raaton Ko,
Anginat TalluQaton Ko,
Kitni Hayazat Nazron Ko,
Un BebaaQ Afsano Ko,

Kabhi Dekho Na........

Jaane Kitne Khwabon Ko,
Dhadakti Hui Aahon Ko,
Tum Par Mitti Saanson Ko
Andekhi Munasib Manzilon Ko,

Kabhi Dekho Na...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1877 on: August 18, 2007, 08:17:23 PM »

Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi,
Neel Gagan Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi,

Rang-O-Nasl Ka Jhagda Kaisa, Kumba Ek Qabila Ek,
Tera Khoon Ka Laal Hai Rang, Waisa Hi Rang Mera Bhi,

Tera Mera Mazhab Kaisa, Pyaar Hi Sabka Mazhab Hai,
Ek Khuda Hai Tera Bhi Aur Tera Khuda Hai Mera Bhi,

Kaun Kisika Dost Hua, Jab Haath Mein Sabke Khanjar Ho,
Band Pitare Mein Rakhta Hai Apna Saanp Sapera Bhi,

Diar Hui Jab BurQ, Giri Thi, Ab Tak Wehshat Tari Hai,
Thak Kar Sooraj Dooblega To Chhayega Andhera Bhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1878 on: August 18, 2007, 08:19:30 PM »

Bekhudhi Le Gayi Kahan Humko,
Der Se Intezaar Hai Apna,

Rote Phirte Hai Sari Saari Raat,
Ab Yehi Rozgaar Hai Apna,

Deke Dil Hum Jo Ho Gaye Majboor,
Is Mein Kya Ikhtiyaar Hai Apna,

Kuchh Nahi Hum Misaal-E-UnQaa Leke,
Sheher Sheher Ishtehaar Hai Apna,

Jisko Tum Aasman Kehte Ho,
So Dilon Ka Gubaar Hai Apna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1879 on: August 18, 2007, 08:21:16 PM »

Zyada Se Zyada Ye Hoga,
Dilki Dhadkan Tham Jayegi,
Log Hasenge Aur Kahenge,
Hum To Pehle Hi Kehte The,
Barf Pighal Sakti Hai Lekin,
Bhadak Uthe Ye Namumkin Hai,
Chhodo Jo Bhi Kehte Ho Kehne Do Inko,
Aao Janaan,
Aaj Wafa Ka Aakhri Nata Tod Ke Dekhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1880 on: August 18, 2007, 08:22:32 PM »

Main MuQtal Mein Bhi Kismat Ka Sikandar Nikla,
Qura-E-Faal Meren Aam Ka Aksar Nikla,

Tha Jinhe Za'am Wo Darya Bhi Mujh Mein Doobe,
Main Ke Sehra Nazar Aata Tha Samundar Nikla,

Maine Us Jaan-E-Baharaan Ko Bahut Yaad Kiya,
Jab Koi Phool Meri Shaakh-E-Hunar Se Nikla,

Sheher Walon Ki Mohabbat Ka Main Qail Hoon Magar,
Maine Jis Haath Ko Chuma Wohi Khanjar Nikla...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1881 on: August 18, 2007, 08:23:30 PM »

Mere Bagair Bhi Tum Jeena Hansi Khushi Se,
Padta Hi FarQ Kya Hai Ek Shakhs Ki Kami Se,

Barbadiyon Mein Apni Bas Dosh Hai Hamara,
Tohmat Nahi Kisi Par, Shikwa Nahi Kisise,

Hai Saans Ab To Bhari, Jeena Bhi Ek Khwaari,
Yaa Rab Mujhe Utha Le, Hoon Tang Zindagi Se,

Ye Aayine Mein Jaane Hai Kaun Ab Dikhata,
Kyon Guftugu Karti Hoon Main Ek Ajnabi Se,

Deewangi Ki Mujh Par Tohmat Hai Jo Galat Hai,
Ruswa Hui Hoon Main To Apni Junoo-Gari Se,

Shagufta Baat Meri Pallo Mein Baand Lena,
Ummid Mat Lagana Ab Tum Kabhi Kisi Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1882 on: August 18, 2007, 08:24:31 PM »

Main Ab Gehre Gunjan Kheton Mein,
Ek Maangi Si Sabz Dandi Pe Chalne Laga Hoon,
Mujhe Kya Khabar
Raat Shabnam Giri,
Aur Kitni Giri Thi,
Magar Mere Jute Bahut Bhari Hokar,
Zameen Se Chipakne Lage Hai,
Aur Ek Chhap Mere AQab Mein,
Dabe Paanv Aane Lagi Hai,
Ek Asar Arbe Chehra Benaam Haiyat,
Mulayam Si Barik Malmal Mein Lipti Koi Doodhiya,
Jo Khaddar Ki Chadar Ki Khwahish Mein Nikli Hai,
Mera Badan Odhne Par Bazid Hai,
Magar Main To Itna Hi Bas Janta Hoon,
Is Mere Pichhe Yun Hi Chalte Aana Hai,
Sadiyon Par Aana Hai,
Badan Aur Saaye Ka Rasta Nibhana Hai,
Ek Udti Chidiya Se,
Ruk Kar Main Kehta Hoon,
Iske Bataye
Ke Kheton Ki Is Aakhri Had Par Jaakar,
Padhna Hai Mujhko
Padhna Hai Isko,
Badan Aur Saaye Ka Kirdaar
Aakhir To Ek Din Badalna Hai,
Phir Aisi Jaldi Bhi Kya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1883 on: August 18, 2007, 08:25:48 PM »
Tum Laut Ke Aaoge Humse Milne,
Roz Dilko Behlane Ki Aadat Ho Gayi,

Tere Waade Pe Kya Bharosa Kiya Humne,
Ke Shab Bhar Tera Intezar Karne Ki Aadat Ho Gayi,

Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskurate Ke,
Teri Judayi Mein Rone Ki Aadat Ho Gayi,

Kaafile Nikal Gaye Hamein Chhod Ke,
Ke Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Gayi,

Har Mod Par Mili Gam Ki Parchhaiyan,
Zindagi Se Samjhauta Karne Ki Aadat Ho Gayi,

Jaante The Ke Nahi Ho Sakte Kabhi Tum Hamare,
Phir Bhi Khuda Se Tujhe Maangne Ki Aadat Ho Gayi,

Paiman-E-Wafa Kya Hai Hamein Kya Malum,
Ke Bewafaon Se Dil Lagane Ki Ki Aadat Ho Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1884 on: August 18, 2007, 08:27:37 PM »

Woh Jiska Naam Bhi Liya Paheliyon Ki Ot Mein,
Nazar Pheri To Chhup Gayi Saheliyon Ki Ot Mein,

Wo Tere Ishtayk Ki Hazar Hela Saziyan,
Wo Mere Istarab Yaar Baliyon Ki Ot Mein,

Chalo Ke Hum Bhi Bujhe Bujhe Ghar Ka Marsiya Kahei,
Wo Chaand To Utar Gaya Haweliyon Ki Ot Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1885 on: August 18, 2007, 08:28:40 PM »

Koi Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi,
Jaise Dukh Samjhun Aur Tumse Kahun,
Bas Yunhi Chup Ho Jata Hoon,
Kisi Ujde Ghar Ki Mitti Par
Jab Shaam Dhale
Kisi Cheel Ko Sar Nayhwaraye Hue Pata Hoon,
Kho Jata Hoon,
Tum Puchhte Ho Koi Dukh To Nahi,
Main Ek Nazar Tumhe Dekhta Hoon,
Aur Kehta Hoon,
Koi Aisa Gehra Dukh Bhi Nahi,
Jise Dukh Samjhun,
Aur Tumse Kahoon,
Jab Dektha Hoon Aisa Manzar
Main Maazi Mein Kho Jata Hoon,
Bas Yunhi Chup Ho Jata Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1886 on: August 18, 2007, 08:29:37 PM »
my 16000th post... Usual Smile

Wo Aakhri Shaam Yaad Rakhna,
Teri Nigahon Se Jab
Main Apni Nigah
Chura Ke Palat Raha Tha,
To Tumne Kuch Bhi Nahi Kaha Tha Magar,
Hawa Mein..........
Nami Achanak Hi Badh Gayi Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1887 on: August 18, 2007, 08:30:19 PM »

Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,
Wo Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya Ke Main Haath Tak Na Hila Saka,

Mujhe Kya Khabar Ke Wo Kya Hua, Mujhe Kitna Gehra Khumaar Tha,
Main Khaa Tha Uske Hisaar Mein, Mere Ird Gird Gubaar Tha,
Yunhi Sochta Raha Der Tak Magar Usko Kuch Na Bata Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,

Na Hai Dushmani Kisi Dinse Ab, Na Hai Dosti Kisi Raat Se,
Hai Bacha Hi Kya Jo Wo Le Gaya Mujhe Cheen Kar Meri Zaat Se,
Ye Makaam Hi Tha Ajeeb Sa Ke Main Khudko Bhi Na Bacha Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dil Ki Baat Suna Saka,

Ye Bhi Thik Hai Wo Chala Gaya Mujhe Band Raste Mein Chhod Kar,
Ye Bhi Thik Hai Ke Na Aayega Kabhi Butt Ana Ka Wo Tod Kar,
Wo Juda Bhi Kaise Hua Ke Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka,
Na Main Paas Usko Bula Saka, Na Main Dilki Baat Suna Saka,

Wo Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya Ke Main Haath Tak Na Hila Saka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1888 on: August 19, 2007, 05:59:10 PM »
Dil Bhi Bujha Ho Shaam Ki Parchhaiyan Bhi Ho,
Mar Jaye Jo Aise Mein Tanhaiyan Bhi Ho,

Aankhon Ki Surkh Leher Hai Mauj-E-Supurdagi,
Ye Kya Zaroor Hai Ke Ab Angdaiyan Bhi Ho,

Har Husn-E-Sada Loh Na Dil Mein Utar Saka,
Kuch To Mazaj-E-Yaar Ki Gehraiyan Bhi Ho,

Duniya Ke Tazkare To Tabiyat Hi Le Bujhe,
Baat Uski Ho To Phir Sukhan Aaraiyan Bhi Ho,

Pehle Pehal Ka IshQ Abhi Yaad Hai Faraz,
Dil Khud Ye Chahta Tha Ke Ruswaiyan Bhi Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1889 on: August 19, 2007, 06:00:20 PM »

Main Nahi Khudke Liye, Hoon Main Zamane Ke Liye,
Khudko Zakham De De Kar Auron Ko Hasane Ke Liye,

Humne Kya Kya Na Kiya Tere Chale Jaane Ke Baad,
Tujhe Hi Yaad Kiya Tujhko Bhulane Ke Liye,

Ye Khiza Ye Andhere Ye Veeran Sa Safar,
Hum To Nikle The Kahin Aur Hi Jaane Ke Liye,

Aayina Dekh Ke Hairan Sa Hojata Hoon,
Khud Ko Hi Bhool Gaya Aapko Paane Ke Liye,

Yun RaQeebon Se Has Has Ke Kyon Milte Ho,
Teri Berukhi Hi Bahut Thi, Dilko Jalane Ke Liye,

Ye Jo Chhalakta Hai Aankhon Se Ise Pani Na Kaho,
Ye To Moti Hai Mere Pyar Ko Sajane Ke Liye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 122 123 124 125 [126] 127 128 129 130 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 10:05:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer