Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 273
Print
Author  (Read 131121 times)
angel4u
Guest
«Reply #195 on: January 14, 2007, 09:33:24 PM »

Mohabbat Mein Koi Gehrayi Ab Bilkul Nahi Baaki,
Ab Atwaar Mohabbat Bhi,
Is Manind Badle,
Milo To Khush, Na Milne Par Koi Shikayat Bhi Nahi Hoti,
Kabhi Ek Hijr Hota Tha Jise Ab Gap Kehte Hai,
Maheeno Bhi Agar Mehboob Mil Nahi Paate
To Milne Par Masroofiyat Ka Uzr Chal To Jata Hai,
Isi Tarah Baham Rabton Ka Toot Jana Ek Haqeeqat Hai,
Yehi Kuch Wo Awamil Hai Jinhe Hum "Gap" Kehte Hai,
Ke Ab To Wasl-O-Hijr Mein Milne Na Milne Ka Faraq Mitta Ja Raha Hai,
Ke Do Dil Waqt Milne Par Hi Milte Hai,
Taqazon Par Nahi Milte,
Na Is Mein Khwahish Shamil, Na Koi Aarzu-O-Armaan,
Ke Phonic Rabte Bhi Ho Nahi Paate,
Ke Phonic Rabton Par Saal Kat Jaate Hai,
Lekin Mil Nahi Paate,
Mohabbat Mein Wo Pehle Ki Tarah Jazbaat Ki Tehreek Bhi Paayi Nahi Jaati,
Ke Nafsanafsee Ke Is Daur Mein Itna Bhi Kafi Hai,
Hamein Koi Chahta To Hai,
Kahin Par Door Reh Kar Bhi Kisika Koi Saari Umr Rehta Hai,
Koi Pehlu Mein Rehte Hue Bhi Anjan Rehta Hai,
Mujhe Hairat Hai,
Is Taluq Ko Mohabbat Ka Naam Deneki Bhi Aakhir Kya Zaroorat Hai,
Magar Shayad Zaroorat Hai,
Ke Bas Ab To Mohabbat Sirf Apne Naam Par Zinda Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #196 on: January 14, 2007, 09:35:26 PM »

Roshni Ka Ek Nuqta
Kartab Shab Taab Ki Manind
Chamka, Bujh Gaya,
Phir Roshni, Phir Teergi,
Aur Phir Roshni
Aur Phir Teergi Baahon Mein Baahein Daal Kar Raqsan Hui,
Ek Dayra Sa Ban Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #197 on: January 14, 2007, 09:37:38 PM »

Alwida Keh Diya Dil Ne
Aur Yeh Qadam

Uth Rahe The Kisi Aur Janib Magar
Phir Bhi Ek Aas Thi
Ke Sada Dogi Tum
Aur Palat Jaoonga Main Tumhare Liye

Par Yeh Ho Na Saka

Jhankta Tha Tumhare Khayaloon Mein Jab
To Pasheeman Sa Paa Raha Tha Tumhe
Tum Bhi Yeh Chah Rahi Thi,
Ke Mein Loot Kar
Dil Se Tum Ko Laga Loon, Mana Loon Tumhein

Yeh Bhi Ho Na Saka
Yeh Bhi Ho Na Saka Aur Jane Wafa
Donon Apni Anaa Ki Fasiloon Tal'e
Dab Gaye...... Mar Gaye ....... Bewafa Ho Gaye
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #198 on: January 14, 2007, 09:38:28 PM »

Yeh Haseen Shaam Apni,
Abhi Jisme Ghul Rahi Hai,
Tere Parahan Ke Khushbu
Abhi Jisme Khil Arhe Hai,
Mere Khwab Ke Shagoofey,
Zara Der Ka Hai Manzar

Zara Der Me Ufaq Par
Khilega Koi Sitara,
Teri Simt Dekh Kar Wo
Karega Koi Ishara
Tere Dilko Aayega Phir
Kisi Yaad Ka Bulawa,
Koi Qissa-E-Judayi, Koi Kaar-E-Naamukammal,
Koi Khwaab-E-Naashagufta, Koi Baat Kehne Wali,

Hamein Chahiye Tha Milna
Kisi Ahd-E-Meherbaan Mein,
Kisi Khwab Ke Yakeen Mein,
Kisi Aur Aasman Par
Kisi Aur Sarzameen Mein,
Hamein Chahiye Tha Milna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #199 on: January 14, 2007, 09:43:21 PM »

Tarq-E-Talukkat Pe Roya Na Tu Na Main,
Lekin Ye Kya Ke Chain Se Soya Na Tu Na Main,

Halaat Ke Tel'esim Ne Pathara Diya Magar,
Beeti Shamonki Yaad Mein Khoya Na Tu Na Main,

Har Chand Ikhtelaf Ke Pehloo Hazaar The,
Wa'ker Saa Magar Lab Goya Na Tu Na Main,

Nauh-E-Fasil-E-Zabt Se Unche Na Ho Sake,
Khol Kar Dayar-E-Sang Mein Roya Na Tu Na Main,

Jab Bhi Nazar Uthi To Falak Ki Taraf Uthi,
Bergashta Aasman Se Goya Na Tu Na Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #200 on: January 14, 2007, 09:45:51 PM »

Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete Hain
Udaas Raat Ki Tanhai Mein Ro Lete Hain

Dukhon Ka Bojh Akele Nahi Sambhalta
Kahin Wo Milte To Usse Lipat Kar Ro Lete

Agar Safar Me Hamara Bhi Humsafar Hota
Badi Khushi Se Inhi Patharo Par So Lete

Yeh Kya Ke Roz Wohi Chandni Ka Bistar Ho
Kabhi Dhoop Ki Chadar Bacha Kar So Lete
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #201 on: January 17, 2007, 09:55:22 PM »

Mujhe Yaad Mat Kiya Karo,
Mujhe Dilke Aangan Mein Kahin Dafan Kar Do,
Us Pe Charagh-E-Tamanna Bujha Dalo,
Sar-E-Shab Teeragi Mein Guzre Din,
Yun Talash Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Chandni Se Na Kuch Kaho,
Na Yun Hanso Na Baatein Karo,
Sar-E-Raah Apna Bharam Yun Tabah Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Gulistan Mein Koi Gul Khile,
Aur Koi Rahroo Use Tod Le,
To Hasrat Se Na Toka Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Samandar Ke Paas Jao Kabhi
To Lehron Mein Paanv Dale Hue,
Aati Jaati Maujon Se Yun
Kalam Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Sar-E-Shaam Shafaq Ko Dekh Kar,
Yun Na Nazron Mein Bhar Liya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Kabhi Kholo Purani Dairy,
To Tamam Sefhey Padha Karo,
Mera Naam Dekh Kar
Safha Palat Mat Diya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Barasti Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Khoob Baatein Karo
Yun Katra Katra Thaam Kar,
Mera Naam Mat Liya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Shab Ko Yun Guzaro Ke,
Tanhayi Na Paas Tumhare Aaye,
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar,
Tumhe Chandni Sataye
To Tum Der Talak Chand Se
Yun Baatein Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Suno
Ye Jo Chand Hai Mujhe Dekh Kar
Muh Pher Leta Hai Ab
Kabhi Baagh Jaun To To Phool Bhi Shikwa Kuna
Mujhse Baat Nahi Karta Hai Ab
Samundar Ki Taraf Niklun Kabhi
To Lehre Chhod Deti Hai Paanv Mere,
Barish Mein Tamam Katre Daman Bachate Hai,
Mujh Par Baraste Hi Nahi,
Shafaq Bhi Mujhe Dekh Kar,
Chhupa Leti Hai Khudko Badal Mein,
To Dekho Yun Mujhe,
Na Door Karo Tamam Alam Se,
Meri Zeesat Ko Aye Nishat-E-Mun
Yun Azab Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #202 on: January 24, 2007, 07:34:00 PM »

Bahut Dino Ke Baad Use
Ek Mehfil Mein Dekha Tha
Ek Lamhe Ko Hijr-O-Wisal Ke Saare Mausam
Aankhon Mein Lehra Se Gaye,
Dil Mein Chirag Se Jal Uthe,
Usse Gale Milne Ke Tasavvur Se Hi
Jaise Sara Wajood
Phool Ki Soorat Khil Utha,
Un Hathon Se Lims Ka Soch Ke
Saara Jism Sulag Utha,
Un Honthon Ke Garm Gulabi Nari Ka Khush Rang Khayal
Hothon Pe Muska Utha
Halq-E-Yaara'n Se Aakhir
Pal Bhar Ki Fursat Paakar
Meri Taraf Wo Aya Bhi,
Meri Jaanib Dekha Bhi,
Par Jo Kaha To Itna Kaha,
Aap Se Mil Kar Khushi Hui,
Mere Sehan-E-Dil Mein Achanak Hone Wali,
Patjhad Se Yaksaa'n La Elm...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #203 on: January 24, 2007, 07:44:04 PM »

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Tanha Baitha Baatein Karta Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Betha Rehta Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Waqt Guzarte Malum Nahi Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Bethe Baatein Karta Hoon
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi, [/color

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #204 on: January 25, 2007, 03:04:59 AM »
Bohat khoob Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #205 on: January 25, 2007, 05:30:55 PM »
Thanks Aryaan Puzzled !
kahan the itne din se Huh?
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #206 on: January 26, 2007, 02:10:48 PM »
nice work  Husena..........bahot khoob
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #207 on: January 26, 2007, 04:33:45 PM »
Quote from: "angel4u"

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Tanha Baitha Baatein Karta Hoon,
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi,

Betha Rehta Hoon Sath Uske Baatein Karte,
Ke Kabhi Apni Si Lagti Hai Tanhayi,

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi

Waqt Guzarte Malum Nahi Hota,
Baatein Karte Karte Sula Deti Hai Tanhayi,

Hansta Rehta Hoon Sath Uske,
Ke Hansti Hai Tanha Dekhkar Meri Tanhayi,

Kuch Kehti Nahi Mere Baare Mein,
Bina Kahe Kuch Keh Jaati Hai Meri Tanhayi,

Tanha Bethe Baatein Karta Hoon
Tanha Hoon Magar Saath Hai Tanhayi, [/color

Humse Yun Na Mila Karo Aye Tanhayi,
Shayad Hai Itni Kurbat Mein Ruswayi...
* * * * *


Wonderfull Husena sis...!!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #208 on: January 26, 2007, 05:10:18 PM »
Thanks bro...

Aur thanks motuuuu.....

tongue3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #209 on: January 26, 2007, 05:11:52 PM »

Doli Uthi Teri To Janaza Mera Bhi Uthega,
Saanjh Teri Bhi Saj Rahi Hogi,
Saanjh Meri Bhi Saj Rahi Hogi,
Rone Wale Tere Bhi Honge,
Rone Wale Mere Bhi Honge,
Phool Tujhpe Bhi Honge,
Phool Mujhpe Bhi Honge,
Tu Kisika Ghar Aabaad Karne Ja Rahi Hogi,
Aur Main Teri Duniya Ko Khair Baad Kar Raha Hounga...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:18:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer