Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 124 125 126 127 [128] 129 130 131 132 ... 273
Print
Author  (Read 131650 times)
angel4u
Guest
«Reply #1905 on: August 20, 2007, 08:16:47 PM »

Tumne Haare Hue Juwari Ko Kabhi Dekha Hai,
Apne Aap Ko Ek Hi Daav Mein Hara Hua Juwari,
Wo Ek Daav Jiske Baad Haath Mein Kuch Na Rahe,
Bisaat-E-WaQt Ke Khanon Mein Chitt Wo Aisa Pade,
Ke Baat Banana Bhi Chahe To Baat Mein Kuch Na Rahe,
Jiska Afsana Har Zuban Pe Aam Ho Jaye,
Jiski TaQdeer Har Baar Nakaam Ho Jaye,
Jo Apni Zaat WaQt Ke Hisaab Mein Girvi Rakhe,
Khud Apni TaQdeer Ke Hathon Neelam Ho Jaye,
ShauQ-E-Tamasha Hai To Kisi Roz Mujhe Milne Aao,
Tumne Haare Hue Khiladi Ko Nahi Dekha Agar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1906 on: August 20, 2007, 08:19:10 PM »

Kahan Aake Rukne The Raaste,
Kahan Mod Tha Use Bhool Jaa,
Wo Jo Mil Aya Use Yaad Rakh,
Jo Nahi Mila Use Bhool Jaa,

Wo Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayi,
Dil Bekhabar Meri Baat Sun,
Use Bhool Jaa, Use Bhool Jaa,

Main To Gam Tha Tere Hi Dehaan Mein,
Teri Aas Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Saath Aa, Use Bhool Jaa,

Kisi Aankh Mein Nahi Hai AshQ-E-Gam,
Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ne Bhula Diya,
To Bhi Muskura, Use Bhool Ja,

Kahin Chaak-E-Jaan Ka Rafoo Nahi,
Kisi Asteen Pe Lahoo Nahi,
Ke Shahid-E-Raah-E-Malaal Ka,
Na Khoon Baha, Use Bhool Ja,

Kyon Ata Hua Hai Gubaar Mein,
Zindagi Ke Fashaar Mein,
Wo Jo Darj Tha Tere Bakhat Mein,
So Wo Gaya, Use Bhool Ja,

Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Na Hi Wo Khwaab Tere Khwab The,
Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye,
Tera Jaagna, Use Bhool Ja,

Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa,
Use Dekh, Uspe YaQeen Na Kar,
Nahi Mumkin Koi Bhi MustaQil,
Sir-E-Aayina, Use Bhool Jaa,

Jo Bisaat-E-Jaan Hi Ulat Gaya,
Wo Jo Raaste Se Hi Palat Gaya,
Use Rokne Se Hasil Kya,
Use Mat Bula, Use Bhool Ja,

To Ye Kis Liye Shab-E-Hijr Ke,
Use Har Sitare Mein Dekhna,
Wo Falak Jispe Mile The Hum,
Koi Aur Tha, Use Bhool Ja...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1907 on: August 20, 2007, 08:20:42 PM »
Khwaab Toot Jaate Hai,
Bhid Mein Zamane Ki, Haath Chhut Jaate Hai,
Dost Daar Lehjon Mein Silwatein Si Padti Hai,
Ek Zara Si Ranjish Se,
Shak Ki Zard Tehni Par Phool Badgumani Ke,
Is Tarahse Khilte Hai,
Zidnagi Se Pyaare Bhi Ajnabi Se Lagte Hai,
Gair Banke Milte Hai,
Umr Bhar Ki Chahat Ko, Asra Nahi Milta,
Maazrat Ke Lafzon Ki Roshni Nahi Milti,
Lazzat-E-Pazeerayi Phir Kabhi Nahi Milti,
Phool Rang Waadon Ki,
Manzilein Sukarti Hai,
Raah Mudne Lagti Hai,
Khwaab Toot Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1908 on: August 20, 2007, 08:22:15 PM »
Suno!!!
Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin,
WaQt Ka Samundar Bemeher Bahut Hai,
Wo Apni SaffaQ Maujon Se Kisiko Saf Bach Nahi Nikalne Deta Hai,
Kabhi Ret Hamare Kadmon Se Khich Leta Hai,
Kabhi Bhanwar Ki Gehrayi Mein Khich Leta Hai,
So Hum Bhi Darte Hai,
Kahin Koi Alood Gerdoon,
Na Daale Khak Aankhon Mein,
Kahin Koi Laher,
Na Lipte Paanv Se Khich Daale Bhanwar Mein,
Jao Is Intezar Ko Thoda Mukhtasir Kar Do,
Suno Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin...........
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1909 on: August 20, 2007, 08:23:34 PM »

Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum,
Har Baar Tumse Milke Bichhadta Raha Hoon Main,

Tum Kaun Ho Ye Khud Bhi Nahi Jaanti Ho Tum,
Main Kaun Hoon Ye Khud Bhi Nahi Janta Hoon Main,

Tum Mujhko Jaan Kar Hi Padi Ho Azaab Mein,
Aur Is Tarah Khud Apni Saza Ban Gaya Hoon Main,

Tum Jis Zameen Par Ho Main Uska Khuda Nahi,
Paas Sar Basar Aziyat-O-Aazar Hi Raho,

Bezaar Ho Gayi Ho Bahut Zindagi Se Tum,
Jab Bas Mein Kuch Nahi Hai To Bezaar Hi Raho,

Tum Ko Yahan Ke Saaya-O-Partoo Se Kya Garaz,
Tum Apne HaQ Mein Bich Ki Deewar Hi Raho,

Main Ibteda-E-IshQ Se Bemahar Hi Raha,
Tum Inteha-E-IshQ Ka Mayar Hi Raho,

Tum Khoon Thukti Ho Ye Sunkar Khushi Hui,
Is Rang Is Ada Mein Bhi Purkaar Hi Raho,

Maine Ye Kab Kaha Tah Mohabbat Mein Hai Nijaat,
Maine Ye Kab Kaha Tha Wafadar Hi Raho,

Apni Mata-E-Naz Luta Kar Mere Liye,
Bezaar-E-Iltafaat Mein Nadad Hi Raho,

Jab Main Tumhe Nishaat-E-Mohabbat Na De Saka,
Gam Mein Kabhi Sukoon-E-RafaQat Na De Saka,

Jab Mere Saare Chirag-E-Tamanna Hawa Ke Hai,
Jab Mere Khwaab Kisi Bewafa Ke Hai,

Phir Mujhko Chahne Ka Tumhe Koi HaQ Nahi,
Tanha Kar Jaane Ka Tumhe Koi HaQ Nahi...

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1910 on: August 20, 2007, 08:25:43 PM »

Jisko Dil Ne Apna Maan Liya,
Usko Dil Todne Ki Aadat Thi,

Hamein Dil Jodna Aata Tha,
Usko Tanz Karne Ki Aadat Thi,

Hamein Bardasht Karna Aata Tha,
Use Mazak Udane Ki Aadat Thi,

Hamein Sabar Karna Aata Tha,
Use Dusron Ki Khushiyon Ko
Gam Mein Badalne Ki Aadat Thi...

* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1911 on: August 20, 2007, 08:29:44 PM »
Wo Kaisa Shakhs Hai Ke Har Roz Saza Deta Hai,
Phir Hansata Hai Wo Itna Ke Sab Bhula Deta Hai,

Kabhi Jo Ro De To Mujhko Bhi Bhool Jaata Hai,
Aur Phir Bhool Kar Mujhko Bhi Rula Deta Hai,

Hamare Paas Na Aane Ki Kasam Kha Kar Wo,
"Aaja" Likha Hai Wo, Kagaz Pe Uda Deta Hai,

Usse Puchho Ke Bata Kisse Mohabbat Hai Tumhe,
Naam Sargoshi Mein Mera Hi Suna Deta Deta Hai,

Kabhi Kehta Hai Chalo Sath Hamesha Mere,
Chal Padun Saath To Rasta Hi Pher Deta Hai,

Khud Hi Kehta Hai Na Dohrao Purani Yaadein,
Main Na Dohraun To Phri Khud Hi Suna Deta Hai,

Khud Hi Likhta Hai Ke Jazbaat Mein Halchal Na Karo,


Aur Phir Khud Hi Nayi Aag Laga Deta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1912 on: August 20, 2007, 08:32:49 PM »

Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsaat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,

Kabhi Toofano Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Qadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,

Kabhi Har Pal Imtehaan Hai,
Kabhi Bin Maange Imaan Hai,
Kabhi Kuch Nahi Kabhi Sab Kuch Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1913 on: August 20, 2007, 08:35:54 PM »
Khoobsurat Hai Wo Lafz,
Jo Dusron Ko Samjha De,
Khoobsurat Hai Wo Muskurahat,
Jo Dusronke Chehron Par Bhi Muskan Saja De,
Khoobsurat Hai Wo Jazbaat,
Jo Kisika Ehsaas Karein,
Khoobsurat Hai Wo Baatein,
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhayein,
Khoobsurat Hai Wo Aansu,
Jo Kisi Ke Dard Ko
Mehsoos Karke Beh Jayein,
Khoobsurat Hai Wo Qadam,
Jo Kisi Ki Madad Ke Liye,
Aage Badhein,
Khoobsurat Hai Wo Insaan,
Jisko "KHUDA" Ne Ye
Khoobsurti Bakshi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1914 on: August 20, 2007, 08:38:51 PM »

Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe,
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe,

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon Ek Baar Bata Dijiye Mujhe,

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu,
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe,

Main Kya Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhe Kuch Khabar Nahi,
Hai Aap Kitne Door Sada Dijiye Mujhe,

Ke Maine Apne Zakhm Ki Tash'heer Jaa Baja,
Main Manta Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe,

Qaim To Ho Sake Koi Rishta Gohor Ke Sath,
Gehre Samundaron Mein Baha Dijiye Mujhe,

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasne Se Fayda,
Hai Teergi To Aag Laga Dijiye Mujhe,

Jalte Dino Mein Khud Paas-E-Deewar Baith Kar,
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe,

Yun To Shola-E-Jaan Sard Ho Chuka,
Lekin Sulag Uthun To Hawa Dijiye Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1915 on: August 20, 2007, 08:40:05 PM »

Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Dil Mein Na Samaye,
Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Aarzu Na Ban Paye,
Par Itna Zaroor Kehna Hai,
Agar Samajh Sako,
Ke Dil Mein Kabhi Kisiko
Itni Jagah Na Do
Ke Dil Ke Liye Dhadakna Hi
Mushkil Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1916 on: August 21, 2007, 05:45:29 PM »

Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Dil Mein Na Samaye,
Main Ye Nahi Kehta,
Ke Koi Aarzu Na Ban Paye,
Par Itna Zaroor Kehna Hai,
Agar Samajh Sako,
Ke Dil Mein Kabhi Kisiko
Itni Jagah Na Do
Ke Dil Ke Liye Dhadakna Hi
Mushkil Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1917 on: August 21, 2007, 05:54:12 PM »
Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara,
Wo To Koi Dariya Le Aaya Dariya Bhi Sailab Bhara,

Sochta Tha Gam Ko Gam Kaate Zeher Ka Zeher Bane Teriyaq,
Ab Dil Abla Abla Hai Aur Shisha Shisha Jaan Zeher,

Tum Aa Jate To Us Raat Ki Umar Bhi Lambi Ho Jaati,
Abhi Tha Deewaron Par Sabzah Abhi Tha Sehen Gulaab Bhara,

Jaane Hijr Ki Raat Ke Wasl Ki Raat Guzaar Ke Aaye,
Aankhein Neendon Neend Bhari Hai Jism Hai Khwabon Khwaab Bhara...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1918 on: August 21, 2007, 05:55:56 PM »
Aye Kaash
Kabhi Yeh Tum Samajh Sako Ke,
In Aankhon Mein Jo Roshni Hai,
Sirf Tumse Hai,
In Saanson Mein Jo Khushbu Hai,
Sirf Tumse Hai,
Is Dil Mein Jo Dhadkan Hai,
Sirf Tumse Hai,
Meri Jo Zindagi Hai,
Sirf Tumse Hai,
Aye Kaash,
Kabhi Ye Tum Samajh Sako...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1919 on: August 21, 2007, 05:57:58 PM »
Barson Purani Baat Hai Ye, Wo Kaun Tha Main Kaun Thi,
Usko Bhi Kahan Yaad Raha, Aur Main Bhi Sab Bhool Gayi,
Ek Pal Ke Hum Aashna, Ek Pal Ke Hum Ajnabee,

Wo Khwab To Reza Reza Hue, Palkon Pe Jo Aan Thehre The,
Wo Saheefe Bhi Hum Kho Chuke, Dil-E-Sada Pe Jo Utre The,
Haan Dard Ki Thandi Aahon Se, Ye Zindagi Hai Bheeg Chali,
Ek Pal Ke Hum Aashna, Ek Pal Ke Hum Ajnabee,

Haan Dil Ki Banjar Dharti Par, Jab Kyon Kar

Sathi Phool Khile,
Kab Talak Usko Royenge Aa Saare Gam Hum Bhool Chalein,
Neend Aankhon Mein Utri Aur Thak Kar Aakhir So Hi Gayi,
Ek Pal Ke Hum Aashna, Ek Pal Ke Hum Ajnabee,

Wo Paiman Kya Wo Wafayein Kya, Ab Uske Sheher Ko Aayein Kya,
Har Taraf To Gum Ho Hi Gaya, Lagein Bhi To Duwayein Kya,
Na Khatam Hue Ye Faasle, Aur Zindagi Tay Na Hui,
Ek Pal Ke Hum Aashna, Ek Pal Ke Hum Ajnabee...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 124 125 126 127 [128] 129 130 131 132 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 10:00:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer