Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 125 126 127 128 [129] 130 131 132 133 ... 273
Print
Author  (Read 133135 times)
angel4u
Guest
«Reply #1920 on: August 24, 2007, 05:56:26 PM »

Hum Dosti Ehsaas Wafa Bhool Gaye Hai,
Zinda To Hai Jeene Ki Ada Bhool Gaye Hai,

Khushbu Jo Lutate Hai Masalte Hai Usiko,
Eksaas Ka Badla Ye Milta Hai Kali Ko,
Ehsaas To Lete Hai Sila Bhool Gaye Hai,

Karte Hai Mohabbat Ka Aur Ehsaas Ka Sauda,
Matlab Ke Liye Karte Hai Imaan Ka Sauda,
Dar Maut Ka Aur Khauf-E-Khuda Bhool Gaye Hai,

Ab Mom Mein Dhalkar Koi Pathar Nahi Hota,
Ab Koi Bhi Qurbaan Kisi Par Nahi Hota,
Kyon Bhatke Hai Manzil Ka Pata Bhool Gaye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1921 on: August 24, 2007, 05:58:48 PM »

Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Kabhi Tu Mujhe Sar-E-Raah Mile,
Main Hazar Lamhon Ko Khich Kar,
Ye Jo Chalta WaQt Hai Baandh Dun,
Ye Jo Gardishein Hai Zameen Ki,
Usi Ek Lamhe Pe Ruki Raahein,
Main Taka Karun Tujhe Jazb Se,
Yunhi Pyar Se Yunhi IshQ Se,
Teri Har Hada Ko Samet Lun,
Main Hisaar-E-Jaan Mein Saja Rakhun,
Na Tu Keh Sake, Na Main Keh Sakun,
Tu Jo Paas Ho To Main Jee Sakun,
Tu Jo Door Ho To Na Jiya Karun,
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Mere Humsafar Dhadkano Ko Khich Kar,
Ye Jo Chalta Dil Hai Baandh Dun,
Ye Jo Silsile Hai Meri Saans Ke,
Teri Doori Mein Hi Haar Dun,
Tu Jo Paas Ho To Main Jee Sakun,
Tu Jo Door Ho Na Jiya Karun,
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar,
Mere Humsafar Tu Jo Na Mile...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1922 on: August 24, 2007, 06:00:55 PM »
Saawan Rutt Mein Khayal Ki Bauchhar,
Teri Sochon Ki Phowaar Mere,
Jism-O-Jaan Ki Pyaasi Dharti,
Har Taraf Phool Khilte Hai,
Jaise Baarish Mein Phir Dhulte Hai,
Jaise Saahil Se Lehre Milti Hai,
Jaise Subah Subah Kaliyan Khilti Hai,
Aise Neem-E-Sehur Mujhe Chhu Kar Guzarti Hai,
Jaise Baad-E-Baarish Ke Dhunk Utarti Hai,
Jaise Taza Gulab Khilte Hai,
Jaise Do Pyaase Saawan Milte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1923 on: August 24, 2007, 06:03:10 PM »

Ab Jab Hui Baarish,
Ye Bhi Ek Khayal Aaya,
Kyon Na Ek Badal Ko,
Raazdan Bana Lun Main,
Jo Bhi Mujhpe Guzri Hai,
Unko Sab Bata Dun Main,
Mujhe Tumse Kitna IshQ Hai,
Usko Sab Bata Dun Main,
Phir Tumhare Dil Pe Wo,
Aaj Hi Baras Jaye,
Tere Udaas Se Chehre Par,
Phir Se Nikhaar Aa Jaye,
Chup Tanha Khamoshi Mein,
Phir Se Bahar Aa Jaye,
Baarish Ki In Boondon Se,
Tera Tan Badan Mehek Jaye,
Shabnam Ke Qatron Se,
Bheeni Si Khushbu Aaye,
Hawa Bhi Aanchal Sarka Ke,
Dhanak Ke Saat Rang Bikhra Ke,
Tujhko Mera Payam De,
Tere Haathon Ki LeQeeron Mein,
Bas Mera Naame Likha Jaye,
Chhu Kar Mera Ehaas Tujhko,
Baat Dilki Kar Jaye,
Sargoshi Tanhayi Mein,
Tumhein Yaad Sirf Meri Aaye,
Badal, Khushboo Aur Rangon Se,
Boondon Se Bhi Keh Dunga,
Tabish Ko Tum Se IshQ Hai,
Tabish Ko Tumse IshQ Hai,
Ab Jab Kabhi Bhi Baarish Ho,
Tumhe Tabish Ka Hi Khayal Aaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1924 on: August 24, 2007, 06:04:54 PM »

Yun Teri Nigahon Se Gila Kuch Bhi Nahi Tha,
Is Dil Ne To Bekaar Yun Hi Baithe Bithaye,
Veerani-E-Lamhaat Ko Behlane Ki Khatir,
Afsane Ghade Baatein Bana Li Thi Hazaron,
Ye IshQ Ka Afsana Jo Phir Chheda Hai Tune,
Bekaar Hai Ab WaQt Kahan Usko Sunu Main,
Tab Tumko Faraagat Na Thi Ab Mujhko Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1925 on: August 24, 2007, 06:08:35 PM »

Ye RaunaQein Ye Log Ye Ghar Chhod Jaunga,
Ek Din Main Roshni Ka Nagar Chhod Jaunga,

Marne Se Pehle Meri Awaz Mat Chura,
Main Apni Jaaydaad Idhar Chhod Jaunga,

Qaatil Mera Nishaan Mitane Pe Hai Baazidd,
Main Bhi Sinaa'n Ki NoQ Pe Sir Chhod Jaunga,

Tune Mujhe Chirag Samjah Kar Bujha Diya,
Lekin Tere Liye Main Sheher Chhod Jaunga,

Aayinda Nasal Mujhko Padhegi Gazal Gazal,
Main Harf Harf Apna Hunar Chhod Jaunga,

Tum Apne A'ablo'on Ko Bachate Ho Kis Liye?
Main Safar Mein Rakht-E-Safar Chhod Jaunga,

Main Apne Doobne Ki Alaamat Ke Toor Par,
Dariya Mein Ek Aadh Bhanwar Chhod Jaunga,

Lashkar Karayenge Meri Dalayri Pe Tabsare,
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chhod Jaunga,

Mohsin Mein Uske Zakhm Khareedunga Ek Din,
Aur Uske Paas Laal-O-Gohar Chhod Jaunga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1926 on: August 24, 2007, 06:10:32 PM »

Beniyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,

Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,

KhalQ Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum To Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,

Ab Mere Waaste TariyaQ Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aru Pujaari Ka Khuda Ho Jana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1927 on: August 24, 2007, 06:13:18 PM »
Chhede Maine Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Kisse,
Gahe Gul-O-Bul Ki Hikaayat Ko Nikhara,
Gahe Kisi Shehzade Ke Afsane Sunaye,
Gahe Kya Duniya-E-Paristaan Ka Nazara,
Main Khoya Raha Jin-O-Malaik Ke Jahan Mein,
Har Lehja Agarche Mujhe Aadam Ne Pukara,

Barson Yun Hi Dil Jamii-E-Aurang Ki Khatir,
Sau Phol Khilye Kabhi Sau Zakhm Kharide,
Main Likhta Raha Hijv Bagawat Manshoon Ki,
Main Padhta Raha Qasr Nashino Ke Qaseede,
Ubhra Bhi Agar Dil Mein Koi Jazba-E-Sar Kash,
Is Khauf Se Chup Tha Ke Koi Honth Na See De,

Lekin Ye Tilismaat Bhi Taa Der Na Reh Paaye,
Aakhir Mai-O-Minaa-O-Daf-O-Chand Bhi Toote,
Yun Dast-O-Garebeen Hua Insaan-O-Khudaband,
Nakhchir To Tadpe Qafas-E-Rang Bhi Toote,
Is Kashmakash-E-Zarra-O-Anjum Bhi Fiza Mein,
Kaash-Kol To Kya Afsar-O-Aurang Bhi Toote,

Main Dekh Raha Tha Mere Yaaron Ne Badhkar,
Qaatil Ko Pukara Kabhi MuQtal Ko Sada Di,
Gahe Rasn-O-Daar Ke Aagosh Mein Jhule,
Gahe Haram-O-Dair Ki Buniyaad Hila Di,
Jis Aagse Bharpoor Tha Maahaul Ka Seena,
Wo Aag Mere Lauh-O-Qalam Ko Bhi Pila Di,

Aur Aaj Shikasta Hua Har TauQ-E-Talaayi,
Ab Funn Mera Darbaar Ki Jaagir Nahi Hai,
Ab Mera Hunar Hai Mere Jamahur Ki Daulat,
Ab Mera Junoon Kaif-E-Tazir Nahi Hai,
Ab Dil Pe Jo Guzregi To Betok Kahunga,
Ab Mere Kalam Mein Koi Zanjeer Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1928 on: August 24, 2007, 06:16:44 PM »

Wo Bhi Kya WaQt Tha,
Jab Koi Hamari Qadar Karta Tha,
Hum Bhi Us Par Marte The,
Wo Bhi Hum Par Marta Tha,
Ab Na Jane Use Kya Hua,
Sab Rishte Naate Tod Gaya,
Yun Akela Hamein Chhod Gaya,
Par Dil Ko Ab Bhi Aas Hai,
Na Jaane Kyon Lagta Hai,
Wo Wapis Aayega,
Mujhse Milne Aayega,
Wo WaQt Na Jaane Kab Aayega,
Jab Wo Meri Khatir Aayega...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1929 on: August 24, 2007, 06:23:25 PM »

Aaj To Tanha Hai Wo Pardes Mein,
Zaroor Mujhko Usne Socha Hoga,

Khwabon Aur Khayalon Mein,
Mera Hi Chehra Tarasha Hoga,

Raah Chalte Jo Usko,
Mera Khayal Aaya Hoga,

Ek Nazar Ruk Ke Aasman Ne Chaand Ko Dekha Hoga,
Jab Saath The To Roz Hi Ladta Tha Mujhse,

Us Din Main Sau Baar Khud Pe Bigadta Hoga,
Mail Box Kholte Hi Naam Mera Dhundta Hoga,

Aur Na Paake Mujhe,
Aap Hi Aap Mujhse Roothta Hoga,

Zaroor Masroof Hoon Bahut Ya Koi Test Hai Mera,
Taweelein Ghur Ke Khud Hi Behalta Hoga,

Tanha Sard Raat Mein,
Yun Hi Sarak Pe Tehelte Hue,

Khayalon Hi Khayalon Mein,
Haath Usne Mera Thama Hoga,

Phir Kisi Pole Ke Niche Ruk Kar,
Aankhon Mein Mere Usne Jhanka Hoga,

Phir YaQeenan
Meri Aankhon Mein Doob Gaya Hoga,

Jabhi To Main Ab Aksar,
Aakhein Band Rakhti Hoon,

Ke Kahin Wo Bhi Mere Aansuo Ke Sath,
Beh Na Jaaye,

Kahin........

KHWAAB TOOT NA JAYE...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1930 on: August 24, 2007, 06:28:46 PM »

Tanha Raat Hai Aur Tanha Safar Bhi Hai,
Khamosh Tum Bhi Ho, Khamosh Hum Bhi Hai,

Tumhe Paane Ki Aarzu Mein,
Akele Tum Bhi Ho, Akele Hum Bhi Hai,

Neendon Ke Safar Par Jaane Se,
La TaloQ Tum Bhi Ho, La TaloQ Hum Bhi Hai,

Is Bhari Duniya Se
Bezaar Tum Bhi Ho, Bezaar Hum Bhi Hai,

Un Lafzon Ko Samajhneko,
Bekarar Tum Bhi Ho, Bekarar Hum Bhi Hai,

Mohabbat Ka "RUKH" Modne Mein,
Bakamal Tum Bhi Ho, Bakamal Hum Bhi Hai,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1931 on: August 24, 2007, 06:36:35 PM »

Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai,
Raat Khairat Ki SadQe Ki Seher Hoti Hai,

Saans Bhar Aane Ko Jeena Nahi Kehte Yaa Rab,
Dil Hi Dukhta Hai Na Ab Aasteen Tar Hoti Hai,

Jaise Jaagi Hui Aankhon Mein Chubhein Kanch Ke Khwab,
Raat Is Tara Deewanon Ki Basar Hoti Hai,

Gam Hi Dushman Hai Mera Gam Hi Ko Dil Dhundta Hai,
Ek Lamhe Ki Judayi Bhi Agar Hoti Hai,

Ek Markaz Ki Talash Ek Bhatakti Khushbu,
Kabhi Manzil Kabhi Tamheed-E-Safar Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1932 on: August 25, 2007, 05:29:19 PM »
Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai,
Kayi Dino Se Koi Khankar Koi Neza Koi Teer
Na Hua Mere MuQaddar,
Koi Bhool Koi Gaflat,
Koi Taza Jurm Mera,
Koi Na-Qubool Lehja Ke,
Zuban Ki Koi Lakant, Na Koi Sunane Aaya,
Na Koi Kahin Malamat, Na Lagi Koi Aadat,
Mere Zakhm Puchhte Hai,
Mere Dost Kyon Khafa Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1933 on: August 25, 2007, 05:31:00 PM »

Bahut Takhair Se Lekin,
Khula Hai Bhed Khud Par Bhi,
Ke Main Ab Tak
Mohabbat Jaan Kar Jis
Jazba Dayrinaa Ko Apne Lahoo Mein Sinchti Aayi,
Wo Jiski Saat-E-Sad Meherbaan Hai Zindagi Ki Sharti Thehri,
FaQt Ki Shaiba Hi Tha Mohabbat Ka,
Yunhi Aadat Thi Har Raaste Par Uske Sath Chalne Ki,
Wagarna TarQ-E-Khwahish Par,
Ye Dil Thoda Sa To Dukhta,
Zara Si Aankh Namm Hoti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1934 on: August 25, 2007, 05:32:40 PM »
Kahin Par Hai Gam Samati Hui,
Kahin Par Hai Khushiyan Banti Hui,
Kahin Par Pyaar Ke Geet Gungunati Hui,
Kabhi Par Hai Samundar Mein Dubti Hui,
Kabhi Par Hai Kisi Andekhe Sapno Ko Sajati Hui,
Kabhi Par Hai Ek Pyaase Banjar Zameen Bani Hui,
Kabhi Par Hai Tanhaiyon Ko Apne Sang Layi Hui,
Kabhi Par Hai Chand Sitaron Ki Khwahish Karti Hui,
Kahin Par Saaye Se Bhi Darti Hui,
Kahin Par Sajdon Mein Giri Hui,
Magar Aye Duniya Walon,
Ye Zindagi Bhi Phir Bewafa Hi Hai,
Ye Tanha Hai Aur Tanha Hi Rahegi...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 125 126 127 128 [129] 130 131 132 133 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:56:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer