Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 126 127 128 129 [130] 131 132 133 134 ... 273
Print
Author  (Read 131652 times)
angel4u
Guest
«Reply #1935 on: August 25, 2007, 05:35:12 PM »

Kabhi Hawa
Tere Aane Ka Pata Deti Hai,
Tu Kahan Se Guzri,
Teri Khushboo Bata Deti Hai,
Teri Ek Muskurahat
Mere Dil Mein
Kayi Deep Jala Deti Hai,
Teri Baatein,
Teri Shokh Baatein,
Aur Adayein,
Meri Deewangi Ko
Kuch Aur Hawa Deti Hai,
Ek Jaan Do Qalib Ki Soorat,
Ek Pal Ki Bhi
Judayi Ki Wo Tadap,
Kuch Pal Ki Narazgi,
Phir Manane Ki Lagan,
Wo Ek Dooje Ke Liye,
Zamane Se Takra Jaane Ka Junoon,
Phir.......WaQt Ki Aandhi Ne
Jazbon Pe
Kuch Aisi Dhool Dali,
Ke Aaj To
Sheher Hi Chhod Gayi,
Aur.......
"Mujhe Khabar Tak Na Hui"...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1936 on: August 25, 2007, 05:36:57 PM »
Dilki Siyaahiyon Mein Tujhe Dhundta Hua,
Palkon Pe Aa Ruka Hai Sitaron Ka Qaafila,

Khalwat Mein Muddaton Main Jise Pujta Raha,
Dekha Qareeb Se To Wo Ek Sang-E-Surkh Tha,

Kuch Is Tarah Sabaa Se Kahi Teri Dastan,
Har Phool Muskura Ke Mujhe Dekhne Laga,

Lao Kahin Se Dhundhke Yaadonki Roshni,
TaareeQ Ho Gaya Hai Mohabbat Ka Raasta,

Haan Meri Zindagi Ki Haraarat Inhi Se Hai,
Tutega Kis Tarah Teri Yaadon Ka Silsila,

Jaise Koi Chirag Andhere Mein Jal Uthe,
Dilke Qareeb Aake Koi Yun Theher Gaya,

Daaman Mein Aansuon Ke Sharare Liye Hue,
Aankhein Mana Rahi Hai Shab-E-Gam Ka Ratjaga,

Jisne Bade Khulus Se Thukra Diya Mujhe,
IQbal Sochta Hoon Ke Wo Shakhs Kaun Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1937 on: August 25, 2007, 05:38:17 PM »

Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai,
Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Hue Aansuon Ki Tarah,
Seene Mein Chhupa Ke Rakhte Hai,
Aur Saari Umr Nahi Rote,

Neendein Bhi Muhaiya Hoti Hai,
Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Kyon Phir Bhi Jagate Rehte Hai,
Kyon Saari Raat Nahi Sote,

Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa Kis Aag Mein Jalate Rehte Hai,
Kyon Bujh Ke Raakh Nahi Hote...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1938 on: August 25, 2007, 05:39:50 PM »

Guftugu Ke Lamhon Mein,
Dekh Hi Nahi Paate,
Hum Tumhare Chehre Ko,
Tum Hamari Aankhon Ko,
Aaj Aisa Karte Hai,
Chasm-O-Lab Ko Padhte Hai,
Baat Chhod Dete Hai,

Jaane Kya Lamha Hoga,
Jab Ye Haath Haathon Se,
Gar Kabhi Juda Hoga,
Aaj Aisa Karte Hai,
Zabt-E-Jaan Parakhte Hai,
Haath Chhod Dete Hai,

Kash Koi Samjha De,
Log Kis Tarah Dilki,
Manzilein Alag Kar Ke,
Sath Chhod Dete Hai,
Aaj Aisa Karte Hai,
Besabab Bikharte Hai,
Zaat Tod Dete Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1939 on: August 25, 2007, 05:41:10 PM »
Tumne Bhi Kaun Sa Chaha Tha Mujhe,
Meri Baatein Bhi Galat, Mere Irade Bhi Galat,
Bewafayi Ka Ye Khud Sakhta Bohtan Bhi Tasleem Mujhe,
Ye Bhi Maana Ke Gam Daher Jawan Tha Jo Gam Jawab Ko,
Meri Aankh Ke Aansu Na Mile,
Jab Zamano Ki Ye Bhi Meher Hawayein Meri Sochon Ko Jala Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Jab Gam Dahar Ki Palkein Teri Janib Meri Shiddat Ko Ghata Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Jab Kabhi Apni Jafayein Mujhe Khuda Apni Nigahon Mein Gira Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Tumne Bhi Kaunsa Chaha Tha Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1940 on: August 25, 2007, 05:43:25 PM »

Mere Ehsaas Ko Koi Naam Do,
Mere Roop Roop Ko Sanwar Do,
Chahe Nafraton Ki Bheed Do,
Chahe Mohabbaton Ki Mehkaar Do,
Wohi Zindagi, Wohi Taazgee,
Mere Ang Ang Utaar Do,
Meri Umar Bhar Ki Hai Iltija,
Mujhe Chahaton Se Nikhar Do,
Mere Humsafar, Mere Dilnasheen,
Sattrang Si Bahar Do,
Ban Kar Safeer Mohabbaton Ke,
Mujhko Tum Aitbaar Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1941 on: August 25, 2007, 05:45:37 PM »

Hawa Ki Bhi Marzi Ho,
MuQaddar Jo Bhi Kuch Chahe,
Zameen Par Chaar Soo,
Ranj-O-Alam Ki Baarishein Barsein,
Tumhare Lab Par Bikhre Sare Nagme,
Nohe Ban Jayein,
Safar Ki Dhool Ban Jayein,
Koi Taara Na Jugnu Ho,
Andhere Hi Andhere Ho,
Sabhi Sapne Bikhar Jayein,
Sabhi Lamhe Badal Jayein,
Meri Yaadon Se Ek Pal,
Kabhi Gaafil Nahi Hona,
Suno Pathar Nahi Hona...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1942 on: August 25, 2007, 05:48:59 PM »

Dushman Ko Bhi Seene Se Lagana Nahi Bhule,
Hum Apne Buzurgon Ka Zamana Nahi Bhule,

Tum Aankhon Ki Barsaat Bichhaye Hue Rakhna,
Kuch Log Abhi Aag Lagaana Nahi Bhule,

Ye Baat Alag, Haath Qalam Ho Gaye Apne,
Hum Aapki Tasveer Banana Nahi Bhule,

Ek Umr Hui Main To Hansi Bhul Chuka Hoon,
Tum Ab Bhi Mere Dilko Dukhana Nahi Bhule...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1943 on: August 25, 2007, 05:51:31 PM »

FalaQ Pe Chaand Ke Hale Bhi Sog Karte Hai,
Jo Tu Nahi To Ujale Bhi Sog Karte Hai,

Tumhare Haath Ki Chudi Bhi Bayan Karti Hai,
Hamare Honth Ke Taale Bhi Sog Karte Hai,

Nagar Nagar Mein Wo Bikhre Hai Zulm Ke Manzar,
Hamari Rooh Ke Chhale Bhi Sog Karte Hai,

Use Kaho Ke Sitam Mein Kami Kar De,
Ke Zulm Todne Wale Bhi Sog Karte Hai,

Tum Apne Dukh Pe Akele Nahi Ho Afsarda,
Tumhare Chahne Wale Bhi Sog Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1944 on: August 25, 2007, 05:52:32 PM »

Kaanton Ki Chubhan Paayi Phoolon Ka Maza Bhi,
Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hansa Bhi,

Aane Ka Sabab Yaad Na Jaane Ki Khabar Hai,
Wo Dil Mein Raha Aur Use Tod Gaya Bhi,

Har Ek Se Manzil Ka Pata Puchh Raha Hai,
Gumraah Mere Sath Hua Rehnuma Bhi,

'Gumnaam' Kabhi Apno Se Jo Gam Hue Haasil,
Kuch Yaad Rahe Un Mein Kuch Bhool Gaya Bhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1945 on: August 25, 2007, 05:56:10 PM »

Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai,
Ke Gar Abad Ho Jaye,
To Duniya Ka Har Ek Mausam,
Bahut Shadab Lagta Hai,
Hamari Rooh Bewajah,
Anokhi Roshni Se Jagmagati Hai,
Har Ek Manzar Mukammal Husn Lagta Hai,
Yun Lagta Hai Ke Ek Pal Mein,
Hai Saari Umr Hi Jee Li,
Tamanna Hi Nahi Hoti,
Ke Dooji Umr Hum Paayein,
Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai,
Ke Gar Barbaad Ho Jaye,
To Har Mausam Khizan Ka AQs Lagta Hai,
Har Ek Manzar Tabah Barbaad Lagta Hai,
Hamari Rooh Bhi Bujh Kar,
Bahut Gehre Andhero Mein,
Kahin Par Doob Jaati Hai,
Aur Hamein Usko,
Andheron Ki Tarafse Dubara Roshni Mein Jagmagane Ke Liye,
Ek Dusri Hi Zindagi Darkar Hoti Hai,
Jo Qismat Mein.........Nahi Hoti!!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1946 on: August 25, 2007, 05:56:58 PM »

Yun Dosti Ke Naam Ko Ruswa Na Kijiye,
TarQ-E-TalluQaat Ka Charcha Na Kijiye,

Jurm-O-Zitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai,
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye,

Aisa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaye,
Har Roz Mujhse Waada-E-Fardaa Na Kijiye,

Hamdard Jisko Apna Samjahte Rahe Hai Aap,
Uska Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye,

"Mahir" Vafoor-E-Gam Se Na Ghabraiye Kabhi,
Khuddari-E-Hayaat Ko Ruswa Na Kijiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1947 on: August 25, 2007, 05:58:44 PM »
Usne Jo Dikhaye The,
Bekhwaab Aankhon Ko,
Khwaab Ab Ke Wo Saare,
Is Tarah Se Toote Hai,
Jis Tarah Koi Sheesha
Haath Se Chhut Kar,
Kirchi Kirchi Ho Jaye,
Ja-Baja Bikhar Jaye,
Ab Aise Khwabon Ko,
Chunke Hunme Kya Karna
Kirchiyon Ko Chunne Se,
Poorain Zakhmi Kya Karna,
Toote Hue Khwaabon Ko
Aankhon Mein Ab Kya Bharna,
Ab Jo In Khwabon Ko,
Aankh Mein Basaya To,
Aankhein Andhi Kar Baithoge,
Khud Ko Tanha Kar Baithoge,
Aao Ke Yun Karte Hai,
Phir Se Dil Ki Sunte Hai,
Tootne Bikharne Ko,
Koi Ahed Karte Hai,
Phir Se Khwaab Bunte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1948 on: August 25, 2007, 06:00:23 PM »

Gir Jaaye Zameen Par To Sabhale Nahi Jaate,
Bazar Mein Dukh Dard Uchhale Nahi Jaate,

Aankhon Se Nikalte Ho Magar Dehaan Mein Rahna,
Tum Aise Kabhi Dilse Nikaale Nahi Jaate,

Ab Mujhse In Aankhon Ki Hifazat Nahi Hoti,
Ab Mujhse Tere Khwaab Sambhale Nahi Jaate,

Jaate Nahi Hum Sehrao Mein Ab IshQ-E-Girifta,
Jab Tak Dil-E-Majnoo Ki Dua Le Nahi Jaate,

Jungle Ke Ye Paudhe Hai Ise Chhod Do MOHSIN,
Gam Aap Jawan Hote Hai Paale Nahi Jaate...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1949 on: August 25, 2007, 06:01:47 PM »
Samjha Tha Ke Tujh Bin Seher Bhi Aayegi,
Shabnam Bhi Hogi Gul Pe, Bulbul Bhi Gaayegi,
Dinko Sukoon Hoga, Shab Muskurayegi,
Bhatak Bhatak Ke Meri Rooh Sambhal Bhi Jayegi,
Daudega WaQt Zakhm-E-Hayat Bharne Ko,
Aur Dard-E-Hayat Ke Baad Rahat Bhi Aayegi,
Yun Dard-E-Jahan Mere Man Ko Qaboo Karega,
Ye Mere Junoon Ko Teri Raah Bhul Jayegi,
Aur Yunhi Wehshat Zada Zindan-E-Hasrat Se,
Meri Hayat Chupke Wapis Laut Jaayegi,

Magar Wo Ek Wehem Tha Khwab-O-Khayal Ka,
Ke Jahan Misl-E-Bahar Nahi Tere Wajood Se,
Jisko Teri Yaad Ke Khumare Ne Mara,
Josh-O-Junoon Mein TaQat-E-Yass Ne Mara,
Ek Neem Sa Khayal Tha Tujh Bin Main Rahunga,
Jisko Tere IshQ Ke Jalal Ne Maara,
Ab Na Tagaful Na Mujhko Hijr Ke Manzoor,
Tujhko Main Manzoor, Ya Maut Mujhe Manzoor...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 126 127 128 129 [130] 131 132 133 134 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 10:03:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer